hii friends i m new here

kasaf thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#1
hello friends...muje pakistani dramas bahot pasand hai... first time me iss forum me kuch likh rahi hu...vese to mene bahot sre pakistani dramas dekhe hai usme kuch popular bhi hai ex. Humsafar, Dastan, Durr-e- shehwar, payare afsal, matt and much more but most of time muje ending bahot hi rushed lagti hai and kuch drama ki ending to bahot hi sad so uss vajah se muje kuch dramas pasand nahi aaye...but bahot sare dramas muje bahot hi acche lage...i know ke life me sab kuch accha hi nahi hota but phir bhi happy ending vale dramas muje jayada pasand hai...chalo point pe aate hai ye post mene iss liye likhi hai ki mene ek draam dekhe 2-3 days pahele and I feel so amazed...muje meri friend ne 'Mere Humdum Mere Dost" drama recommend kiya tha so me thode din pahele hi dekhna start kiya pahele to muje online uski ek bhi HD print nahi mil rahi thi and finally muje Dailymotion mese URDU1 ki official channel se ye drama online mil gaya and mene aaj hi uska last episode dekha...i know ke mene ye drama dekhne me bahot hi der kardi ... i must say MHMD mera abtak ka sabse favourite drama hai wow simple story yet interesting...writer ne and maker ne story ko bahot hi gracefully handle kiya hai...sab actors ke performance bhi bahot hi acche hai...i m completely smitten by Haider Masood...wow maturity and innonce ka gajab ka combination...Adnann siddiqui bahot acche actor hai i know but jayada mene unko negative role hi play karte dekha hai and Adnan as haider in one word awesome..Adnan Siddiqui was beyond brilliant as the brooding yet pleasant Haider Masood unlike the Byronic heroes TV is fond of romanticising...sabse imp ye drama ki ending nahi to rushed thi and nahi to sad...sabse positive baat hai ke happy ending thi and last me jo Haider and Aimen ka convo hai uska to kya kahena...Aimen bhi accha character tha and ye drama ki USP thi Haider and Aimen ki bonding and Aimen ke dusre relation such as father and brother ke sath ki bhi bonding...Aimen and Haider dono ke character ki growth Haider ki maturity Aimen ko grounded and confidence deti hai to aimen ki innocence Haider ki life ke bure hadso pe medicine and breath of fresh air hai...wow what a journey Haider and Aimen ki just amazing...drama and haider and aimen ke bareme likhte huye to bahot hi time nikal jaayega...i know ke aap sabne to ye amazing drama dekha hi hoga...mene read kara ke MHMD novel base hai so mene novel ke bareme search kiya but muje urdu me hi mili but i don't know Urdu language...so kuya koi help kar sakta hai ki ye novel muje english me kaha se available hogi...last thing MHMD ab tak ka mera sabse Favourite drama hai pahele humsafar tha but MHMD ko dekhke ab ye drama meri top list me aagaya hai.. i think Adnand siddiqui ko more aese positive and layered character karne chahiye...thanks for itni lambi post read karne ke liye...
Top