*~H.G.O.R.C. #544~*- $~Invites Only~$ - Page 16

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

42.7k

Users

3

Likes

168

Frequent Posters

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

ho sakta tha main on ke kisi 1 reason ko sach manta, ya thora sa sahi manta,

lekin on ke kaam hain he eyse to main nahi kar sakta, main 100% jhoot kehta hoon ki on baton ko,

u know ager koi 1 reason bhe sacha hota to wo kabhe kisi or se pyaar karti he na,!! onhon ne 1 month ke andar andar kar liya, 30 se 40 days,

or mujhe dukh dene wali batain or bhe hain,

mere sath 2 saal reh kar jo plan banaya tha life ka wo os ke sath 1 month main bana liya,

jese mujhe kaha geya ke jab main uni main jaon ki, hostel main rahi to tum bhe a jao ge to hum dono * 1 sath rahain ge * eysa mujhe kaha geya tha june 2015 mei,!!!

or jab wo mila to mujhe kaha ke ansar main os se itna pyaar karti hoon ke ab next uni main jab jab jana hai to hum dono 1 sath rahain ge, hum dono matlab wo ashiq or wo :P

eysa koi reason ho he nahi sakta jis ki waja se eysa kiya geya mere sath, ager hota to naya ahisq kabhe na ata..

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

or maiin ULLU kahin ka yakeen he nahi karta tha ke on ki life main koi hai,

14 dec 2015 main sad nahi tha, main to has raha tha, wo keh rahin thin ke mujhe kisi or se pyaar hai lekin main has raha tha, kiyon ke mujhe pata tha ye eysa soch bhe nahi saktin,

itna yakeen tha on ke pyaar par mujhe....

mujhe 15 dec ko pata chala tha wo bhe on ke SS dekh kar, jab meri halat kharab hone lagi thi.

ye hai 1 SS jab pehli baar mere dil ne kaha ke ye sahi keh rahi hai...




ye sab kuch ho geya, 31 dec a gayi, main block ho geya, sab over ho geya, main jan main beemar ho geya, lekin dil kehta tha eysa ho he nahi sakta, wo kisi or se pyaar kar he nahi saktin bus mujh se karti hain.

main pagal ho geya, or jenny se kaha plz mujhe btao wo sach keh rahi hain? to Jenny ne kaha sach ko maan lo ansar,

phir main ne Sid bhai se kaha ke Ap help karo,

abhe mera eysa karna is liye tha kiyon ke main pagal ho chuka tha tab se he.. normal hota to shaeyd na karta,

ye raha chotta sa proof, dil mera dec 2015 main toot raha hai,

or mujhe tab bhe kisi ke pyaar pe itna yakeen tha ke main feb 2016, Sid bhai se keh raha hoon ke kisi bhe tarhan btao is naam ka koi larka hai bhe ya nahi, lol


Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

itna drama yaar...

mujhe tab bhe pata tha ye jhoot bol rahi hai hamesha ki tarhan, ager sach main mujhe theek karna chahti thi to wo karti jo karna chahiye tha :P

wese bhe ye sab care 15 dec wale din he thi, 16 dec se to a gayi thi apni okaat pe,!


Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

main ne na kisi ko rula diya tha 2018 mei, koi hai jis ko meri bohot care karni ati hai, os ne na 2016 se mera brain wash karne ki koshish ki, socho yaar 2016 se 2018 tak, main ne sab suna, ke main pagal hoon, na samjh hoon, mujhe kisi ki parwa nahi hai, mian kisi ki sunta nahi, ye sab suna main ne 2 saal tak..

phir 1 din main ne zara detail se on ko samjhaya ke suno meri life meri thi, jo hova mere sath hova, os ka dard main janta hoon, ager mera dard thora sa bhe feel karna hai to story suno,

then main ne A to Z har baat btayi os insaan ko, or os ne kaha ansar tum 100% theek ho, or sorry main ne itne saal se tumhain he galat kaha, or mera promise hai ke meri taraf se ab ye koshish nahi hogi jo pehle thi,..

sab ke sab wo 6 months ki chat dekh kar badal jate hain, on ko ehsaas ho jata hai ache se ke ansar ko kis ZEHR ne kaata hai,!

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

meri kismat main na on ke aney ke baad *ansu* he reh gaye they or kuch nahi..

2014 to mujhe yehi samjhne main laga ke in ko pyaar naam ki cheez hai bhe ya nahi.

2015 jab aya to blv me meri ankhon main ansu a jate they. or wo ansu khushi wale they, main on se itna pyaar karta tha to wo bhe kehti thin ke on ki ankhon se bhe ansu nikal atey hain kabhe kabhe jab main on ki itni care or pyaar karta hoon.

magar mera to roz ka kaam tha,

on ke os pyaar se main hawa main urne laga tha, mujhe har pal feel hota tha ke mere sath ye hain to mujhe duniya main kisi ki zarorat nahi hai,

subha uth kar 1 khubsurat sa ehsaas hota tha, or raat ko on ki yadain le kar sona,

jab kisi dost ko on ka batana to ankhon main ansu a jate they ke meri itni care karti hai, lol

or wo hain he itni achi ke onhon ne wo ansu badal diye, pehle khushi se aty they, ab dard se atey hain.

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

pyaar se bhari koi cheez nahi is duniya main, is se zeyada power kisi cheez main hai. jab ye tha to main duniya se fight kar sakta tha, jab ye nahi to main khud se nahi kar skta,

main jab lazy ho jata tha kaam main to on ki pic dekh kar mujh main wapis himat ati thi, ke ansar ye hai meri manzil,! yahan tak jana hai to lazy nahi rehna ,

main bohot si chezon ko sath le kar chal rha tha, or sab kuch 1 time limt ke andar karna tha, wese pyaar ko main ne sab se oper or agey rakha, kiyon ke pyaar insaan ko kisi cheez main fail nahi hone deta, ye Ap ki power banta hai kamzoori nahi,!

eysa bhe to ho sakta tha na ke main isi pyaar ki waja se kuch kar nahi pata, magar main ne kiya kiyon ke yehi pyaar meri taqat tha,! meri manzil thi, main samjhta tha ager main ne time waste kiya, ya lazy hova to ye ankhain main kho doon ga :P

or main tab bhe kuch nahi kar saka, jab onhon ne sath he nahi diya to main kya karta,

2015, or 2016 tak to main open kehta raha na ke plz mujhe chance de do, a jao wapis na karo eysa, lol

lekin 2017.2018 mujh main ye kehne ki himat nahi thi,

pehlsa reason meri life bohot piche chali gayi hai is ko kafi time lagta wapis theek karne main,

or dosra reason hai mera dar.. abhe on ki age mujh se kam hai, mujhe on ka kya dar ho sakta hai? lol

lekin mujhe dar hai, kiyon ke on ko baat karni nahi ati,.. main sad hota hoon to wo or zeyada sad karti hain, jesa may main hova sab clear hai,

jese sept main 2018 main hova tha, kiti ajeeb baat hai na. khud he pucha ke tum sad kiyon ho? ( jese on ko pata nahi tha ), or jab main ne jawab diya to keh diya tum over act kar rahe ho.. eyse halaat main on se kya baat karta or kya na karta,

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

mujhe kabhe kabhe lagta hai shayed mere pyaar main koi kami thi,

phir lagta hai nahi, eysa pyaar jis ne mujhe mera sab kuch he bhula diya os main kami kesi rahi?

mujhe Puppy dekhna bhe pasand nahi tha, abhe mera fav ho geya kya ye kami thi?

mere sab emails, sab accounts ka pass on ke naam par hai kya ye kami hai?

meri company ka jo naam hai on ke naam par hai,

mere bank accounts ke jo pin hain, wo on ka mobile number hai,

mera dil har 5 mint main jis ka naam zaroor leta hai wo on ka naam hai,

main ne apni zindagi ki har khushi on ke naam kar di thi, ( is baat pe on ko gussa ata hai, wo kehti hain tumhari khushi ki mujhe zorarat nahi hai main already khush hoon, lol ) but main same kahon ga main on ko or khushi deta :P jis ka on ko pata he nahi ke life kehte kis ko hain, wo khushi,

meri life main se main ne bohot si baton ko change kar diya, bohot se plan badal diye, on ki waja se..

mujhe 1 he kheyal tha ke ye karna hai on keyliye, wo karna hai on keyliye,

---

or badle main mujhe kya chahiye tha?? utna pyaaar?? nahi. lol

on ka hug? haan wo to mil je jate bohot sare, lool,

kiss? wo to free hoti na jab marzi le leta ya mujhe mil jati, loool,

mujhe badle main bus yehi chahaiye tha ke wo mere pyaar ko samjh lain, or kuch nahi..

meri koshish hoti bhe thi ke in ko jitna khush rakhon utna kam hai, jese on ki khushi keyliye puri raat sona na, on ka mood hota tha baat karne ka, main puri raat sota nahi tha, main ne subha kaam bhe karna hota tha, lekin on ki khushi keyliye ye chotta sa kaam tha jo main kar leta tha.. zahir hai mujhe bhe acha lagta tha lekin mujhe din ke time bhe acha lag sakta tha, meri bus koshish hoti thi ke in ki khuwish ko pura kiya jaye..

ye mera pyaar tha, on ka kesa tha ye bhe mujhe pata tha, andar ki baat to ab wo janti hain ya GOD jee....

main hamesha 1 he baat kehta hoon, 100% nahi. 10000% hum 1 dosre keyliye bane they, wo manti nahi, or mujhe os ki koi parwa nahi, wo na samjh thin, wo na samjh hain, main aaj bhe kehta hoon hum 1 dosre keyliye bane they,

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

mujhe kohsish karne ka haq bhe nahi mila, wo manti ya nahi wo to bohot dooor ki baat thi,

main ne on ko summer 205 main block nahi kiya tha, 1 din kiya tha bus, wo bhe kuch hours, phir mujhe laga ke wo sad hongi, phir wapis unblock kar diya,

mera matlab hai ke wo apni har tarhan se ki baatain share kartin thin, sath bhe mangti thin mera, pyaar bhe mangti thin, chance bhe mangti thin, main manta tha ya nahi lekin wo keh to sakti thin na... mujhe ye haq nahi mila...

galtiyan main ne bhe kafi ki hain, phir bhe fark hai..

wo to mujhe kuch samjhti he nahin, shayed apna nokar samjhti hain, hamesha on ki zid puri hoi, wo jeet jati thin,

ye june 2015 hamara bohot acha guzra tha yaar. daily he video call, daily he voice call, or wo sab meri marzi se nahi hota tha, main kehta tha to wo busy hoti thin, lekin jab wo kehti thin to main inkaar nahi karta tha...

isi june main he hum ne 3 hours ki video call bhe ki hoi hai. or ye on ka man kar raha tha is liye ho gayi, warna 3 mints bhe na hoti ager meri khuwiash hoti to :)

---

ye dekho ab, main sari raat soya nahi tha, 6 AM hone wale they or main ne 8 AM pe ready bhe hona tha, or ye mujhe os time call kar rahi thin,

in ki zidd thi ya to mujhe *i love you* kaho, ya mujh se call pe baat karo, 5 AM pe,!

main dono he nahi karna chahta tha, or main ne dono main se 1 bhe baat nahi suni thi,

main ne suni thi ya nahi wo keh to sakti thin na kuch bhe, mujhe to ye haq tha he nahi, main to itna bhe nahi keh sakta ke meri baat he sun lo... tang kya karna tha main ne, or zid kya karni main ne..

ye main he tha jis ke sath eysa kar leti thin wo..

eysa nahi tha ke mujhe acha lag raha tha,! mujhe os din gussa a raha tha ke ye koi time hai tang karne ka,wo bhe jab main kuch manna he nahi chahta, lekin main ne kuch nahi kaha tha,




















Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

bohot fark hai na...

wo itna kuch kar jati thin meri life main wapis aney keyliye,

or main? itna bhe nahi keh sakta ke meri baat sun lo... ager main itna bhe keh doon ke meri baat sun lo to os ki saza sidha block karna he hai,

ye chali kiyon nahi gayi thi meri zindagi se tab , jab meri koshish thi.. zid os ki thi, or aaj sari saza mujhe mil rahi hai. 2015 geya, 2016, 2017,2018, or 2019 bhe half guzar geya. ye saza mujhe mil rahi hai.. wo bhe free main..

Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

main ye kya bole ja raha hoon,??

apni isi bakwaas karne ki waja se main khasmosh rehne ki koshish karta hoon. os main kamyaab nahi hota lekin,

Top