Tere Bin (Geotv) Yumna Zaidi, Wahaj Ali DT #3 - Page 110

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

102.9k

Users

66

Likes

2.3k

Frequent Posters

vizard thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Anniversary 2 Thumbnail
Posted: 1 years ago

Originally posted by: madhuvan


What is KAM 3?

KAK is most watched on YT but honestly I never got to know about it's popularity in India.

I think Tere Bin will beat them all with the way it's going. Recent episodes are hitting 20m in just 3-4 days.


By KAM 3, i meant Khuda Aur Mohabbat season 3.

What's KAK?

madhuvan thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 1 years ago

Originally posted by: vizard


By KAM 3, i meant Khuda Aur Mohabbat season 3.

What's KAK?


Oh I meant KTK only. My bad.

vizard thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Anniversary 2 Thumbnail
Posted: 1 years ago

Originally posted by: madhuvan


Oh I meant KTK only. My bad.

No problem.

I think KAM 3 is the most watched. Ep 1 has over 100 million views and several eps have 40+ million.

You think Tere Bin can beat that? I'm not used to tracking views on YouTube so i'm not sure what a typical increase rate in views tends to be after the drama is done airing.

preciousn905k thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Hello...I wrote an OS for Meerasim...It is about their feelings...although I wrote it after that reception and Murtasim gone Flirty mode episode but did not post ..but now it is here...It is slightly long ...so bear it ..do comment if you like it or even if you don't like it😂😂...

Insight

Meerub: Murtasim..

Murtasim: Yes Sweetheart..

Meerub glares at him..

Murtasim: kya hua ab..

Meerub: tum normal baat nahi kar sakte…jaruri hai ye apna cheap romance bich mei lana…

Murtasim: cheap romance…really?..

Meerub: Aur nahi toh kya…I am not your sweetheart…aur dhyan rakhna…main kabhi tumse impress nahi hone wali..

Murtasim stands up from his chair and goes a little closer to her..Meerub turns conscious…He was looking at her condition and understanding it..

Murtasim: aisa lagta toh nahi hai..mujhe toh lagta hai ki tum poori tarah attracted ho bas rok rahi ho khud ko…itne badhe badhe dialogues jo diye hain pehle…

Meerub ka mann karta hai uska muh nochle vo…overconfidence ki dukaan…

Meerub: Galatfehmi ki koi dawa hoti na toh main tumhe khud pila deti…

Murtasim: haye..apne inn naram hathon se pilaogi na toh zeher bhi pi lunga..

Meerub: haan toh fir dawa nahi zeher hi pilaungi..

Murtasim smiles at her…

Meerub: iss khushi ka matlab..

Murtasim: Tum na batein bahut karti ho ki aisa kar dungi..vaisa kar dungi…tumhe maar dungi par hoga tum se kuch nahi…agar mujhe zara bhi kuch hua na toh dekh lena tumhe lagega jaan tumhari jaa rahi hai..tumne hi rona hai sabse jyada…

Meerub: kahan se aati hai ye sochein tumhare dimag mei…main kyun rone lagi …aur main kyun tumhari itni parwah karungi…

Murtasim: Vo toh tum janti ho ki tum kyun karogi..

Meerub: I don’t care about you aur jyada confident hone ki jarurat nahi hai..

Murtasim: confidence nahi Yaqeen hai mera..Tum kuch bhi kehlo..Tum aur main ek dusre ke liye bane hain….juda hoke bhi juda nahi honge kabhi..hamari feelings…ye dhadkane hame jod ke rakhengi…aur ye tum bhi janti ho…par maan logi toh qayamat nahi aa jayegi..

Meerub turns upset hearing all that…

Meerub: Aisa hai na Murtasim…main apni baat pe ab bhi qayam hun..tum kuch bhi karlo..mere dil mei ek shohar ka mukaam nahi le sakoge..

Murtasim serious ho jata hai..he knows ki ye shaadi Meerub ne situation se compromise karke ki hai...use kuch aur samajh nahi aaya tha uss waqt..aur vo ab bhi hurt hai uss sab se jo hua uske sath…

Murtasim: tum sab maan kyun nahi leti…accept kar logi toh sab thik ho jayega…

Meerub face turns gloomy...

Meerub: kya maan lu…ye ki jo mere maa baap the vo toh kuch hain hi nahi mere…maan toh liya hai…aur badhe filmy tarike se hua na sab…varna aisa kahan hota hai…

Murtasim: Vo ab bhi tumse bahut mohabbat karte hain…tumhe pala hai unhone…

Meerub: haan…itne saal unhone mujhe pala badha kiya…bahut pyar diya…aur uske baad kya kiya…mujhe chhodke chale gye tum logo ke paas…mere liye darwaja tak nahi khola vo bhi uss waqt jab main akele ho gayi thi tadap rahi thi unke liye…mujhe palko pe bitha ke rakhte the vo murtasim aur fir gira bhi diya…

Beti thi na toh kyun mere sath khade nahi rahe…main akele ladti rahi tumhare khandan se ki mujhe ye rishta nahi karna..ye mera ghar nahi hai…yahan nahi rehna…unhone kya kiya…mujhe convince karne mei lage huae the…Maa baap aise hote hain…apni aulaad ko chhod dete hain…vo lad toh sakte the mere liye…mujhe sahara de sakte the…par nahi…aisa kuch nahi kiya unhone…aur fir mujhe beti kehte hain…maafi mangte hain…kya karun aisi mohabbat ka…kya manu main btao…

Murtasim: You still love them Meerub..

Meerub: sirf mohabbat se kuch nahi hota Murtasim..agar hota toh vo sab kuch hota hi nahi...pyar toh vo bhi karte hain...sath toh nahi diya na...

Murtasim: ye tumhara khandan hai meerub…tumhare apne log hain…ham sab…kyun nahi samajhti tum…tumne yahin aana tha aaj nahi toh kal…

Meerub: yahi toh maje ki baat hai…bachpan se jis khandan ko main napasand karti thi…jo log mujhe samajh nahi aate the…jo rivayatein mujhe gale ka fanda lagti thi…main toh usi ghar ki beti nikli…mere rago mei isi khandan ka khoon hai…uss baap ka jisne mujhe paida hote hi thukra diya…mera chehra tak nahi dekha tha …tum kya samajhte ho ye sab asaan hota hai…aapki identity badal jaye…Main toh apne maa baba ke jaisi thi na toh tum logo ke jaise kaise ho gayi achanak…aur kyun…

Tumhe pta chale ki tum Murtasim Shanawaz khan nahi ho toh accept kar loge…asaan hoga…jab tumhe lagega ki tum ek daldal mei faste ja rahe ho aur koi rasta nahi hai…koi nahi hai bachane wala..kisi ko apna nahi keh sakte... kyunki jo the unhone toh apnaya nahi tha aur jinhone apnaya unhone bhi chhod diya. .

Murtasim: Main samajhta hun Meerub tumhari taqleef…aur mujhe pta hai ki kafi kuch galat hua hai…hamare badho ne jis tarah se ye sab handle...

Meerub uski baat kaat deti hai…

Meerub: unhone jo kiya vo kiya…tumne kya kiya murtasim…main akele sabse ladti rahi..mana karti rahi…buri bani…batein bhi suni…tumhe toh bas mujhe tapane mei maja aata tha...kya kehte hain sab....meerub batmeez hai…use khandan ki izzat ka koi khayal nahi…sirf islye ki mere dil mei jo hota hai main keh deti hun...Iss gaddi ke janasheen ho tum..ye sab tumhara hai…tumhari marzi chalti hai..yahi kehte the na…toh kyun elaan nahi kiya ki ye shaadi nahi hogi…kyun danke ki chote pe sabke samne ye baat nahi boli…jaise maine boli thi…

Murtasim: Haan tumne ki thi Meerub…maine tumhe mana bhi kiya tha aur tumse baat ki thi… aur maine maa ko bhi mana kiya tha..main khud iss tarah se tumse shaadi karne ke haq mei nahi tha…tumhari khushi ke begair…

Meerub smiles sadly…

Meerub: maine haan ki thi aur murtasim tum jante ho kis situation mei ki thi…..main hurt thi…kuch nahi dikh raha tha mujhe aage….mujhpe pressure tha…aur pressure kya…meri marzi ki koi ahmiyat thi hi nahi… Ye sab islye toh hua tha …mujhe todne ke liye…meri parentage mujhe bta di gayi…mujhe btaya gya jis khandan se main dur bhagti hun …main usi ka hissa hun…ye sab kuch meri tumse shaadi karane ke liye hua tha…aur vo hokar rehti…aaj nahi toh kal…koi na koi reason ban jata…

Tum mana kar sakte the shuru mei hi…ye rishta sabke samne tod dete…elaan kar dete..baat itni aage aati hi nahi…par nahi…apni maa ke khilaf jake kuch kyun karte tum…tumhe toh iss khandan ki rivayat…jhooti shaan mei jyada dilchaspi hai….vo hi mayne rakhta hai…tum logo ki izzat waqar sab qayam rehna chahiye…tum logo ki zubaan se nikli baat toh pathar ki lakeer hai na…maa begum ne faisla kiya aur sabko manna chahiye..chahe kisi ki khawisho ka khoon ho jaye…aur tumne agar inkaar karna hota toh kar chuke hote ...mera wait nahi karte...sabke samne keh dete...

Murtasim: Main aisa nahi chahta tha meerub…

Meerub: beshak nahi chahte the…par tumne kiya kuch nahi unko rokne ke liye…sirf kehne se kuch nahi hota…kuch karte toh main manti…maa begum ke khilaf tum jate hi nahi ...delay shayad kar pate...pta nahi...par rok nahi pate...ye main samajh gayi thi..

Murtasim: Toh tum fir bhaagi kyun nahi…kahin aur rehti…apni zindagi khud bnati…padhi likhi ho…himmat wali ho...sab kar sakti ho…

Meerub laughs with tears in her eyes…

Meerub: Aur tum kahin aur rehne dete…tumhara ye khandan jo har baat ko ana ka izzat ka masla bna leta hai…aisa karne deta mujhe…Tum log mujhe dhund lete aur iss qaid khane mei le aate…Maa begum ka hukam toh sar ankhon pe hai na…unke khandan ki ladki aise akeli rahe kahin..apni marzi kare..khandan ki naak nahi kat jayegi..

Jab tumhe pta nahi tha main tumhari real cousin hun..tum toh tab bhi mujhe pakad pakad ke le aate the..kyunki hukam jo tha…toh ab kya hota…

Murtasim khamosh rehta hai…usko pta hai ki vo Meerub ko yahan wapas le aata…vo uski mangetar bhi thi aur iss khandan ki izzat bhi…aur Maa kabhi nahi manti uss sab ke liye chahe vo kitni bhi behas kar leta..jo ki usne ki bhi thi...par hua toh tab bhi kuch nahi...vo khud samjhta hai ki kuch batein insaan ki apni jaat se bhi upar hain...unke khandan mei rivayatein nibhayi jati hai jahan Kai baar insaan ke apne armaan bhi qatal ho jate hain..

Meerub: ye shaadi maine apne armano ka khoon karke ki hai Murtasim…kisi khushi mei nahi…shayad galat faisla tha shayad sahi..shayad main kamjor padh gayi ya shayad main bahut majboot ho gayi ki mujhe laga ki iss khandan mei rehkar bhi kabhi tum logo jaise nahi banungi…apni sharto pe rahungi..

Murtasim: main janta hun par yaqeen mano…main tumhe sari taqleef se bachana chahta tha...chahta hun...tum biwi ho meri…tumhari parwah hai mujhe…

Meerub: Hmm… main biwi hun tumhari…aur mujhe chhodna toh tumhari khandani rivayat ke bhi khilaf hoga…haina...varna tum mujhse uss waqt Shaadi karte hi nahi jab maine vo shart rakhi thi…par baat tumhare Mann ki nahi iss khandan ki izzat ki thi...tabhi toh Maan liya tumne..ye shaadi tumne bhi dil se nahi ki... majboori thi na..Aur Ab jab biwi ban hi gayi hun..toh tum chahte ho ki bas mujhe kisi tarah control karlo…

Murtasim: main tumhe control nahi karna chahta,..main toh..

Meerub: kya… mohabbat chahte ho..haan …kyun nahi..control kar nahi sakte shayad... main toh baagi hun na tum sabke liye... toh mohabbat se apna bnalo…taki tum apni shadishuda zindagi chen se gujaar sako…ek achhi ..tabedaar biwi ke sath jo tumse mohabbat kare..tumhari baat mane…iss khandan ke sahi galat tarike apna le..bas ye maan le ko jo hua ho gya....Maa begum chahti hain main unke jaisi ban jaun..Tum yahan ke Raja aur main yahan ki Rani…sunne mei kitna interesting hai na…nai..

Murtasim: baat aisi nahi hai Meerub…main tumhe khush rakhna chahta hun…tumhare sath hamara ye rishta aage badhana chahta hun taki ham dono achhe se zindagi gujare khushi ke sath..na ki aise tadapte huae…Ham Raja Rani ho ya na ho Miya biwi toh hain…Ek naye taur pe sab shuru karte hain na yar…sab thik ho jayega…

Aur kab tak apne dil mei ye dard paale rakhogi tum…isse bahar tumhe aana hi padhega…tum khud apna zakhm khuredti rehti ho aur apna dil dukhati ho...kyun iss taqleef mei rehna chahti ho...kyun tadpa rahi ho khud ko aise..tum dekho na....ye sab kuch tumhara hai Meerub…tumhare liye hai…

Meerub: Mujhse ye kabhi nahi hoga…Nahi hai meri khushi ismei…mujhe kuch shuru nahi karna…mujhe nahi chahiye kuch bhi…

Tumhe nahi pta hazar sochein aati hai dimag mei aur main unhe reject kar deti hun..fir kuch aa jata hai...aur yahi sab chalta hai...ye dard aise hi rahega...thik nahi hoga..

main akeli hun aur yahi sach hai…ye shaan ye sab kuch ye mujhe kabhi nahi chahiye tha..ye zindagi mere liye nahi hai ...aur na kabhi ho sakti hai...

Murtasim: ham dono sath hain Meerub..Main shohar hun tumhara aur tum meri biwi…Tum kyun akela samajhti ho khud ko…

Meerub: Tumne mujhe mara tha Murtasim…sirf islye ki maine tumhe bura bhala kaha…tumhari ana ko chot pahuchayi aur tumhe main khud ko chhune ka haq de dun…tumhari ban jaun...Ek aise mard se itna gehra rishta jod lo jo ek ladki pe hath uthake khud ko usse behtar samajhta hai…apna zor aajmata hai uspe..

Murtasim: Meerub main janta hun mujhe nahi karna chahiye tha…meri aisi soch nahi hai…na main khud ko tumse behtar samajhta hun aur na mujhe koi khushi hui tumhare sath aisa karke…mujhr afsos hai maine aisa kiya uss waqt..mujhe bas bahut gussa aa gya tha..

Meerub: Toh hath utha diya…aur ab main tumhe apna maan lun kyun …kyunki tumne uske baad mujhpe taras khaya…mujhe mere gharwalo ke paas le gaye…mujhe apne ghar mei jagah di…toh main vo thappad bhul jaun…yahi chahte ho tum Murtasim…

Murtasim: I am sorry Meerub…believe me mera tumhara dil dukhane ka ya tumhari jaat ko taqleef pahuchane ka koi irada nahi tha…aur maine tum par koi taras nahi khaya tha..mujhe bas vo hi sahi laga…tum itni taqleef mei thi..aur main tumhe aise nahi dekh saka...

Meerub: Shayad tumhe kabhi maaf bhi kar dun ya shayad kar bhi diya hai…mujhe nahi pta…par mohabbat nahi kar sakti…Mujhe karni hi nahi hai…main tumhari iss duniya ka hissa kabhi nahi banungi...

Murtasim: Sach btao Meerub…nafrat karti ho mujhse…kya itne dino mei tumhare dil mei mere liye koi feelings nahi aayi..kya sach mei main koi mayne nahi rakhta tumhare liye…tum mujhe aisa samajhti ho ki main ek aurat ko apne se inferior samajhta hun...ya use sirf control karna chahta hun..

Meerub koi jawab nahi deti…bas use dekhti rehti hai…Murtasim uske jawaab ka intezar kar raha tha par vo kuch nahi kehti…vo bechen ho jata hai…vo nahi bardasht kar sakta uski ye khamoshi..ye berukhi…vo kyun nahi samajhti ki vo uske sath kuch galat hone dena nahi chahta tha…aur na hi ab chahta hai…uski mohabbat uska sath chahta hai bas...usko khush rakhna chahta hai..har gam se dur...uske ye ansoo uske dil ko taqleef dete hain..vo janta hai vo bahut dukhi hai...tadap rahi hai akele...gussa hai sab pe apni iss halat ke liye ..frustrated hai..tabhi barasti rehti hai....khud ko yahan qaidi manti hai aur vo usko bhi kasoorwar samajhti hai...

Murtasim: kuch bolo meerub…

Meerub: Mujhe nahi pta Murtasim…ab main tumhare liye kya feel karti hun…Nafrat na bhi karu toh bhi mohabbat toh nahi karungi…

Murtasim takes a deep breath and holds her hand…Meerub does not pull her hand …she was already emotionally exhausted…all this discussion took its toll on her…

Murtasim: Meerub..jo kuch bhi hua …main use badal nahi sakta…par main Koshish jarur karunga ki tumhare dil mei jagah bna saku...main tumhare sath hun chahe tum chaho ya na chaho..Hamara ye rishta mere liye bahut mayne rakhta hai..tum mere liye bahut mayne rakhti ho…ye mera dil janta hai aur mera khuda bhi…Shayad tum bhi kabhi ye mehsoos kar sako..

Ye Rivayat ye khandan mere liye bahut ahem hain par tumse badhkar kuch bhi nahi hai...aur main janta hun tum hmesha sahi ka sath deti ho..aur hamare khandan ko nicha dikhana tumhara maqsad nahi hai…toh tumse meri expectations hmesha rahengi aur main bhi koshish karta rahunga ki main kabhi bhi tumhari ummedein na tutne dun.. Ye Murtasim Shanawaz Khan ka wada hai ki vo Meerub Murtasim Khan ka hmesha sath dega…marte dum tak…

Meerub bahut preshan hone lag jati hai...uski ye batein hmesha uske dil pe asar karti hain...use unsettle kar deti hain...

Meerub: Fir bhi mere dil tak toh nahi pahuch sakoge...

Murtasim then speaks in more softer tone ..

Murtasim: pahuch toh gya hun shayad…yun hi thodi mujhse apne dil ki har baat kehti ho..sara gussa mujhpe utarti ho...ye ansoo ye nakhre sab mere liye hain..

Meerub: jyada khush mat ho…Mere paas koi aur nahi hai bas islye…

Murtasim smiles slightly…

Murtasim: haan..Tumhare pass toh bas main hun … Tumhara Murtasim jo hmesha apni Meerub ke paas rahega…

Meerub keeps looking into his eyes..but she was also busy in her thoughts…She was trying to understand him…She knows somewhere deep in her heart that he will be with her..She won’t accept it infront of him but she knows this.. Still she can’t give him any false hope…She does not want to be a part of this family..They snatched her identity and some part of her soul too…She is not that Meerub now who considers family and her parents above everything..they betrayed her..left her and this is just her biological family not her real family..she does not like them and will never accept them..

But Murtasim…She gets upset and confused.. does she hate him...does she have no feelings for him..Will he keep on fighting for her.. Will he be able to crack those walls she made around her heart?…Should she put her guards down? What does she really feel about him? If not hate than is this love?..no..no..how can she love him...it is not allowed ... She can't allow herself... but Is it really that difficult to love him..is it wrong to love him..her feelings were all messed up...

Murtasim was looking at her...he knew that she is totally confused right now... She is stressing herself with her feelings..It is too much for her ..she is fighting a war inside her mind about what should she do ...he did not want to burden her with this when she has so much in her plate right know in terms of problems... so he tugs at her hand and she focuses her attention back to him…

Murtasim: Aur tumhe ye cheap romance bhi jhelna padhega...main toh nahi rukne wala…

This somehow brings a small smile on her face…Murtasim smiles too and wipes the tears that had flowed down on her cheeks..Meerub does not stop him...

Meerub: pagal ho tum sach mei…

Murtasim: tumse kam…

Meerub raises her left eyebrow at him and then pulls her hand back…he smiles at her childish attitude…

Murtasim: Achha kya kehne aayi thi…

Meerub: maa begum bula rahi hain tumhe…

Murtasim: Maa?…koi khas baat…

Meerub smiles mischievously…

Murtasim: ab kya kar diya tumne…

Meerub makes a face…

Meerub: maine kuch nahi kiya…vo bas thodi behas ho gayi ek case ko leke…unki thinking itni purani hai aur…

She looks at his expressions and then stops…she knows ki he is not liking it…mama's boy...

Meerub: Mera point sahi tha ok…but vo vahi aurto ko chup rehna chahiye…jyada bolna nahi chahiye..vo hi sab mei lagi hui thi…izzat nahi ghat jayegi agar koi ladki apne haq ki baat karle…

Murtasim sighs…it is again the same thing…

Murtasim: main baat kar lunga…

Meerub: baat nahi…unhe samjhao…aise thodi hota hai ki koi ladki apne shohar aur uski family ki galat harqat bhi bardasht kare izzat ki khatir…Samya ke sath zulm ho raha hai sach mei…

Murtasim: main samjha dunga okay…maa samajh jayengi…

Meerub: haan meri baat manna toh gunaah hai unke liye…ab ek mard bolega same baat toh maan lengi....oh sorry iss gaddi ka janasheen…ye correct title hai….

Murtasim: Meerub…Thoda shaant raha karo…

Meerub: Toh maine bas apna point of view rakha hai…jhagda thodi kiya..par vo usmei bhi naraz ho jati hain…main toh muh bhi kholu na toh unhe bura lagta hai…fir mujhse puchhti kyun hain..ab main kuch galat hote huae toh nahi dekh sakti…vo khud toh empowered hain aur fir iss tarah ki soch...

Murtasim: Meerub yahan maa se koi argue nahi karta…

Meerub: Toh fir vo kaise samjhengi agar unke faisle pe sab haan hi karte rahenge…maine sirf bola hai vo usi mei bhadak gayin..tumhe shikayat karne ke liye bulaya hai shayad…

Murtasim: Ok baba…main sambhal lunga…unko baat samjhane ka tarika hai...aur vo ye toh nahi hai...

Meerub: main sahi keh rahi thi par..

Murtasim: ofcourse...par fir bhi argue nahi karna hai aise...Maa ko pasand nahi hai...aage se dhyan rakhna...baki abhi main sambhal lunga sab...okay..

Meerub smiles slightly…

Meerub: Haan toh sambhalo…nibhao jake farz…

Murtasim: achha farz yaad rakhti ho tum mere..aur haq uska kya…farz mere hain toh haq bhi hain na begum...

Meerub: Khandan ki izzat ke liye ki thi na shaadi…

Murtasim: Sirf ye wajah nahi thi…ab tak toh tumhe samajh aa jani chahiye ye baat...

Meerub just keeps on staring at him without blinking…He was looking at her with affectionate eyes and smile adorning his face…he always does this to her…but she blinks her eyes quickly...

Meerub: achha jao jaldi ab…vaise hi baton mei uljha liya itni deir mujhe…Maa begum fir mujhe hi blame karengi ki maine tumhe jane nahi diya hoga…unke hisab se toh main sabko preshan karti hun…

Murtasim: Nahi toh,,,vo toh kehti hain main janmureed hun..

Meerub: Achha…galat lagta hai unhe fir…tum toh mujhe apna mureed bnana chahte ho…

Murtasim: Aisa nahi hai SWEETHEART…

Meerub just closes her eyes once and then open them again to shoot daggers at him…Murtasim was feeling amused...She is really something ..he likes it when she is all red due to his antics...

Murtasim: Achha jaa raha hun…par tum kahin na jana…yahin wait karna mera ..main bas baat karke abhi aaya…Fir we will continue our.....what did you say..Cheap romance…

Meerub: Main pagal hun jo tumhara wait karungi..dafa ho jao yahan se…

Murtasim Smiles at her and goes…She was about to go out of the room and then she stops…vo kyun jaye..darti thodi hai usse…vo yahin rahegi…uska bhi room hai..par vaise kya kehna hoga Murtasim ne?…cheap batein hi karega jaise hmesha karta hai..pta nahi kahan se sikha ye sab…vaise toh angry man bana firta hai aur fir aisi batein…tauba hai vaise..Par karta rahe…it does not affect her at all…She is immune to all this..haan aur kya and she then sits on the bed waiting for him…

The end

spnfan thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Most Posts (July 2022) 1 Thumbnail + 6
Posted: 1 years ago

Originally posted by: columbia



Lahaulvilaquvat



Uska shawl mere paas hoga.

Tum yaad rakhiyo!

All the best for that😆

TR_19 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Everyone ready for the pool scene.

If I am not wrong it should be a first pool scene in pak show?

Can someone tell me did they ever showed any pool scene in a pak show?

I have watched the promo many times that cheeky smirk on murtasim's face after pushing meerab 😆

TR_19 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Originally posted by: vizard

I was just checking the Youtube views of some of the more popular drama.

This drama has been impressively consistent with every episode hitting 20+ million views.

I' was surprised that Mere Humsafar and KTK got 30+ million, and KAM 3 over 40+ million.

Some people complain about the quality and some of the content being shown in dramas like Tere bin and KTK, but this is what people want to watch. Given how successful such dramas have been, i'm surprised we don't see even more of these. You certainly cannot blame the channels for making more.

I have never seen show can get over 20 million views before that goes for any show on YouTube. I remember long back there was over 1 thousand comments on IPKKND show people use to discuss the episodes there...After ipk madness first time seeing tere bin madness on YouTube.

Sofna thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Chumu

Watched the new promo god meerab literally saved murtasim ass 👏 by taking out the bullets he was ready to kill the maliks in anger

What new promo?

Malik was ready to kill Murtasim right?

Sofna thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Originally posted by: TR_19

Everyone ready for the pool scene.

If I am not wrong it should be a first pool scene in pak show?

Can someone tell me did they ever showed any pool scene in a pak show?

I have watched the promo many times that cheeky smirk on murtasim's face after pushing meerab 😆

Tell me who you are?

Your un is so familiar?

columbia thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 6
Posted: 1 years ago

Originally posted by: spnfan

All the best for that😆



Vaise thank you…lekin sab ko Pata hai iss exam mere awal number aane vaale hai!!!

Top