Usake pehle bahut kuch hona baki hai..
Part 2:-
Agla din ETF ke liye sach me action packed raha ..
Woh log us gangster ke adde par toh pahunch gaye the,par back up team ko aane me time tha
Is situation me samjun faisala lete hai ke etf team pehle andar jayegi aur back up force jab aayegi toh unhe join karegi.
ETF team uss adde ke andar chali jati hai.
Baki sab toh situation acche se handle kar rahe hai ..uss gangster aur usake gundon ke hamle ka jawab bhi de rahe hai.
Par riya bahut dar chuki hai usake hath kaap rahe hai..aur woh ek bhi goli nahi chala pa rahi..
Samjun team ko acchese lead kar rahe hai aur unn gundon ko muh tod jawab bhi de rahe hai.
Par sach baat toh ye hai ke dono ki jaan riya me ataki padi hai..
Dono ka dhyan bar bar riya ki taraf ja raha hai kyo ki dono jante hai woh shoot karne se kitna darti hai..
Aur riya gun nahi chala rahi isliye dono ki tension jyada badh rahi hai.
Tabhi ek gunda sam par piche se var karne wala lekin sam ka dhyan riya ki taraf bat raha hai..
Arjun bhi us gunde ko dekh leta hai isase pehle Arjun kuch kare chotu us gunde par goli chalakar use ghayal kar deta hai.
Sam n arjun dono bhi chain ki sans lete hai.
Arjun sochta hai ke riya ko yaha se bahar bhejana hi sahi hoga,isse pehle kuch anhoni ho..
Arjun uske taraf jane hi wala hota hai ke woh dekhta hai ek goon jo ye samaz gaya hai ke ye officer goli nahi chala rahi riya ki taraf badte hue use shoot karne wala hai..
Arjun bich me aakar riya ko waha se hatakar uss gunde ko shoot karke mar deta hai..
Sam bhi ye dekhta hai ke arjun ne riya ko kaise bachaya..use bhi riya ko khone ka dar satane lagta hai..
Arjun fir riya ki taraf dekhta hai..
Agar usane ek second ki bhi deri ki hoti toh riya ko goli lag jati ..woh riya ko kho sakta tha..
Khud ko sambhalte hue arjun riya ko cover karte hue goons ko shoot karne lagta hai..
Riya toh bas Arjun ko dekhe ja rahi hai..arjun ne use kaise bachaya aur abhi bhi use cover kar raha hai..
Kuch hi der me back up force aati hai..
Aur situation ETF team ke control me aa jati hai..
Woh uss gangster aur usake kuch sathiyo ko bhi arrest kar lete hai..
Sab etf van me baith jate hai..
Sam aur Arjun dono bhi kuch bat nahi kar rahe kyo ki dono jante hai ke agar ek pal ki deri hoti toh situation kitni difficult hoti..
Arjun toh kuch aur hi soch raha hai..
Arjun(in mind):-bas bahut ho gaya..pyar se kaha..itna samzaya par riya ka dar nahi ja raha..aaj toh bas kisi tarah kuch nahi hua..par agar kuch ho jata toh..nahi..ab mein riya ko nahi kho sakta..nahi mein riya ko kho nahi sakta ..fir chahe isake liye muze usape gussa hi kyo na karna pade..muze ab riya ko ye samzana hi hoga ke iss field me usaka gun chalane se darna kitna bura sabit ho sakta hai..
,Woh Sab etf office pahunchte hai..
Aur vo conferance room me aakar Arjun riya par baras padta hai..aur baki sab ekdam stun ho jate hai kyo ki kisine bhi arjun ko riya par is tarah gussa karte nahi dekha hai aaj tak..
Sam ne bhi nahi..ha Arjun irritate hokar ,gusse me kuch bol deta tha par riya par iss tarah sabke samne chillate hue aur gussa karte hue usane bhi nahi dekha..
Arjun(angrily):-tum aisa kaise kar sakhti ho riya?tumhare wajah se aaj kisiko jaan chali jati..aur agar gun chalani nahi thi toh bahar hi rukti andar kyo aayi tum..?tumhe toh waha le jana hi nahi chahiye tha..tumhare jaise darpok officer nahi chahiye police department ko..
Riya ki aakho se aasu nikal rahe hai aur sam aur aayesha ye sunke gusse me lal ho rahe hai..
Baki choree,liza toh Arjun ko iss tarah dattate dekh hairan ho gaye hai aur Arjun ke gusse se dar rahe hai..
Isse pehle Arjun kuch aur kahe Sam gusse me bolta hai..
Sam(angrily):-bas bahot ho gaya acp arjun suryakant rawte..mere samne tum usase aise behave nahi kar sakte..
Arjun(sam ko glare dete hue):-ye kaam toh tumhe karna chahiye tha sam..par nahi..tum etf chief nahi..balki ek bhai ki hi tarah soch rahe ho..but don't forget tum etf chief ho..aur tumhare team ki ye member riya incapable hai iss team ke liye .
Sam(gusse se chillata hai):-bas bahut ho gaya..ab ek labz mat bolna warna accha nahi hoga .
Arjun:-wahi toh ab bas bahut ho gaya..aaj tumhari jaan jate jate bachi hai..kyo ki tumhara dhyan riya par jyada tha kyo ki woh gun chala nahi pa rahi thi..
Riya hairani se apne bhai sa ki taraf dekhti hai..aayesha also look to Sameer horrified..
Arjun:-agar chotu time par uss gunde ko nahi marta toh sam ko goli lag gayi hoti..aur agar mein waqt par nahi kuch karta toh tum khud ghayal ho gayi hoti riya..tumhare wajah se kisi din sam ya mein jaan se jayege..
This is the last stroke for riya..
Woh bhagte hue waha se chali jati hai..
Sam angrily rush to Arjun n hold his coller in anger..
Choree rush to them
Sam(yell):-tumhari himmat kaise hui..?
Arjun(cutting him in mid):-bat bat par muzpar chadhna band kar sam..jo bhi kiya teri pyari lado aur meri pyari biwi ke acche ke liye hi kiya..
Meri pyari biwi sunkar sam aur jyada kas ke arjun ki coller pakadta hai..
Par arjun aage kehta hai..
Arjun:-ham har bar use bachane ke liye nahi honge sam..kabhi na kabhi use khud aur dusaro ko bachane ke liye goli toh chalani hi hogi na..roshni ko kho chuka hu ab riya ko khone ki takat nahi bachi he muzme sam..
Ye sunte hi Sam Arjun ki coller chod deta hai..aur shant hokar usaki taraf dekhne lagta hai..toh Arjun ko ab riya ko khone ka dar bhi lag raha hai..? Sam soch me hai .
Aayesha khud ka gussa kabu karte hue bolti hai:-par aapke aisa gussa karne se usaka gun chalane se dar khatam toh nahi hoga..
Arjun:-shayad na ho..par agli bar jab bhi aise situation aayegi toh usake dimag me ye baat rahegi ke usaki ya kisi aur ki jaan ja sakti hai jisaki wajah woh ban sakti hai..aur shayad woh gun chalane ki himmat juta le..
Aayesha aur sam dono ko bhi pata hai ke aaj riya ki jaan ja sakti thi..even sam ki bhi..ya fir kisi aur ki..riya ko bachate bachate arjun ki bhi jan khatre me pad sakti thi..
Ha unn sabne bulletproof vest pehan rakhi thi par woh sirf unko half hi protect kar sakti thi..puri tarah se toh nahi .
Ha riya ko iss tarah datna unhe sahi nahi lag raha ..par ek tarah se arjun sahi hai..aur shayad yahi bat riya par asar kare..samsha dono bhi ye jante hai ke iss waqt riya ka shoot karna kitna zaruri hai..
Sam janta hai riya kitni hurt hui hogi..usse riya se baat karni hogi..
Arjun apne cabin me chala jata hai..
dusari taraf riya office ke washroom me hai aur ro rahi hai..aaj arjun ki aur sam ki jaan ko usake wajah se khatra tha..nahi..nahi..woh aisa nahi hone de sakti..unn dono me se kisi ko kuch ho isse pehle usaki khud ki jaan jaye toh behtar lagta hai use..
Usane bahut badi galti kar di hai..usse dono se mafi mangni hogi..
Sochkar woh apne aasu pochti hai aur sam ke cabin me aati hai..
Riya:-bhai sa..i m so sorry .hamare wajah se aap..khatre me pad gaye..arjun ji ko bhi goli lag sakti thi hame bachate hue..hame khud par sharm aa rahi hai .
Sam use gale laga leta hai..
Sam:-aise mat socho lado..tumhare liye toh meri jaan bhi hazir hai.
Riya(started crying):-aise mat kahiye bhai sa..aapko kuch ho gaya toh ham kaise jiyege..hame maf kar dijiye bhai sa..aage se ham aapko aur Arjun ji ko shikayat ka mauka nahi denge .
Sam:-muze pata hai..aage se dhyan rakhna
Woh riya ke aasu pochta hai..dono ek bar hug karte hai..
Thodi der tak sam usse pyar se samzate rehta hai..
Fir aakhirkar woh kehta hai,
Sam:-lado..muze yakin hai ke ab aage se tum himmat se kaam logi..kyo ki ye sab jyada din nahi handle kiya ja sakta..agar senior officers tak ye baat pahuchi toh tumhara transfer kara denge wapas research desk par..isliye ab himmat mat khona..waise bhi muze pura yakin hai meri lado par..usake jaise himmatwali ladki meine aaj tak nahi dekhi..fir gun chalana kya badi baat hai..
Riya (halke se smile karti hai):-wada karte hai bhaisa agali bar shikayat ka mauka nahi denge..
Sam nods..
Fir use yaad aata hai ke arjun ne use bataya tha ke riya bahut saf safayi kar rahi thi.
.
Sam:-kya kuch aur baat hai lado..?arjun ne bataya tha tum kisi baat se pareshan ho..?kya hua hai..?
Riya:-kuch khas nahi bhai sa..ham ab thik hai .
Riya sam ko ye nahi batati ke usane sam n arjun ki bate sun li thi..
Of course riya ko yahi lag raha hai usake bhai sa sab jante hue usake khushi ke liye chup hai..isliye riya bhi sam ko ye nahi batati ke use kuch pata chala hai .
Aur woh janti hai samjun ke bich kitni duriya aa gayi hai..woh unhe aur nahi badhana chahti..
Dusari taraf Arjun ke cabin me:-
Arjun pareshani me idhar udhar chal raha hai..
Arjun(in mind):-shit sam aur team ke samne toh bada bol diya ke meine sab sahi bola..par gusse ke drama karte hue meine kuch jyada toh nahi bol diya..??woh naraz ho gayi hogi na..?gussa ho gayi hogi..?
Par fir use yaad aati hai riya ki bat ke woh kabhi usase gussa ya naraz nahi hoti..
Arjun sigh..
Arjun(in mind):-nahi..mein usake hote hue kisi aur se pyar karta hu ye janane ke baad bhi jo ladki muzse naraz aur gussa nahi hui woh ab kya naraz hogi..lekin..lekin use hurt toh bahut hua hoga..usako abhi sorry bol deta hu...
Soch kar woh door ki taraf badta hai par ruk jata hai.
Arjun:-pagal ho gaya hai kya arjun..?sorry bolega toh itna sab bolne ka kuch fayda hoga kya..?ahh..
Arjun ko lagta hai apne hi bal khich le..
Arjun:-nahi..tuze is mamle me usake samne strict rehna hoga..
Tabhi riya usake cabin me aati hai..
Arjun apne facial expression change karke strict wala look use deta hai..
Riya:-hame maaf kar dijiye arjun sir..aage se ham aise galati nahi karenge .
Arjun riya ki taraf ek pal dekhta hai riya ki aakhe lal aur suji hui hai,chehra murzaya hua hai ..aur woh bahut hi dukhi lag rahi hai..
Arjun ka dil pighlne lagta hai use yun dekh kar ..woh janta hai riya toh usake aakho se hi pehchan legi issliye woh apni chair ghuma kar usaki taraf pith kar leta hai..
Arjun:-yahi sahi rahega..warna mein khud hi tumhari transfer research desk wapas kar dunga..
Riya ki aakhe nam ho jati hai..
Riya(in mind):-accha hi hai ..hamara office hi alag ho jayega aur fir kam se kam etf me Arjun ji ko hamari khushiyo ka aur hamara khayal nahi rakhna padega..
Riya:-agar aap yahi chahte hai sir toh hame mazoor hai..aap kara dijiye hamara transfer wapas research desk..
Arjun toh hairan ho gaya hai ye sunkar..use khud ka plan ulta padta dikh raha hai..
Par use pata hai ye bhi kaise handle karta hai..
Apna chehra strict banate hue woh chair ghuma kar fir se riya ki taraf dekhta hai..
Arjun:-wow.. great..mere nahi..par kam se kam apne bhai ke bare me toh socho..woh kya kahega sabko ke usake jis behen ke promotion aur tarrakki ke intezar me woh tha ,us behen ka demotion ho gaya hai aur use wapas research desk bhej diya hai..
Ye labz riya par fauran asar karte hai..
Riya:-nahi..nahi..hame aakhri mauka dijiye na ham apne bhaisa ka sar zukne denge apne wajah se nahi aapka..
Arjun janta hai usaka kam ho chuka hai..so he get relaxed but agle hi pal riya ki bhigi palake use nazar aati hai aur woh pareshan ho jata hai..
Arjun(in mind):-dam it arjun..tum
toh riya ke samne 2 minutes se jyada der drama bhi nahi kar sakte..ab kuch karo..
Arjun (firse stern face banate hue):-toh jao..baki ka file work karo..ya fir woh bhi muze aur sam ko hi karna padega tumhare liye..
Riya just nod..n left with tears..
Usake jate hi arjun frustration me sar pakad leta hai..
Arjun(in mind):-pata nahi kyo mein hi tumhare aasuon ki wajah ban jata hu har bar..par is bar jo bhi kuch kar raha hu tumhare acche ke liye riya..
Precap:-
Kanika murder case..
Awesome update
Love it
Continue soon
Thanks for pm
Wow finally update mil gya 💃💃💃
Acha h arjun ne sam ko sab bta diya nhi to pakka mar padti arjun ko sam se
Arjun to riya ke samne natak bhi nhi kar pa rha h
Sir bechari riya dukhi ho rhi h sab soch ke
Di pls next update jaldi dijiyega
Aur hum aapke h koun ka bhi update
Finally finally finally after a long wait....
Hope you are keeping well and everything is well
Coming to the update Arjun got upset with Riya but it was for her well being... Loved Riya and Sam's bond...
Hope Riya's misunderstanding regarding Arjun gets cleared up soon, but it would be great if Arjun comes to know of it earlierArjun the super cop...
Take care...
Awesome updt
Riya is unable to shoot nd Arjun get angry on her..
Coz of mu she is ready for demotionWhy she assume things without listening fully
I hope she is able to shoot next time
Cont soon
awesome loved it update soon thnx for pm
Finally update mil hi gaya.....
Ariya scene superb nd samriya too....
Hope riya ka darr jaldi nikle ....continue continue soon and thanks for pm
haaye rabba...update..yaayyyyy
I just hope ki Arjun..Riya ki forgiving nature ko for granted na le..I am saying this for that particular statement ki Riya ke hote huye jab dusri ladki se pyaar hua tab naraz nhi hui toh ab kya hogi...
Arjun Riya ke acche ke liye hi usko daate hai I can understand that bas Riya isko dimag me rakhke kahi sacrificing mode pe na chali jaye...
awsm update...
PM me when you will update the next chapter...
Btw how are you?
Thankyou
comment:
p_commentcount