Poetry Contest Voting-Choose your favorit

~LiL*PrInCeZ~ thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#1

Hello everyone!!

First of all, I would like to thank everyone who participated. We have received 14 wonderful entries. Please vote for your two favorites in this thread. You have until July 27th to cast your vote.

Please remember that you are NOT allowed to advertise your or someone else's poem. The names of the contestants may not be revealed until the winner is decided. Also, do not create multiple IDs to vote.

PSF Dev Team

oh wait...lagta hai main kuch bhul gaye....oh yea...the entries

here they are....enjoy...and dont forget to vote

Entry 1:

Woh gudde guddiyon se khelna..

Aur ahista ahista bade hote jana..

Computer peh ana, phir IF saath saath lagana..

Bohut tarsata hai.. Hum ko tera saath yaad ata hai..

Kitabon mey gum rehna..

Ek doosre ko ghanton sms karna..

Daant sunana aur phir maafi mangna..

Bohut tarsata hai.. Humko tera saath yaad ata hai..

Woh ice-cream ka kapron peh girna..

Phir kehna ke "Surf excel hai na"..

Bohut tarsata hai.. Hum ko tera saath yaad ata hai..

Is laik bhi nahi samjha ke bata kar saath chora hota..

Yun palat gaye ke hum to un ke liye kuch bhi na they..

Humare 20 ruppee unho ne ab bhi wapas karne they..

Isi ka khauf hota to wapas chaley atey..

Per ab hum teri yaad mey doobe rehte..

aur yun shayari mey waqt gawate..

Bohut tarsata hai.. Hum ko tera saath yaad ata hai..

Entry 2:

Najane woh kahan kho gaya,

Yun saath chor gaya,

Parthe they hum jinhe kitaboon ki tarah se,

Najane woh kahan kho gaya,

Na samjhana chaha .. na kuch poochna chaha,

Bas khud hi khud soch samhaj ke chor chala,

Najane woh kahan kho gaya,

Hum ne jin se apni zindagi ke har lamhaat share kiye,

Woh hum se akhri baar bhi na baat kiye,

Najane woh khana kho gaya,

Laut aoo tum.. Yun jeena humey dushwaaar nahi,

Tumhare bina hum akele hi nahi.. Kuch bhi nahi,

Najane woh kahan kho gaya.

Entry 3:

Trading lunches almost every day,

Dancing in the rain and thrashing clay,

Wiping tears and swiping fears,

Defending each other from bullying peers,

Finishing each other's phrases,

Participating in all those crazes,

Bruising ourselves while climbing trees,

Getting broke after those shopping sprees,

Pigging out on all foods we'd find,

Not leaving anything behind,

Those memories we formed,

Leave my heart warmed,

For now I'd give,

Anything to relive,

Those wonderful times,

Full of childish crimes.

For now I'd give,

Anything to relive,

Those days spent together,

And promises we'd tether

to be there for each other

Forever

and

ever.

Entry 4:

Bichre Huwe Dost Aaj Phir Mil Gaye,
Chaman Me Saare Gulab Aaj Khil Gaye,
Tera Saath Jo Na Tha, Kuch Pal Ke Liye,
Har Pal Zuban Par Dua Thi Bas Tere Liye....

Mile Hai Aaj Aapse To Hai Khushi Ka Din,
Kuch Kam Nahi Hai Jaise Ho Koi Eid Ka Din,
Tere Sahare, Mai Har Gham Ko Bhulane Laga,
Tera Saath Milte Hi Gham Me Bhi Muskurane Laga...

Entry 5:

Dosti Ka Naam Jab Bhi Aata Hai,
Hamein Bhi Koi Dost Yaad Aata Hai,
Uski Baatein Seene Mein Dafan Hai,
Us Ke Bina Zindagi Viran Chaman Hai...

Aur Kiya Hum Tere Liye Kar Sakte Hai,
Haath Utha Kar Dua Hi Maang Sakte Hai,
Aye Khuda Mere Dost Ko Salamat Rakhna,
Aye Dost Milne Ki Dil Me Chaahat Rakhna...

Entry 6:

Tum Jaise Hi Mujh Se Bichad Gaye,
Meri Saare Galat Adaate Sudhar Gaye,
Na Jaane Mai Kis Raah Par Chal Raha Tha
Kis Gunaaho Me Tere Saath Dhal Raha Tha

Lekin Phir Bhi Mujhe Tere Saath Pasand Hai
Hungama Karne Ke Liye Yeh Dil Razamand Hai
Aye Mere Dost Khud Se Wada Hum Yeh Karenge
Jannat Me Theek,Warna Jahanam Me To Saath Hum Rehenge

Entry 7:

Aye Dost Bichad Gaye Hai Aaj Hum, Phir Aapse,
Umr Bhar Dosti Nibhayenge Wada Hai Aapse,
Teri Batein Aaj Bhi Mere Kanao Me Gunjti Hai,
Meri Nazar Har Mehfil Me Tujhe Dhoontti Hai...

Dost To Bohat Ban Jayenge Is Zindagi Mein,
Hame Yaad Kar Lena Tum Mushkil Waqt Mein,
Teri Dosti Ki Qasam Ek Hi Pal Mein Ajayenge,
Har Halat Mein Tera Saath Hum Nibhayenge....

Entry 8:

Tu bichar gaya aey dost,

Tu humein mila nahi, manzoor hai,

Teri yaad mein kitne aansoo bahaye humne,

Phir bhi kehte ho kum hai

Entry 9:

Aey dost, teri yaad mein humne palkheein bicha rakhi hain,

Intezaar hai tera aur aankhein suja rakhi hain,

Tu kab aa jaye, gali phoolon se saja rakhi hai,

Tu aa kar humari kismat ke diye jalaye,

Kab ki yeh aas laga rakhi hai

Entry 10:

HUM APNE BICHRE HUA DOST KO BHOOL NAHI PAYENGE....
HUM APNE DOST KI YAADOEN KE SAHARE JEE LEYENGE....
WOH HUME BHOOL GAYA THO KYA HUM USE APNI YAADEON MEIN BASAYENGE....
YEH HUMHARI DOSTI KABHIE KATAM NAHI HOYENGE....
EK DIN HUM USE DHOND LAYENGE....
HUM APNE BICHRE HUA DOST KO BHOOL NAHI PAYENGE....

Entry 11:

Hum jantey hain tum humein yaad karti ho

har cheez ko dekh kar humein yaad karti ho

jab doastein akhadhi (togather) batein kartein hain

mein wapis chali jaon (i.e. PAKISTAN ))ye Dua karti ho

mohabat bhi ki liken beywafaye milli

kiss sey zikar karon ye soch kar darte ho

seekh lo zindage key tareeqey "AISHIYA"

kayon khushiyaan appni kharab karti ho

hum khush hain yahaan, tum bhi bhi khush ho jao

humein kam yaad kiya karo, kayon etna yaad karte ho

hum tumhara mazi (past) hain jo wapis mill nahi sakta

mazi (past) ko yaad karkey kayoon haal (present) appna badalti ho!!!

Entry 12:

doast jissey zindage ka azeem sarmaya kehtey hain

jo pal bhar milkar phir humesha key leye juda ho jatey hain

aik dosarey key dukh sukh suntey or sunatey hain

or sare umer key leye, wafa nebahatey hain

hastey hain rotey hain , yadoon ka khush-gawar mosam banatey hain

or phir kabhi kabhaar mazak mazak mein kahafa ho jatey hain

ja kabhi koi achanak bichar jaye to!!!

ye pagal khoon key ansu ro Jatey hain

Entry 13:

ikk bar phir

wohe mosam-e-bahraaan aye

ikk bar phir

osshe jaga par gulab key phool khilein

ikk bar phir

qehqoon (gigling... to much loughing) pey loog humarey hunsein

ikk bar phir

humare tanhaiyaan kuch kaam ho jayein

ikk bar phir

yadoon ka khushgawar mosam banayein

ikk bar phir

hum becharney key leye aik dosarey sey milein

TUM BASS DUA KARO!!

Entry 14:

kashh koi to humein bhi chahney wala hota

hum rodh jatey to koi mananey wala hota

abb to seraf yadein hain unki doaste ke

magar kashh koi unhein bata-laney wala hota

hum tum sey door hain toh ye haal hai humara

jaisey koi phool murjhaney wala hota

abb to seraf yaad karna hai or zindage guzarani hai

kashh koi to LAMHA loat aney wala hota!!!

ajeeb HOON mein or merey zindage key faisley!!

kashh ye Dill ossey bhool janey wala hota..

Created

Last reply

Replies

9

Views

4.2k

Users

9

Frequent Posters

Dark Love thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 5
Posted: 17 years ago
#2
Ooooo these are soo good!! I'ma vote after reading all of em 😳 Great job everyone!! πŸ‘

*Edit*

I vote for 4 and 14!!😳


<3 Madiha
Edited by erier101 - 17 years ago
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#3
arz kiya hai

aye gum kay maro yeh tu batao
aye gum kau maro yeh tu batao
tum saach mein itnay dukhi ho
yaan topic hi itna dukhi tha

πŸ˜†

cant vote right now bcoz still have to read some of them but as soon as i will reach home i wil read'em all and vote ok

but i read few of'em and they r amazing πŸ‘ ...weldone everyone πŸ‘ ........aur unhi kay mutabik mein nay upar wali 2 lines likhein hein...lol

waisay
mein shair tu nahi
magar aye hassennnnnnn
jab say mein nay parhi
upar wali shairi mujhey
shairi phir bhi nahi aai πŸ˜†
Dark Love thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 5
Posted: 17 years ago
#4

Originally posted by: wini

arz kiya hai

aye gum kay maro yeh tu batao
aye gum kau maro yeh tu batao
tum saach mein itnay dukhi ho
yaan topic hi itna dukhi tha

πŸ˜†

cant vote right now bcoz still have to read some of them but as soon as i will reach home i wil read'em all and vote ok

but i read few of'em and they r amazing πŸ‘ ...weldone everyone πŸ‘ ........aur unhi kay mutabik mein nay upar wali 2 lines likhein hein...lol

waisay
mein shair tu nahi
magar aye hassennnnnnn
jab say mein nay parhi
upar wali shairi mujhey
shairi phir bhi nahi aai πŸ˜†



LOLπŸ˜†πŸ˜†πŸ˜† You crack me upπŸ˜†πŸ˜† I think you will make a great poet-- loved the poemsπŸ˜†
Miss_Norway thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#5
I Vote for "entry 4" and "entry 10"
modishh thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#6
oh gosh..itss tooo hard to vote..superb job by everyone πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘

my vote goes for #4 and #10
amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#7
Awesome ghazals & poems!! & i m soo delighted to see the participation!!

My votes are for #4 & 14 😊
Shezaadi thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#8
i'll vote for 4 and 12...

They are all soooooooooooooooo good!!!! πŸ‘

took me rly long to choose
~~Sahil~~ thumbnail
Posted: 17 years ago
#9
πŸ‘Greatttttttt my vote ..FOR.. #14
πŸ‘
Desii.Babiie thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#10
10 & 14
btw, gr888 job guys!! πŸ‘ πŸ‘
luved reading them!!
May the best one wins!! 😊


Aliza❀️
Top