Originally posted by: Sushma_Reddy
It's not the right age to reveal....6 yrs old kid can't process everything
It’s all about “Tarika” . Ap bacche ko kaise transition ki taraf le jate ho, apka tarika kaisa hai, ap ko kitna sahi tarike se bacche ko sach ki taraf le jaana aata hai “.
Duniya mai baccho ko iss age par sahi tarike se unke parents ke divorce ka bataya jata hai, agar ek parent ki death ho jaye toh woh bhi bataya jata hai and agar unse judi koi badi baat ho tab woh bhi sahi tarike se bataya jata hai.
Bacche ko sach and transition ki taraf le jane ka “tarika” bahot important hota hai.
Agar ap ko itna suj-buj nahi hai ki kaise acche tarike se bacche ko badlav/transition ki taraf le Jaya jana chahiye toh apne ghar ki dadi/maa/chahi/bhabhi/kisi bhi experienced mother se baat karo lekin bina suj buj ke tarika na milne par bacche ko aise crush na karo.
Jab life kisi bade badlav ki taraf ja rahi ho tab mother hath pakad kar bacche ko dusre kinare ki taraf le jati hai kyunki chota baccha usually maa se sabse zyada attach hota hai.
Court ke decision ke baad abhir ki zindgi bade badlav ki taraf ja rahi thi, tab Akshara ne apne bete ka hath pakad kar dusre kinare ki taraf le jane ke badle pura crush kar ke dusre kinare bheja , Akshara ne bacche ko crush kar ke jo zakhm diya uski wajah se baccha dusre kinare apni sudh-budh gawa kar pohcha.
Jitni baar Akshara ko as a mother dekhti hu utni baar uss par thuuuu thuuu thuuuu karne ka mann karta hai.
Yaha toh mai day-care bhejne ke liye bhi mere bete ko best possible way mai mentally ready kar rahi hu ki usko aisa na lage ki uski mumma ne usko akela chod diya hai and dusri taraf Akshara custody kya haari, itne bade badlav ke liye bacche ko kaise zakhm de kar sab kuch kiya and aisa jataya uss bacche ko ki now they are not with him.
Physically ap bacche ke sath ho na ho lekin bacche ko kabhi yeh nahi jataya jata ki we don’t need you.
Edited by sweet_tania - 2 years ago
17