Originally posted by: Himalaya10
https://www.facebook.com/marsalmarsal.marsal.1/videos/355395845400327/
^^ Rafi Saab,........ Naa kisi ki aankh ka Noor hun,..... ! Awesome ! ( By an African guy ! )
Na kisi ki aankh ka noor hun
Na kisi ke dil ka qarar hun
Jo kisi ke kaam na aa saka
Main wo ek mushth-e-ghubar hun
Na to main kisi ka habib hun
Na to main kisi ka rakib hun
Jo bigad gaya wo nasib hun
Jo ujad gaya wo dayar hun
Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichhad gaya
Jo chaman fiza se ujad gaya
Main usi ki fasle bahar hun
Parhnayy fatiha koi aaye kyo
Koi char phool chadhaye kyo
Koi aake shamma jalaye kyo
Main wo bekasi ka mazar hun
wah wah...wah
though depressing lol

11