Originally posted by: prerna4rishav
Yh Rish and Prerna both ek doosre se apna dil haar gaya😳😳...vid is waiting for u😳😊
thanxxxxxxxxxxx 4 the video
prb fan hotein huye bhi phir mai kahti hoon bajaj ne apne aapko puri tarah se prerna ke liye samarpit kar diya lekin prerna ka bajaj ke liye pyar nahin balki respect hai
halat ne bajaj ke pyar ne prerna ko pyar karne ke liye majboor kar diya
jis din sneha rotein huye aayi aur usne prerna se pucha ki uske papa kaun hai tab bajaj ne sneha se kaha ki wo uske papa hai dear us din prerna ahsaas huya bajaj ke pyar ka
phir jab sneha ko bachane ke liye bajaj ne prerna ko anu ke pass bheja us din prerna ko phir ahsaas huya ki bajaj use kitna chata hai
bajaj ke pyar ne prerna ko apna bana liya uska dil jeet liya
10 saal bina kissi swarth ke bajaj ne saath diya
prerna ka
jitni shidat se bajaj ne pyar nibhaya utne mein to bhagwan bhi pighal jata hai prerna to insaan hai
par dil mein kahin na kahin anu ka pyar zinda hai
jab bajaj 5 saal ke liye gayab huya tha mujhe bahut gussa aata tha bajaj par par aaj lagta hai sahi kiya
prerna ko kayoon apne pehla pyar yaad aata hai
bajaj ka niswarth pyar anu ke shaki pyar se kahin upar hai
ab to yahi hai ki bajaj wapis aa jaye aur agar bajaj ne prerna ko maaf kar diya to mai bhi maaf kar dungi
ok guddi abhi bhi mai rr fan to hoon