Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 99

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.6k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
" janay kyun wo sansu ki dor totnay nahi dayta
bas do qadam or chalnay ka wasta day ker ruknay naho
dayta
bht kehta hay mujhse has has k jeenay ko
ajeb shaks hay mujko chaine say ronay nahi dyta
shyd janta hay woh b in ankho may anso k saylab hain
janay kyun phir wo in ansoun ko girnay nahi dayta
mujhse kehta hay may mar jaoga teray bin
may zinda hoon ab tk k wo mujhe marnay nahi dyta...."
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: fakhra

nice shairi everyone........

"mera lafz lafz hay dua dua,
meray ansuon say dhula hua ๐Ÿ˜ญ
tujhe zindagi ki saher mile
tujhe khusiyo ka safar mile
tujhe gard-e-gham na kabhi choo sky
tou meray dil may yunhi basa rahay
meray dost meray humnasheen
yeh dua hay koi gila nahi
tujhe zindagi wo sub milay jo mujhe kbhi mila nahi"

4 some 1 special....

wow its so cute๐Ÿ˜ณ

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
MEIN APNAY BABUL KI GURIYA HON


Babul Ki Guriya
Main apney babul ki guriya thi
nadaan si thi, masoom thi main
har baat se main to anjan thi
zindagi ko samjhti asaan thi main

per jabhse baap ka saya choota hey
mera harr ikk sapna toota hai

sabhne bholey pann aur sadgi ka
faida uthaya aur loota hey

sabh ke chehron se nikaab hain otar gaye
asli chehra logon ka daikha hey

oh baba ! yeh duniya terey bin
bhayanak hey, bohat hey khoofnaak

main darri hoi hoon sehmi si
tooti hoi hoon, bikhri si

abh to sabhse akeley larna hey
agey tanha hi bharna hey

karrwi sachai hey duniya ki
abh to payala bharr bharr zehr peena hey

merey laad uthaney wala
woh saya mujhe bachaney wala
mujhse rabb ne cheena hey

babul abh bhi main teri guriya hoon
bas haal hey mera ojra ojra
toota toota, bhikra bhikra

main aaj bhi teri guriya hoon
main apney babul ki guriya hoon!!
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

Tu Har Waqt Har Garhe Har Waqt Merey Sath Rahe Hai,
Haan Yeh Jism Kabhi Dour Kabhi Paas Raha Hai,
Jo Bhi Ghum Hain Yeh Terey Unhey Tu Mera Pata Dey,
Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

Mujhe Ko Tu Terey Chehrey Pey Yeh Ghum Nahi Jajta,
Jayez Nahi Lagta Mujhey Ghum Sey Tera Yeh Rishta,
Sun Mere Guzarish Issey Tu Chehrey Sey Hatah Dey,
Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

fanNO1 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
wo mere sath sath raha......
wo meri nazir se chupa howa........
ye ajeeb hijr-o-visal hai na kabi
mila na juda howa.....
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Zindgi k mailay mein, khawahishon k railay mein

Tum say kiya kahein jana, is qadar jhamailay mein

Waqt ki rawani hai, bakht ki garani hai

Sakht bay yaqeeni hai, sakht la makani hai

Hijr k samandar mein

Takht aur thakhtay ki aik he kahani hai

Tum ko jo sunani hai

Baat go zara si hai

Baat umr bhar ki hai

Umr bhar ki baatein kab do ghari mein hoti hain

Dard k samandar mein

Un ginat jazeeray hain , be shumaar moti hain

Aankh k dareechay mein tum nay jo sajaya tha

Baat us diyee ki hai

Baat us gilay ki hai

Jo lahu ki khalwat mein chor ban k aata hai

Lafz ki faseelon pr toot toot jata hai

Zindgi say lambi hai, baat rat jagay ki hai

Raastay mein kaisay ho

Baat takhliyee ki hai

Takhliyee ki baaton mein guftago izaafi hai

Pyaar karnay walon ko ik nigah kafi hai

Ho sakay to sun jao, aik din akailay mein

Tum say kiya kahein jana, is qadar jhamailay mein ...


pknaz thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
nazar ka chain aankhoon ka sroor hotay hai
kuch loog aisay bhi jahan main zroor hotay hain
chamkta rahe sada un ki eid ka tehwar
paas reh ke bhi jo hum se doo hotay hain
mahko thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Na rahi aaj wo apni kahani,
Na wo hasin din na wo raatein suhani,
Phir bhi hume aziz hai unki har nishaani,
Chahe dil ka wo dard ho ya aankho kapaani... ๐Ÿ˜Š
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
JO DIL MEIN AAYA WOHI LIKH DIYA
dil mein jo aaya woh likh diya
kabhi milan kabhi judai likh diya......
pehli baar mile the yahan hum
un raahon ka naam manzil likh diya.....,


Dard Ki Had Say Guzarna To Abhi Baaqi Hai
Toot Kar Maira Bikharna To Abhi Baaqi Hai
Paas Aa Ke Maira Dukh-Dard Baant-ney Waaley
Mujh Say Katraa Ke Guzarna To Abhi Baaqi Hai


irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Mat Dekh ke Koi Chahat mein Khawaar hai kitna...
Yeh dekh ke teri Chahat ka Talabgaar hai kitna...
Mat soch ke isay kuch logon se nafrat bhi hai...
Yeh soch ke isay tujh se pyaar hai kitna...
Jeet kar Muhabbat mein log Kush Huwe toh Kia huwa...
Haar kar Khushiyaan Manana Mushkil kaam hai kitna...
Mat soch ke koi shaks Gunegaar hai kitna...
Yeh soch ke woh tere saath Wafadaar hai kitna...
Bhalay mitade apne Dil se wajood iska...
Yeh dekh ke isay tera intazaar hai kitna...
Top