Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 73

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.6k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
BICHAR KAR PHIR MILAIN GAY.
YAQEEN KITNA THA.
KHAB THA LEKIN HASEEN KITNA THA.
TANHA CHOR GIA MUJH KO MERAY ZAWAL SE PEHLAY.
HASEEN TO THA HE ZAHEEN KITNA THA

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Aub ye musafat kaise tay hoo aye dil tou hi bata
kat ti umar aur ghat ty fasly phir b wohi sehra

Apne gird aur apne app main ghulti soch bhali
kis k dost aur kaise dhusman subko daikh liya

rahin dharkien shakhein karkein ek ek teis atal
kitni taiz chali hai aub k dhol bhari dakhna

dukhry kehty lakhon mukhray kis kis ki suniye
boli tou subki ek ek waisi bani sub juda

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Yehi Tu Khubsurat Pyar Ka Naata Hai.....

Jo Bina Kisi Sharat Kai Kia Jata Hai.....

Rahiain Doorian Darmian Tu Kia Howa....

Pyar Nazron sai Nahi Dil Sai Kia Jata Hai
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ye jo zindagi ki kitab hai ye kitab bhi kia kitab hai
kahin aik haseen sa khawab hai kahin janlewa azab hai

kahin ansoon ki hai dastan kahin muskurahatain behisab hain
kai chehray is main chupay huay aik ajeeb se ye naqaab hai

kahin khoo dia kahin pa lia kahin roo lia kahin gaa lia
kain chean leti hai har khushi kahin mehrban behisab hai

kahin chaoon hai kahin dhoop hai kahin aur koi roop hai
kahin barkatoon ki hai barishain kahin tashnagi behisaab hai

Yahan sabko miley pyar ye zaroori to nahi hai
Ho qismat par ikhtiyar ye zaroori to nahi hai


Dard Dil mein agar hoo tho rooh roti hai
Aankhein roye zaar zaar ye zaroori to nahi hai


Phoolon ki chubhan see joo daman howa chalni
Ho usmey koi khar ye zaroori to nahi hai


Jo harghari khatey hain sang marney ki kasmein
Ho sang jeeney ko taiyaar ye zaroori to nahi hai


Umeed mee jiski teri palkein howi pathhar
Usey hoo tera intezar ye zaroori to nahi hai


Yaqeen karke jis ko apni zindagi banown
Usey tujhpar hoo aitbar ye zaroori to nahi hai


Band ker rona khwab badnaseebi par apney
Ziist see hoo sab bezar ye zaroori to NAHI HAE
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kitna Payar Diya Ussay Per Mila Kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat Ka Hasil-o-wasool Kuch Bhi Nahi,
Woh Hum Say Khafa Tha Tou Jaan Nikal jati Thi Hamari,
Hum Unn Say Khafa Hain Tou Unn Ko Malal Kuch Bhi Nahi,
Iss Kader Dukh Diay Hain Na Janein Kis Khata Per,
Per Hum Bhi Sabar Ker Gaay Aur Kiya Kuch Bhi Nahei,
Uss Ki Khushi Mein Hansne Walay Khaas Hain Uss K Leay,
Dukh Main Uss K Saath HUM,
Aur Hamari Misaal Kuch Bhi Nah
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Jiss Jagha Teri Jafa Ki Intahaa Ho Jaye gi
Sabar Ki Meray Wahaan Say Ibtadaa Ho Jaye gi


Kya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jaye gi
Un Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jaye gi


Ham Ko Ye Maaloom Na Tha Qasd-e-Safar Ke Saath Hi
Tum Badal Jao gey, Dunya Bewafa Ho Jaye gi


Phool Se Khushboo Uri To Uss Ko Andaza Na Tha
Woh Hawa Ke Khel Mein Khud Bhi Hawa Ho Jaye gi


Faasley Barhh Jayen ge Youn Ek Zara Si Baat Per
Umer Bhar Ki Dousti Youn Bey Maza Ho Jaye gi


Koee To Umeed Ka Patwaar De do Haath Mein
Warna Naaow Zindagaani Ki Fanaa Ho JAEGI
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
mohabbat hoti nhi bhool jane k lia

zindgi milte hai apna bnane k lia

hum se mohabbat karoga tu itne khusiyan denge

k waqat nhi mila ga aansoo bahane k lia
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Woh mar jaanaa, woh mit jaanaa, woh ruk jaanaa zamaane kaa
Tareeqa yeh naheeN koi sitamgar ko manaane kaa

Kabhi un se koii poochhe, tabaahi kiyoN machaate hain
Bataa deeje asar kya hai nigaahoN ko uThaane kaa

Janaaze ne sadaa dii hai, arey unko bataaker jaa
Nateeja kya nikaltaa hai, wafa un par luTaane kaa

Khataa apnii hi hai ke dil Qareeb-e-paa-e-dushman thaa
Mazaa detaa hai har mauq'a diloN ko toD jaane kaa

Nazar bharke mujhe dekhaa, jalaa main to haNsee soojhee
Sabab hai phir yahii meraa ji kahlaane kaa

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
bekhudi ki zindigi hum jiya nahin karte.....

jaam dusron se leke hum piya nahin karte........

unko mohabbat hai to aake izhaar karein......

kyun ke pechaa hum bhi kisi ka kiya nahin karte...


dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Umer guzray ge imtahan main kiya

Umar guzrey ge imtahan mein kya,
Dag he dain ge mujko daan mein kya,

Meri her bat be asar he rahi,
Nuks hai kuch mere byan mein kya,

Mujko to koi tokta b nai,
Yahi hota hai khandan mein kya,

Ye muje chein kyon nai parta,
Ek he shaks tha jahan mein kya....

Top