Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 51

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.7k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Ankhoon mein neend dil mein khuwab rakhte the
Kabhi hum bhi kitaaboon mein gulaab rakhte the
Kisi ka jo hota tha intezaar kabhi
Bara hi sham-o-sehr ka hisaab rakhte the

Edited by kalli - 17 years ago
kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago

Ae door nagar ke banjare

Ae door nagar ke banjare gar chor ke aise jana tha
Kyun cha ki raah dekhai thi kyun pyar ka hath barhaya tha
Hai dunya ke hungamoon mein rangeeni bhi ranai bhi
Har cheez yahan ki pyari hai mehroomi bhi ruswai bhi
Sab log yahan be qismat ke be-toor thapere sehte hain
Per jeete hain aur jeene ki ik aas se chimtte rehte hain
Tu to aik khilari tha kyun khel se hi moon mor liya
Kyun jaan ki baazi haar gaya kyun umar ka rishta toor diya
Go jane ke mushtaaq yahan hum jaise lakh bechare hoon
Woh log hi rukhsat hote hain jo log ke sabko pyare hoon
Is jag ki raat andheri mein ik tara tha woh doob gaya
Aur wade sath nibhane ke sab bhool bhal ke khoob gaya
Aa mehfil chup chup bethi hai aa mehfil ka jee shad karein
Woh log ke tere aashiq hain kai roz se tujh ko yaad karein
Woh thor thikane dhoond aye woh manzil manzil choo aaye
Ab aas lagae bathein hai kab dastak ho kab tu aaye

Edited by kalli - 17 years ago
kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa
Aab zehan mein nahi hai per naam tha bhala sa
Abroo kheeche kheeche se, ankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa
Alfaz the ke jugnoo awaz ke nagar mein
Ban jaye jangloon mein jis tarha rasta sa
Khuwaaboon mein khuwaab uske, yaadoon mein yaad uski
Neendoon mein khul gaya ho jaise ratjaga sa
Pehle bhi log aye kitne hi zindagi mein
Woh har tarha se lekin auroon se tha juda sa

Edited by kalli - 17 years ago
kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Chaaman ki baharoon mein tha ashiyana
Na jane kahan kho gaya woh zamana
Tumhein bhoolane ki mein koshish karoon ga
Ye wada karo ke na tum yaad ana
Mujhe mere mitne ka gum hai to ye hai
Tumhain bewafa keh raha hai zamana
Khudara meri qabar pe tum na ana
Tumhein dekh ker shak kare ga zamana

Edited by kalli - 17 years ago
kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Kuch door hamare sath chalo hum dil ki kahani keh dein ge
Samjhna jise tum ankhoon se woh baat zubani keh dein ge
Phoolon ki tarha hoontoon per jab ik tabassum bikhre ga
Chupke se tumhare kaano mein ik baat purani keh dein ge

Edited by kalli - 17 years ago
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
dard jitna saha jaye utna he sehna
kisi ke dill ko jo lag jaye who baat na kehna
miltey hain hum jaisey log bohat kam
issi leye humsey "kabhi alivida na kehna"
namal thumbnail
Posted: 17 years ago

Well written....👏.....i'm a huuuuuuuuuge fan of shairyyyy..

i just love it.........😉.......here's one for u all......

ISHAQ...

Kya ishaq mujh hie sey kertey ho?

Bey baat bighertey rehtey ho

Bey chain hamesha rehtey ho

Yeh sab nishani ishaq kie hay

Kya ishaq kissi sey kertey ho?

Ratoon ko jagtey rehtey ho

Aur taarey bhi tum gintey ho

Yeh sab nishani ishaq ki hay

Kya ishaq kissi sey kertay ho?

Ziker jo mera chalta hay

Chehrey ka rangh badalta hay

Bey chain sey tum ho jatey ho

Kya ishaq mujh hi sey kertey ho???

Edited by namal - 17 years ago
namal thumbnail
Posted: 17 years ago

Here's for indians because they can't read urdu so..

Pathar mujhey kehta hay mera chahney wal

Mayn momm hoon

Uss ney mujhey choo ker dekha nahin..

Edited by namal - 17 years ago
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
dil ki dhadhkan ko dikhaya nahi jata
mohabbat me lagi ko bujaya nahi jata
lakh judaye ho piyar mein phir bi...
zindagi ka pehla piyar bhulaya nahi jata
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
unko paa kar khona nahi chahti
itane khush ho akr rona anhi chahti
yeh alam hai unki judaye mein
neand ati hai soba nahi chahti
Top