Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 100

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.6k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
meray humsafar meray humnasheen
main ne rab say manga tu kuch nahi

mainay jab bhi mangi koi duaa
nahi manga kuch bhi teray siwa

ye talab kiya kay meray khuda!
sabhi rahatein,sabhi chahatein
wo ata kry tujy manzilein... .

meray pas jo bhi wo hai tera
nahi aur kuch bhi teray siwa

meri dosti,meri zindgi...
mera illm bhi, mera naam bhi
kay meri subha, meri shaam bhi
kay jo mil skein mery daam bhi
wo sabhi kuch tujay atta kary



meray chaaragar tu yakeen tu kar
mujhy mangna tu na aa saka

mainay phir bhi mangi yehi duaa
kay gwaahi dey ga mera khuda

mainay jab bhi us se talab kiya
nahi manga kuch bhi "TERE SIWA".
fanNO1 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Irtiza Gr8 work yar 👏


Mohabbat jeet hote hai magar yea har jatee hai
Love is win but gets defeated

Kabhee Dil-Soz lamhay say kabhe Bekar Rasmo say
Sometimes by crying monets sometimes thru unwanted events

kabhee taqdeer waloo say,kabhee majbour qasmoo say
Sometimes thru fortunate people sometimes thru binding promises

kabhee khawab hote hai,kabhee betab hote hai
Sometimes there r dreams sometimes impassient

kabhee yea pyar dte hai,kabhee yea mar date hai
sometimes it offer love sometimes it offer death

kabhee masrur karte hai kabhee yea sog date hai
Sometimes it keeps pleasing sometimes it make sad

kese ka chain hote hai,kise ko rog date hai
For someone its is peace for some one it is irritant

jhan tazleel hote hoo is ke whan har bar jate hai
where there is disgrace it goes frequently there

kisi kay paon mai reh kar falak kay par hote hai
TO someone it is under the feet with a feel that they are in the sky &nb sp;

Mohabbat jeet hoote hai
Love is a win 😛

magar yea aksar har jate hai
But it always get defeated 😕
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Tum bhool gaey ho sub jana
Aab kaisey yaad dilaoon main
kaisey tum ko butlaoon main
tum bin main ne kya khooya hai
tum sung main ne kya paya hai
Tum saath chuLo0o tao dikhLaien
sub dikhlien gur saath chulo0o
wuh joog bijog ke afsanay
wuh ishq k roog mein deewanay
wuh jhootay sachay waday bhi
wuh ashaieyn 'wuh sapney bhi
wuh sub kuch tum kyun bhooL gaey?
jub peechey mur mur dekhogay
tao yaad tumhe bhi aaeyga
tab bhaid yeh sab khul jaey ga
kuch Loog thay aisay jaan-e-mun
ju ishq se apnay jultay thay
ju zalim thay' ju pagal thay
tum ishq mien mere doob maro0o
main hijur ki aag mien juL jaon
wuh aisa chaha kertay thay
tum bhooL gaey ho ub jana
ju ishq se apnay jultay thay
wuh jeet chukay hain ab jana
yun ishq mien hum ko maat howi
aur tanha apni zaat hui
main aaj ju tunha tunha hoon
aur tum ho bhutkay banjaray
tum bhool gaey ho kyun jana
kiuN maan nahi tha mujh per jee
kiuN paas nahi tha mera jee
ub bholay bhutkay phirtay ho
ub kariya kariya ghoomay ho
ub tunha jeetay murtay ho
ub hur so kuch tum dhoonday ho
tum haar gaey ho jana jee
tum haar gaey ho mujh ko bhi ...
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN
ek varq roz moR detaa huuN



is qadar zaKhm haiN nigaahon meN
roz ek aaiinaa toR detaa huuN


maiN pujaarii baraste phuuloN ka
chuu ke shaaKhoN ko chhoR detaa huuN


kaasa-e-shab meN Khuun suuraj kaa
qatraa qatraa nichoR detaa huuN


kaaNpte hoNT bhiigtii palkeN
baat adhuurii hii chhoR detaa huuN
Edited by irtaza - 16 years ago
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Main dekh tou sakta hoon magar choo nahi sakta
Tum jheel mein utre hue manzar ki tarah ho

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Kaash aa jaye mujhe jaan se guzarte dekhe
uski khwaish thee kabhi mujhko bikharte dekhe

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujhko
sametna tha jisey meri kurchiyan

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Main ek ansu hi sahi hoon bahut anmol magar
yun na palkon se gira kar mujhe mitti mein mila

nazeeei thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logon ne kaha wah kya gazal likh di…

Edited by nazeeei - 16 years ago
nazeeei thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Badalon Ke Darmian Kuchh aisi Sazish Hui
Mera Mitti Ka Ghar Tha Wahan Hi Barish Hui
Falak Ko aadat Thi Jahan Bijlian Girane Ki
Hum Ko Bhi Zid Thi Wahan Ashiana Banane Ki

Top