I m new to the forum.After watching the promo some scenes and situations keep coming in my mind.I want to share it with you all, so writing a little story. Sorry for posting it here actually I tried to find the button for new post but fail (silly.. but).
.
.
.
Zubiya was standing near the river after seeing her Id card on asfi's table when she hear Asfand calling her name. She could not actually hear but see from the corner of her eyes him coming towards her.' Zubiya! 'Asfand calling her name while running. He came near her and stand behind her. Her back is facing him.
Asfi:Zubiya tum yaha kya kar rahi ho. Aur tum hospital se aese yaha q aa gai? Sub theek hai na.. (though he was aware of the answers but pretend not to be)
Aur yaha aese q khari ho. Dekho river Kitna pass hai. Tum gir bhi sakti ho. Asfand panicking to see her standing at such a height. 'ChAlo ao mere sath upper'
But Zubiya is still motionless.
"Ap ko mera sach pata chal gaya na. Pata chal gaya na k mai aik badnaam Aur ruswa Larki hu. Mere jhoot.. ka parda... uth gaya na.. (she was speaking but only her lips and tongue were working her whole body is still motionless)mai wo nahi hu jo Ap mujhe samajte hain... mai to wo ho jis k bare mai ap ko pata chale ga to nafrat ho jae gi.. par pata chal gaya na mere sach..
Asfi:Zubiya mai tum nafrat kaise kar sakta hu, mai to tum se bohat muhabbat karta hu, haan mai janta hu tumhara sach magar mujhe us se farak nahi parta.. mai janta hu tum kaisi ho.. kitni achi ho..
Zubiya (her back still facing him):Muhabbat... kaisi muhabbat.. ye pyar k rishtey.. muhabbat k rishtey... dosti k rishtey kuch nahi hote... jab khooni rishtey sath chor dete hain na... (her voice fade due to the tear that don't fall from her eyes but chok in her throat)
MerA sach Jaan gaye haan na Ap... to mera aik Aur sach bhi Jaan lain.. MerA aik Bhai hai jo Karachi mai hai par mai ne jhoot bola Ap se sab se.. apna sach chupaya q k ye wo sach hi to hai jis Ki waja se sab ne mujh se nafrat ki...(Asfand was completely shocked).. Aur Ap ko Dar hai na k mai gir na jaon.. mai to tab tab nahi giri jab mujhe laga tha k ye mera akhri din hai.. tab bhi wo khuda mujhe bachata raha..
Mai apni abbi ammi Bhai Aur bhabhi k sath rehti thi.. Mere abbi bohat zalim thy. Shaid bahadur se bhi zyada. Unhone meri ammi per bohat zulm kiye. Bohat zyada.. Aur meri maa.. meri maa wo zulm bardasht karti rhi.. phir aik din mere abbi ne meri maa ko Jaan se hi maar diya.. (at this Asfand eyes wide open, he was not able to breathe, tears start making there way to the corner of his eye)... mujhe laga mai gir jaon gi par mai Bach gai.. MerA baap mujh se pyar se baat nai karta tha.. MerA Bhai apni zindagi mai masroof tha... mai bohat choti thi naadan thi.. aik admi par bharosa Kia magar us ne na sirf mujhe dokha diya balke us ki waja se mere wajood k Aur zyada tukrey ho gae..wo meri zindagi ki sab se bari ghalti thi aur wo waqia meri zindagi ka sab se sharamnaak waqia tha jise Ap ne dekha Aur jis ruswai se mujhe ap ne bachay... meri bhabhi is baat se wakif thi magar unhone mujhe nahi samjhaya na roka balke mere baap ko Aur mere Bhai ko mere khilaf btaya sab kuch... mai jab us din ghar gai thi to mere bhi ne mujhe bohat Mara tha... bohat zyada.. muje mere haq mai safai dene ka moka tak na diya...(her voice fades again)us waqt mai toot kar chakna choor ho gai laga tha k ab bas... mai Mar hi jaon gi magar aik baar phir girne se Bach gai..(tears rolled down from asfi's eyes, he was listening to her now in a still state)muje mere ghar mai aik ghar Zarori, napasandida chiz hone ka ehsas dilaya jata. MerA Bhai mujh se shadeed nafrat Karta. Pure khanadaan me mai aik bad kirdar Larki thi. Mere baap ne mujhe maaf kar diya unhe lagta tha k ye sab un k ghunahoon ki saza hai jo mujhe mil rahi hai.. unhe apni Ghalti ka ehsas tha.. mai ne un ko saaloon bister pe moot ka intzaar karte dekha magar mai unhe khona nahi chahti thi. Wo mera shara ban gae thy.. magar wo bhi mujhe chor kar chale gae...mai hazar moot Mari magar phir bhi zinda rahi... aik baar phir girne se mere parwardigar ne mujhe bacha liya... Mere baap ne mujhe Allah k sapurd Kia tha aur aik din mere liye sirf wohi reh gaya... Mere sar pe chat bhi na thi... raat ki tariki mai mere bhabhi ne mujh par jhootey ilzam laga kar mujhe ghar se nikal dia.. mai ne us raat aik lamba safar te Kia. Wo raat meri zindagi ki sab se khofnaak Aur lambi raat thi jise mai kabhi yaad nahi karna chahu gi... mai khala k ghar aa gai wafa par mohsin Bhai Aur un ki biwi thy jinho ne mujhe ghar mai Rehne diya magar mai badnaam Thi.. is liye bhabhi ko mujh pe yakeen na tha mujhe us ghar ko bhi chorna para.. Aur mai yaha aai Sab se door.. Apne sach se door.. mujhe bohat dafa laga k mai gir jau gi par khuda ne mujhe girne nahi dia
Yaha as kar mujhe pata chala k jab koi pyar kere to kaisa lagta hai jab koi izat kare to kaisa lagta hai.. mai ne Muhabbat karne wale log dekhe to lagta tha k ye aik khawab hai jo us din toot jar ga jab ye mera sach Jane gy. Mujhe muhabbat se door rehna manzoor tha magar aik dafa phir Zillat bardasht karna nahi(Asfand was understanding her hidden meanings... tears were constantly running down his cheeks, coming to the chin and falling.. he has never thought that the Zubiya he knows has faced this much difficulties in life)aj jab pata chala k Ap ko mere sach pata chal gaya to aik dafa phir khud ko girtey hue mahsoos Kia... mai ne khuda par Hamesha bharosa kia par aj yakeen tha k wo aj bhi mujhe bacha le ga par ye dekhna tha k wo is baar mujhe bachane k liye Kia ko bhejta hai... is liye yaha khari hu.. janti hu giru gi nahi..wo mujhe girne De hi nahi sakta...
Zubiya Ap ko Ap ki family ko deserve nahi karti.. wo to aik ruswa, bad naam Larki hai.. bohat bohat buri... her voice again fades she was standing still. She was not crying. It seems the reality and the events has affected her in such a way that she forgot to weep, that her tear forget their path, choked in her throat. This is like the silence before storm. She is on the verge of a breakdown..
Asfand turns her Back towards her back.. he was sobbing. He held his hand on her mouth so that Zubiya could not hear.. how can he fall weak before such a strong women.. he wants to tell her that he loves her more with her reality.. he trusts her.. he will make right from wrong for her.. he will hold her when she will breakdown.. tell her that she is a brave strong woman.. with whom he fell in love
Edited by Tanii-30 - 7 years ago
comment:
p_commentcount