Its Ahad's Birthday in Pakistan! its 12:45am there🥳🥳
I am so addicted to Ahad-Sajal's chemistry. I don't know what it is but I just love this show so much. I haven't been so crazy over shipping these two since perhaps ZGH? And Humsafar.
Originally posted by: octaverider
Thank you _Tabs_. Appreciate the help.
Yes I am. Just to be clear, I wont be translating it in English. Merely making a roman urdu transcript of the novel.
Originally posted by: octaverider
Tell you what, if you have trouble understanding, I can help you understand the urdu words.
This is what I have so far:
Woh Yaqeen Ka Aik Naya Safar
By: Farhat Ishtiaq
"Doctor Zubiya Khalil! Aap yahan par job kyon karna chahti hain?
Pichhle ek ghante se musalsal khamosh baithe iss be panah ba roob shakhsiyat ke malik bande ne achanak sawal kiya tha. Interview board mai baithe teen afraad mai se musalsal do hi afraad is se sawal kar rahe the. Iss ne choonk kar wazahat talab nazroon se iss ki janib dekha tha.
"Mera kehne ke matlab ye hai ke akhir aisi kiya wajah hai jo aap Peshawar chhod kar iss door aftaad basti mai job karna chahti hain? Iss ne khud hi apni baat ki wazahat kar di thi.
Ye isski zindagi ka pehla interview nahi tha. Woh iss se pehle be shumar jaghon par interview de chuki thi. Mulazimat karna bhi naya tajurba nahi tha. Magar yahan apne bilkul samne iss wasee o areez maiz ke peeche baithe iss bande mai pata nahi aisi kiya baat thi ke woh thori si nervous ho gayi thi. Halake woh iss qisam ke sawal ke liye khud ko tayar kar ke ayi thi, magar iss waqt maloon nahi kyon isse aisa lag raha tha jaise woh iss se jhoot nahi bol paye gi. Woh apni zaheen ankhon se na sirf ye ke jhoot pakar le ga balke shayad sari sachayi bhi jaan jaye. Iss ne la shaori toor pe mathe pe aya pasina saaf kiya tha.
"Iss liye ke apke ad mai diya howa salary package aur deegar maraat mere liye attractive theen. Mai house job ke baad se pichhle ek saal ke dooran government job hasil karne ke liye khasi kooshishain kar chuki, jin mai siwaye na kaami ke kuch hasil nahi howa. Agar private job hi karni hai tu aisi jagah kyon na karon jahan meri mehnat ka behtar moa'fza mil raha ho.
Ghar se sooch ke aye howe insaan dosti, khidmat, khalq-e-watan ki khidmat aur dukhi insaniyat ka dard qisam ke alfaaz isse yaksar bhool gaye the.

comment:
p_commentcount