Shair-o-Shairi-- Part 2 - Page 75

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

60.9k

Users

45

Likes

4

Frequent Posters

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
hum rait par kabhi naam nahin likhte
rait par naam kabhi tikte nahin
log hamein pathar dil samghte hae
par pathar par likhey naam kabhi mitte nahin
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Hum bawaffa thay
is liye teri nazaron se girh geh.
Shayad tumhain talassh
kisi bewafa ki thi.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Jab thak lafazz wazu nahin karte
Hum unki goftagoo nahin karte
Woh mila hai on bewafoon ko
Jo unki arzoo nahin karte.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
DOST,DOST nahi dil ke dua hoota hai
Mehsus tab hoota hai jab juda hoota hai
Bina dost jeena aik saza hota hai
Or dost tum jaisa hoo tu jenay ka maza hoota hai
maheen_saleem thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Lutf woh ishq main paaye hain ke jee jaanata hai
ranj bhi itne utaaye hain ke jee jaanata hai

joh zamane ke sitam hain woh zamana jaane
tune dil itney dukhaye hain ke jee jaanata hai

tum nehi jaante ab tak yeh tumhare andaaz
woh mere dil main samaaye hain ke jee jaanata hai

inhi qadmon ne tumhari inhi qadmon ki kasam
khaak main itne milaaye hain ke jee jaanata hai

dosti main teri darparda humara dushman
is qadar apne paraaye hain ke jee jaanata hai

maheen_saleem thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazraana tera bhi hai mera bhi

apne gham ko geet bana ker gaa lena
raag purana tera bhi hai mera bhi

shehron shehron galiyon jis ka charcha hai
woh afsana tera bhi hai mera bhi

maikhaney ki baat na ker waiz humse
aana jaana tera bhi hai mera bhi
maheen_saleem thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
zindagi jab bhi teri bazm main laati hai humain
yeh zameen chand se behter nazar aati hai humain

surkh phoolon se mehek ut'ti hain dil ki raahain
din dhale yoon teri awaaz bulaati hai humain

yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
raat ke pichley peher rooz jagaati hai humain

har mulaqaat ka anjaam judaaee kyun hai
ab tu har waqt yehi baat sataati hai humain 😭

maheen_saleem thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
bazm-e-dushman main bulaate ho ye kya kerte ho
aur phir aankh churaate ho ye kya kerte ho

baad mujhsa na miley ga tumko
khaak main kis ko milatey ho yeh kya kerte ho

hum tu detey nehi kya yeh bhi zabardasti hai
cheen ke dil liye jaate ho yeh kya kerte ho

ho na jaaye kahin daman ka churana mushkil
mujhko dewaana banaate ho yeh kya kerte ho 😭
maheen_saleem thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
correction...baad mere mujhsa na miley ga tumko *
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Karz dosti mein chukane nahi hote..
Ehsaan dosti mein jataane nahi hote..
Bus salamat rahe ye yarana hamara..
Kyoki ye rishte kabhi purane nahi hote
Top