teri kushi see bhi ager gham main kushi na hui
woh zindagi to mohabat ki zindagi na hui
koi bedhey na bedhey hum to jaan detey hain
phir aisi chasham tawajoo hui hui na hui
fasoorda khatirey ishq howe muazallah
khyaley yar see bhi kuch shaguftgi na hui
teri nigahey karam ko bhi azma dekha
aziyton main na hony thi kuch kami na hui
aye hawa hamara yeh un see payam keh dena
gey ho jab see yehan subha va sham hi na hui
idher see bhi hay siwa kuch udher ki majburi
key hum ney aah to ki un see aah bhi na hui
khayaley yar salamat mujhe khuda rakhey
terey bgheir kabhi gher main roshni na hui
gey they hum bhi jigar jalwa gah janan main
woh pochtey hi rahey hum see bat bhi na hui
Edited by aeny - 17 years ago
comment:
p_commentcount