Shair-o-Shairi-- Part 2 - Page 56

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

60.9k

Users

45

Likes

4

Frequent Posters

deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tu nay daikhi hai woh paishani, woh rukhsar woh hont,
Zindgi jin kay tussawar main gunwa di hum nay,
tujh peh uthi hain woh khooi hui saahar ankhain
tujh ko maloom hai kion umer gunwa di hum nay
hum peh mushturka hain ihsaan gham-e-ulfut kay
itnay ihsaan keh gunwaoon tu gunwa na sakoon
hum nay is ishq main kia khooya hain kia seekha hain
juz teray kissi aur ko sumjhaoon tu samjha na sakoon.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Hum tu woh log hain jo,
na kissi kay dust-e- shamar main hain,
na kissi ki nigha kay hisaar main hain.
Yoon jaisay koi ho sadioon ka bay unt safar,
sehra sehra phirta koi khak-e- baser,
kia pochtay ho keh kon hain hum,
jan lu humain tu tumhain maloom ho
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ab umer ki naqdi khatim hooi,
ab hum ko udhhaar ki hajjit hain,
hai koi jo sahokar banay?
hai koi jo dewan har banay?
kuch saal, maheenay, din logo,
par sood beeaj kay bin logo,
haan apni jaan kay khazanay say,
haan umer kay tusha khanay say,

jub naam udhhaar ka aaya hai,
kion sab nay sar ko jhokai hai,
hum mangtay nahi hazar burras,
dus panch burras, do chaar burras,
assan banay dushwar banay,
par koi tu dewan haar banay,
hum baithay hain kushkuool liay,
sub umer ki naqdi khatum kiaay,

aab geet giaa sangeet giaa,
haan shaer ka mousam beet giaa,
aab putjhaar aai paat girain,
kuch subhha girain kuch raat girain,
yeh apnay yaar puranay hain,
ek umer say hum ko jaanay hain,
in sub ko hum nay bulaaia hai,
aur jhooli ko philaia hai,


jab umer ka akhir aata hai,
hur din saadian bun jaata hai,
jeenay ki huwwas hi nirali hai,
hai kon jo is say khali hai,
yeh paanch burras yeh chaar burras,
chin jaeen tu lagain hazar burras,
sub dost gaay sub yaar gaay,
thay jitnay sahookar gaay.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Maidan-e-wafa darbaar nahi, yahan naam nassub ki pooch kahan
Aashiq tu kissi ka naam nahi, kuch ishq kisssi ki zaat nahi,
gar baazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga du daar kaisa,
gar jeet gaiay tu kia kehna haray bhi tu baazi maat nahi.
IMAN thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
wow wow!
sk,keep up the gud job yaar!! 👏
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Hum na rahenge, fasane na rahenge
Phir yaad aane kay zamane na rahenge
Tum yaad to zaroor karoge humko
Magar pass bulane kay bahane na rahenge
===============================
Milna itfaak tha bicherna naseeb tha
Wo itna dur hua jitna karib tha
Usko dekhne kay liya tarsti reh gai meri ankhen
Jis shaks ki hatheli pe mera naseeb tha

=================================
Baadaloon kay beech kaisi saazish hui,
Mera ghar tha mitti ka, mere hi ghar baarish hui,
Zidd hai agar unhe bijliyaan girane ki,
To kasam hai humay bhi wahi aashiyana banane ki.

======================================
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne k bad.
Khud se bhi shikwa raha un say gila karne k bad.
Is say barh kar aur kia hum per sitam hoga yahan.
Mashwara manga hai us ne faisla karne k bad.

======================================
Kabhi jasbat to kabhi yadon ko dafan kiya karte hain.
Kabhi aansu to kabhi dard piya karte hain.
Mohtaj to nahin mera pyaar kisi ka.
Jane kyo fir bhi tera intezaar kiya karte hain

Edited by indian_masala - 17 years ago
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad
gham ban gaya naseeb mera har khushi ke baad

nikla tha kaarwaan mohabat ki rah main
har mordh pe nafrat khardi thi har gali ke baad

socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan
har phool jal gaya mera bankar kali ke baad

chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar
dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad

ab raakh he samait ta hoon aashiyane ki
khud hi jala diya tha jesey aajazi ke baad

suntey hain baad marne ke milta hai sab sila
dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar
dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad
suntey hain baad marne ke milta hai sab sila
dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
utha ker phool ki patti nazakut sai masal dali
isharay sai kaha hum dil ka aisa haal kertay hain
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
tanhai jab mili to kae dard barh gae
ham say na poch kion akele se reh gae
dunya ne ham ko chain say jeene nahi diya
kuch ham bhi na samajh thay k jeete chalay gae
kuch dosto ki dosti bhi kam agai
kuch dost dosti ko bhi badnaam ker gae
dunya kuch is tarha say badli hai kia kahain
apnay jo thay wo kahin ghairoo mai kho gae
ab kia kisi say shikwa shikayat karain Junaid
hum dehar k andheeron main chup chap so gaye
Top