Shair-o-Shairi-- Part 2 - Page 55

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

60.9k

Users

45

Likes

4

Frequent Posters

deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Aisay chup chap hi mar jatay hain,
Kuch log yahan,
Jism ki thandi si tarik siyha qabar kay under
na kisi sans ki awaz ur na siski koi
na koi ah na junbish
na hi ahat koi
Aiasay chup chap hi mar jatay hain
kuch log yahan
un ko dufnanay ki
zahmat bhi uthana nahi parti.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ab koi aay tu kehna keh musafir tu gia,
Yeh bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo!
Rah taktay hooay pathra si gai thi ankhain
Ah bhartay hooy chalni hua seena logo!
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tumharee Yadoon Ko Rook Paana Hai Mushkil,
Roothau Hoye Dil Ko Manaana Hai Mushkil,
Yeah Dil App Ko Kitna Yaad Kerta Hai,
Aik Shair Mian Bataana Hai Mushkil
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Zabbat ka aahud ka bhi hain shok ka peeman bhi hain,
aahud-u-peeman say guzar janay ko jee chahta hain.,
durd itna hain keh hur rug main hain mehshur barpa
aur sakoon aisa keh mar janay ko jee chahta hain.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Na ginwaoon nawak-e-neeem kush dil-e-rayza rayza ganwa dia,
jo bachay hain sang samait lo,tan-e-dagh dagh luta dia,
jo rukay tu koh-e-gharan thay hum,jo chalay tu jann say guzar gaay,
reh-e-yarr hum nay qadam qadam thujhay yadghar bana dia.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
DUKH
Raigan janay ka dukh,
hur nia lumha gaey lumhay ka dukh,
woh jo guzishta thay woh ainda nahi,
aur ainda kabhi paya nahi,
kuch agar paya tu faqat raigan janay ka dukh.
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
abhi lamhaat ko guzarnay ka khauf baqi hai
in jazbaat ko marnay ka khauf baaqee hai
tere andaazon ki dastaras mujh talak kab pohnchay
intezaar k barhnay ka khauf baaqee hai
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Abhi zid na kar....

Abhi zid na kar dil-e-bekhabur!
keh passe hajoom situm garan,
abhi kon tujh say wafa karay,
abhi kis ko fursatain hain is qadar,
keh samait kar teri kirchian,
teray huq main khud say dua karay,
abhi zid na kar dil-e-bekhabur,
keh teh-e- gubar gum-e-jahan,
kahan khoh gaiay teray chara gar,
keh rah-e-hayyat main raigan,
kahan so gaiay teray humsafar,
abhi gumgosaroon ki chot seh,
abhi kuch na sun abhi kuch na keh,
abhi zid na kar meray b-e-nawa,
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Hum khwaboon kay bupari thay par is main hua nuqsan bara,
kuch bakht main dairoon kalik thi kuch ab kay ghazub ka kaal para,
Hum rakh liay hain jhooli main aur sar pay hai sahookar khara,
jub dhaarti sehra sehra thi, hum daria daria rooay thay,
Jab haath ki rekhain chup thi aur sur sangeet main khooay thay,
tub hum nay jeewan khaiti main kuch khwaab anookhay booay thay
deactivated thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kathun hain zindgi kitni
safar dushwar kitna hain
kabhi paoon nahi chaltay
kabhi rusta nahi milta
humara sath day paay
koi aisa nahi milta
Top