Today, I am serious. I don’t like when Anupama serial makes fun of everything and the way they handle them, be it social issues, superstitious beliefs, or the audience’s emotions. For every foolish action or stupid decision, they have answers, one out of these statements: mai maa hoon, mai middle class aurat hoon, mere baccho ka pita, Baa badi hai, woh meri maa hai.
Ok let it be.. I don’t care. But it does not sound appealing to me when Anupama uses Radha Ji's example to justify her love every other day.
Radha Ji is worshiped as the goddess of love, tenderness, and compassion. She is known for her extraordinary love and devotion to Krishna. She is viewed as a symbol of the human quest for spiritual growth and union with the divine.
How can this love be compared with anyone?? Few lines on Radha’s love:
Mai nahi jaanti sach hai
ya yeh jhooth hai
Maine pada jaroor hai
Radha Devi thi
Laxmi ka woh avatar thi !!
Radha-Krishna ki prem gaatha
badi vichitra
Inki preet se sab
parichit !!
Woh Krishna se alag kab thi
Radha hi Krishna thi
Krishna hi Radha the
Woh ek nahi
Janamo ke saathi the !!
Radhika Krishna ki
Sangini thi
Unhi ki bhakhti
Mei leen thi
Unme hi poori tarah
Taleen thi !!
Inke mann mei
Toh sirf Krishna ka vaas tha
Rom-Rom mei Kanha ji
Ka niwaas tha
Sirf Shyam par inko
Atoot vishwaas tha !!
Radha JI rehti thi
Krishna se vilag
Par nahi thi
Kabhi mann se prithak !!
Gaaye sada inhone Kanha Ji ke geet
Unhi ke naam ka bajta tha
Inke mann mei sangeet
Prem ki alag hi thi inki reet
Sarvoch bhakti ki yeh prateek !!
Kasht hota kisi ek ko
Peeda hoti doosre ko
Aisi bhi ek gaatha hai
Garm doodh piya Radha ne
Chaale par gaye the Krishna ke !!
Radha Krishna prem mei hi jee
Prem mei hi mari
Kanha ji ne
Sabse jada murli
Inhi ko sunayi thi !!
Jag se jaane se pehle Radha ne
Murli sunne ki iccha jatai thi
Krishna ne din –raat bajai thi
Unki murli sunte –sunte
Radha ne li bidaii thi
Radha ke baad phir dobara
Murli na unhone uthai thi !!
sabse alag, sabse alida inka prem
anupmay,athah inka prem
atulya,advitiya inka prem
atulya,advitiya inka prem !!
Inke toh har naam mei bhi –
Madhva-madhorini, Vrindavaneshvari Krishna-kanta, Krishna- vallabha Krishna-priya, Madhavi - Keshavi Radha, Radhe, Radhika
Kanhaji ka sang hai!!
P S : Not to offend anyone.
comment:
p_commentcount