(Sham ka time hai aur Aditi abhi ayi nahi hai but jald hi ayegi)
Maa: vikku beta aao khana taiyar hai,mai laga deti hu
Vikrant: maa abhi nahi thoda ruk kar,wo Aditi ko bulaya tha na apne toh woh aa jaye fir sath khate hai sab
Maa: ha thik hai. Waise ye Aditi hai bahut pyari ladki,sundar hai,sanskari bhi hai,hoshiyar bhi hai,hai na?
Vikrant: ha maa achi hai I mean partner achi hai intelligent hai and communication skills bhi hai.
Maa: ha waise shadishuda toh lagti ni sagai hui hai kya uski?
((Chal beta maa ne shuru kar apni investigation))
Vikrant: nahi,nahi hui
Maa: acha, kahi baat chal rahi hai kya uski?
Vikrant: yaar maa aap bhi kya,wo kya mujhe apna relationship status update karti rehti hai aur mujhe na ache se pata hai aap ye uska bio data kyu nikal rhi hai? Maa partner hai wo meri baksh do uss bechari ko
Maa: chup kar nalayak, aur kaha likha hai k partner ko life partner nahi bana skte,bilkul tere type ki hai. Tujh se baat nahi ho paye toh main karu kya?
Vikrant: nahi bilkul nahi,jo jaisa hai waisa hi rehne do Vikrant singhal filhaal single hi thik hai aur jab mingle hona hoga tab apko bata dunga shagun le kar aa jayiyega.
Maa: pichle kayi salo se yhi bol raha hai,ab itni achi ladki mili hai toh mauka mat gawana intezar k chakkar me.
Vikrant: maa
(Doorbell baji,vikku ki dulhaniya aa gyi )
Maa: Aditi hogi mai dekhti hu
Vikrant: nahi aap rukiye mai dekta hu
Vikrant: hi aao
Aditi: hi,ab tabiyat kaisi lag rhi hai?
Vikrant: pura dun soya hu to acha lag rha hai
Aditi: ha,namaste auntie
Maa: namaste beta,tum thodi der baitho mai chai bana k lati hu
Aditi: arre nahi auntie aap takleef mat lijiye vaise b mujhe jaldi jana hai case se related kaam hai,apne itne pyar se dinner k lie bulaya tha toh thode samay ka break leke aa gyi
Maa: acha thik hai tum log aao baitho mai khana lagati hu
Aditi: auntie aap akele kyu karengi mai b ati hu
Maa: acha thik hai
Vikrant: mai bhi hu yaha mujhe b thoda khana de dena
Maa: nahi tujhe toh bhuka hi rakhte hai hum
(Aditi giggles)
(At dinner table)
Vikrant: acha Aditi wo uss lash ka kya hua koi aya pehchanne ya nahi
Aditi: nahi abhi tak toh koi nahi aya but Mumbai k sabi police stations me photo bhej di hai shayad jaldi hi kuch pata chal jaye
Vikrant: ha waise bhi face to pura kuchal dia tha uska,pehchan me thoda time to lagega hi aur...
Maa: offo vikku ye kya khana khate hue lash wash ki bate kar rha hai,thode samay to ye apna ACPpana chod
Aditi: auntie sahi keh rhi Vikrant aise khane k time pr iss trh ki bate nahi karte
Vikrant: ha main akele hi toh bate kar rha tha ap to apni auntie ki bat man kr chup chap khana kha rahi thi haina?
Aditi: ha bilkul
Vikrant ha? Wah or photo bhejne ki baat kisne ki?
Maa: woh toh tune pucha tabhi wo boli
Aditi: ha bilkul thik kaha auntie ne
Vikrant: wah bimar kya ho gya mere against to teaming hone lagi,jaldi thik hona padega ab toh warna ap log to puri AntiVikrant force bana loge
(Sab iss baat pr has padte hai)
Maa: acha Aditi tum Mumbai se hi ho ya job k liye ayi ho?
Aditi: auntie mai Delhi ki hu,yaha par to kuch time pehle hi posting hui hai
Maa: acha or tumhare maa papa wo bhi yaha aye hai tumhare aath ya wahi hai?
Aditi: nahi papa Delhi me hi hai apne business k liye or meri mumma ki kayi saal pehle hi death ho gyi
Maa: oh sorry. Waise tumne aage ka kya socha hai?
Aditi: koi khas planning ni hai auntie bas aise hi cases solve krke promotion pana hai or ek aisa ACP banna hai jo sadu na ho
((Acha ji main sadu ruko tum ab maa k samne badi hoshyari dikha rhi ho na ek bar wapas ane do tab batata hu))
Vikrant: ha bilkul
Maa: bohot achi baat hai pr mai kaam ki ni personal life k plan k bare me puch rhi thi mtlb shadi ka...
Vikrant: maaa... Kya ap bhi shadi wadi ki baat krne lgi,chodo na
Maa: khud to shadi krta ni dusro ko bhi mat karne dena
Vikrant: Aditi kitna time jaldi khao or niklo matlab case k lie late ho rha hoga na,jaldi karo jaldi
Maa: tu usko kyu bol raha hai,khud jaldi kha or dawai kha k aram kar
Vikrant: samajh ni aa rha ghar pr hu ya training camp me
(Dinner khatam,Aditi ko chodne Vikrant darwaje par jata hai and uski maa bhi hoti hai sath)
Aditi: acha auntie mai chalti hu namste or khana bahut tasty tha,bohot time baad maa k hath ka khana khaya,thank you
Maa: are isme thank you kaisa tu bhi to meri beti jaisi hai mere vikku ko jhelti hai pura time...
Vikrant: maa yaar apni pyari pyari baate karo na mujhe kyu bich me khich rhi ho?
Maa: chup,acha Aditi abhi jab tak mai yha hu tab tak khane or nashte k liye tum yhi ana aur ispe koi behas ni
Aditi: ok auntie
((Khana? Beta Vikrant maa ne Aditi ko chun lia apni bahu k tor pe,abhi tk to maa ne sapne me shagun k kangan bhi de dia hoga usko,waise uspe ache lagenge wo kangan,bohot hi pyare,wait mai kya soch rha hu,Vikrant tu b kya vikku jaisi bate kar raha hai,hosh me aa))
Vikrant: chalo mai tumhe car tak chod du
Aditi: ok
(Vikrant ki maa k thoughts: kitni achi jodi hai dono ki ek duje k liye bane ho aisa hi lgta hai. Bhagwan mere vikku ko akal de apni feeling ko samjhne ki,in dono k alawa inke bich ka pyar sab ko dikhta hai bas jaldi se inhe bhi ehsaas ho jaye)
( Aditi & Vikrant gadi ki trf jate hue)
Aditi: tumhari maa bohot sweet hai
Vikrant: ha pata hai tabhi to mujhe lagta hai k papa or inki arrange marriage hui hai
Aditi: kya? Kaise?
Vikrant: are maa jaisi sweet si ladki papa jaise ladke ko pasand kare,na nahi ho skta. Papa mera senior version hai.
Aditi: nahi aisa nahi hai kabhi-2 sweet & caring ladki ko sadu & PJ marne wale ladke bhi pasand aa jate hai
Vikrant: acha? Waise tum b sweet and caring ho toh kya tumhe pasand ayega koi sadu?
Aditi: pata ni dekhte hai. Anyways ab mai chalti hu,you take care. Bye.
Vikrant: bye and tum bhibapna dhyan rakhna kisi musibat me mat padna jab tak mai wapas na au,samjhi
Aditi: yes sir.
(Aditi k jane k baad bhi Vikrant waha thodi der ruk k sochta hai:- ajib ho tum bhi Aditi ek toh mai aise hi itna confused hu aur ab tum ye baate kar k chali gyi.)
comment:
p_commentcount