Chapter 6

..oneOone.. Thumbnail

Ana

@..oneOone..

Part-5

Main subha uthi tau pareshan hoo gaye……………………………kissi nay mujhay nahin uthaya………………………mom hotain tau abh tak das martaba meri neend kharab kar chuki hotain……………..chaloo naye ghar ka aik yeh advantage tau tha k koi nahin uthata……..
Likin kamray say bahir nikli tau patah chala……………jo soota hai who khoota hai
Main dar gaye or socha………………kash main itni deer na sooti……………kam say kam sujal or bachoon ko breakfast hi karwa deti…………issi bahanay main inh say baat tau kar sakti…………….magar main sooti rahi or najanay who loog kahan chalay gaye…………………main sad ho kay pooray ghar main phirti rahi…………..phir mujhay khayal aya……….k mama tau ghar main hi hoon gi nawoh bhala kahan jain gain…………….yeh khayal atay hi main nay different rooms main dekhna shuru kia……………..or atlast who mujhay aik kamray main dikhain……………who bhi shayad abhi hi uthian theen
"kashish………….breakfast kia"mujhay dekhtay hi poocha
"nahin"…………….main nay jawab diya
"accha"……….who baloon(hairs) ka jura(roll) karti howay aik daam rukain
"sujal kahan hai"………mama nay poocha
"patah nahin"……………main nay jawab diya or ander aa gaye…………."jab main jagi tau ghar main koi na tha"
"oh……mera khayal hai k sujal office gaya ho ga"………….mama nay bataya
"chaloo tum unh ko chooro………….hum or tum mill kar zabardast sa breakfast kartay hain" who kuch deer baad bolain
"kashish tum kissi baat ka bura maat manana…………..who abhi tumhain kabool nahin kar saka…………… who bohut accha hai aur bachoon ko bhi waqt lagay ga tumhain kabool karnay main"
"main samjhti hoon"……..main nay sir hilaya………..likin main kuch na samjh sakki
breakfast k beech mama nay kaha k who sham main mujhay mom k ghar lay jain gii….
"kia sujal or bachay bhi jain gain"………main nay ahista say poocha
:patah nahin"……………mama nay sach sach bataya tau mera dil or bujh(sad ho) gaya
sham main jab who office say ghar ayee tau main nay unh k kapray bed par nikal kar rakh diyee………..ta k who fresh ho jain………………..likin lagta hai who fresh nahin hona chahtay thay……………..kapray aik lamhe main zameen par paray thay
"agay say meri kissi bhi cheez ko haath laganay ki koi zaroorat nahin"……….who ooncha bolay k mera nazuk dil dar gaya………….
KHUDA ki panah………………….teeno………….baap bachay kitnay ganday thay…………..bachoon ko bhi nahanay or kapray change karnay main koi intrest nahin tha……………….who bhi uniform main soo gaye thay……………….abh mujhay lagta tha k yeh bhi suit boot main araam karain gain…………………likin main galat thi……………unhoon nay apni pasand k kapray pehnay……………..or fresh ho k ramu kaka say tea lanay ko kaha
"sujal………….kia app mom k ghar aisay hi jain gain?".main nay himmat na hari or try ,try again par amal kia………………likin mujhay lag raha tha k yeh pharases bhi puranay ho gaye hain……………unhoon nay mujhay aisi nazroon say dekha k main chup ho gai………….or phir thori deer baad mama nay awaz dii…………"aa jaoo…kashish……..deer ho rahi hai"
main nay unhain phir umeed say dekha k shayad meray saath chal hi parain likin unhoon nay tau yeh bhi na poocha k kahan ja rahi hoo…………kab aoo gii

next:kashish ka shadi k baad pehli bar apnay parents k ghar ana

lol
ana


Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (7)

wow cool story. Post the next part soon waiting eagerly

18 years ago

ana dear very good .........tum nai nai story shroo ki……parhnai main bara maza a raha hai …..& sorry kai itna late comment kar rahi ho……..yah mera 1st comment hai…..

18 years ago

...terrific....excellent ana!...keep it up!

18 years ago

where were da 'GOLE ROOI KE' gr88 part as always ...cont.soon

18 years ago

ana dear toooooo sweet.......

18 years ago

ANA..........LUV UR STORY.....its such a different n an interestin concept...gud job yaar.....way 2 go....

18 years ago

GR8888888 Part Ana Continue soon..!!!

18 years ago

Top