Chapter 7
Main mom k ghar aye tau mom mujhay itna tayar howa dekh kar bohut khush howain………………meri behain meray khal ko dekh kar bohut khush howain….
"app khush tau hain"…meri choti behen kanan nay kaha………who jab mera haath pakray tau mera dil karay k main rona shuru karoon…………….mana k middle class hona khwab dekhnay k haq cheen leti hai likin phir bhi…………idher udher say suni baatain dil main jagah bana leti hain…….main nay iss ghar say us ghar taq aik haseen safar the kia tha……………….likin bhagwan janta hai k main nay bachoon k hamesha socha k main unhain maa ka pyar doon gii……….likin phir bhi main khali haath rahi……….na hi bachay meray thay or na hi unh k papa
"kashish………tumhara pati kyoun nahin aya"…………mom mujhay ajeeb tareqay say dekh rahi theen……………."zaroor us moti nay kuch kaha hoga usay"
"mom"………main unh k against gaye……..bhali itni acchi women k liye aisay words kyoun main sunoon……
"aha…………main nay aisa kia keh diya…………..iss age main tum say ziade make-up tau us nay kia howa hai……….or haan………..main nay poocha tha k apnay pati ko saath kyoun nahin laiyee"
mom dobara usi issue k peechay theen jiss say mujhay dard hota tha
"mom………office main important meeting thi………………is liye nahin aye………..or bachoon ko main khud hi nahin laiyee"
"accha kia bachoon ko nahin laiyee"……………..mom nay bohut hi ignoring andaaz main kaha………."bhala tumhari koi umar hai do do bachoon ki maa banany ki…………..api sari neighbours itna mazak udati hain………….k bhagwn bachayee……………unhain apnay under rakhna warna sari zindagi ansoo bahati rahoo gi'
main mom ki baatain chup kar k sunti rahi……………unh ko kia batati k bachoon ko dekh kar meray dil main unh k liye pyaar jagta hai…………….jaisay main janam janam say unhi ki maa hoon………… who jaisay mera hi koi hissa hoon……………jo galti say "SAMEERA" k haan paida ho gaye……………..likin who meri hi amanat thay tau mujh tak poohnch gaye………….likin wahan or yahan…………..koi yeh baat nahin janta tha………………..koi mujhay peehchan nahin raha tha………………..main jaldi say khadi ho gaye
"mom……….abh main chaloon"
"array dii…………..kuch deer tau tehrain"………mehek boli…..
"nahin abh tum loog ana"…….main bari mushkiloon say muskuriyee
mom rat k khanay k kehti rahain…………..likin mama nay mana kar diya………….main nay bhi kuch na kaha…………kyoun k main bhi abh jana chahti thi
next:ghar aa k kashish k agay kia hoga?
lol
ana
golu welcome to my post.............hey app bhi koi story likhoo na ............koi new likhna shuru karoon.........
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
Continue Reading next part >
Comments (6)
..great part!..yaar tum bahut acah likhti ho...continue sooon
18 years ago
ana lovely part.....continue soon
18 years ago
ana diiiii tumhara kya kehna u r simply superb
18 years ago
nice one....write longeer partzz naa ana nani
18 years ago
ana bohattttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttt achcheeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee... .......... plz jaldi continue karna..................
18 years ago
Awsomee part continue soon
18 years ago