Chapter 8

pretty_mugdha Thumbnail

pretty_mugdha

@pretty_mugdha

hi
herz the next part
Both nivi and raksha leave for their tent.
Dharam was still glaring in the direction nivi went....
Veer noticed this
Veer:Dharam...bhabhiji to gayeen....
Dharam:Veer...kya matlab hai tumhara
Veer:Mera matlab hai bhaiyaa ki rajkumari ji to gayeen.
Ab ye batao ki tum kaise ho.Tum kaho to hum waapas mahel chalein..
Dharam:Nahi...agar hum is haalat mein mahal gaye to maa aur pitaji ghabara jayenge...aur waise bhi..
Veer:Waise bhi jab tak rajkumari ji nahin jaayengi tum yahan se hiloge bhi nahi..
Dharam gave a shy smile.
Veer:Rajkumari ji tak to theek hai par main us gussail ko kaise sahunga.
Dharam:Veer raksha ji itni bhi buri nahin hai..
Veer:Maana ki vi itni bhi buri nahi hai..par thodi to buri hi..
Dharam:Tumse to behas karna hi bekaar hai..ab taiyyar ho jaate hain,pooja ke liye bhi nikalna hai.
I n the girls' tent
Nivi was still in deep thoughts about the way she felt when dharam holded her hands...she ould not figure out what was happening to her...and raksha was busy describing her disastrous walk with veer.
Raksha:Veer khudko samjhata kya hai...kahin ka rajkumar hai kya..
Nivi:Haan vo rajkumar hi to hai(actually she wasnt answering raksha's question but was thinking about dharam)....(still lost in her thoughts)...kaash harsh bhi aisa hi ho....
Raksha:uff....tum na..bilkul paagal ho..ab bhi harsh aur rajkumar dharam ke beech phasi ho..
Nivi(trying to avoid any more comments from raksha):Chalo pooja ke liye chalein..
They leave for the pooja.On the other side the princes also leave their tent to go to the temple.
All four of them arrive at the steps of the temple
Veer:Tum...gussail tum yahan kya kar rahi ho?
Raksha:Jab bhi hum milte hain..tum humesha yahi sawaal kyun poochte ho?Aur waise bhi main yahan tumse milne nahi balki pooja karne aayi hoon..samjhe akdoo...
Dharam(to nivi):Ye dono to kabhi nahi sudhrenge,chalo hum hi aage badhte hain.
Nivi:Sahi kaha aapne rajkumar dharam.
Both of them move towards the temple.
Pandit gave the aarti thaali to nivi
nivi(to dharam):aap bhi is thaali se aarti kar lijiye..
Dharam agrees and both of them do the aarti together
Veer and raksha notice this
Raksha:Ye dono ek saath kitne sundar lagte hain..
Veer;Haan so to hai..aisa lagta hai ki dono ki jodi upar se ban ke aaye hai.
Raksha:Par phir bhi ye dono kabhi ek nahi ho sakte.
Veer:Kya...aisa kyun?
Raksha:Kyunki nivi ki shaadi rajkumar harsh se taye ho gayi hai aur..
Veer(crestfallen):Aur kya?
Raksha:Aur nivi to hai hi paagal...bachoan se usne apne sapnon ke rajkumar ke baare mein socha aur jab use vo rajkumar dharam ke roop me mila to vo unse shaadi nahi karna chahti hai..kehti hai ki uske katvya,zimmedari ye sab uski bhavnaayon se zyaada zarrori hain.
Veer:Bhabhiji to bilkul dharam ki tarah sochti hain...abhi to usse rajkumari ke shaadi ke baare mein pata nahi phir bhi unse baat karne mein hichkichata hai..jab usse sachchai ka pata chalega tab to vo bhabhiji ke baare mein sochna bhi paap samjhega.
Raksha:Pta nahi humme aise dostkyun mile jinhe apni chhaahat nahi apni zimmedari zyada pasand hai.
Veer:Ye dono apni dil ki sunana hi nahi chahte..Par agar bhabhi ji sach mein dharam ko pasand kartin hain to kuch bhi ho main unki shaadi dharam se hi karaoonga.
Raksha:Shayad pehli baar tumne aisi baat kahi jo mujhe bhi sahi lagi hai...par kya rajkumar dharam sach mein nivi ko pasand kartein hain?
Veer:Haan...main apne bhai ko achchi tarah se jaanta hoon.Bhale hi vu khud kuch na kahe par uski aankhein sab keh deti hain.
Raksha(after pondering for awhile):Humme in dono ko kisi tarah milana hoga..ye yakeen dilana hoga ki ye dono ek doosre ko chahte hain aur ek doosre ke bina nahi reh sakte.
Veer:Aur saath mein us rajkumar harsh ka patta bhi kaatna hai..
Raksha:Par ye sab hoga kaise
Veer:Ye sab hoga..issi jagah par hoga..apne mahal jaane se pehle ye dono ek doosre ke kareeb zarror aayenge..mere paas ek yojna hai..par mujhe tumhara saath chahiye.
Raksha:Nivi ki khushi ke liye main kuch bhi kar sakti hoon..tumhare saath is yojna mein kya nivi ke liye to main tumhare saath zindagi bhar tak reh sakti hoon..
Veer:kya...
Raksha:Ab apni yojna to batao
Veer whispers something in raksha's ears.
Raksha:Theek hai main pahunch jaaongi.
please comment

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (7)

aaaw!!! do do luv story saat saat i loved rakshas dia "nivi ke liye, mein tumhare saat poori zindagi beeta sakti hoon" both veer raksha making plans..together loved it

16 years ago

thanks pretty mugdha.. lovely part... i liked it so much

16 years ago

well i m delighted with the response ..thank u so much for bearing with my not-so-gud language. i'll be posting my next part by 7th or so...meanwhile u can relax but once i post the next part i'll be waiting for ur comments...

16 years ago

that was gr8 loved vr makin plans it was fab do cont... hiri

16 years ago

heyyy that was realli good ...i loved the part that cutiea did as well

16 years ago

thanks a lot...well i pay more attention to dv and their resp. luv story rather than on the evil plan makers....

16 years ago

hehe... part 8 is well cute! Raksha:Nivi ki khushi ke liye main kuch bhi kar sakti hoon..tumhare saath is yojna mein kya nivi ke liye to main tumhare saath zindagi bhar tak reh sakti hoon.. luvd dt bit

16 years ago

Top