Chapter 90

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

 

Part-90

Sujal ko ab discharge mil gaya hai..............lekin abhi bhi woh koi kaam nahi kar sakta kyunki Doctor ne unhe complete bed rest karne ko kaha hai..............Kashish Sujal ki pati badalne aati hai..............Sujal bas aise hi kuch soch raha hota hai............

Sujal (to himself): Kashish ko dekhta hoon to uski aankhoin me wahi darr aaj muje dikhai deta hai..........aaj bhi kahi na kahi woh us hadse ko leke pareshan hai..........main puri koshish kar raha hoon ki is musibat ki jad tak pahonch saku lekin aisa kaun hai jo her waqt kaam ke bad apne saboot mita deta hai.........aakhir kaun karva raha hai yeh sab................aur kyun karwa raha hai yeh...........

Kashish (to herself); janti hoon............is bar tumhe dard is chaut se nahi balke is hadse se ho raha hai...........main sab janti hoon ki is waqt tum kya soch rahe ho...tum yahi soch rahe honge ki aakhir kaun hai in sab ke piche.......main bhi yahi janne ki koshish kar rahi hoon ki aisa kaunsa hamara koi dushman hai jo is had tak ja sakta hai.....lekin muje is hadse se koi sikayat nahi.......tum thik ho mere liye yahi kafi hai.........
 

Kashish: Sujal.......woh main.......woh tumhari..........

Sujal: pati badalne aayi ho na.........
 
Kashish: haa..........aur dekhona.........main first-aid box lana hi bhool gayi...........main abhi leke aati hoon..........
 

Sujal: ruko.........yeh lo..........badal do pati..........

Kashish: yeh yahan kaise.........

Sujal: Akshat chod ke gaya hai...........ab wahi khadi hi rahogi ki ise bhi badlogi........

Kashish: nahi karti hoon........

Sujal: kya baat hai kashish........mujse naraz ho.........
 
Kashish: nahi to...........aisi koi baat nahi...........
 

Sujal: agar aisi baat nahi to jab se hum hospital se ghar aaye hai nahi tum mujse baat karti ho nahi mere samne aati ho.........kya baat hai..........kal bhi maine tumhe dekha puri raat tum thik se soyi nahi.........tumhe koi baat pareshan kar rahi hai........kuch to kaho Kashish.........

Kashish: nahi to.......main ab kyun pareshan hone lagi.......tum thik ho aur muje aur kya pareshani hogi...........
 

Sujal: tum mujse nazare churakar kabse baat karne lagi...........kya ek raat me itna kuch badal gaya ki tum mujse ab jooth bhi bolne lagi..........

 
Kashish: nahi aisa mat kaho...........tum jante ho ki main tumse jooth nahi bol rahi..........aur nahi main tumse naraz hoon.......haa tumne sahi kaha main pareshan hoon............aur uski waje tum jante ho........
 
 
Sujal: abhi bhi us hadse ko leke pareshan ho.........use bhool kyun nahi jati........
 

Kashish: Sujal........kuch hadse hamari zindagi me apni chap chod jate hai....aur yeh hadse ne meri zindagi badal di hai.....aur agar use bhoolna mere bas main hota to main bhool chuki hoti.........

kashish ab bina kuch kahe sirf pati lagane lagti hai...........
 
ab Kashish pati bandh kar jane lagti hai........

Sujal; I am sorry Kashish..........

Kashish: tum kyun sorry keh rahe ho..........sorry to muje kehna chahiye ki kal se leke aaj tak muje tumhara khayal rakhna chahiye aur main hoon ki khud pareshan...........
 

Sujal: mafi mang raha hoon kyunki maine tumse vaada kiya tha ki ab aisa kuch nahi hoga lekin.........aaj phir se meri waje se tumhari aankhoin me aanshu aa gaye........main janta hoon iske liye tum muje maff bhi kar dogi lekin main kabhi apne aap ko maff nahi kar sakta............

Kashish: jo bit gaya ab use yaad karne se kya faiyda...........aur jo kuch ho raha hai uska jimedar na main tumhe kehti hoon na apne aap ko..........uska koi jimedar hai to woh hai hamari kismat........muje aaj tak lagta tha ki hum kismat se lad sakte hai lekin shayad main galat thi kyunki kismat se koi nahi lad sakta............aur ab yeh sach me swikar chuki hoon.........
 

Kashish yeh kehke jane lagti hai.........

Sujal: Kashish.............

Kashish wahi ki wahi khadi reh jati hai.........

Sujal: agar tum kismat se ladna chod dogi to woh log jeet jayenge jo hume alag karna chahte hai..........jo hamare rishtey ko todna chahte hai........kismat se ladna maine tumse sikha hai aur main tumhe harte huye nahi dekh sakta............tum hi kehti thi na ki tum apne Sujal ki baat kabhi nahi talti.........to main chahta hoon ki tum phir se usi Kashish ki tarah apni kismat se lado.........tumhari harr meri harr hogi......kya tum muje harte huye dekh sakti ho...........

Kashish: Kabhi nahi.........main kabhi bhi tumhe kisi ke aage zukte nahi dekh sakti.................shayad kuch waqt ke liye main apna farz bhool gayi thi lekin ab nahi.......haa Sujal tumne sahi kaha.........hum ladenge is bure waqt se............hum hamesha saath the hai aur rehenge..........hume koi alag nahi kar sakta............hamari kismat bhi nahi.........
 

Sujal: thank you Kashish.........muje meri Kashish lautane ke liye.........mera ek kaam karogi........muje bahot hi bhukh lagi hai kuch khane ko milega..........

Kashish:jee......main abhi tumhara khana leke aati hoon..........
 
Kashish ab bahar sujal ke liye khana lene chali jati hai........

Kashish (to herself): Sujal maine tumse to keh diya ki main tumhari purani wali Kashish lauta dungi.........lekin samaj me nahi aata kaise lauta paungi............jo Kashish khud andar se tut gayi ho woh kya kisi ka sahara banegi.........muje maff karna maine tumse jooth bola.........lekin main tumhe aur taklif nahi dena chahti thi.........i am sorry Sujal..........ho sake to muje maff kar dena..........

***************************************************************************************

Tringg..............tringg......

Prerna: hello.........kaun bol raha hai..........

Person: jee mera naam Neha hai......kya main Kashish Garewal se baat kar sakti hoon...........

Prerna: lekin tum kaun.......

Neha: jee......main unki office se bol rahi hoon.........woh unka mobile nahi lag raha tha is liye.........maff karna lekin bahot zaroori kaam hai.........

Prerna: ek minute........main use bulati hoon........

Prerna: Kashish..............

Kashish: jee mama.......

Prerna: yeh le tera phone hai.......

Kashish: kiska.........

Prerna: teri office se kisi Neha ka.............

Kashish: Neha.........yeh kaun hai........laiye mama........

Prerna Kashsih ko phone deti hai.......

Kashsih: hello.........

Neha: Kashish......

Kashish: haa.......lekin tum kaun ho......main kisi Neha ko nahi janti............

Neha: aap muje nahi janti lekin main aapko janti hoon...............muje darsal aapke pati ke bare me kuch baat karni hai...........aapse mera milna bahot zaroori hai..........main aapke pati pe honewale hadse ke silsile me milna chahti hoon...........kya aap muje Metro Mall ke bahar mil sakti hai.........aur haa akele aaiyega..........

Kashish: tum yeh sab kaise janti ho........aur main kyun tum per yakeen karoon.........

Neha: dekhiye muje koi paise nahi chahiye........main sirf aapke pati ki jaan bachana chahti hoon....yeh sirf main apne BF ke liye kar rahi hoon....jee main Ranbir ki GF hoon..........Ranbir aakhir me sirf aapke liye kaam karta tha.........ab aapko mujpe yakeen ho to ek gahte me muje Metro Mall ke bahar milyega..........main aapka intzaar kar rahi hoon.........

Kashish: lekin main tumhe kaise pehchanungi........

Neha: jee maine blue rang ka dress pehna hai.........

Kashish: thik hai main abhi aati hoon........bas wahi mera intzaar karna ...........

Neha: lekin jaldi aaiyega.......

Kashish: main bas nikal hi rahi hoon............bye.......

Neha: bye...........

***************************************************************************************

Kashish ab Metro Mall pahonchti hai jab woh Neha ko dekhti hai aur uske pass jati hai..........

Kashsih: neha.........

Neha: jee...........mene hi aapko bulaya hai.............main aapko Ranbir jo aapse kuch kehna chahta hai woh kehne aayi hoon.............

Kashish: Ranbir ka muje bahot afsos hai........main nahi janti ki is khel me use apni jaan bhi gawa deni padegi...........I am really sorry.........

Neha: jo takdir me hota hai wahi hota hai..........aur muje aapse koi sikayat nahi.........main sirf itna chahti hoon ki main apne pyaar ko nahi bacha payi shayad.........aap apne pati ki jaan bacha paye........

Kashish: kaun hai woh jo bar bar mere pati ke saath is tarah.............tum chup kyun ho batao muje..........

Neha: jee Ranbir ke jane ke bad kuch din ke bad main uske ghar gayi waha uski diary aur uske almari se muje bahot kuch aisa mila jo main aapko pehle bata dena chahti thi...........lekin jab tak main aapke pass aayi tab maine dekha ki aap to pehle hi apna pati kho chuki hai is liye main wapas mud gayi kyunki iske bad main aapki jaan khatre me nahi dal sakti.........lekin kal maine news me dekha ki aapke pati wapas aa gaye aur uspe phir se woh hamle hone lage hai...........tab main aur chup nahi reh saki...........main sirf aapko aur aapke pati ko bachana chahti hoon kyunki Ranbir bhi yahi chahta tha...........aur aapke saath yeh jo kar raha hai woh her waqt aapke saath maujud hote hai............

Kashish: mere saath.........mere saath to mera parivar rehta hai aur woh yeh sab nahi kar sakte...........tumhe koi galatfemi huyi hogi.........

Neha: main aapke gharwalo ki nahi kisi aur ki baat kar rahi hoon...........main baat kar rahi hoon Tushar ki........

Kashish: TUSHAR...........nahi woh aisa nahi kar sakta mere saath........nahi tumhe shayad galatfemi hogi.........

Neha: main janti thi ki aapko meri baat pe yakeen nahi hoga............yeh rahe phone ke records jo phone aapko aate the woh aur nahi Tushar hi kar raha tha..........lekin yeh rahe sare photographs..........jaha unhone aapke pati ko aakhir me marne ke liye paise diye the tab ki............aur is tape ko suniye.........phir aapko yakeen aajayega...............

Tape: Raghav.........main chahta hoon ki Sujal ko usi din khatam kiya jaye jis din uski shaadi ki saal girah hai..........is bar Kashish ko aisa tohfa dunga ki woh zindagi bhar yaad rakhegi..........yeh muje dhoka dene ka anjaam hai...............ab us Kashish ko pata chalega ki jab apna pyaar khud se durr jata hai to kitni badi taklif hoti hai.........main use isi tadap me dekhna chahta hoon..........

Neha: ab bhi aapko meri baat ka yakeen nahi to yeh raha Ranbir ke mobile ki clip ise dekh lijiye yeh tab ki hai jab Tushar ne Ranbir ko mara..........ab aapko aur kitne saboot chahiye..........yeh phone records......yeh photograph..........yeh tape........yeh video clip joothe nahi ho sakte..........aur is kaam me unke do bhai unki madad karte hai..............aap kuch bol kyun nahi rahi............Kashish......

Kashish: kuch samaj me nahi aa raha.........yeh sab kaise sach ho sakte hai..........koi insaan khud itna karne ke bad meri madad kyun karna chahta tha.............usne dost banke mere saath achcha nahi kiya........kuch nahi samaj aata ki kya karoon............

Neha: yeh sab saboot aap rakhiye..........ab muje isse koi vasta nahi.......yeh ranbir ki amanat thi jo main aapko sonp rahi hoon........lekin kuch bhi karne se pehle ek bar apne pati se baat kar lijiye...............

Kashish waha se sab kuch leke jane lagti hai.........

Kashish(to herself): kyun kiya tumne aisa Tushar mere saath..........maine tumhe apna dost mana aur tumne dosti to nahi nibhayi lekin dushmani khub nibhayi...........tum apna banke her waqt meri hi pith pe khanjar chalate rahe aur muje kisi ki khabar bhi nahi huyi...........kyun kiya tumne aisa mere saath............tumne mera yakeen tod diya,,,,,,,,,,aur woh bhi Sujal ke saath..................sujal abhi use batana bahot zaroori hai.................

Kashish waha se ghar ke liye nikal jati hai...........

***************************************************************************************

Sujal(to himself): yeh Kashish kaha reh gayi............kabse phone laga raha hoon lekin uthati nahi..........aur use gaye bhi do gahnte ho gaye........kahi woh kisi musibat me...

Sujal bahar jake Prerna se puchta hai lekin use bhi khabar nahi hoti ki woh kaha gayi lekin prerna use samjati hai ki thodi dair me aajayegi............Sujal wapas apne kamre me chala jata hai.......

Kashish; Sujal...............

Sujal: Kashish ..........
 
Kashish: Sujal......tumse kuch kehna hai.....aaj main tumhe jo kehne ja rahi hoon shayad use sunke tumhare hosh ud jayenge............
 

Sujal: lekin pehle tum yeh batao ki tum gayi kaha aur tum itni ro kyun rahi ho........Kashish saff saaf kaho kya hua........

Kashish: Sujal ......hamari zindagi me hamara dushman aur koi nahi balke TUSHAR hai......................Sujal aaj jise me milke aayi hoon usne muje tushar ke khilaf sare saboot diye hai...............tushar hi hai jo tumhari jaan lena chahta hai...........yakeen nahi ho raha na muje bhi nahi ho raha tha.......lekin yahi sach hai.............kyun kiya usne hamare saath aisa Sujal............kyun...........
 

Sujal: yakeen to muje bhi nahi ho raha ki Tushar aisa kar sakta hai.........kitna gir gaya hai aaj woh meri nazro me.........kya mila use yeh sab karke aur meri uske saath aisi kaun si dushmani hai jo woh mere saath......

Kashish: nahi Sujal.......uski dushmani kabhi tumse thi hi nahi..........gunegar to main hoon.........meri galti ki saza tumhe mil rahi thi.....tumhara kabhi koi kasoor hi nahi tha..........aur yeh aanshu ke jimedar bhi tum nahi main thi..........meri waje se tumhe itna dard uthana pada............meri ek galti ki saza itni badi........
 

Sujal; aisa mat kaho..........yeh jo kuch bhi ho raha hai uski jimedat tum nahi ho.........aur muje tumse koi sikayat nahi............tumhare liye to main apni jaan bhi de sakta hoon..........main to khusnaseeb hoon jo muje yeh sabit karne ka mauka mila..............is sach ke bad hamare rishtey me koi badlav nahi aayega..........main aaj bhi tumse utna hi pyaar karta hoon jitna pehle se..........

Kashish: Sujal tum kis mitti ke bane ho...itna hone ke baad bhi mujse.......jiski waje me hoon tum usse kaise pyaar kar sakte ho.....main yeh janti thi ki tum ek achche insaan ho lekin is had tak.........is had tak main nahi jani thi ki tum mujse pyaar karte ho.........aaj to tumne sari had par kar di..........lekin sujal ab muje bahot darr lag raha hai...........hum yahaan se bahot durr chale jayenge........hum kahi aisi jagah chale jayeneg jaha unka saaya bhi saath na de...........ab hum yahaan nahi rahenge........muje is jagah se ab darr lagne laga hai..............Sujal ab main tumhe nahi kho sakti........
 

Sujal: kashish meri aur dekho..........hum kahi nahi jayenge.........hum darr ke kahi nahi jayenge....yeh hamara ghar hai aur hum apne ghar se durr kyun jaye......hum use uski kiye ki saza denge...........hum darr ke bhagnewalo me se nahi..........zindagi me itni muskil waqt ka humne saath milke samna kiya hai ........is bar jeet sirf hamari hogi...........suna tumne sirf hamari..........lekin iske liye muje tumhara pyaar aur saath chahiye kyunki unke bina main kuch nahi kar paunga.......dongi na mea saath............

Kashish: kehne ki zaroorat hai.........aaj tak diya hai aage bhi dungi...........
 
Sujal: kashish...........bahot pyaar karta hoon tumse ab tumse durr nahi reh paunga........
 

Kashish: haa sujal......main bhi tumse durr nahi reh sakti........bahot pyaar jo karti hoon tumse..............

***************************************************************************************

ab sham ko sab office se aate hai..........jaha Sujal aur Kashish sab ka intzaar kar rahe hai..........

Akshat: kya baat hai aap dono aise kyun bethe hai........aap dono itne pareshan kyun hai............

Sujal: haa........ek pareshani hai........aap sab se baat karna zaroori hai.........

Kavya: kya baat hai Sujal...........saff saff kaho..........

Sujal; kehne se pehle main aap sab ko kuch sunana chahta hoon.........

Tape: Raghav.........main chahta hoon ki Sujal ko usi din khatam kiya jaye jis din uski shaadi ki saal girah hai..........is bar Kashish ko aisa tohfa dunga ki woh zindagi bhar yaad rakhegi..........yeh muje dhoka dene ka anjaam hai...............ab us Kashish ko pata chalega ki jab apna pyaar khud se durr jata hai to kitni badi taklif hoti hai.........main use isi tadap me dekhna chahta hoon.........

Angad: yeh to Tushar ki aawaz......iska matlab Tushar yeh sab kuch...........

Sujal: aur ab bhi yakeen na ho to aap sab inhe dekh sakte hai........aapka yakeen aur bhi gehra ho jayega..........

sab log woh sare saboot dekhte hai...........

Kripa: muje yakeen nahi hota ki tushar is had tak..........

Kashish: haa Kripa...........ab kis per yakeen kare na kare yeh tai karna muskil ho raha hai.......jab koi apna hi aisa kar sakta hai to bahar ka to............

Angad: aaj main use nahi chodunga.........uski itni himmat ki woh tumdono ke saath is tarah......aaj main use sabak sikhake rahunga..........

Sujal: ruko Angad.........

Akshat: nahi bhaiyaa..........aaj uski khair nahi.........uski himmat kaise huyi mere bhai pe haath uthane ki........Angadbhaiyaa jo kar rahe hai bilkul thik kar rahe hai............chaliye bhaiyaa........

Sujal: Akshat aise jaldbazi se kuch nahi hoga.........

Kavya: Angad.........Sujal thik keh raha hai hum jake yeh saboot police me dete hai police apna kaam karna janti hai............

Angad: police sirf haath pe haath rakh ke beth ke tamasha dekh sakti hai...........ab sach samne aane ke bad tum chahte ho ki hum bhi tamasha dekhta rahe...........

Charu: Kavyabhaiyaa..........Akshat sahi hai..........use uski kiye ki saza milne chahiye............

Sujal: use milegi............use uski saza milegi........lekin use saza dene ka hakk police ka nahi mera hai...........main aur Kashsih denge use saza...........aaj tak jo khel usne hamare saath khele woh bahot ho gaye......ab se is khel me jeet hamari hogi..........hum ab uski aur jaal bichayenge............ab agli chal hum chalenge...........

Anjali: main kuch samji nahi..........yeh sab kaise mumkin hoga............

Sujal: use abhi tak pata nahi ki hume sachchai maloom pad gayi hai..........hum sab ka bartav aisa hi hoga jaise pehle tha...........jaise kuch hua hi nahi........

Kripa: itna hone ke bad tum keh rahe ho ki hum use tameez se pesh aaye...........mera jee karta hai ki uske chehre se sharafat ka naqaab noch loon..........

Sujal: hum jaldbazi me koi galat kaam nahi karenge............main bhi use tadapte dekhna chahta hoon..........pehle main usse uska business chinuga phir uska ghar uski sari property jab tak woh khud hamare pair me apni maut ki bheekh nahi mangta..........aaj tak usne jo aanshu hume diye hai uska hum hisaab lenge.............ek ek aanshu ka hisaab hoga..........

kavya; lekin tumhe kaise maloom ki woh aage se aisa kuch nahi karega..........agar kal jo hua phir se hoga to............

Kashish: main bhi yahi kehne ki koshish kar rahi hoon lekin meri yeh sunta nahi...........sujal woh bahot hi khatrnak hai aur woh yeh koshish bar bar karta rahega.........

Sujal: nahi karega.........maine kuch socha hai............hum kal hi uske pass ek business deal leke jayenge...........aur jab tak woh project pura nahi hota woh muje haath bhi nahi laga sakta kyunki use pal pal meri zaroorat padegi meri signture ke liye............ab bhi aapko mujpe yakeen nahi...........
 

Angad: tujpe to khud se jyada yakeen hai lekin us kameene tushar pe nahi..........

Sujal: agar tumhe mujpe yakeen hai to tum mera saath donge.........is jung ko jitne ke liye muje aap sabki zaroorat hai..........kya aap sab mere saath hai...........

Kripa: hamesha se..........hum sab ek parivaar hai.......hum me koi alag alag nahi..........humme se chaut kisi ek ko zaroor lage lekin uska dard hum sabko hota hai...........agar koi ek rota hai to aanshu sab ki aankhoin se behte hai...........hum ek ki khushiyon me hum sab ki khushiyaan hai..........hum sab saath saath jite hai......hum sab ek dusre ke liye jite hai.......

Sujal: thank you............

Angad: bahar walo ki tarah tu bhi hume thank you kehne laga..........apna thank you hume us din dena jab hum us tushar ki jam ke pitai kare...........

Akshat: bhabhi...........aaj kya ghar pe khana nahi bana...........

Kashish: bana hai......sab ke liye bana hai...........chale..........

sab log dinner ke liye chalte hai...........

 

 

 

 

goodkashish2008-08-18 23:34:38

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (9)

kashsih plzz continue soon.....

16 years ago

Plz plz continue soooooooooooooooooon...I am waiting for next update eagerly.............plz update sooooooooooooooooon

Thanks in advance

16 years ago

Plz plz keep up the good work!! and continue sooooooooooooooooon plz

16 years ago

amazing part
finally they got 2 no tushars truth

16 years ago

yaar aj k part ne to khush kardiya...relli m so hapy they all found out... ab hopefully sab wesa he hoga jese sujal ne plan kia hai and iss bar jeet hamesha sujal ki hogi, n hopefulli nothin will go rong aur tushar along with rishi n swayam will b trapped under sujals plan...yaar cant wait for the plan to begin....plz cont soon....

16 years ago

nice part kashish.......wowww ab sujal inkii band bajayegaa.....yipeeee......amazing part....kuhu98pihu2008-08-20 07:36:56

16 years ago

awesome part kashish ....all emotions r very well define.............aur ab to tushar ka sach bhi sabke samne aagay....ab sujal uski band bajayega.i m waiting....i want to kill tushar...he is damn ganda........................i hope ab jakdi se sab theek ho jaye

16 years ago

very nice part.........ahaa kashish sujal ko tushar ka pata chal gaya yeh to bohot acchi baat hai ....

plzz continue soon...

16 years ago

Hi Kashish
Awsome part yara..very well written Kya baat hai ..guru ki..... qabil-e-tareff......... .part was full of emotion.
Bahut khushi hue ki asli villan logon ki pahchan hoagye aur sujal ne Tushar and compny se badla lene ke liye jo plan banaya hai its great and intresting...bahut maja aayega..........bahut khoob likha hai aapne, humey bahut pasand aaya...aap yu hi likhtey rahiye.aur hum hamesah padte rahenge.part was really nice.

Keep up the good work

And please continue soon.

Take care
God bless u

16 years ago

Top