Chapter 91

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

 

Part-91

Ab subaah hoti hai.........Sujal abhi bhi so raha hota hai jab Kashish use uthane ke liye aati hai...............

Kashish: Sujal.........

Jab Kashish dekhti hai ki Sujal kitni gehri neend so raha hota hai...........
 
Kashish (to herself): kitna achcha lagta hai tumhe is tarah dekh ke..........mathe pe ek pareshani ki lakeer bhi nahi..........lekin phir kya.......aankh khulte hi sari pareshani shuru ho jati hai.........main janti hoon ki is waqt mujse jyada tumhe is baat se dukh hua hai kyunki mujse jyada tumne Tushar pe yakeen kiya tha.......lekin tum apne maksad me zaroor kamyab honge aur yeh mera dil keh raha hai................
 

Kashish ghadi me dekh ke phir Sujal ke pass jake bethti hai.........

Kashish (runs her fingers in his hair): Sujal........utho.......dekho subaah ke sade saat baj gaye........
 

Sujal puts his head on her lap...........

Sujal: Kashish bas panch minutes aise hi sone dona.........

Kashish: tumhe dair ho jayegi........aur tumhe yaad hai na tumhe Tushar ke saath meeting karni hai...........

Sujal: haa muje yaad hai.........Kashish........tumne us Tushar ki waje se bahot kuch saha hai.........bahot se aanshu bahaye hai tumne.........usne tumhe ek dardbhari zindagi jine pe mujbur kiya.........aur main kuch nahi kar saka..........ho sake to apne Sujal ko maff kar dena..........
 

Kashish Sujal ke hoth pe apna hath rakh deti hai..........

Kashish: apna bhi kehte ho aur ek hi pal me paraya bhi keh diya............mafi mangke kyun muje sharminda kar rahe ho.........aur maine tumse kaha hai na ki pyaar me mafi ki koi jagah nahi hoti...........aur tumhe main nahi samjugi to aur kaun samjega............aur yeh jo kuch bhi hua woh naa tumne kuch kiya na maine...........kisi teesre ki gunaho ki saza hume mili hai........isi liye mafi tumhe nahi balke ab Tushar ke mangne ki bari hai.........
 

Sujal: haa Kashish...........tum sahi keh rahi ho.........ab yeh waqt ghar beth ke sochne ka nahi..........kuch kar dikhane ka hai........lekin hume ek ek kadam phunk phunk ke rakhna hoga..........kyunki ab itna to sambhal hi gaye hai ki Tushar kis chalak dimag hai.......lekin ab hum uske khilaf usiki chal chalenge..........Kashish is khel ko main tumhare bigar nahi jeet paunga.....kya tum muje jeetne pe madad karogi.....waise tum mere saath to hona.......

Kashish: tumhari jeet meri jeet hai..........aur main kabhi tumhara saath naa doon aisa to kabhi ho hi nahi sakta.........main her waqt tumhare saath hoon........aur agar nahi bhi to yeh rudraksh tumhare saath hai jisme mera pyaar hai mera vishwas hai........aur main janti hoon ki mera sujal kabhi mere pyaar aur vishwas ko harne nahi doga.........
 

Sujal: suno.......main nikalta hoon muje dair ho jayegi aur abhi muje Tushar ke yaha bhi jana hai.........

Kashish bina kuch kahe khidki ke pass khadi reh jati hai.........

Kashish: Sujal........tum akele kahi nahi ja rahe .........tumhare saath main chalungi kyunki muje Tushar pe bharosha nahi aur main tumhe akele khatre se ladne nahi bhej sakti...........

Sujal: agar tum hi darr gayi to main bhi himmat har jaunga..........aur rahi baat mere saath aane ki to tum mere saath nahi aa sakti.........agar tum saath chali to unhe humpe shak ho jayega...............
 

Kashish: thik hai main nahi chalungi.....main tumhare maksad me koi rukavat nahi banna chahti lekin kam se kam meri tasli ke liye Angad ko apne saath le jao........ple mere liye..........

Sujal: thik hai.......main tumhari baat ko kaise tal sakta hoon........main akele nahi jaunga Angad ko saath leke jaunga..........filhal muje deri ho rahi hai main taiyaar hone ja raha hoon..............
 

Kashish: thik hai...........main tumhare kapde taiyaar rakhti hoon...........

***********************************************************************************

Ab Sujal taiyaar hoke Angad ke saath Tushar ki office pahunchta hai...........

Tushar: are aap dono......what a plesent surprize..........aao betho naa.......

Angad (to himself): plesant surprize hum tuje bahot jald denewale hai......tune hamare Sujal ke saath.........uski saza to tumhe bahot jald milegi.........

Tushar: to yaha aane ki koi khaad waje ya aise hi.........

Sujal: waje to hai aur woh bhi bahot khaas..........kyun Angad........

Angad: haa Tushar.........aaj jo hum tumhare liye jo proposal leke aaye hai woh tumne kabhi sapne me bhi nahi socha hoga........

Tushar: main kuch samja nahi...........

Angad: lagta hai tum to sab jan ke bhi nasamaj banne ki koshish kar rahe ho.........

Tushar: ab iska kya matlab..........

Sujal: tum is Angad ki baat ko chodo.......ise to mazak karne ki aadat hai.............main tumhe batata hoon ki baat kya hai............woh darsal hum Garewal ke us Dream Project ke partnership ke bare me baat karne aaye hai............

Tushar: partnership........lekin us din to tumne kaha ki..........

Sujal: haa lekin uske baad maine bahot socha........aur tum to jante ho ki itne bade project ko koi bank wale loan dene ko taiyaar nahi hoga..........aur tumse achcha muje finance kaun kar sakta hai...........to kya kehte ho.........tum to sari details jante hi ho..............

Tushar (to himself): yeh offer to bahot hi achcha hai lekin Sujal............koi baat nahi ise main is project ke pure hone ke bad ise apne raste se hata dunga.............

Sujal; kis khayal me kho gaye..........

Tushar: kuch samaj me nahi aa raha ki kya kahoon.........mera matlab.....main bahot khush hoon is offer ko leke.......muje manjur hai yeh offer............

Sujal: great..........ab to bahot aasan kar diya tumne hamara kaam..........

Tushar: aasan.....

Sujal: finance ki problem.........

Tushar: oh yaa..........

Angad: lekin ek baat main aap sabko bata doon ki is project ko Garewal ki aur se Sujal dekhega............is liye yeh offer Sujal hi sign karega..........

Sujal: lekin pehle Angad Tushar se bhi puch lo...........unhe to koi aitraz nahi.......

Angad: kaisi baat kar rahe ho.......inhe kya aitraaz ho sakta hai.............tum to aise keh rahe ho jaise agar tumne yeh deal sign kar di to woh tumhe jaan se mar denge.........

Tushar: uhhh.........uhhhh..........

Sujal: kya hua......tum thik to ho........

Tushar: haa........main thik hoon lekin Angad .......

Sujal: are tum bhi abhi tak inhe nahi pehchan sake......ise to aadat hai mazak karne ki..........her pal mazak karta rehta hai..........to deal sign kare........

Tushar: jee kyun nahi..........

Tushar aur Sujal dono deal sign kar dete hai............

Angad: bahot bahot mubarak ho.........

Tushar: aapko bhi.......

Sujal: congrets Tushar........

Tushar: tumhe bhi......

Sujal (to himself): Tushar...........jitni khushiyaan manani hai mana lo...........kyunki jo aag tumne hamari zindagi me lagayi hai usme ab hum nahi tum aur tumhari yeh kali kartute jalegi...........jitne aanshu tumne Kashsih ko rulaye hai us ek ek aanshu ka badla lunga main tumse...........tumhe ek ek aanshu ki kimat chukani hogi .............

***********************************************************************************

idhar ghar me Kashish pareshan hoke yaha se waha chal rahi hoti hai aur aaj Kripa ki tabiyat thik na hone ki waje se woh gahr hoti hai...........

Kripa: Kashsih..........pichle do ghanto se tu yaha se waha chal rahi hai ab tumhe dekhte dekhte muje dard hone laga hai...........thodi dair ke liye beth jana...........

Kashish: kaise beth jau Kripa.........do ghante ho gaye hai aur Sujal ne muje phone bhi nahi kiya...........use to koi parwaah hi nahi ki main yaha kitni bechain ho rahi hoon.........pata nahi kya hua hoga..........Tushar ne deal sign ki hogi ki nahi..........

Kripa: tu na........tuje bewaje pareshan hone ki aadat ho gayi hai.................

Kashish: bewaje.......tu ise bewaje keh rahi hai......Sujal Tushar ki office gaya hai aur tu hai ki.........

Kripa: lekin Sujal ke saath Angad hai na........

Kashish: Phir bhi ab muje Tushar pe bharosha nahi......lekin yeh Sujal bhi na khud ka phone off hai aur ........

Kripa: tu aaj kal Sujal ko leke jyada hi darr rahi hai..........Sujal ne kaha na ki ab Tushar kuch nahi kar payega.........

Kashish: nahi Kripa.......muje apni fikar nahi lekin muje Sujal ki chinta ho rahi hai kyunki is waqt woh bahot pareshan rehta hai.......kal raat bhi thik se soya nahi aur aaj subaah bhi bina naste kiya chala gaya........woh mujse kehta nahi lekin kya main nahi janti..........main sabkuch dekhti hoon.........lekin main kuch kehti nahi.........kyunki main hi tut gayi to uska kya hoga...........

Kripa: main samaj sakti hoon lekin aise pareshan hone se kya hoga......

Kashish: lekin ab muje yeh baat tang kar rahi hai ki kahi Tushar hume hi dhoka na de..........mera matlab Sujal ne sare Garewal Industry pe risk uthaya hai..........

 
Kripa: kya tuje Sujal pe bharosha nahi..........

Kashish: nahi aisa nahi.........Sujal pe muje khud se jyada bharosha hai...main janti hoon ki woh jo kuch bhi karega bahot soch samaj ke karega lekin Sujal ko khone ka darr lagta hai..........darr lagta hai Sujal se durr hone ka........bahot seh chuki hoon ab nahi saha jayega..................

Kripa: tu teri jagah sahi hai.........

Tringggggggg............Tringg...........

Kripa: lo aa gaya tumhara Sujal ka phone.......tu baat kar main chali andar............

***********************************************************************************

Kashish: Sujal.......kitni dair kar dii.......aur phone kyun tumhara off tha....kitni dair se koshish kar rahi thi aur tum ho ki........kya hua ........Tushar ne deal to sign ki.........

Sujal: itne sare sawaal ek saath........muje thik tarah se saans to lene do.........abhi office me aake sabse pehla kaam tumhe phone karne ko kar raha hoon.........

Kashish: sab kuch thik to raha naa.........

Sujal: haa bilkul jaisa socha tha waise hi ho raha hai...............maine is liye phone kiya kyunki main janta hoon ki tum kitni pareshan hogi...........pareshan mat ho Tushar ne deal sign kar di hai aur woh ab mera kuch nahi bigad sakta.............

Kashish: achcha hai..........ab muje thodi to shaanti milegi........

Sujal: haa to kya hum yeh sab thodi dair ke liye side pe rakh sakte hai.........hum kuch apne bare me baat karte hai..........

Kashish: apne bare me ...........apne bare me kya koi baat karne layak hai........

Sujal: hai naa..........bahot kuch hai..............

Kashish: bahot kuch.......

Sujal: haa...........yaad hai maine tumhe kaha tha ki maine mere janamdin pe ek special surprize plan kiya hai.......

Kashish: haa.......lekin ab uska koi faida nahi.........tumhara janamdin chala gaya.......

Sujal: are tum puri baat to suno...............main soch raha tha ki kyun na hum is sunday ko apne farm house pe chalte hai.........

Kashish: muje kahi nahi jana.......

Sujal: tumhe to aana hi padega........

Kashish: are.....ajeeb zabardasti hai...........kaha na nahi aaungi..........

Sujal: tum muje achchi tarah se janti ho.....uthake le jaunga.........

Kashish: phir bhi main tumse baat nahi karungi waha jake.........

Sujal: hum waha baat karne thode hi ja rahe hai........hum to waha.......

Kashish: kuch to sharam kariye...........waha pe officewale kya soch rahe honge..........

Sujal: yahi ki sir apni wife se kitna pyaar karte hai........

Kashish: lagta hai tumhe koi kaam nahi aaj office me..........

Sujal: kaam to bahot hai lekin jaan tumse baat khatam karne ka dil nahi karta.........

Kashish: apne dil ko sunday tak sambhal ke rakho.........

Sujal: iska matlab tum aa rahi ho........

Kashish: kabhi aisa ho sakta hai ki tum kahi muje le chalo aur main na aau...........

Sujal: to thik hai taiyaar rehna.........bahot dino ke bad tum mere haath aane wali hoon.......is bar yeh moka nahi chodunga.......

Kashish: ab tum romance karna bandh karo aur kaam shuru karo.......kaam vaam kuch karte nahi tum...........aur ghar kab tak aaoge.........

Sujal: saat sade saat tak.........kyun koi khaas baat.........

Kashish: nahi bas aise hi puch rahi thi.........aur tumhara office lautna mere liye to her din khaas baat hai.........achcha ab main rakhti hoon tum apna kaam karo........bye..........

Sujal: pehle mera jawab........

Kashish: i love you............

Sujal: aise nahi........

Kashsih: i love u sujal...........ab khush.......

Sujal: bahot........

Kashsih; aur mera jawab kaha hai.........

Sujal: i love you kashish........bye.........

Kashish: bye.........aur waqt pe lunch karna...........

***********************************************************************************

ab raat ko dinnar ke bad Sujal aur Kashsih bahar garden me bethe huye hote hai.........

Kashish: Sujal tumse kuch kahoon.....bura to nahi manoge na.......

Sujal: nahi kaho.....kya kehna hai..........

Kashish: Sujal........aaj Tushar hamare saath kuch na karta to aaj hamare saath ...........aaj hamare saath hamara bacha hota........woh kitna bada ho gaya hota na...........

Sujal: aaj bhi us baat ko bhuli nahi...........

Kashish: kaise bhul jau Sujal........aur kya tum bhool paye ho......nahi naa Sujal tum kehte nahi iska matlab yeh nahi ki main kuch samajti nahi.........sab janti hoon main........

Sujal; haa aaj woh hamare saath hota to shayad aaj woh hume Mama aur Papa kehke bula raha hota............

Kashish: kitna pyaara lagta na woh............woh na bilkul tumpe jata........jante ho kyun kyunki use bhi apni mama ko satane me bada maza aata tha tumhari tarah...........

Sujal: aakhir meri beti thi meri tarah hi hogi.........

Kashish: kyun beta bhi to ho sakta tha.........

Sujal: lekin muje beti chahiye thi.........

yeh kehke Sujal dusri aur chala jata hai kyunki woh apni aankh me aanshu kashish ko dikhana nahi chahta tha.............

Kashish: Sujal.....isme us masoom ki kya galti thi.........kyun meri galti ki saza us masoom ko mili.............main kabhi nahi chahti thi ki........

 
yeh kehke Kashish bhi tut jati hai.......

Sujal: Kashish........kyun........kyun tum apne aap ko kasoorwad keh rahi ho........hamara bacha jaha pe bhi hoga woh aaj bahot khush hoga kyunki unke maa baap hum hai..........aur tumne kya kuch nahi kiya hamare bache ke liye..........aur yeh sab kismat ka khel hai.........use na main na tum .........koi bhi nahi badal sakta.............shayad aisa hi soch lo upperwala nahi chahta tha ki hume kabhi woh sukh mile........

Kashish: lekin sujal her bar hamare saath hi kyun.............kya yeh pyaar karne ki saza hai..........hum bhi kyun dusre logo ki tarah nahi reh sakte...........pata hai aaj bhi main apne aap ko adhura mehsoos karti hoon.......aaj bhi jab khushi Anjali ko mama kehti hai to mere dil me ek aash lagti hai ki abhi koi muje bhi Mama kahega........lekin shayad mera sapna itna bada hai ki kabhi pura nahi hoga............

Sujal: tum hi kehti ho na........hume sabkuch upperwale ke haath me rakh dena chahiye......humne kabhi kisi ka bura nahi chaha..........kya pata woh bhi hume hamara bacha wapas lauta de.............

Kashish: kash tumhari baatein sach ho jaye..........kash tum jo keh rahe woh haqeeqat ban jaye........lekin main janti hoon ki woh kabhi sach nahi ho sakta.........is liye ab umeed bandhne se kya........dekho na maine to tumhe bhi rula diya............

Sujal: khud roti ho kehti ho ki main na rou.........Kashish ab nahi........ab in aankhoin me kabhi koi aanshu nahi aayenge...........aur hum dono ek dusre ke sahara banenge.......hum dono ekdusre ke liye kafi hai........hume kisi ki zaroorat nahi.............hum saath me khush rahenge..............agar rona pade to ek dusre ke aanshu bhi ponch denge...............lekin hum umeed nahi chodenge..........

Kashish: Sujal maine sabke bina jina sikh lliya lekin tumhare aur tumhare pyaar ke bina jina main nahi sikh payi..........aur main jii bhi nahi paungi..........

Sujal: bahot pyaar karti ho na to meri baat manogi..........hamesha mere liye khsuh raha karo..........

Kashish: koshish karungi...........I love u Sujal.......

Sujal: i love u kashish............

 

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (8)

yaar kashish this story of your's always touches my heart.. tumhare is story mein everything from the happiness, to joy, to sadness , to aasoo , to emotions,to romance everything is perfect..everything is present in this fanfic of your's....every emotion which i name will be there in your fanfic..& that too everything in this fanfic is perfect to the 'T'.... dear is fanfic mein mujhe sabse zyada joh baat pasand hai woh yeh hai , sujal-kashish ka pyaar.. un dono ka pyaar kitna atoot hai..kitna pyaara hai... unko joh koi bhii dekhega , unke dil se bas yahii ek dua niklegi kii un dono kii jodi ko kabhi kissi ki nazar na lage... the way sujal , kashish stand by each other, the way they both fight every situation and come out as true winners... jis tarah woh dono hamesha apne aap se ek dusare ke baare mein sochthe hao, kaise sujal ke bina kuch kahe kashish uske dil ka haal samaj lethi hai aur waise hii kashish jab kuch nahii kehthi aur sujal ka kashish ke dil ke haal ko samaj lena..all this is just beautiful..wonderful.. itna achcha likha hai.. sujal,kashish ka saath jab thak hai koi unka kuch nahjii bigaad saktha and i'am very sure kii sujal,kashish ke saath ko unke pyaar ko koi bhii nahii thod saktha.. sujal ne apna plan shuru kar diya hai..i'am so happy... ab sujal tushaar se kashish ke ek-ek aasoo ka badla lega.. sujal tushaar se har us dard , dukh ka badla lega joh usne usko,kashish ko aur uske pariwaar ko diya hai.. and i would completely love it.. waise the last scene..where sujal, kashish ke beech there was this emotional part , i cried when i read that... mujhse un dono kii yeh haalat dekhi nahii gayi.. i hope unhe unki woh khushi jald hii wapas mil jaye..aur unki zindagi mein khushiyaan dugna ho jaye... very good going.... kashish dear next part jaldi se post karna..me waiting for the next part very eagerly... sun_4232008-09-03 07:51:20

16 years ago

[QUOTE=goodkashish]

Part-91Ab subaah hoti hai.........Sujal abhi bhi so raha hota hai jab Kashish use uthane ke liye aati hai...............
Kashish: Sujal.........


Jab Kashish dekhti hai ki Sujal kitni gehri neend so raha hota hai...........


Kashish (to herself): kitna achcha lagta hai tumhe is tarah dekh ke..........mathe pe ek pareshani ki lakeer bhi nahi..........lekin phir kya.......aankh khulte hi sari pareshani shuru ho jati hai.........main janti hoon ki is waqt mujse jyada tumhe is baat se dukh hua hai kyunki mujse jyada tumne Tushar pe yakeen kiya tha.......lekin tum apne maksad me zaroor kamyab honge aur yeh mera dil keh raha hai................


Kashish ghadi me dekh ke phir Sujal ke pass jake bethti hai.........

Kashish (runs her fingers in his hair): Sujal........utho.......dekho subaah ke sade saat baj gaye........


Sujal puts his head on her lap...........


Sujal: Kashish bas panch minutes aise hi sone dona.........
Kashish: tumhe dair ho jayegi........aur tumhe yaad hai na tumhe Tushar ke saath meeting karni hai...........

Sujal: haa muje yaad hai.........Kashish........tumne us Tushar ki waje se bahot kuch saha hai.........bahot se aanshu bahaye hai tumne.........usne tumhe ek dardbhari zindagi jine pe mujbur kiya.........aur main kuch nahi kar saka..........ho sake to apne Sujal ko maff kar dena..........

Kashish Sujal ke hoth pe apna hath rakh deti hai..........

Kashish: apna bhi kehte ho aur ek hi pal me paraya bhi keh diya............mafi mangke kyun muje sharminda kar rahe ho.........aur maine tumse kaha hai na ki pyaar me mafi ki koi jagah nahi hoti...........aur tumhe main nahi samjugi to aur kaun samjega............aur yeh jo kuch bhi hua woh naa tumne kuch kiya na maine...........kisi teesre ki gunaho ki saza hume mili hai........isi liye mafi tumhe nahi balke ab Tushar ke mangne ki bari hai.........


Sujal: haa Kashish...........tum sahi keh rahi ho.........ab yeh waqt ghar beth ke sochne k

16 years ago


Hi Kashish

waiting eagerly for next part.......ab aur intezar nahi hota ..................plz plz plz plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz jaldi se update kar dijiye..........

Thanks in advance

Take care

16 years ago


I really like this ff alot excellent story. . plz plz update soon.......................................plz

16 years ago

wow kashish it was really very nice part...............finally tushar has signed d deal....ab uske band bajega.ganda kahin ka.waise wo bache do gande log kahan gaye that rishi and swayam.unka bhi to bajna chaiye ....wiase i liked angad's way of talking wid tushar.......aur sunday kya hone wala hai.........something must be special.plz continue soon

16 years ago

amazing part
cant wait till sujal tushar ko sabak sikhayega
i really liked the way u potrayed sujal and kashish emotions regarding their child i hope they get a child soon and then their family will be complete
the phone conversation between SK was reallly sweet and very romantic
i really liked the way angad spoke 2 tushar

16 years ago

kashish awesome part...... tushar ko ab maaza aayega sujal chode ga nahi isko..........kashish sujal aaj bhi apne bache ko leke kitna pareshan hai.......agee kya hoga can t wait.........khas tor pe sunday ka intezaar hai wapis kuch galat to nahi hoga na..

plz continue soon...

16 years ago

hi Kashish,

Wow awsome yaar its
really great part full of emotions and romance..aur bhi bahut
kuch.......part par kar bahut acha laga.....ab aayega maja ..Sujal
Tushar ko sabak sikhayega.........The pictures are really nice-2.......
I really like your way of writing ff and your passion in your work is
really remarkable. aap etna acha likh deti hain ki hamare paas alfaz kam
par jate hain comment likhne ke liye..I
really appreciate your efforts....Keep up the good work.

Thx for nice part

Plz continue sooooooooooooooooooooon

Take care
ajnabi_sahil2008-08-26 04:35:50

16 years ago

Top