Chapter 53

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-53

Us din ke baad aaj pura ek hafta gujar gaya hai..........ab to halat itne badal gaye hai ki nahi sujal kashish se baat karta hai aur nahi kashish ke kisi sawal ka jawab deta hai............Kashish ab nahi KnK boutique jati hai aur nahi to Garewal industries..........Aaj woh Prerna ki dawai lane ke liye bahar gayi huyi hoti hai jaha use dair ho jati hai.........

Kashish (in the car): Hello.......mama.......

Prerna: haa beta.........kaha ho tum.........kitni dair ho gayi tum thik to ho........

Kashish: main bilkul thik hoon......woh kisi accident ki waje se rasta bandh hai........lekin main aadhe ghante me ghar pahonch jaungi.....kya Sujal ghar pe aa gaya........

Prerna: Nahin..........abhi to koi ghar pe nahin aaya...........

Kashish: thik hai main jald se jald ghar pe phunchti hoon........

Prerna: kya baat hai...........tum kuch pareshan lag rahi ho.............pichle kuch din se tum boutique bhi nahin jati..............tumhari tabiyat to thik hai na.......

Kashish: Aisa kuch bhi to nahin.........main to darsar kaam karte karte thak gayi thi isliye socha kuch waqt aap ke saath bita doon.........

Prerna: kya aaj main wahi Kashish se baat kar rahi hoon jo is duniya ki sabse best desinger hone ke khawab dekha karti thi...........Kashish yeh boutique ab tumhare papa ka tumhare aur Kripa ke liye aashirwad ke saman hai..........kya tum apne papa ka dil dukhana chahti ho......

Kashish: nahin mama.........aap galat soch rahi hai.........mera aisa koi irada nahin tha..........aur aap yeh achchi tarah se janti hai...........

Prerna: Pata nahin pichle kuch dino se aisa lag raha hai ki kuch anhoni honewali hai.......

Kashish: mama ek ajeeb si becheni to muje bhi ho rahi hai...............pata nahin lekin aaj mera dil betha ja raha hai..........upper se kai log keh rahe hai ki bahot tej baris honewali hai..........bhagwan kare aaj yeh toofan yahi tham jaye............

Prerna; baat to tum thik keh rahi ho.........yeh toofan jab tak is ghar ke bahar hai tab tak hi thik hai.......

When Kripa enters.........

Prerna: achcha kashish..........ab main rakhti hoon.........kripa ghar aa gayi hai........

Kashish: jee mama......main bas pahonch hi rahi hoon..........

************************************************************ *****************

Kripa: kiska phone tha.......

Prerna: Kashish ka............woh bahar meri dawai lene gayi hai aur raste me kahi fas gayi hai lekin woh bas ab aa hi rahi hai.........

Kripa (sits on the sofa): achcha hai aaj kitne dino bad sab log saath me khana khayenge........

Prerna: thak gayi...........bahot kaam rehta hai.......

Kripa: Haa mama...........ab to muje mera aur Kashish dono ka kaam karna padta hai..........Pata nahin lekin pichle kuch dino se Kashish badal gayi hai.........meri woh hasti muskurati Kashish kahi kho gayi hai........

Prerna: sirf kashish hi nahin balke is ghar ke sabhi logo ki khushi koi chura le gaya hai.........

Kripa: sach kaha.........mama muje lagta hai hum sab logo ko chuti leke kahi chalna chahiye.........kaam bhi nahin rahega aur ghar se dur outing bhi ho jayegi......

Prerna: khayal to bahot achcha hai.........hum aisa karte hai kyun na Mumbai chale Anjali ke pass.........Waise uski delivary ka samay bhi najdig aa raha hai.......to uske aakhri waqt me hum uske saath rahenge aur ther sari masti karenge........aur muje bhi kuch waqt apne bacho ke saath bithane ko mil jayenga........

Kripa: excellant idea..........main aaj hi Angad se baat karti hoon........

Prerna: thik hai tum jake fresh ho jao.........sab log aate hi hoge........

************************************************************ *****************

Thodi dair bad sab log ghar aa jate hai aur fresh hoke khana khane bethte hai..........

Prerna: muje aap sab ko kuch batana hai........

Sujal: kya baat hai sab kuch thik to hai.....

Prerna: pehle muje shuru to karne do..........hum sab log kuch dino ke liye chuti pe ja rahe hai...........woh bhi Anjali ke pass.........use ab hamari zaroorat hai......aur is bahane muje mere bacho ke saath kuch waqt bitane ka bahana bhi mil jayega........

Angad: thik hai.........main sab ke jane ka bandobast karta hoon........

Sujal: lekin abhi office me ther sara kaam baki hai aur is tarah achanak........

Prerna: maine Mr. Sharma se baat karli hai woh sab kuch sambhal lenge..........

Angad: ab to koi problem nahin hai........

Kripa: nahin........hum log parso nilkenge.........aur yeh tai hai.......

Prerna: haa..........kashish.........tum zara phone karke Anjali ko bata dena........

Kashish: jee main aaj hi bata dungi.........

Angad; i am really excited for this trip........aakhir main hum log naye mehman se milne jayenge..........

Kashish (looking at sujal): wake hi yeh trip ka muje besabri se intzar rahega.........

Kripa: kya kaha.......

Kashish: kuch nahin........tum khana khao.........dair ho rahi hai.........

Sab log khana khake apne apne room me chale jate hai.........

************************************************************ *****************

Sujal study room me apne project pe kaam kar raha hota hai aur kashish khidaki ke pass kuch soch rahi hoti hai...........

Jab sujal kamre ke andar aata hai........

Kashish: kya baat hai bahot thak gaye huye lagte ho..........bahot sara kaam kya rehta hai.......main ghar pe hi hoon kal agar kuch kaam ho to batana........kya main tumhari kuch madad bhi nakin kar sakti ..........kuch to kaho.......

Sujal (in anger); kyun baar baar ek hi sawaal karti ho........

Kashish: kyunki muje tumhari phikar hoti hai........tum dair raat tak ghar nahin aate.......mujse baat nahin karte..............

Sujal: tumhe meri phikar karne ki koi zaroorat nahin.......main apna khyal khud rakh sakta hoon........

Kashish (tears in her eyes): janti hoon ki tum kitne bade ho gaye ho.........ab tumhe meri koi zaroorat nahin............lekin kya karoon bahot pyaar karti hoon........na chahte huye bhi yeh dil tumhare liye bechen rehta hai...........

Sujal: Pyaar vyaar kuch nahin hota ..........sab dikhava hota hai..........

Kashish (shocked): tumhare kehne ka matlab hai ki mera pyaar sirf dikhava hai..............

Sujal (nazre churate huye): Samajdar ho.........khud hi samaj sakti ho........

Kashish (roti huyi): mera pyaar dikhawa hota to main tumhare kehne pe is zindagi ke safar me tumhara haath na thamti........kya kuch nahin kiya maine tumhare liye..........apne papa ke khilaf jake maine tumhara saath diya yeh bhi jane bina ki tum mujse pyaar karte ho ki nahin........lekin tum kehte ho ki mera pyaar ek dikhava hai...........jab main bimar thi to maine is shaadi se inkar kiya kyunki muje sirf aur sirf tumhari khushi chahiye thi lekin tumne kaha ki tumhari khushi mujse hai ..........phir bhi aaj tumhe mera pyaar ek dikhava lag raha hai.........maine tumse shaadi karke apna ghar, apna saher, apni pehchan, apna sab kuch tumhare liye badal diya taki tum khush reh sako........lekin kya hua mera pyaar dikhave ka mohtaj ban gaya..........tumhare kehne pe maine phir se apna kaam shuru kiya aur tumhare hi kehne pe maine apna kaam chod diya kyunki tum yeh chahte the..........lekin aaj mere pyaar ko dikhave ka naam diya gaya..........kya main puch sakti hoon ki tumhe kisne hakk diya mere pyaar ko dikhave ka naam dene ka.........kisne.......

Sujal: tum muje kabhi samaj hi nahin payi.........aur nahi is shaadi ko.......meri hi galti thi jo maine tumse shaadi ki......

Kashish (holds him from his shirt): tumhara matlab ki yeh shaadi tumhare liye boj ban gayi hai..........kya ab main tumpe bhari hoon......

Sujal: achacha hua jo tum khud hi samaj gayi........

Kashish (apne kadam piche kar deti hai): tum badal gaye ho...........tum woh sujal nahin jise maine pyaar kiya tha.........jisse maine shaadi ki thi.........jante ho kyun kyunki mera sujal apni kashish ko itne dukh de hi nahin sakta......

Sujal: sach kaha main badal gaya hoon........tum badal gayi ho.........hamare halat badal gaye hai.........

Kashish: naa hi main badli hoon aur nahi mera pyaar......

Sujal (gusse me): Tumse baat karna hi bekar hai.......

Kashish: agar tum baat hi karna nahin chahte......nahi tum meri sakal dekhna chahte ho.........yeh rista ab tumhare liye boj ban gaya hai .........aur tumne kaha na ki tum bade ho gaye ho............tumhe meri koi zaroorat nahin..............is ghar me main tumhare liye aai thi aur tum hi nahin chahte ki main yahaan rahoon..........isse achcha main hi chali jao........kyunki ab muje lagta hai ki mere yaha rehne se tumhe taklif hoti hai.......

Sujal: tumne faisla kiya hai to sahi hi hoga........

Kashish: sujal......main is ghar ko chod ke ja rahi hoon...........ab bhi kuch nahin kahoge.......

Sujal: ab kehne ko kuch nahin raha...........(Sujal waha se bahar balcony me chala jata hai)

Kashish (screams): sujal main sach main ja rahi hoon............

Kashish gusse me aakar apne kapde bhar ne lagti hai jab kashish ki Chunari sujal ke kapde me fas jati hai..........

kashish ki bahot koshish ke bavjood bhi nikalta hi nahin.........kashish sabhi kapde beg me dal deti hai.........aur phir achanak kashish ko ehsaah hota hai aur woh tut jati hai......puri tarah se.........woh bahot zor zor se roti hai..........

itni zor se ki sujal ko bhi uski chikhe sunai deti hai..........

Kashish zameen se uthke beg leke room se bahar nikal jati hai.........

************************************************************ *****************

Kashish sidiyon se uthar rahi hoti hai jab kashish ke haath lagne se vase gir jata hai aur uske tutne ki aawaz se sab log bahar ate hai...........neeche hall me Prerna, Kripa aur Angad aate hai aur upper se sujal dekhta hai...........sab log kashish ko is tarah dekhkar pareshan ho jate hai.........

Kripa: Kashish yeh sab..........baat kya hai......kuch to bata.......

Kashish (to kripa): Sab kuch khatam ho gaya.......sab kuch.....mera yeh banaya hua aashiyana aaj khud hi apno ki thokar se tut gaya..........jaa rahi hoon........shayad ab main tumhare saath milke tumhara haath badha na saku..............(gives keys to her).......yeh is ghar ki chabiyaan hai........jis pe aaj tak mera hakk tha lekin jiski waje se mera is ghar se rista hai usne hi aaj mujse rista tod diya........ab is ghar ko meri zaroorat nahin.......lekin is ghar ko tumhari bahot zaroorat hai........ise kabhi bhi meri kami mehsoos mat hone dena...........

Angad: is ghar ko hum sab ko tumhari zaroorat hai...........tum is tarah se yeh sab chod ke nahin ja sakti..........

Kashish: Maine hamesha mama se shikha ki jo pati kahe wahi sach..........jo pati kahe wahi karne ka patni ka farz hota hai.........aur main wahi karne jaa rahi hoon........mere yaha rehne se sujal ko taklif hoti hai...........aur yeh main kabhi bhi bardashat nahi kar paungi.........is liye ple muje jane do........

Prerna: Kashish........tum kahi nahin jaogi..........main sujal se baat karti hoon.......

Kashish (holds her hand): nahin mama........agar main nahin gayi to sujal chala jayega .......aur is ghar ki nev sujal hai..........woh hi chala gaya to yeh ghar bhikhar jayega.......manti hoon ki aap sab ko meri zaroorat hai lekin mujse jyada aapko sujal ki zaroorat hai..........

Prerna: jitna yeh ghar sujal ka hai itna hi tumhara.........main sujal se puchti hoon ki aisi kya galti ho gayi tumse jo woh is tarah se.......

Kashish (roti huyi): nahin mama........aap kuch nahin puchegi......kyunki is sawaal ka jawab sujal ke pass bhi nahin.........shayad galti meri hi hai.........main ek achchi beti bhi ban naa saki kyunki apne papa ko aakhri bar dekh bhi na saki................ek achchi bahu bhi ban na saki kyunki aap se kiye huye vaade todke ja rahi hoon.........ek achchi patni banane ki puri koshish ki lekin woh bhi ban na saki kyunki bahot pyaar karti hoon main.......yahi kasoor hai mera ki maine apna sab kuch nauchake sujal se pyaar kiya badle me sirf yahi chaha ki sujal khush rahe lekin main yaha bhi piche pad gayi...........shayad mera pyaar hi kamzor tha ya muje kabhi pyaar nibhana hi nahin aaya........ristey to maine banana maine shikha lekin rishton ko nibhana nahi shikh payi.......(haath jodke)...........aap se maafi chahti hoon agar mujse koi galti ho gayi ho to muje maff kar dena.........

.

Prerna (hugs her): Bhagwan muje agle janam me tumhare jaisi beti de........tumse koi galti ho hi nahin sakti kyunki galti to mere bete se huyi hai......jo tuje aur tere pyaar ko samaj na saka.........mere bete ne tumahari kadar karna hi na shikh paya...........lekin kabhi bhi yeh mat kehna ki tum ek beti aur ek bahu na ban payi kyunki hum log bahot naseebdar hai jo tum hamare naseeb me aayi........main teri maa thi hoon aur hamesha rahungi.........chahe tu mere bete ki patni rahe ya naa.......

Sab log gusse se upper sujal ki aur dekhte hai........

sujal wapas apne kamre me chala jata hai.........Kashish apni palke neche karke ke......

Kashish: Angad.........kya tum muje airport tak chod sakte ho........

Angad: tum muje puch nahin sakti balke tumhara hakk banta hai..........chalo main tumhe chod deta hoon..........

Angad Kashish ka saman leke ghar ki bahar chala jata hai aur phir kashish bhi prerna ka aashirwad leke bahar chale jati hai.........

************************************************************ *****************

Kashish (was about to put her first feet out of the house): is ghar me tumhare saath tumhari patni banke aayi thi........socha tha ki is ghar se meri arthi hi uthegi lekin aaj tumne muje galat sabit kar diya........kitni yaadein.........kitni khushiyaan is ghar se judi hai.........ek pal me sab kuch tumne mujse chin liya........kyun hua mere saath.......

Kashish ghar ke bahar chali jati hai lekin use lagta hai ki abhi bhi kuch aisa hai jo use abhi bhi rokta hai.........

mudke piche dekhti hai to upper se sujal dekh raha hota hai

Kashish (to herself) Ek bar kehkar ke to dekho ki Kashish ruk jao.........ek kadam bhi aage nahin badhaungi.........ek bar to apni kashish ko pukar ke dekho.............ek bar meri aankhon me aankein dalkar kaha ki tum mujse pyaar nahin karte......Kyun abhi bhi dil ko yakeen nahin hota......kyun kiya aisa tumne.........

Sujal (to himself): Muje maaf kar dena.......muje koi hakk nahin banta ki main tumhe is tarah is ghar ko chodne pe majboor karoon......lekin kya karoon zindagi se majboor hoon..........tumhare pyaar me koi kami nahin hai......shayad upperwale ne meri taqdeer hi aisi banai hai.........lekin zindagi ki aakhri saans tak yahi upperwale se magunga ki jab bhi main dubara janam loon tab tum hi mera pyaar ho.......bahot pyaar karta hoon tumse.......itna ki yeh zindagi hi kam pad gayi........dil abhi bhi keh raha hai ki tumhe rok loon lekin woh bhi ab mere haath me nahin.......jao kashish jao.....isse pehle me tut ke tumhe rok loon.........kyunki main ek bar tumhare samne tut gaya to apne aap ko phir sambhal nahin paunga.......

Kashish mud ke jane lagti hai

aur sujal kashish ko rok ne ki koshish karta hai lekin bahot dair ho chuki hoti hai kyunki kashish car me beth gayi hoti hai..........

************************************************************ *****************

(at the airport)

Angad: kashish.......yeh lo tumhari ticket aur boarding pass.......ab bhi keh raha hoon ki ek bar phir se sujal se baat kar ke dekhte hai......

Kashish: ab uski koi gunjaish hi nahin.........sujal mera chehara dekhna nahin chahta to woh mujse baat kya karega.........

Angad: tumhari flight ka time ho raha hai..........apna khayal rakhna...........

Kashish: Angad.......aaj se sujal ki dekhrekh tumhe karni hai.............woh apna khayal nahin rakhega lekin tum rakhna........woh akela hai.......use tumhari zaroorat hai..........

Angad: aur tumhe......

Kashish: maine itne dino me bahot si yaadein bun li hai........wahi kafi hai mere liye.........khali haath nahin ja rahi........bahot si yaadein le ja rahi hoon apne saath.......chalti hoon.....

Kashish flight leke mumbai Anjali ke pass chali jati hai.............

goodkashish39636.7740856481

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (8)


really very nice written parts...very interesting twist in the tale....me feeling so bad for sujal & kashish..dono bechara...seriously feeling so sorry for them... woh dono ek doosre se alag rehkar tadap rahe hai...i just hope un dono ke beech sab jaldi theek ho jaye... i can't see them like this ek doosre ke liye tadapthe hue,udaas..... do post the next part soon..me waiting for it eagerly... sun_42339386.9154050926

17 years ago

whattttt the hellllll!!! is this. kashish has left that house. that is sooooo unfair.yeh saab kya horaha hai. sab kuch gadbad ho rahi hai.u know i think sujal ko blood cancer wagera kuch nahi hai.yeh shayad uss tushar ki chaal hai to seperate them becuase he knows that agar aisa kuch hua toh sujal kashish ka dil jaror todega because he won't like ki kashish ghut ghut ke jeye after knowing that he has cancer. this is sooooo bad and aweful. arggggggg!!!and what the hell is going on.sujal kashish se kitna rudely behave karta hai. aisa thodi na hai.pati patni haar sukh-dukh mein aik saath hote hai but sujal noooo... he is totally oppposite. he wants kashish with him only when there is happiness lekin jab sujal ke paas dard hota hai toh woh kashish ko apne aap se durr rakhta hai.kya woh janta hai, ya ehsaas hai usse ki uske dil pe kya gujarti hogi.noooo....i think ki he doesn't understand a girl's feeling and that too specially kashish's. balki agar woh kashish ko yeh baat batayega tph maybe he will be able to face this bitter truth with confidence and with strength. ho sakta hai ki shayad isse kashish bhi uski madat karde. but by doing this he is killing kashish every second and killing himself too in pain. i am really not feeling nice after reading this part. mere akhon mein aasoo aagaye that how can sujal do this to kashish and how can kashish leave that house just because sujal said so. jis ghar mein woh apne akhon mein sapne sajakar aayi thi,jis ki wajah se iss ghar mein itni khushiyan aayi thi, jis ghar ko aaj kashish ki jarurat hai aur jis sujal ko kashish ki itni jarurat hai joh sujal kehe nahi paaraha hai. uss ghar ko yeh pagal chod aayi. i didn't expected like that. i am really disappointed and sad because of their behaviour with each other.sab kuch toh barbaad ho chuka hai. pehele anurag chala gaya,toh saari responsibility sujal aur kashish pe aayi ghar ko sambhalne ki, prerna tutt gayi lekin khud ko sambhala. buisness ka saara tension sujal pe aagaya jiske wa

17 years ago

Kashish left sujal plsss don't do this i'm so sad plssssss cont.soon

17 years ago

really sad part... ..kashish left da house...i hope sujal is nt dieing n its all a lie...can't see sk like tht..cont soon...

17 years ago

omggggggg ghum after ghum... good part yaar!!! plz continue soon!!!!!!!!

17 years ago

nooooooooooo....yeh kya ho gaya yaar... vry sad yar...kyun alag kar diya dono ko...dono saath hi aache lagte hai not seprately.... jaldi milva do na dono ko plzzzzzzzzzzzzz..... wil be waitin for the nxt part....

17 years ago

nahin yeh nahin ho shakta....sujal ne kash ko nahin roka...aur kashish ghar chod ke chali gayi.....ufffff yeh sujal bhi na.....poor kahsish she have heard so much that she is broken

17 years ago

OmG yeh kya hogaya Kashish ghar chod kar chali gayi nahin yaar this is not happening aisa kaise hosakta hai . Plz continue soon yaar.

17 years ago

Top