Chapter 10
One hour before the party……………..
Kashish abhi bhi apne kamre me bina taiyaar hoke apne gusre huye kal ke bare me soch rahi thi jab sujal office se ghar aata hai………Sujal dekhta hai to kashish kisi gehri soch me hoti hai…………
Sujal: kashish……..
Kashish (comes to her sense); tum aa gaye……….muje to pata hi nahin chala…………tum betho main tumhare liye pani lati hoon………
Kashish uthke waha se chale jane lagti hai………..jab sujal kashish ka haath pakad ke use rokta hai………..
Sujal: Kya baat hai……..tum kuch pareshan ho…….kuch kehna chahti ho……..
Kashish: nahin to………..main to bas aise hi……….tum jaldi se taiyaar ho jao……….mehman aate hi hoge………
Sujal: Kashish……….kis se jooth bol rahi ho………mujse ya apne aap se……..agar tum mujse jooth bol rahi ho to main tumhe bata doon ki tumhari aankhen saaf saaf keh rahi hai ki tum jooth bol rahi ho……….batao kya baat hai………
Kashish: Pata nahin sujal………jab bhi meri zindagi me koi badlav aanewala hota hai to ek toofan aake meri puri zindagi badal deta hai………kal tak maine socha bhi nahin who aaj mere saath hua…….main jitni apni zindagi ko bandhne ki koshish karti hoon apne tarike se……lekin zindagi bhi apni hi aur se ruh badalti hai……….Kuch samaj nahin aata me kya karoo………..jo dil kehta hai who dimaag maanne ko taiyaar nahin aur jo dimaag kehta hai who mere dil ko manzoor nahin………ab tum hi batao ki main kya karoo……
Sujal: jaisa me karta hoon waise hi………….apne dil ki aawaz ko suno……….jab bhi koi muskil faisla karna ho to apni aankhen bandh karke jise tum sab se jyada pyaar karti ho uska naam le lena……..apne aap dil se ek aawaz aayegi……..kabhi kabhi hum sawaal bhi khud karte hai aur kahi na kahi jawab bhi hamare andar hi hota hai………
Kashish: Shayad tumne meri musibat hall kar di………..thank you for helping me……….
Sujal: Dost ko thanks or sorry nahi kehte………dost to hote hi khushiyaa aur gumm bantne ke liye…….
Kashish(looking into his eyes): sujal tum bahot achche insaan ho………
Sujal (smiles) : janta hoon ………..ab tum jake taiyaar ho jao…….sab log aate hi hoge……..
Kashish: hmmmmmmm
After some time party starts………guests start to come………..Anjali, kavya. Akshat, charu are here…………Veena and sujal are welcoming everyone…………..
Kashish ko chod ke sab log baat kar rahe the kyunki kashish abhi bhi taiyaar hoke neeche nahin aayi hoti………
Kavya: kaise hai who……….
Sujal: thik hai…………lekin chup chap si rehti hai……..
Charu: who to sirf isliye nayi jagah hai……….naya mahol hai……….kuch din bad sab kuch thik ho jayega…………
Akshat: muje lagata hai hume bilkul normally behave karna chahiye………
Anjali: I think you are right Akshat……….muje lagta hai ki kashish ko kal se hi hospital join karni chahiye………kya sujal tumhari kya rai hai……….
Sujal: pata nahin……..jitna me kashish ko janne ki koshish karta hoon utna hi aisa lagta hai ki main use kabhi samaj hi nahin pata……….pata nahin her waqt kisi ulljan me hoti hai……….kuch pucho to kuch aur hi batati hai………pata nahin kya chupane ki koshish karti rehti hai………
Anjali: sahi kaha……..kashish ko koi samaj hi nahin pata……….woh ek hi chiz hai jo hum sab se chupati rahegi…………apne gumm……….woh bahot khush hone ka dava karegi lekin andar hi andar apne aap me who ghutan mehsoos karti hogi……..main janti hoon ki is baar iski pareshani ki waja kya hai………..aaj se thik teen din bad Kashish aur Sameer ki shaadi huyi thi……..woh gusre huye kal aur aanewale kal ke beech kahi beech chorahe pe rasta bhul gayi hai…………sujal tumhe uska haath tham ke use apni manzil pe lejana hai……….Sujal meri baat ka yakeen karo jis din tum kashish ko samaj paoge us din tum apne aap apna pyaar bhi pa loge……….
Sujal: Shayad tum thik keh rahi ho………..pata nahin who din kab aayega……..
Akshat: who din to pata nahin lekin who dekho kashish aa rahi hai………..
Kashish sidiyon se uthar rahi hai aur sab ki nazar kashish pe hi hoti hai…………Kashish ne hare rang ki saari pehni huyi thi aur kitne sare gehne aur gale me mangalsutra aur maang me sindoor………kashish ko dekh ke shaayd chaand bhi sharma jata……….kashish hall me aake veena ke pass jake khadi hojati hai………..
Veena: bahot pyaari lag rahi ho……….aur yeh rang bhi tumpe bahot nikhar raha hai……….
Kashish: Party bahot hi achchi hai…………waise sab log hai kaha……….
Veena; Sab ka matlab……..sab yaheen to hai……..
Kashish: mera matlab sujal kaha hai…….
Veena: abhi to yahi tha………pata nahin yeh ladka bhi………
Jab kahi se piono ke baj ne ki aawaz aati hai……….sab log dekhte hai to sujal piono baja raha hota hai…….
bebasi dard kaa aalam, tum mujhe de do apne ghum (kashish sujal ko dekhti hi rehti hai)
khaamoshiyaan bhi do, tanhaaiyaan bhi do
(sujal kashish ki aur dekhta hai jiski aankhon me ek ajeeb sa dard tha)bechaaniyaa bhi de do, de do naa
(kashish ko sameer ke saath bitaye huye pal yaad aatehai)
bhigi palkon se churaa lungaa nami
(kashish ke aankhon se aanshu behne lagte hai)rehane dungaa naa, khahin koi kami
(Kashish apni nazre churakar dusri aur dekhne lagtihai)
tumko daaman naa bhigone dungaa
(sujal kashish ke pass aake uska chehra apni aur karta hai)ab kabhi tumko naa rone dungaa
(sujal kashish ke aanshu ko ponchta hai)uljhane ghum ki parchhaiye
(kashish apna sir sujal ke kandhe pe rakh ke rone lagti hai)de do mujhe apni tanhaaiyaan
(Sujal halke se kashish ke sir pe haath pherta hai)gumnamiyaan bhi do, naakaamiyaan bhi do
(Sujal kashish ka chehra pakad ke use rone ke liye mana karta hai)viraaniyaan bhi de do, de do naa
(kashish apne aanshu pochke sujal se dur ek khone me jake khadi hoti hai)tere hotho pe sajaa dungaa hansi
(sujal kashish ke pass jake use apni aur karta hai aur muskurata hai)teri raahon mein bhichhaa dungaa khushi
(sujal kashish ko samne dekhne ko kehte hai jaha sab log kashish ki aur muskura rahe hote hai)tum mujhe apnaa maanti ho agar
(kashish sujal ki aur dekhti hai aur phir apni palke apne aanshu ko chupane ke liye juka deti hai)yu khafaa hoke naa jhukaao nazar
(sujal kashish ke aanshu pochta hai aur use apne saath baki ke logo ke saath lejata hai)mushkile apni majburi
(kashish anjali ko dekhke apni bheegi huyi palko ke saath gale lag jati hai)ho de do mujhe sari benuri
(kashish jab aankh kholti hai to sujal veena ke saath khada hota hai)pareshaaniyaaa bhi do, hairaaniyaa bhi do
(kashish ek nazar sujal ko dekhti hi jati hai)nhigebaaniyaa bhi de do, de do naa
(anjali kashish ko apne aap se alag karke sujal ke pass lejati hai)bebasi dard kaa aalam, tum mujhe de do apne ghum
(Anjali kashish ka haath sujal ke haath me deti hai)khaamoshiyaan bhi do, tanhaaiyaan bhi do,
(sujal bahot pyaar se kashish ko dekhta hai aur phir who kashish ke khndhe pe haath rakh deta hai)bechaniyaa bhi de do, de do naa
(kashish apna sir sujal ke khandhe pe rakhke aankh bandh karti hai)Sab log dinner karne ke baad chele gaye………
(in sujal and kashish"s bedroom)
Kashish aaine ke samne bethkar apni choodiyaan utar rahi hoti hai jab sujal washroom se change karke aata hai………
Sujal: kashish kya tum muje apna manti ho……..
Kashish: yeh kaisa sawaal hai……..
Sujal: pehle haa ya naa kaho……
Kashish: haa main manti hoon ki tum mere apne ho……
Sujal: to tumne kyun thik nahin samja mujse apni pareshaniyaan batna…………kyun nhain kaha tumne mujse…….
Kashish: maine tumse kuch nahin chupaya……..
Sujal: kyun nahin bataya ki parso sameer aur tumhari shaadi ki tarikh hai…….
Kashish(
shocked): tumhe kisne kaha……….Sujal: anjali ne
Kashish
(cried): muje laga tumhe bura lagege………Sujal: Itna hi samaja hai muje……….nahin kashish main khud kabhi nahin chahunga ki tum sameer ya sameer ki yaadoin ko bhul jao kyunki main janta hoon ki yeh tumhare liye namumkin hai lekin main bhi sameer ke pyaar ki kadar karta hoon……….pyaar hi to kiya tha usne…….aur main kabhi bhi do pyaar karnewale ke beech me nahin aana chahta tha lekin shayad main hi samaj nahin paya tumhe……..
Kashish
(huggs him and cried): agar tum bhi aisa kahoge to main kaha jaungi……..haa manti hoon ki main tumse pyaar nahin karti aur shayad kabhi kar bhi na pau lekin tumhe main sabse jyada bharosa karti hoon khud se bhi jyada………..mera koi irada nahin tha tumhe dukh pahochane ka………agar phir bhi tumhe bura laga ho to………I am sorry……..Sujal
(takes her face in his hands): shayad dosti me thanks aur sorry ki koi jagah nahin hoti……..Kashish: Sujal……….main bahot hi kismatwali hoon jo muje tum jaisa dost mila………
Sujal
(smiles): who to main hoon hi………ab tum jaldi se so jao kal tumhe hospital bhi jana hai………anjali ne kaha hai…….Kashish: lekin Buaji………
SujaL; maine Buaji se baat karli hai……….ab tum jake so jao aur main bhi so jata hoon………..kal jaldi jana hai muje bhi………..
Kashish
(goes to bed); Good nightSujal
(goes to sofa): good night….
Comments (8)
lovely,awesome,too good.. me liking it too much... very good going.. do post the next part soon..me waiting very eagerly...
17 years ago
I'vw jst finsh ur story its awomse nd lil bit differnt concept ...but i hate this sameer's yaadain he is geeting on my nerves jst like tht piyush ...but its gr8 story plz cont sooooonnnn
17 years ago
lovely part dear.. ..love sujal's character hez so understandng...hop kashish realizes his love 4 her soon.. ...cont soon..
17 years ago
Gr888 fanfiiccc Kashish.....simply mind blowing.... i hope k sujal aur Kashish paas aa jaayein... Do continuee sooon...eagerly waiting for da nest part.... *iMAN
17 years ago
plz continue soon.....can't wait !!!!!!!!!
17 years ago
Hey kashish nice fanfic plzz continue sooooooooooooon
17 years ago
oohh how sweet of SUJAL yaar,,,kitni imandaari se dosti aur pyaar dono nibha raha hai.... he is a sweetheart yaar....kashish kab samjhe gi uske pyaar ko....hope jaldi hi samjh jae.... gr8 part yaar...u r an amazin writer yaar.... continue soon...
17 years ago
hey kashish!!!!.....great part! ...kashish should try to live in the present n not in the past .......sujal is so understanding ...he knows that 3 days later is kashish n sameer wedding anniversary n that y she looking so distract .....kashish is so lucky 2 have sujal .....what will happen next? will kashish start to fall 4 sujal???.....continue soon plzzzzzzzz.............can't wait!!!!!
17 years ago