Chapter 11

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-11

 

Aaj do din gujar gaye hai. Kashish ne bhi hospital jana shuru kar diya hai aur Sujal bhi apne project me kuch jyada hi busy hai ya yun kahiye ki khud ko busy rakh raha hai kyunki Sujal nahin chahta ki Kashish Sujal ko dekhke kuch ajeeb sa mehsoos kare. Lekin aaj ki baat kuch aur hai. Aaj kashish aur Sameer ki shaadi ki tareekh hai. Yeh to Kashish bhi nahin janti ki who aaj ka din kaise gujaregi. Aaj pehli bar Kashish ke saath aisa hua hai ki who chahkar bhi ro nahin sakti. Kashish taiyaar hoke neeche breakfast laga rahi thi jab veena aati hai.

 

Veena: Good morning Kashish……….

Kashish (palke zukakar): Good morning Buaji………..

Veena (notice her): Kya hua sab kuch thik to hai……….tumhari tabiyat ya phir Sujal ne phir kuch kaha…….

Kashish (tears in her eyes): Sujal ko jo kehna chahiye who to who kehta nahin aur jaisa maine socha nahin hota who waise hi kehta hai………..Sujal kabhi bardashat nahin kar sakta meri aankhon me aanshu to who kaise iska jimedar ho sakta hai……….is aanshu ke jimedar khud main aur meri kismat hai………

Veena: main kuch samji nahin……….saaf kaho kya kehna hai tumhe……

Kashish (wipes of the tears): Chodiye na in sab baation ko……….waise aapne hi kaha tha ki purani baation ko yaad karna nahin chahiye kyunki inse sirf dukh aur dard milta hai………khiar……..aap bathiye main aapki chai lati hoon……..

Veena: aur sujal kaha hai…….

Kashish: who office ke liye taiyaar ho raha hai….

Veena: to thik hai main uska intzaar karti hoon………

 

Thodi dair baad sujal aata hai lekin casual kapde me……..

Veena: sujal aaj tum aise………..mera matlab tumhe office nahin jana……..

Sujal: Jee nahin……..woh aaj socha kitne din ho gaye kaam karte karte is liye socha ki aaj chuti……..

Veena: yeh to bahot achchi baat hai……..waise kashish tum aaj kya kar rahi ho……..

Kashish: kuch nahi……..bas hospital me kuch kaam hai……..dopahar tak aajungi…….

Sujal: aaj tum kahi nahin jaa rahi…….aaj hume kahi jana hai…….

Kashish : kahin jana hai………tumne to muje kuch nahin bataya…….

Sujal: who aaj subah hi pata chala……..

Kashish: thik hai……..main taiyaar hi hoon………pehle breakfast karte hai phir chalte hai…….

Sujal: jee…….

Kuch dair baad sujal aur kashish veena ko bye karke bahar car ki aur chale jate hai……….

 

Sujal drive kar raha hota hai aur kashish khidaki se bahar dekh rahi hoti hai…….shayad kahi gujri huyi yaadoin ki dundhli tasvir me aur uski aankhon se aanshu beh rahe hai……….sujal yeh sab kuch dekh raha hota hai lekin kuch nahin kehta………aakhir me thodi dair baad who log us jagah per pahunch jate hai…….

 

Sujal: Kashish………..chale…….

Kashish (comes out of senses); jee……….

Kashish bahar aakar dekhti hai to sochti hi reh jati hai………..yeh wahi anathalay hai jahan kashish pali badi……….kashish sujal ki aur dekhti hai aur sujal use aage badhne ko kehta hai………..sab bache kashish ko dekhkar daudte huye uske pass ate hai kashishdi chilate huye……….Kashish sab ko gale lagati hai aur uske chehre pe khushi sama nahin rahi hoti hai……..kashish kahi na kahi un bacho ke saath khelne me apna dard bhul gayi thi jab koi sujal ke khandhe pe haath rakhta hai………

 

Sujal: aap……

ParvatI: Main Kashish ki Dai hoon………….bachpan se pala hai maine use,…….

Sujal zuk kar uska aashirwad leta hai…….

Parvati: sada shukhi raho……

Sujal: who maine…….

Parvati: bahot pyaar karte ho kashish se…….

Sujal: pata nahin kitna pyaar me karta hoon lekin kashish mere jine ki wajah hai meri zindagi hai…….mere liye mera pyaar bhagwaan hai…….

Parvati: jaisa maine tumhe dekhke socha tha bilkul waise hi ho…….khushiyaan to sabhi dete hai lekin aaj jo tumne kashish ke liye kiya hai who aur koi nahin kar sakta……..dard me bhi tumne use muskurana sikha diya………is din ke liye main hamesha tumhari shukhriyada rahungi……….

Sujal: aap muje sharminda kar rahi hai………maine to sirf yeh apne liye kiya hai……..jab kashish roti hai to me her pal rota hoon……..jab kashish mayush hoti hai to me her pal ek maut marta hoon……….jab kashish hasti hai to muje ek pal me duniya ki sari khushiyaan mil jati ahi……….Kashish hai hi aisi ki dil karta hai ki duniya ki sari khushiyaan uske kadmo ke aage bhikhara doon………..

Parvati: sach me kashish bahot hi kismat wali hai jise tum mile ho…….

Sujal: nahin kismatwala main nahin balke sameer tha jise kashish ka pyaar mila…….jise kashish ne apna banaya……..

Parvati: Ek din aisa zaroor aayega ki kashish tumhare pyaar ke aage zuk jayegi……kashish tumhe sameer se bhi jyada pyaar karegi aur tab uske dil me tumhare alawa aur koi nahin hoga…….

Sujal: bhagwaan aapki baat maan le…….

Parvati (smiles): main kashish se milke aati hoon……..

 

Parvati: kaisi ho kashish….

Kashish (turns around and huggs her and cry); main thik hoon……..aap kaisi hai……..

Parvati (seperates her and wipes her tears); aaj ke din aanshu nahin……….maine hamesha tumhe sachi rai di hai aur aaj bhi deti hoon……..sameer ko bhul jao…….

Kashish: Dai……..yeh aap keh rahi hai……….sab janne ke baad…….

Parvati: haa…….shayad me yeh kabhi nahin kehti ki tum Sameer ki yaadion se dur ho jao lekin aaj Sujal ke pyaar ko dekhkar lagta hai ki ab waqt aa gaya hai zindagi ke kuch naye faise karne ko………Ek sameer ka pyaar hai jo jate jate tumhe aanshu aur dard ke alawa kuch nahin diya aur aaj yeh sujal ka pyaar hai jisne tumhe rote huye bhi muskurana shikha diya………

Kashish apni bheegi huyi palko se sujal ko dekhti hai jo is waqt bacho ke saath khel raha hota hai……….

Kashish: Lekin main koshish kar rahi hoon apne ristey nibhane ki…….

Parvati: koshish se kuch nahin hota………..tumhe shayad apne dil pe paththar rakhke aaj yeh faisla karna hi hoga ki tum sujal ko apnaogi ya phir use chod dogi………..aage faisa tumhara hoga………….

Kashish: Muje kuch aur waqt chahiye………

Parvati: tum apne waqt lete lete kahi aisa na ho ki ek din waqt hi tumhare haath se aage chala jaye…….

Kashish: chalti hoon main ……….phir kisi din furshad me aaungi………

Parvati: Anjali ko bhi saath lana……

Kashish: jee…….

Kashish parvati ke gale lagkar use bye karti hai aur phir dono waha se nikal jate hai…….

 

Ab kuch karibi sham ka waqt ho jata hai………Kashish sujal ke saath kisi Zeel ke kinare bethi thi……….suraj dubne hi wala hota hai……….fiza me khamoshi ki aahat sunai de rahi thi……

Sujal (breaks slience): Kashish……….ab andhera honewala hai………chalo wapas chalte hai……….Sujal stands up to leave…….

Kashish (holds his hand and made him to sit): Sujal tum to kabhi muje chod ke nahin jaoge na……..

Sujal (surprized and look at her): Kabhi nahin………..mere jite jee to….

Kashish (puts hand on his mouth): Ek bar kismat muje dhokha de gayi ab mujme itni shakti nahin ki ab aage me zindagi me……..

Sujal (puts his hand on hers); Shayd kabhi kabhi hum chot khane ke baad hi apni raah sambhalte hai……..jaise jab tak tum mere saath college me thi tab maine pyaar ko kabhi nahin samja lekin tumhare jane ke baad maine pyaar ki keemat samji waise hi tumhare saath hua……..sameer ke jane ke baad shayad tumhare dil me unke liye aur pyaar aur izzat badh gayi……….

Kashish (cries): Lekin sujal kya sameer ka meri zindagi se jana zaroori tha……..

Sujal (wipes her tears and holds her from the shoulders): Jitni zaroor hume achche insaan ki hoti hai itna hi bhagwan ko bhi………..lekin bhagwan kisi ek ko apne pass bhulate hai to dusre ko vapas bhej dete hai……….

Kashish (puts her head on his shoulder): sujal tum pehle insaan ho jisne muje sambhala hai……..tum who pehle ho jiske samne me tut sakti hoon kyunki main janti hoon ki tum muje sambhal loge………tum who pehle ho jo mere kuch kehne se bhi pehle muje samaj jate ho……..Aaj ki duniya me tum jaise insaan bahot kam milte hai………jo sirf sab ko khushiyaan aur pyaar dene me yakeen karta hai nahin ki badle me kuch lene ki……..

Sujal: Maa hamesha kehti thi ki jitna pyaar hum dusro ko denge usse kahi jayada badle me khud payenge………main to bas wahi kar raha hoon……

Kashish: her koi yeh nahin kar sakta……….tum bahot khaas ho mere liye……..

Sujal: itna hi khas tha to kyun kabhi apne dard mujse batne ko nahin samja……

Kashish (smiles): lekin ab to tum bant rahe ho…..

Sujal: ab bahot raat ho jaye aur buaji ki daant sunni pade usse pehle chalo…..

Kashish: chalo……..

 

 

goodkashish39344.5618402778

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (5)

Hey kashish gr8 part continue soon

17 years ago

awesome yaar...plz continue soon...cant wait to read more

17 years ago

awesome part yaar!!!!!!!!..........sujal is so understanding , ......hope what parvati said "Ek din aisa zaroor aayega ki kashish tumhare pyaar ke aage zuk jayegi……kashish tumhe sameer se bhi jyada pyaar karegi aur tab uske dil me tumhare alawa aur koi nahin hoga…….".......become's true .........n kashish realize sujal place in her heart !!!!!!!!!!..........continue soon plzzzzzzzzz.........great going !!!!!!

17 years ago

NIce part chalo ahista ahista kashish is getting close to sujal aur woh uske pyaar ko bhi jald hi samjh jayegi

17 years ago

awwwwwwwwwwww sujal is soooooooooooo caring!!!!!! kashish is truly very lucky!!!!!! the part at the end was very cute!!!!! finally some light romance! ok continue soon!!!!!!

17 years ago

Top