Chapter 9

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-9

Aaj subaah to ho gayi lekin pata nahin kashish ki zindagi me khushiyaan aanewali hai ya phir wahi gumm jise woh apni pichli zindagi me chodke sujal ke saath is anjane safar me chal padi hai........bina kisi sapne ko sajake.........Suraj ki pehli kiran khidaki se hokar kashish ke chehre pe girti hai jise woh apni aankhe kholti hai........kashish jab aankh kholti hai to apne aap ko ek anjaan bedroom me akele dekh ke ghabara jati hai...........phir jab woh apne samne sujal ko dekhti hai to woh ek chen ki saans leti hai...........kashish washroom me nahane chali jati hai..............thodi dair bad kashish bahar aati hai lekin sujal abhi bhi soya hua tha.......kashish aaine ke samne bethkar apna make up karne lagti hai...........aakhir me woh apne maang me sindoor bharne hi wali thi jab uski aankh bhar aayi lekin kashish ne apni aankh se aanshu girne nahin diye.......phir woh taiyaar hokar neeche kitchen me jati hai..........

(in the kitchen)

raghukaka subaah ka nasta bana rahe hai...........jab kashish kitchen me aati hai...........

Kashish: kya main aap ki kuch madad kar sakti hoon........

Raghukaka: Are nahin bahurani...........kal hi aapki shaadi huyi hai aur aap aaj hi.........agar malkin ko pata chal gaya to......na baa na.........

Kashish (shocked): malkin........lekin sujal ne to nahin bataya......

Raghukaka: haa chote sahab ki Buaji..........woh hamare saath hi to rehti hai.........

Kashish (surprized) : lekin woh hai kaha..........

Raghukaka: jee.........Veenajee ki shaadi ko 22 saal ho gaye lekin kabhi bhi unke apne bache nahin huye........ aur chaar saal pehle to unke pati bhi heart attack ki waje se chal base.....Jab hamare bade sahab aur badi malkin chal base to chote sahab bahot dukhi ho gaye the..........koi nahin tha use sambhalne ke liye tab se woh yahi pe rehti hai...........chote sahab ko apne bete ki tarah rakhti hai.........abhi woh Shirdi gayi hai Sai Baba ke darshan ke liye.........abhi bas aate hi hoge.........waise maine unko aapke bare me khabar de di hai..........ghabraiye mat bahurani...........buaji dil ki bahot achchi hai..............filhal aap yeh chai chote sahab ke liye le jaye.........

Kashish (hasitate): main......

Raghukaka: haa aaj tak yeh kaam buaji karti thi aur is ghar ko buaji aur charu betiya sambhalti thi lekin aaj se yeh sara ghar aapka hai.........beti ho sake to hamare chote sahab ko duniya bhar ki khushiyaan dena.......bahot pyaar karte hai aap se........

Kashish (smile and took the cup):main apni puri koshish karungi.........

(in Sujal's bedroom)

Sujal sofe pe chen ki neend so raha tha jab kashish sujal ki chai lekar aati hai..........Sujal ke chehre pe ek masoom si muskaan hoti hai jaise duniya ke gumm se anjaan.........sujal bache ki tarah so raha tha aur yeh dekhkar kashish ke chehre pe bhi muskan aati hai........Kashish aake sujal ke passwale sofe pe beth jati hai........

kashish (dheere se): sujal.......

No wake up sign.....

Kashish (thodi uchi aawaz se): Sujal...........

still no wake up sign......

Kashish (shake his hand slowly): sujal......

Sujal dheere se apni aankhen kholta hai aur kashish ko apne samne dekhkar ek jatke se sofe pe beth jata hai.......

Sujal : kashish.......tum........kuch chahiye.........

Kashish: nahin.......main to bas sirf yeh chai dene aayi thi.....

Sujal (doesnt see other cup): kashish.........tumhari chai.......

Kashish: woh main neeche jakar pilungi.........

Sujal: Papa hamesha kehte the ki subah ki chai ko mil bat ke pina chahiye ise apnapan badhta hai......

Sujal ne thodi chai alag se nikalke kashish ko di aur kashish bas sujal ko dekhti hi reh gayi.......sujal kashish ko dekhta hai aur

Sujal: kashish......chai thandi ho jayegi.........

Kashish sharmake apne bal kan ke piche karke chai pine lagti hai.........

Thodi dair bad sujal apni chai puri karke nahane ke liye chala jata hai......aur kashish niche jake breakfast table banane lagti hai.........Jab veena ghar me aati hai.....

kashish (looks at her): Buaji......

Veena: haa.........aur tum mere sujal ki kashish......

Kashish noddes her head and comes to her and took blessings...........

Veena: Sada suhagan raho.....

Jab sujal sidiyon se utarakr neeche aata hai........

Sujal comes and took blessings......

veena : jita reh..........main tumse bahot naraz hoon.......shaadi tune karli aur muje bataya bhi nahin lekin koi baat nahin.........is baar meri bahu ki waje se chod deti hoon............

Sujal: aap sach me naraz hai.........

Veena: pagal hai kya..........kitni pyaari bahu hai......main bahot khush hoon aakhir tumhara pyaar tuje mil hi gaya.........ab is ghar me phir se khushiyaan hogi........aur is khushi ke avsar pe aaj sham ko ghar pe party hogi.......

Sujal: thik hai aap taiyaariyaan kare main office hoke aata hoon........

Kashish: lekin pehle nasta to kar lo........

Sujal: nahin main chalta hoon......

Veena: Kashish........yeh aise nahin manega........iske saath khane pine ki baat pe jabardasti karni padti hai........ab aaj se sujal ki sari jimedariyaan teri.......main koi bahana nahin sunana chaungi.........meri to yeh sunta nahin ab tum hi dekh lo......

Kashish: ple sujal kuch to khake jao.......

Sujal (looks at her and smiles): thik hai............chalo saath me milke karte hai........

After the breakfast sujal went to the office and Kashish and veena are sitting in the hall........

Veena: kashish.......main yeh to janti hoon ki tum aur sujal college me ek saath the lekin kaha chali gayi thi tum iske baad.......humne kitni koshish ki tumhe dundhne ki..........kya tumhe kabhi apne dost ki yaad nahin aayi.......

kashish cried and told everything about her past life and hugs her tight..........

kashish (cried): kyun aisa hota hai jaisa humne kabhi socha bhi nahin hota........

Veena (tears in her eyes): main tumhara dard samaj sakti hoon.......shayad kahi na kahi hum dono ek kashti ke do maajhi hai lekin ferk itna hai ki ab tumhare pass sujal hai........kashish main yeh sujal ki bua hone ke nate nahi balke ek aurat hone ke nate keh rahi hoon......ek aurat ko jitni zaroorat apne pati ki hoti hai itni hi apne bache ki.........lekin bhagwan ne tumse dono chin liye ........maine bhi dono ko khoya hai lekin tumhare samne puri zindagi hai............kashish jitni jaldi tu ise apna le utna hi tumhare liye achcha hai........aage tumhari marzi..........mere saath chalo kuch tumhe dena hai..........

kashish aur veena dono veena ke kamre me jate hai........

Veena: aao......kashish......yahaan betho............

Veena almari me se do kangan nikalke kashish ke haath me rakhti hai......

Kashish: yeh.......

Veena: yeh kangan mere maa ke hai........meri maa ne apni bahu vasu ko diye the aur garewal khandan ki bahu hone ke nate ab tumhara hakk hai......aaj se is ghar ki ijjat, maan, maryada, khushiyaan sab tumhare haath me hai........tum bahot hi samajdar ho.......main janti hoon ki muje kabhi shikayat ka moka nahin milega.........sirf itna yaad rakhna ki musibat ke samay me tum muje aur sujal ko apne pass paogi......ab chalo chalke sham ke party ki taiyaariyaan bhi karni hai.........

goodkashish39335.8230902778

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

Comments (7)

hi dear..read ur new ff..da concept n story seems really interesting... ..gr8 gng...do cont soon...

17 years ago

oh so finally tehy got married gud n i hoep kashish jaldi realize ker paye k sujal is her love

17 years ago

very nice.. continue soon..

17 years ago

amazin part yaar....superb..... continue soon.....

17 years ago

hey.......nice part.......im glad that u consider my request for the font n colour change.......hehe!! i luv it this way..... Btw,.......awesome part.....continue soon !!!

17 years ago

hey kashish! congragulations for your new story ......it's awesome!!.......sujal n kashish are toghter again ......i can't believe that kashish has went trough so much ......but sujal also suffered .......but now he has k with him ......hope kashish realise her love for sujal soon!!!!!!........n start a new life .........continue soon plzzzzzz......can't wait

17 years ago

wow yaar....wat a part...cant wait to read more..

17 years ago

Top