Chapter 10
Part-10
Ab aise hi Sujal, Angad aur Kavya Siddharth ke Guest House me thehre huye hote hai aur subaah ho jati hai..........jab Nandini ka khaas aadmi unke pass aata hai.........
Sujal: jee kahiye koi kaam......
Person: suniye......aap sabhi ko Maharani Nandini Singh Rathore ne apne shahi sabha me bulaya hai........
Angad: abhi.......
Person: haa abhi isi waqt...............chaliye hamare saath........
Angad: Sujal.....tere chakar me hum kaha se kaha fas gaye.........
Kavya: Angad.......ab chup chap chal.........apni shaadi yaad kar........Sujal na hota to......
Sujal: jane dena Kavya.......yeh to aise ho majak kar raha hoga..........
Person: aap chal rahe hai ki ......
Angad: nahi chaliye chaliye bhaisaab..............
Teeno kamre me aate hai jaha pe Nandini apne bete Shaurya ko leke bethi huyi hoti hai........
Sujal: Namsate.......aapne hume bulaya........
Nandini: jee........aap logo se kuch baat karni hai.....
Kavya: jee kahiye..........
Nandini: kal aapne jo bhi kaha woh bilkul sahi tha............hum apne pati ki galti chupane ki koshish kar rahe the.......lekin hum kisi pyaar karnewalo ki zindagi ko barbad hote huye nahi dekh sakte the is liye humne socha ki aapse ek bar baat karna zaroori hai.........
Sujal: main kuch samja nahi .......aap kehna kya chahte hai..........
Nandini: jab hum shaadi karke aaye tab uske bad hume apne pati ki sari galat burai ka dheere dheere parda uthne laga.........hamare pati ki zindagi me hamare alawa aur bhi bahot si ladkiyaan hai.............ladki aur sharab yeh dono unki kamzori hai..........humne unhe bahot samjaya lekin aaj to unhone sari hadd tod di.........shaadi.......
Kavya: hum samaj rahe hai ki is waqt aapke dil pe kya gujar rahi hai lekin kabhi aapne koi aawaz kyun nahi uthayi ........
Nandini: hamari kuch maryada hoti hai jinhe hum par nahi kar sakte.......aur ab to hume shurya ke bhaishya ke bare me bhi sochna padta hai........inke pita ne to kabhi apne bete ki aur dekha bhi nahi agar humne aawaz uthayi to hume jaan se mar dalenge........aur hamare bad hamare bete ka kya..........
Sujal: aap apni jagah bilkul sahi hai.......lekin aapko bhi hamare saath Jodhpur aake is shaadi ko rokna hoga......
Nandini: jee hum yeh kadam nahi utha sakte.........
Sujal: yeh meri aur Kashish ki zindagi bhar ka sawaal hai...jiska jawaab sirf aapke pass hai........aap sochiye kya aap dekh payengi aap hi ki nazro ke samne do pyaar karnewale hamesha ke liye alag ho jayenge .....aap bhi ek aurat hai kya aap dusri aurat ki zindagi ko barbad hote dekh payenge.........
Nandini: aap samaj nahi rahe........jaise hi woh hume dekhenge woh hume wahi mar dalenge kyunki hum unki marzi ke khilaf is ghar se bahar nikle to..........
Angad; ek minute.........mere pass ek plan hai.......agar woh kamyab raha to sab kuch thik hoga..................
Sujal: bata to sahi.......
Angad sabhi ko uska plan batata hai............aur sabhi sehmat bhi hote hai........
Kavya: ab to sirf tere plan pe hi umeed hai.........
Nandini: hume bahot darr lag raha hai.....
Sujal: aapko kuch nahi hoga...........humpe yakeen kijiye...............aapke saath hum teeno hai na..........aap hamare liye hamari behen ki tarah hai.......aur yeh hum teeno ka aapse vaada hai ki hum aapko ya aapke ghar ko kuch nahi hone denge.........
Angad: haa aap befikar hoke hamare saath chaliye........
Kavya: hum aappe ek kharoch tab nahi aane denge...........
Nandini: aap log gair hoke bhi................aaj hume ajnabee ke beech hamare mil gaye........aaj ke bad hum apne aap ko hamesha aapka sukar gujar manenge...........
Sujal: ek bhai apni behen ke liye itna to kar sakta hai.........
Angad: achcha ab hum chalte hai abhi bahot si taiyariyaan karni hai..........
Nandini: thik hai.......hamare liye koi madad ho to hume bata dena.........
Kavya: jee thik hai............
*******************************************************************************************
Ab dekhte hai ki dusri aur kya ho raha hai.........Anjali aur Kripa bahar garden me bethe huye hote hai jab waha pe Kashish aati hai.............
Anjali: are Kashish.....tum aao na betho.........
Kripa: kya baat hai itni udas kyun ho..........woh teeno gaye hai na sab thik hoga.........
Kashish: bahot pareshani ho rahi hai........dil bechen sa ho raha hai.........kal mehndi hai parso sangeet aur phir shaadi..........aur yeh log abhi bhi wapas nahi aaye...........hume bahot fikar ho rahi hai.......woh log thik to honge na.........
Kripa; Kashish tum yeh kyun nahi puchti ki tumhe Sujal ke bare me janna hai.............
Kashish: nahi hum to bas...........
Kripa: achcha.......to us din woh raat me akele me kya ho raha tha.........
Kashish: jee........aapko kaise pata............
Anjali: hum sab jante hai........jaise hi Sujal kamre se nikla humne unhe dekh liya aur sab kuch samaj gaye.......ghabrao mat tumne kuch galat nahi kiya aur nahi iske bare me kisi ko khabar hogi..........aur Sujal ke bare me janna chahti ho to woh bilkul thik hai........woh kal aa raha hai........tumhe ab itna to jan lena chahiye ki jo Sujal kehta hai woh kar ke dikhata hai.......ab usne kaha hai ki woh tumhe apna banayega matlab ab tum unki ho chuki ho.........
Kripa: aur waise bhi Sujal bahot hi ziddi hai.........jab woh koi baat mann me than leta hai to phir woh uske liye junoon ban jata hai.......
Kashish: aap dono kitna kuch jante hai unke bare me lekin hum to kuch bhi nahi jante..............jab unke bare me sochte hai to aisa lagta hai ki humne kisi ajnabee se pyaar kiya hai.........
Kripa: kya janna chahti ho.....
Kashish: sab kuch........unhe kya pasand hai kya nahi.......woh kab khush hote hai.......kisse woh naraz ho jate hai...........aaj aap hume sabkuch bataiye..........hum bhi unhe achche se janna chahte hai...........
Kripa: to suno...........sabse pehle kehte hai ki mard ke dil ka rasta uske pet se hoke gujrata hai........Sujal ko gajjar ka halwa aur muli ke parathe achche lagte hai..........aur use baris bahot pasand hai jab bhi baris hoti hai tab use chai ke saath garma garam pakode bahot pasand hai..........aur jab bhi India Cricket khel rahi ho to yeh teeno sab kuch bhul jate hai yaha tak ki hum dono ko aur aage se shayad teeno ko........aur phir haa use sabke saath chutti pe jana bahot pasand hai khaas karke ladakk lekin itna bada ho gaya lekin abhi bhi packing karna nahi aata...........aur shopping.......uske to naam se bhi durr bhagta hai..........uski shopping pe bhi hum sabko saath me jana padta hai...........lekin Sujal ko blue rang bahot pasand hai..........aur phir jab bhi woh koi business ka kaam kar raha ho to khana pina sab kuch bhul jata hai...........aur naraz ho to ek achchi si chai ke saath ek muskurahat kafi hai...........aur haa use jooth se bahot gussa aata hai..........aur.....
Anjali: aur aur aur kya.......Sujal ke jo dil me hota hai wahi uski aankhoin me.........Sujal bahot hi achcha ladka hai aur aisa pyaar bahot kismatwale ko milta hai,,,,,,,,,is liye tumhe khush hona chahiye kyunki woh kuch bhi kar dega yaha tak ki apni jaan bhi lekin tumpe koi kharoch bhi nahi aane dega............Kashish itna jaan lo woh tumhe apni jaan se bhi jyada pyaar karta hai...........
jab Kashish ki aankhoin se aanshu behne lagte hai..........
Kripa: yeh kya tum ro rahi ho.........
Kashish: nahi yeh to khushi ke aanshu hai..........aaj hum bahot khush hai..............hum khush hai ki humne jo hamare liye jeevansathi pasand kiya hai unke liye hum kya mayne rakhte hai..........sach to yeh hai ki ab hum bhi unke alawa kisi aur ke bare me soch bhi nahi sakte........kyunki humne dil se unhe apna man liya hai...........lekin hamara yeh sapna pura to hoga na..........kyunki agar hum Sujal ke nahi ho sake to hum to usi pal mar jayenge..........
Anjali: aisa nahi kehte........aise dil chota nahi karte........hum tumhe kuch nahi hone denge......hum her waqt tumhare saath rahenge........ab to tum khush ho na........
Kripa: aur aise hi rahi to abhi to Sujal se shaadi karke tumhe apne sasural aana hai..........haa yeh baat alag hai ki waha pe aisa koi mahel nahi hoga........
Kashish: zindagi bitane ke liye hume sirf Sujal ke dil me jagah aur unka saath chahiye......aur ghar bada ya chota nahi.........ghar me pyaar aur apnapan dekha jata hai.......
Anjali: aaj main bahot khush hoon.......kyunki main her waqt Sujal ke liye bahot pareshan hoti ki kahi koi galat ladki se sujal ki shaadi na ho jaye jisse use sirf dukh mile.........lekin ab lagta hai hamara parivar pura ho gaya..........
Kripa: Welcome to our Sweet family......
yeh kehke sab log hasne lagte hai...........
*******************************************************************************************
ab dekhte hai ki Swayam, Vasu aur Sidhdharth ke beech kaun si baat ho rahi hai..........
Vasu: kuch to gadbad hai........woh teeno abhi bhi laute nahi.......
Swayam: hume to jabse yeh che ghar wapas aaye hai gadbad lag rahi hai..........pehle Kashish me humse aankh milane ki zurrat hoti nahi thi aur aaj hamare saamne woh is ghar ki malkin hoke ghum rahi hai.........
Vasu: shant ho ja........hamara bhi waqt aayega.......ek bar Sidhdharth ke saath shaadi ho gayi to......sab kuch thik hoga........
Sidhdharth: shaadi se yaad aaya...........shaadi ke waqt jo humne deal ki uske bare me aap bhul mat jana...........aapki is Hotel ke project me muje 50 % partnership chahiye........
Swayam: pehle ek bar shaadi to ho jane do......aur shaadi ke bad bhi jab tak Kashish ko yakeen nahi hota ki tum uske liye kitne achche ho........
Sidhdharth: shaadi ke bad agar use meri asliyat pata bhi chal gayi to woh kuch nahi kar payegi jaise aaj tak maine Nandini ko dara dara ke rakha waise hi Kashish ko.........use to main woh hal karunga ki woh apne muh se kisi ko bata nahi payegi ki uske pati ne uske saath..........
Vasu: kuch bhi karo lekin koi aisa kaam mat karna ki sab kuch bahar aa jaye..........samje tum.......aur khaas karke abhi kuch dino ke liye..........
Sidhdharth: aap pareshan mat hoiye.........kyunki ab Kashish ki mujse shaadi koi nahi rok sakta...........
Swayam: haa ......ab sirf itna ho ki woh teeno shaadi se pehle yaha na aaye.......
Sidhdharth: agar aa bhi gaye to kya hoga.....kuch bhi nahi jab tak woh jotha khat hai hamare pass............
Vasu: aaj yeh baat kahi .......dubara nahi........kyunki deewaro ke bhi kan hote hai.........yaad rakhna yeh baat sirf aur sirf hamare beech honi chahiye..........
Sidhdharth: shadi ke dusre hi din hum log wapas Udaipur ke liye nikal jayenge..........
Swayam: uski sari taiyariyaan ho jayegi..........
Vasu: waise kal ki Mehndi ki taiyariyaan ho gayi hai......koi kami nahi rehni chahiye........tum jante ho bahot badi badi hasti aanewali hai.......aur unhe yeh nahi lagna chahiye ki yeh shadi Kashish zabardasti kar rahi hai........
Swayam: kal aisa jasan hoga ki sab so saal tak yaad karte rahenge............aakhir kar Kashish Rajveer Singh jo ki Jodhpur ki Rajkumari hai uski shaadi hai..........
sab log zor se hasne lagte hai............
*******************************************************************************************
ab Kashish raat ko apne kamre me hoti hai jab Sidhdharth waha pe aata hai.........
Kashish: aap is waqt hamare kamre me.........
Sidhdharth: hum to aapke kamre me kabhi bhi aa sakte hai........kyunki hum aapke honewale pati hai......
Kashish: phir bhi aap ko yaha nahi aana chahiye.......yeh hamari maryada ke khilaf hai.............
Sidhdharth: kis jamane me tum reh rahi ho.......
Kashish: aaj ke hi lekin aap bhul rahe hai ki hum rajput hai ........
jab SIdhdharth kashish ke kandhe pe haath rakhta hai.............
Sidhdharth: Kashish samja karo.....
Kashish zor se Sidhdharth ka haath durr kar deti hai....
Kashish: aap humse durr rahiye.......humne kaha na aap hume haath mat lagaiye...........
Sidhdharth: kashish......
Kashish: aap hamare kareeb mat aaiye..........
jab Kripa aur Anjali andar aate hai...........
Kripa: Kashish tum yaha.......
Anjali: Kashish ke kamre me woh nahi to kaun hoga lekin Sidhdharthjee aap is waqt........
Sidhdharth: woh kuch baat kashish se karni thi is liye......lekin abhi hum chalte hai.......
Sidhdharth ke chale jane ke bad Kashish Anjali ke gale lagkar rone lagti hai.........
Anjali;bus kashish..........dekho kuch hua hi nahi............
Kripa: haa Kashish.......usne kuch bhi tumhare saath nahi kiya.......ab rona bandh karo.......
Kashish: agar aaj aap log nahi hote to woh hamare saath.............hum Sujal ko kya jawab dete........
Anjali: tumhara khayal rakhna hamara farz hai kyunki humne Sujal se vaada kiya hai...........ab aanshu pocho........ab tum so jao........raat kafi ho gayi hai.........
Kashish: hume bahot darr lag raha hai......aaj aap hamare saath dono reh jaiye...........mana mat karana...........
Kripa: thik hai........hum yahi tumhare pass hai...ab chalo sab so jate hai...........waise bhi kal Mehndi hai eu upper se woh log wapas aa rahe hai..........
Kashish: Sujal wapas aa rahe hai........
Kripa: oye hoye......Sujal ke naam se itna khush ho gayi.....kal jab dekhegi to kitni khush lagegi.........
Kashish: aap bhi na...........
Anjali: ab dono so jao bahot raat ho gayi hai...............
Comments (4)
kashish dear i have come here with my comments on Seyahat.. i hope tumko mere comments pasand aaye.... sorry main woh zara late hogayi comment karne mein.. anyway now let me start typing my comment.. tho part kii shuruwaat wahaan se hothi hai, jahaan par kavya, angad aur sujal ko tho samaj hii nahii aa raha hotha hai kii woh agge kya kare.. aakhir woh log nandini ke saamne apni baat ko sach kaise sabith kare.. i'am sure woh theeno hii issi baat ko lekar pareshaan ho rahe honge... lekin sabse zyada pareshaan hai humara hero sujal.. woh bkartha.. woh kashish se wadaa karke tho aagaya kii woh usse hii shaddi karegi.. uski shaddi wahaan hogi, jahaan woh chahthi hai.. lekin ab tho mushkhilein aa rahii hai, and he is not able to prove anything... lekin main ek baat tho jaanthi hoon, which is for sure aur woh yeh kii sujal, kashish se kiya hua wadaa kissi bhi haal mein nibhayega... chahe sujal ko kuch bhi karna pade, lekin kashish tho sirf aur sirf sujal kii hii dulhan banegi... aur sujal is baat kakhayal ralhega ki kissi bhi keemat par aisa ho jaye... and i'am also sure kii sujal ne joh wadaa kiya hai na woh usse nibhayega... aur tabhi unko yeh patah chaltha hai kii nandani un logon se milna chahthi hai.. and then when the three go to meet her.. she finally breaks down in front of them saying kii she knows kii uske pati kaise hai.. par woh is baare mein kuch nahii karr sakthi.... well is baat par main nandini se kehna chahthi hoon kii, you don't need a husband who is as useless as siddarth... uska tumhari zindagi mein hone ya na hone se koi bhi farq hii nahii padtha.. i think tumhare liye yeh best hoga kii tum siddarth ke pass jao usse expose karo, aur usse do thappad marroo.. and then part ways... yahii achcha hoga nandini ke liye, according to me... lekin when we see from nandini's point of view woh bhii sahii hai.. shayad uske liye apne pati, apne raj-gharane ke khilaaf jaane ke liye utna aasaan nahii hoga... she has many responsibilities to take care off... even sh
16 years ago
amazing part cant wait till sujal sorts siddhart out the story is gettin really intresting
16 years ago
Fantastic update...............jus luved it...... this Sidhdarath is an idiot man........... itz getting really interesting... Plzz continue soon..........
16 years ago
very nice part kashish................relli a good one............n siddharat he is damn loser.............crap.wat he hell think of himself..................
16 years ago