Chapter 11
Part-11
Ab subaah hoti hai Kashish kab se apne kamre ki Khidki se Sujal ke aane ka intzaar kar rahi hoti hai...........jab waha pe Kripa aur Anjali aate hai.........
Kripa: kya dekh rahi ho.........
Kashish: kuch nahi..........is ugte huye Suraj ke saath ek umeed judi huyi hai...........lekin kya pata aaj raat Suraj dubte hi hamari wahi Umeed tut na jaye.........
Anjali: agar umeed Sujal se judi hai to woh kabhi us umeed ko tutne nahi dega...........
Kashish: lekin abhi tak woh aaye nahi........aaj mehndi hai............
Kripa: kaun kehta hai woh nahi aaya...........woh dekho uski car............
Sab log dekhte hai to durr se uski car aa rahi hoti hai.......
Anjali: chalo jaldi se neeche............aakhir pata to chale kaun si khuskhabri leke aaye hai.............
Sab log neeche jake dekhte hai to Sujal, Angad aur Kavya Nandini ke saath kahde hote hai...........
Anjali: Kavya......yeh..........
Kavya: woh sab bad me batayenge...........tum yeh batao ki sab thik to hai......
Anjali; haa sab thik hai .........
Sujal; woh teeno kaha hai.........
Kashish: apne kamre me........abhi bulwate hai............
sab log waha pe aate hai.........Siddharth to Nandini ko dekhta hi reh jata hai.......
Vasu: aap logo ke saath yeh kaun...........
Sujal: woh delhi gaye the na ........wahi se yeh hamari durr ki behen hai..............kitne salo bad hum mil rahe hai.........
Swayam: lekin yeh tumhare saath yaha kya kar rahi hai..........
Angad: woh kuch waqt pehle inke pati inhe chod ke chale gaye aur yeh baat hume abhi pata chali is liye hum inhe apne saath Mumbai leke jayenge.........
Sujal: lekin usse pehle Nandinijee ke Pati ko dhudhna hai.........suna hai woh pichli bar yahi kahi se the..........koi baat nahi kal bahar ke logo se kuch puchparach kar lenge............
Kashish: koi baat nahi...........Sujal yeh aapki behen hai iska matlab yeh hamari bhi behen hai..........aur aapka mere ghar me swagat hai...............aap aapke kamre me chaliye aur thoda aaram kar lijiye......safar se aap thak gayi hongi..........
naukar aake Nandini ko kamre me leke jate hai aur unke piche Siddharth bhi jata hai.........vasu aur Swayam bhi apne kamre me chale jate hai...........
AnjalI; ab kuch bataoge ki woh aurat kaun hai.........kyunki hum sab jante hai ki hamara ek dusre ki alawa aur koi nahi...........
Kripa: ab chup kyun ho kuch to kaho..........
Sujal: yaha nahi pehle kamre me chalo.................
sab log Kashish ke kamre me jate hai...........
*************************************************************************************
Kashish: ab to kuch bataiye..........kya yeh shaadi to ruk sakti hai...........
Anjali: Sujal jante ho jab se tum gaye ho Kashish ek pal bhi chain se nahi rahi........her pal ek hi sawaal hota tha..........kya woh log yeh shaadi ko rok payenge...........ab tum hi woh jawaab de do.........
Sujal: haa ab tumhari shaadi hogi to sirf mujse..........tumhe mujse koi alag nahi kar sakta...........woh jo aurat mere saath thi woh meri behen nahi hai........woh Udaipur ki Maharani hai........yani Sidhdharth ki Patni.........
Kashish: kya...........unki shaadi ho chuki hai.......unhone mere saath dhoka to kiya lekin Maharani ke saath bhi.....
Sujal: shaadi hi nahi....balke teen saal ka bacha bhi hai..........aur to aur Sidhdharth ki kamzori hai ladki.......woh use sirf ek cheez samajta hai............uski patni ke alawa kitni aur bhi aurat hai unki zindagi me jiske rishtey ko koi naam nahi de sakte hum........is liye jab humne Nandinijee se sari haqeeqat batayi aur woh hamari madad karne ko taiyaar ho gaye.............
Kashish: woh to thik hai.......lekin aapki behen banne ka kuch samaj me nahi aaya.........
Sujal: main chahta hoon ki Sidhdharth khud sabke samne apni shaadi ko kabool kare...........
Anjali: lekin yeh sab hoga kaise kuch socha hai...............
Sujal: haa socha hai waqt aane pe bataunga...........
Angad: lekin tab tak yeh sirf raaz rahega..........khas karke Swayam aur Vasujee ke liye
Kripa: lekin Sidhdharth ne bata diya to.........
Sujal: woh aisa kuch nahi karega............mera yakeen karo........ab baji hamare haath me hai............
Kashish: aap keh rahe hai to hume pura yakeen hai.......................
Angad: oye hoye.........kya baat hai...........sujal ne kaha aur man gayi........
kripa: samja karo Angad.........Sujal aur Kashish dono pyaar karte hai........aur pyaar me to sab kuch chalta hai.........
Anjali: aur yaha pe to hamare Sujal hai.........pyaar ke pujari.......Kashish ke deewane........
Sujal; marwana hai........ab chalo shaam ki taiyariyaan nahi karni..........
Kripa: woh sab hum kar lenge.......tum sirf kuch waqt kashish ke saath bitao...........waise Kashish kabhi nahi kahegi lekin yeh uske dil ki baat hai.....tab tak hum zara Nandini se milke aate hai.............
sab log waha se chale jate hai.................
*************************************************************************************
Sujal: Kashish..........
Kashish: hmmm........
Sujal: kuch kehna chahti ho.........
Kashish: aapko kaise pata.......
Sujal: tumhari yeh bechainya..........is tarah dupatte ko modna.........tumhare kampte hoth.......batao kya baat hai..........
Kashish: kuch nahi bas aise hi dil bechen ho raha hai..........aisa lagta hai kuch honewala hai jo nahi hona chahiye..............
Sujal: tum aise pareshan rehti ho to mera dil mujse kehta hai ki tum Kashish ke kabil hi nahi..........
Kashish apna haath Sujal ke hoth pe rakh deti hai............
Kashish: aisa kabhi nahi kehte.........hume khud se jyada aap pe yakeen karte hai............khud se jyada aapko chahte hai........aapki taklif humse dekhi nahi jati............ab itna to hakk banta hai ki aapse itni umeed kare ki aap kabhi bhi apne bare me aisa na soche............
Sujal: itna pyaar karti ho.........
Kashish: hum jitna pyaar kar sakte hai usse kayi jyada kiya hai aapse............hum aapko bata nahi sakte lekin aap hamare liye sabkuch hai............aur aapse alag rehna ab hume gawara nahi..........
Sujal: kisne kaha hum juda honge.........pagal ho gayi ho..........hum milne ke liye hi bane hai........hum milenge aur parso hi............hamari shaadi parso hogi........yeh tumhare pyaar ka vaada hai.........aur Sujal kabhi apne vaado se mudta nahi,..........agar maine sachcha pyaar kiya hai to use main aur meri aatma zaroor nibhayenge.............waise yeh batao tumne muje yaad kiya ...........
Kashish: yaad to use karte hai jise bhula jaye.........aur aap to her waqt hamare pass the hamare dil me..........
Sujal: tum janti ho aaj kal tum dil khol ke baat karne lagi ho.......
Kashish: to kya yeh achchi baat nahi........
sujal: nahi nahi.......mere liye to yeh bahot hi achchi baat hai..........
Kashish: waise aapne hume yaad kiya........
Sujal: sach kahoon ki jooth..........
Kashish: jo aapka dil chahe.......
Sujal: jooth yeh hai ki maine tumhe bahot yaad kiya aur sach yeh hai ki tum to mere saath thi to tumhe kaise yaad kar sakta hoon...........janti ho ek pal bhi sone nahi diya............her waqt khayalo me aake muje pareshan karti rehti ho......pata nahi shaadi ke bad mera kya hal karogi....................
Kashish: Sujallll.......
Sujal: Sujal kya.......
Kashish: kuch nahi.....
Kashish sharmake jane lagti hai jab Sujal uska haath pakad ke uske gale lag jata hai.......
Sujal: janti ho is pal ke liye maine kitna intzaar kiya.........I love u Kashish.......
Kashish: i love u Sujal.........
*************************************************************************************
ab dekhte hai Nandini ke kamre me kya ho raha hai.........
Sidhdharth: Nandini tum yaha kya kar rahi ho........tumhe yaha nahi aana chahiye tha......
Nandini: ab lagta hai humne aane me bahot dair kar di............
Sidhdharth: meri baat ka saaf saaf jawab do..........un teeno ke saath kya kar rahi thi...........kaise janti ho......
Nandini: unse hamara jo rishta ho woh aapko janne ki zaroorat nahi aur waise bhi hume aapki tarah dhoka dena nahi aata..........kitna bada chhal kiya aapne hamare saath..........hum phir bhi seh jate lekin Jodhpur ki Rajkumari Kashish ke saath bhi............aapne kam ladki ki zindagi tabah ki hai ki ab aise sanskari aurat je saath bhi..........hume sharam aati hai aapko hamara pati kehte huye............dusri shaadi karne se pehle ek bar bhi aapne hamare aur sharya ke bare me nahi socha............
Sidhdharth: tum apni maryada bhul rahi ho..........mat bhulo tum apne pati aur Udaipur ke Maharaj se baat kar rahi ho.......
Nandini: Maharaj logo ka achcha sochte hai lekin aapke jaise Maharaj hone se achcha hai ki praja ka koi maharaj hi na ho.........lekin hum yaha aapse woh sab baatein karne nahi aaye..........hum yaha aapke khilaf hone aaye hai..........hum aapko kal tak ka waqt dete hai.......kal tak aapne Rajkumari Kashish se sach nahi bataya to hum jake sare Samaaj ke samne hamare Rishtey ke bare me bata denge uske bad aapki izzat jo beech mehfil uchregi woh aap soch bhi nahi sakte..........aapke pass sirf do din hai........sirf do...........
Sidhdharth: tumhe kya laga main tumhari dhamki se darr jaunga.........tumhe main zinda hi nahi chodunga........
Nandini: aisa sochiyega bhi mat..........kyunki humne un teeno ko bata diya hai ki hume kuch bhi ho jaye to hamari maut ki jimedar aap honge sirf aap...........
Sidhdharth: Nandiniiiiiiiiii...........
Nandini: aawaz neechi kariye........chilana hume bhi aata hai.......
Sidhdharth: hum is apradh ke badle tumhe tumhare maayke bhej sakte hai...........
Nandini: hum yaha aapse muh lagne nahi...........balke Sujal aur Rajkumari Kashish ke pyaar ko pura karne aaye hai...........agar hume aapke khilaf jana hoga to hum ek bar bhi nahi sochenge.......hum bhul jayneg ki aap hamare pati hai.........is liye aap apne kamre me jaiye aur sochiye kyunki aapke pass waqt bahot kam hai........
yeh kehke Nandini waha se chali jati hai.............
*************************************************************************************
Ab shaam ko Kashish taiyaar hoke apne kamre me bethi hoti hai...............Mehndi shuru hone me kuch hi waqt baki tha..............Kashish aaine ke samne khadi apne aap ko dekh rahi hoti hai........Jab Sujal kamre me aake darwaza bandh kar deta hai..........
Kashish: Sujal aap is waqt yaha.........
Sujal: haa main.......kuch kaam tha...........
Kashish: haa kahiye........
Sujal: woh main neeche to nahi keh paunga sab ke samne..........aaj tum bahot bahot khubsurat lag rahi ho..........yeh rang bhi tumpe bahot achcha lagta hai.........aur khas karke yeh zumke..........
kashish sharmake apni palke juka deti hai.........
Sujal: haye haye........tumhari yeh ada meri ek din jan nikalke rahegi..........waise kya baat hai yeh chand kyun buja buja lag raha hai..........
Kashish: hamare yaha riwaz hai ki sabse pehli mehndi honewale pati lagate hai...........aur hum chahte hai ki aap hume.........mera matlab.........aap samaj rahe hai na........
Sujal: samaj gaya..........tum yahi chahti ho na ki sabse pehle aaj main tumhe mehndi lagau.......to main hi lagaunga..........
Kashish: lekin sidhdharth........
Sujal: use main sambahl lunga...........lekin main apne is chand pe yeh mayushi nahi dekh sakta........ab ek bar muskura do............ple mere liye........
Kashish thodi muskurati hai.......
Sujal: thodi aur.........
Kashish sharmake Sujal ke gale lag jati hai........
Sujal: muje nahi pata tha ki Rajkumari muskurane ke bahane gale bhi milti hai.........
Kashish sharmake aur Sujal ki baahoin me chali jati hai.......
Sujal: waise muje koi aitraaz nahi lekin neeche sab mera intzaar kar rahe hai................agar tum chaho to main aur tum yaha reh sakte hai...........
kashish: nahi aap jaiye.......agar kisi ne hume dekh liya to.........aap jaiye.......
Sujal: ek bar keh do na............
Kashish: kya.....
Sujal: yahi ki tum mujse pyaar karti ho.........
Kashish: hum aapse bahot bahot pyaar karte hai..........ab aap jaiye...........koi aa jayega............
Sujal: i love u too.......bye...........
*************************************************************************************
Ab mehndi ki rasam shuru hoti hai........
kripa: nandinijee aaiyena.......aap bhi mehndi laga dijiye............
Nandini: nahi hum thik hai......aap log lagaiye.......
Anjali: aise kaise.......aapko thodi to thodi apne Pati ke liye hi sahi............
NandinI; tab to lagana hi hoga.......
Kripa mehndi lagana shuru karti hai.........
Anjali: aapke pati ka naam.........woh mehndi me likhna hai........
Nandini: pura naam hum nahi batana chahte aap sirf "S" likh dijiye................
Kripa: thik hai........
Nandini Sidhdharth ke samne dekhti hai jo gusse me lal ho raha hota hai...........
Vasu: Sidhdharth bete ab aap bhi aake Dulhan ke haath me apna naam likh dijiye...........
Sidhdharth: jee........
Sujal: yeh kaise likh sakte hai.........
Sidhdharth: kyun nahi likh sakte........
Sujal: aap Udaipur ke Maharaj.............mehndi lagane jaise chota kaam karenge..........yeh aap ko shobha nahi deta............laiye muje dijiye main naam likh deta hoon............
Sujal Sidhdharth ke hath se mehndi leke Kashish ke samne beth jata hai...........woh Kashish ka haath apne haath me leta hai..........Sujal dheere se Kashish ki mehndi se naam likhna shuru karta hai..........
Vasu: yeh kya kiya tumne........tumne apna naam likh diya........
Sujal: maff kijiye......galti ho gayi...............abhi mita deta hoon...........
Sujal woh apna naam mita deta hai.........
Kripa: yeh kya Kashish tumhare haath me to Sujal ke naam ka rang chad gaya.........dekho na kitna gehra rang chada hai itne kam waqt me...........
NandinI; lagta hai bahot pyaar karte hai ek dusre se............
Swayam: kya kaha........
Nandini: kuch nahi..........samajnewalo ko ishara hi kafi hai..........
Sidhdharth: ab kya hoga.........Kashish ki mehndi me to Sujal ka naam hai ab........
Angad: koi baat nahi....naam me kya rakha hai........aur waise bhi dono "S" se hi to shuru hota hai...............
Sidhdharth: thik keh rahe ho..........
Sujal kashish ki aur muskurata hai aur aankh marke waha se chala jata hai aur aise hi Mehndi ka jasan chalta rehta hai........
Comments (4)
kashish dear tumne part post kar diya.. lo main aagayi with my comments on Seyahat... i hope tumko mere yeh comments pasand aaye... uttne hii pasand aaye jitna mujhe tumhari writing pasand aathi hai....well tho ab woh subaah hii gayi jab kashish kii intezaar khatam hone waali hai.. aur humare sujal mahashay wapas aane waale hai... kya baat hai.. kashish kii yeh bechaine.. uska intezaar.. har guzarthe pal ke saath uski umeed kii sujal aayega , wo thoda sa dagmaga raha hai.. itna hone ke bawajood bhi kashish ko itna tho zaroor yakeen hai kii sujal aayega.. yeh hui na baat.. i'am sure kashish ke liye yeh kuch pal ka intezaar sadiyon ke intezaar se bhi lamba lagtha hoga... aakhir kyun na lage.. woh kashish joh raahon mein palkein bichaye hui hai.. aur apni zindagi ke loutne ka intezaar karr rahii hai.. at this stage kashish ke liye sujal se zyada zaroori kuch bhi nahii.. khud kii zindagi bhi nahii.. i'am sure kashish ke dil mein tho yeh bhi khayal hoga kii agar uski shaddi siddarth se hogayi, tho uska kya haal hoga she would not care.. lekin she will care kii agar aisa kuch hogaya tho sujal ka kya hoga.. kashish khud se zyada sujal kii chinta karne lagi hai.. aur ab jaakar humare hero sahab apni entry lethe hai... aur yahaan tho jaise kashish ke jaan mein jaan aa jaathi hai.. i'am sure sujal also might have felt the same thing, jab woh wapas kashish ke ghar aaya hotha hai.. kyunke sujal, kashish ek dusare se durr rehkar dono hii tadpe hai.. aur ab tho kashish, kripa aur anjali neeche chale jaathe hai... jahaan they see nandini with sujal, angad & kavya.. and then yeh vasu aur swayam.. yeh dono tho mujhe khoob irritate karthe hai.. un mein tameez naam kii koi cheez nahii hai kya, ghar aaye mehmaan ke saamne hii poochthe hai kii sujal,angad aur kavya nandini ko yahaan kyun laaye hai... uff.. manner less... yeh tho achcha hua kii kashish ne baat sambhal liya tha.. i'am sure siddarth ke pairon tale se zameen kisak gayi hogi, jab usne nandini ko apne saamne dekha hoga... ph
16 years ago
wwwooooooowwwwwwww superb part..............................finally sujal poch he gaya.....................ab maza aye ga shaadi mein aur band bjae ga vasu aur swayam ka........................kitne pyaar aur romantic mein baat karte hai dono.....................hats off to sujal kia bahna nikalia menhdi laga ne ka.....................con't soon
16 years ago
love the concept Kashish! keep it up!
16 years ago
amazing part i really enjoyed the scenes between SK they were really good and the way they are getting closer to each other day by day showed how strong there relationship is. cant wait till siddhart tells everyone about his marriage with nandani, the way nandani stood up to siddhart was amazing finally she is speaking up.the mehndi scene was really good. cant wait 2 read the next part
16 years ago