Chapter 3
Part-2
aaj pata nahi lekin shimla ki hawa ki me kuch alag hi baat thi........jo na kabhi aaj se pehle thi na shayad kabhi dekhne ko mile.........aaj in hawa me sabkuch hadd se kuch jyada hi khubsurat lag raha hai...........kehte hai ki kabhi kabhi ajnabee apne saath ishq ki hawa ki leher leke aata hai.......ab Kashish ko kya pata ki uski haseen zindagi me Sujal kaun sa toofan banke aa raha hai..........ya yun kahe ki kaun si mohabbat ki fiza leke aa raha hai..........ab dekhte hai Kashish subaah subaah Kripa ke saath market chal padi hai........
Kashish: Kripa tu janti hai.......jab tak muje waise hi hari chudiyaan nahi milti tab tak main aise hi puri market ke chakar katti rahungi.......
Kripa: Kashish ab waisi hari choodiyan milna mushkil hai...........ab to hogayi shaam aaj market mein hi...tu na,kabhi zidd nahin choregi............
Kashish: ab chal na woh aakhri me jo dukan hai na waha chal ke dekhte hai........jyada durr nahi pedal jayenge to dus minute me pahonch jayenge.......
Kripa: dus minute!..............yeh tumhe zyada door nahin lagta?.............mein thak gayi hoon ghoom ghoom ke...........kabhi yaha se waha to waha se yaha............
Kashish: ab chalti hai ki nahi......achcha thik hai meri piche meri cycle pe bethigi,,,,,,,giraungi nahi,,,,,,
Kripa: teri cycle pe..............hargiz nahin!...mujhe isse door hi rakhna..hum paidal hi theek hain............
Kashish: to maine kab mana kiya..........
Kripa: acha chal!.............par aakhri dukan theek hai............
Kashish: ok baba..........
they start walking to the last shop of chudiyaan...................
ab dusri aur dekhte hai ..........Shimla Airport pe.........Sujal aur Angad apni bag ke saath bahar aate hai jab woh yaha waha dekhne lagte hai.............
Angad: Sujal......... ab thak gaari nahin ayi..............
Sujal: woh dekh Anurag Uncle ki car..........chalo..........
Angad: ek minute yaar,saman to sambhalne de...
Sujal: tu do din ke liye itna sara saman leke aaya hai........
Angad: ab pata to nahin hain........,kab emergency par jaye...main hamesha puri taiyaari ke saath kahin jaata hoon..........
Sujal: ab chale ghar pe Anurag Uncle hamara intzaar kar rahe hai.........main car me hoon aa jana jaldi se............
Angad: haan bas aa hi raha hoon...........
He picks up the luggage and walks after Sujal...They put the luggage in the back and drive off.............
Kashish aur Kripa dono aakhri chudiyan walo ki dukan pe dekh rahe hote hai jaha samne chai ki dukan pe ek ladka betha hua hota hai.........he starts looking at kashish and whistling....
Ladka:waah kya maal hai..............
Kashish: Kripa......yeh kaun hai pehle to kabhi Shimla me nahi dekha.........
Kripa: pata nahin...koi naya lagta hai is sehar me................,tabhi tumse yeh kehne ki jurat ki isne..............
Kashish: ise main abhi thik karke aati hoon............
Kashish uski aur chalne lagti hai muskurate huye........... woh ladka bhi Kashish ki aur muskurata hai............
Ladka: kya baat hai aaj itna haseen maal apni aur aa raha hai.............
Kripa: Kashish............rukko to!...dekho sambhal ke...........................
Kashish picks up a stick from the side and looks at that guy........the guy looks at the stick and runs and Kashish runs behind him.......
Ladka:arre pagal hogayi ho kya?...tu mere peechay danda leke kyun bhaag rahi ho?...rukko warna acha nahin hoga tumhare liye..............
Kashish: achcha to tere liye nahi hoga........bhagta kaha hai ruk.......aaj tere ko main batati hoon ke kisse paala pada hai tera..........oye darr ke kaha bhag raha hai..........
He runs into the middle of the road and Kashish too comes there when a car suddenly brakes just an inch away from them........ Sujal and Angad look at that guy and comes out of the car.......when kashish comes and holds him from his collor.........
Kashish: oye tere ko Shimla ka rule nahi pata kya...........yaha ka koi bhi ladke me itni himmat nahi ki woh mujse aisi tarah se baat kar sake......aaj to tu nahi bachega........
Ladka: yeh kya kar rahi ho tum?...........dekho marna math...muje maaf kardo..........,ab aisa dubara nahin hoga..........
Kashish: tuje maff kar doon.........kabhi bhi nahi.........abhi to tuje bahot si saza milegi........soch rahi hoon ki is dande se maroon ki tere ko bhi special gift hi de doon...........
Ladka: special gift?...........kaunsi special gift?.........
Kashish: abhi deti hoon...........Kripa..........zara woh special wali gift dena................
Kripa: haan haan la rahi hoon...yeh le special gift..........
She passes Kashish a rakhi..............
Kashish: ab dekh kya raha hai.........haath aage kar.......tu mera 42nd wala bhai hoga.........aur Rahimchacha........aap kya dekh rahe hai bajaiyena woh gaana..........
Rahimchacha: haa haa kar raha hoon beti............
Rahim chacha plays the song 'Bhaiyya mere rakhi ke bandhan ko nibhana' while Kashish puts the rakhi on his wrist................. aur sab log jama huye has rahe hote hai..........
Ladka: tumne muhe rakhi baand di?.............Yeh kya kiya tumne...........
Kashish: woh kya hai na bhaiya aaj se main to ho gayi teri bahen..........lekin ab dubara kabhi kisi bhi ladki ko chedne se pehle apni is behen ko yaad kar lena..........suna tune.......ab nikal........aur tujme thodi bhi sharam hai to shimla chod de/..........
woh ladka waha se bhag jata hai.......aur Kripa Kashish ke pass aake uspe chilane lagti hai........
Kripa: ab chal yahan se,dekh bhid jamma hogayi hai yahan..........
She starts to pull her arm dragging her away...When she stops and turns to Angad and Sujal..........
Kripa: maaf kijiyega, ............aapko humari wajah se takleef huyi............
Sujal: rukte nahi to tamasha kaise dekhne ko milta.........
he looks at kashish.............
Angad: haan wakay me...waise kaafi mazaa aya hume yeh dekh ke...........kya gift diya aapne usse................
Kashish: ab tum dono bhi yaha se niklo kayi wahi haal bhi tum dono ka na ho.........
Kripa: tu pagal hogayi hai kya?...........chal yahan se...
Angad: arre...Iski kya zaroorat hai...hum waise nahin hai jaisa aap samajhti hain............
Kashish: sab yahi kehte hai.........waise main tum do ajnabee se kyun baatein kar rahi ho.......aur Kripa tu chal.........agar Bhaiyaa ko pata chal gaya to bahot dant padegi..............chal jaldi kar......
Kripa: main tho kabse keh rahi hoon...ab jaldi chal.............
Both of them run away from there...when Kashish turns back while running and looks at Sujal for a second and then begins to run again.................
Sujal; lagta hai is seher me sab pagal hi hai......chal ab .......
Angad:sahi kaha tune...yeh larki wakay mein pagal lagti hai...yeh saari zindagi kunwari hi rahegi,jo larka iske paas aata hai usse bhai bana leti hai...najane iski shaadi kis pagal ke saath hogi........
Sujal: jiske saath hogi uski zindagi bidag degi....ab chale ghar..
Angad: haan haan chalo isse pehle ke koi aur miljaye...
They both sit back in the car and drive off...............
********************************************************************************************
ab Anurag ke ghar ke aage ek car aake rukti hai jiski aawaz se Anurag daudta hua bahar aata hai........Sujal aur Angad bahar aake Anurag ke pair chute hai..........
Anurag: jeete raho...aagaye tum dono?...tumhara hi intzaar kar raha tha main...kaise ho tum dono?...aur Sujal yeh kya,itne kamzor kaise hogaye..........kaam ke chakkar mein khana nahin khaate ho kya...........
Angad: uncle yeh aap mujse puchiye........subaah ke aath baje se raat ke barah baje tak office me rehta hai..........agar main nahi hota to pata nahi yeh khana bhi khata ya nahi........
Sujal: aisi koi baat nahi........
Anurag;Sujal............yeh main kya sun raha hoon?...dekho beta mehnat karna achi baat hai,par khud ke liye bhi waqt na dhund paana acha nahin hai...aur Angad tum fikar math karo,ab tumhare dost ki fikar karne ke liye jald hi koi aur aayega............
Sujal: uncle pehle andar chal ke baat kare........aapse ek naye project ke bare me bhi baat karni hai..........
Angad; kat dina uncle ki woh baat tune...............
Anurag: nahin Angad.....................,is baar maine faisla kar liya hai..............ab Sujal ki shaadi mein karwake rahunga.............
Sujal: Shaadiiiiiiii......
Angad: sahi suna tune.....
Anurag: ab andar chalo..............,mujhe bhi tumse ek zaroori baat karni hai...............
they all go in and sit .....
Angad: kya baat hai jaldi bataiye..........
Anurag: dekho Sujal tum jaante ho ki maine tumhe hamesha apna beta maana hai...........jabse Lalit aur bhabhi hume chor ke gaye,tabse maine tumhari zimedari nibhayi hai .............kyunki mere liye tum mere sage bete se bhi barkar ho....aaj pehli baar main tumse kuch mangne jaraha hoon...Sujal mein chahta hoon tum shaadi karke apna ghar basa lo.................
Sujal: thik hai aap aisa chahte ho to aisa hi hoga.........muje is shaadi se koi aitraaz nahi........
Anurag: aaj main bohat khush hoon...muje yakeen nahin horaha ke tumne haan keh dii...maine tumhare liye ek larki dekhi hai aur aaj shaam hum unke ghar dinner pe jarahe hain...Issi bahane tum Kashish se mil loge...aur muje pura yakeen hai ke woh tumhe bohat khush rakhegi kyunki jitna mere dil ke kareeb tum ho,.........utna hi kashish............
Sujal: aapne pasand ki hai to muje bhi pasand aayegi.........aap shaadi ke liye haa kar dijiye........
Angad: lekin tune use dekha bhi nahi.......
Sujal:Angad.........uncle ne lekhi hai wahi kafi hai..........
Anurag: thik hai beta mein aaj shaam hi Kavya se baat karlunga...ab tum dono jaake fresh ho jao,phir shaam ko Sinha House bhi to jana hai............
Sujal aur Angad dono andar kamre me jate hai...........
Angad: Sujal tum jante ho tumne kya kiya.........jise tumne dekha nahi uske saath shaadi ke liye haa kar dii......
Sujal: tu to janta hai ki maine aaj tak Uncle ko kabhi mana nahi kiya to aaj kaise karta..........isi me unki khushi hai.......
Angad: aur teri khushi.........
Sujal: pata nahi.........ab chal jaldi se fresh hojana phir baat karte hai apne naye Project ki uncle se......
Angad: pata nahi ab aage tere naseeb me kya hai........lekin Kashish........naam to achcha hai.............soch raha hoon ki dikhne me kaisi hogi............
Sujal: jaisi bhi hai ab usse meri shaadi honewali hai.........
Angad: teri baat mere samaj me nahi aayegi...........main chala wash room........
Angad aur Sujal fresh hoke neeche aake baat karte hai............
********************************************************************************************
ab dekhte hi dekhte shaam ke saat baj gaye...........Kavya hall me beth ke apni file padh raha tha aur Anjali dining table set kar rahi hoti hai jab door ki bell bajti hai..........Kavya jake darwaza kholta hai aur samne Anurag Sujal aur Angad ke saath khada hota hai............
Kavya: aap log bahar kyun khade hai andar aaiye..........
Sab log andar aate hain...
Anurag: Kavya inse millo...Yeh hai Sujal aur yeh uska dost Angad...dono bachpan ke dost hain,maine bataya tha na tumhe....aur Sujal yeh hai Kavya aur yeh hai Kavya ki wife Anjali aur.....
Anurag starts looking around...
Anurag: arre Anjali beta..............,yeh Kashish kahan hai?...............
Anjali: Ji woh Ayan ko leke bahar gayi thi,...............abhi aati hogi
Kavya: woh maine abhi tak Kashish se baat nahi ki is bare me aur woh to yeh bhi nahi janti ki aap log dinner ke liye aa rahe hai..............
Anjali: woh bas aati hi hogi....waise bhi sham ho gayi hai to........
Anurag: koi baat nahin beta,.............hum log intzaar karlenge...abhi aati hogi meri beti...............
jab darwaza khulta hai aur andar Ayan haath me phool leke daudta hua aata hai aur jiske piche Kashish chila ke aa rahi thi...........
Kashish: Ayannnnnnnnn ruk mere phool leke kaha bhag raha hai.........
jab woh daudti daudti sabke samne aa jati hai aur shock si reh jati hai......kuch bolti bhi nahi aur hilti bhi nahi sirf aise hi khadi reh jati hai...........jab piche se Kripa aati hai......... Sujal aur Angad hairan hoke Kashish ko dekhte hi reh jate hai.........Kripa sabko dekh ke hairaan hojati hai,usse subaah ki baat yaad aati hai..phir woh Kashish ke paas jaake usko hilati hai aur woh hosh mein aajati hai...
Anurag: lo aagayi meri beti...
Kavya: Kashish.........kuch bologi nahi...........
Kashish: woh........hi.......no.......namaste...........
Angad: namastejee...........
Anurag: Kashish beta isse millo,yeh hai Sujal...aur yeh Sujal ka dost Angad...maine bataya tha na yeh aarahe hain..........
Kashish: haa......woh main ........main Ayan se milke aati hoon........
Kashish yeh kehke andar chali jati hai...........
Kripa: main dekh ke aati hoon..........
Kripa goes running behind her...
Anurag: arre yeh inhe kya hogaya?...
Now Kripa goes to the room...
Kripa: Kashish!..............muje yakeen nahin horaha............yeh to Sujal nikla!...agar unhone Kavya bhaiaya ko kuch bata diya to..............
Kashish: yahi to main soch rahi hoon.......agar aaj Bhaiyaa ko pata chal gaya to woh muje bahot datenge........aur muje yakeen hai ki yeh Sujal kuch bigad ke hi rahega...........
Kripa: tu fikar math karo aisa kuch nahin hoga...waise dikhne me kaafi handsome hai,kyun?.............tum dono ki jodi wakay mein khoob jamegi............
She starts laughing
Kashish: Kripa.......tu chup hi reh to achcha hai.........kitna akdu hai...hi tak nahi bola.........is hisaab se Angad achcha hai..........kya kehti ho.........
Kripa: ab tum mujhe in jhamelon me math daalo...muje is sab me koi dilchaspi nahin...acha ab neechay chalo aur normal behave karna warna bhaiyaa ko shaq hojayega..............
Kashish: agar usne kuch bhi bola to main use nahi chodungi........
Kripa: woh baad mein dekhlenge..Ab chal!................
they both come and just trying to avoid Sujal and Angad........when Anjali calls everyone for the dinner.............Sujal accidently took the next seat to Kashish's seat.....when Ayan comes to him.........
Ayan: aap yaha nahi beth sakte..........
Sujal: kyun.......
Ayan: kyunki yeh meri seat hai.............
Angad: koi khaas waja.......
Ayan: yeh passwali meri GF ki seat hai............
Sujal: GF.........
Ayan: Kashishbua .......aur kaun ho sakti hai..........ab chalo utho......
Sujal moves to the next seat.........
Anjali: Chaliye aap sab khaana kha lijiye ab warna thanda hojayega
Anurag: waise Sujal.........is ghar me khana bahot achcha milta hai.......
Sujal: jee woh to hai...........
Sujal just looks at her and smiles.
Anjali: aisi koi baat nahin uncle.........yeh tho bas aap sabka pyar hai....................
She just smiles at Anurag.........
Kavya: Kashish............baatein bad me karna pehle khana.............
They continue to have their dinner whilst talking to each other and Sujal was just quietly listening and passing glances at kashish every few minutes....Kripa notices this...She whispers to Kashish...
Kripa: woh dekho Kashish...kisi ki nazrein tumse hatt nahin rahi..............
Kashish: muje pata hai woh moka dekh raha hai Bhaiyaa ko batane ka........
Kripa: muje to kuch aur hi lag raha hai
Kashish: tera dimaag kharab ho gaya hai..........chup chap khana kha...........
Kripa: thik hai mat maan..........
She starts to eat dinner again...after sometime they finish their dinner and all go and sit on the sofa...........
Anjali: Kripa......zara yaha aana muje kuch kaam hai.......
Kripa: Ji bhabhi mein abhi aayi..................
Kripa follows her to the kitchen
Anurag:Kashish beti mera ek kaam karogi..........
Kashish: ji uncle kahiye na...aap ko puchne ki zarurat kabse parne laggi...........
Anurag: Beta woh darasal meri dawai...mera matlab hai woh khatam hogayi aur mein Rohan ki pharmacy se lana hi bhool gaya.............
Kashish: koi baat nahi main abhi la deti hoon........
Anurag: are beta suno...raat hone ko aayi hai,is waqt tumhara akele jana thik nahi rahega..........aisa karo...haa Sujal ko saath le jao.............
Kashish; jeeee..........
Anurag: kyun Kashish koi pareshani hai?
Kashish: nahi main to aise hi..........chale hum........
Sujal: Ji....chaliye
Sujal and Kashish both leaves and here everyone have a smile on their faces.....
********************************************************************************************
ab Sujal aur Kashish Shimla ki galiyon me se aise chal rahe hai.......aaj ki raat bhi haseen thi kyunki aaj poonam ka chaand jo tha..........aur isi mahol me Sujal aur Kashish bhi ek dusre se baat karne ki himmat nahi hoti.........
Man: Kashish bitiya aaj ice cream nahi logi.........
Kashish: nahi Kaka aaj nahi phir kisi din aaungi.........
Man: thik hai bitiya........
Kashish: chalti hoon Kaka .........apna khayal rakhna.........
phir se dono chalne lagte hai.........
Sujal:lagta hai aap Shimla ke baare me bohat kuch jaanti hain...
Kashish: yeh puchiye ki kya kuch nahi janti........ab to aisa hai ki Shimla meri zindagi hai........main na to shimla ke bigar reh sakti hoon nahi yeh Shimla mere bigar...........yaha pe sabhi mere apne hai........jise main bahot pyaar karti hoon.........
Sujal: muje nazar aaraha hai ke aap yahan ke logon ke kitne kareeb hain...par itna lagav bhi thik nahin ha.............i,ab shaadi ke baad tho aapko Shimla chorna hoga,..........tab kya karengi aap?..............
Kashish: jii main kahi jaungi hi nahi..........agar kisi ko mujse shaadi karni hai to use to mere saath shimla me hi rehna hoga......
Sujal: aur agar usne yahan rehne se manna kardiya tho?.............
Kashish: to main bhi shaadi nahi karungi........kya yeh zaroori hai ki main uske liye yeh sab kuch chod doon jaha pe main bachpan se leke aaj tak pali badi.........
Sujal: haan zaroori to hai kyunki shaadi ke baad larki ko wahin rehna parta hai,jahan uska pati ho...
Kashish: main nahi manti aisa.........agar aisa hai to muje nahi karni koi shaadi........lekin aap mere saath shaadi ki kyun baat kar rahe hai.........maine aapse kaha na muje abhi koi shaadi nahi karni......
Sujal: khair is baat ko jaane den...Aap yeh bataiye ki subah jo aapne kiya uske peechay kya wajah thi?...............
Kashish: oh woh........uski himmat kaise huyi mere saath is tarah se baat karne ki.......kya woh janta nahi ki Kashish se is tarah se baat karna aur chuna mana hai.........
Sujal: lekin aapne kuch zyada hi over react nahin kiya?............mera matlab hai beech raste tamasha karne ki kya zarurat thi...usse araam se bhi samjhaya ja sakta tha.............
Kashish: aap log jaise aaram se baat kar sakte hai lekin main yani Kashish nahi...........aur in logo se kaise baat karni hai yeh main achche se janti hoon...........kyunki kal yeh log muje chod ke kisi aur ko pareshan karenge........inke saath to isse bhi bura hona chahiye..........
He just looks at her and doesn't say anything...Then he speaks
Sujal: lijiye pharmacy aa gayi,............chaliye dawai leke wapis chalte hai.............
Kashish: oh ha..........suniye Rohan bhaiyaa.........woh main uncle ki dawai lene aayi hoon...........ab aap to jante hai ki woh sabkuch bhul jate hai is liye main hoon unki dekhbhal karne ke liye...........ab aap muje dawai de kyunki main to bolti hi rahungi..........
Phir woh wahan se dawai leke ghar ki taraf nikal jaate hai...................
********************************************************************************************
ab dekhte hi dekhte Sujal aur Kashish dono ghar aa jata hai jaha pe sab log shaadi ki baat kar rahe hote hai...........
Kripa: wow ..........Shaadi............
Kashish: yeh lijiye aapki dawai Uncle.........aur yeh kiski shaadi ki baat ho rahi hai..............
Kavya: tumhari aur Sujal ki shaadi...Kashish maine tumhare liye Sujal ko pasand kiya hai...........tumhe koi aitraaz tho nahin...........
Kashish: Bhaiya......... meri shaadi...........
Kavya: haa Kashish.......Sujal ko to is rishtey se koi aitraaz nahi.......hum sirf tumhari rai janna chahte hai........kyun tumhe koi aitraaz hai shaadi karne se......................
Kashish: nahi lekin is tarah achanak.............main kuch ......
she looks at sujal............
Kavya: kal raat Anurag uncle ne Sujal ke liye tumhara haath maanga tha...woh bhi yahin chahte hai ki tum Sujal se shaadi karlo...Sujal se milke muje laga yeh tumhare liye sahi hai...magar main tumse zabardasti nahin karunga...Aaj tak maine tumhari marzi ke khilaf kuch nahin kiya..is liye main chahta hoon ki tum soch samaj ke faisla karo aur jo bhi tumhara faisla hoga usme hum tumhare saath rahenge........tum chaho to tum apna jawaab mujhe kal de sakti ho ..............
Kashish: samaj me nahi aata ki main aapse kya kahoon.............aapne mere liye faisla kiya hai to sahi hi hoga............aapka jo bhi faisla hoga woh muje manzur hoga...........
Kavya: sach........tumhe yeh rishta manzoor hai...aaj main bohat khush hoon...Thank you Kashish,........meri khwaish ko pura karne ke liye...muje pura yakeen hai Sujal tumhe bohat khush rakhega................
Kashish: Bhaiyaa aap khush hai to main bhi.............
Kavya: main bohat khush hoon Kashish...aaj tumne apne bhaiyya ko sabse barri khushi di hai...main bas chahta hoon ki tum hamesha khush raho.........
Anurag: aaj mein bhi bohat khush hoon...magar dukh is baat ka hai ke meri best friend muje chod ke chali jayegi...tumhari bohat yaad aayegi.......
Kashish: muje bhi bahot yaad aayegi.........
Kashish yeh kehke Kashish upper chali jati hai lekin jane se pehle ek bar palat ke Sujal ki aur dekhti hai jiski aankhoin me aanshu hote hai..........Sujal kuch nahin kehta...bas usse upar jaate dekhta hai...........
Anurag: are isse kya hua?...........lagta hai sharma gayi............
Anjali: woh to bas aise hi.........are Kripa khadi kya hai sabka muh mitha nahi karayegi........
Kripa: jii bhabhi kyun nahin...chaliye mithai leke aate hain...
Anjali and Kripa go into the kitchen to get mithai and Kavya and Anurag hug...
Anurag: Mubarak ho beta...
Kavya: aapko bhi bohat bohat mubarak ho uncle...
After sumtime they let go...Kavya goes upto Sujal...
Kavya: aap humare galle nahin milenge ..........ek laute damad hai aap hamare...........
He starts laughing and Sujal manages to pass him a smile and hugs him...then Angad hugs Sujal...
Angad: Shaadi Mubarak ho mere dost...Bhagwan tum dono ko hamesha khush rakhe............
Sujal: thanks Angad......
ab Anjali aur Kripa mithai leke bahar aate hai..........
Anjali: sabse pehli mithai to Uncle ko milni chahiye aakhir uski waje se yeh rishta hua hai to...........
Anurag: haan bhai main to mithai zaroor khaunga par sabse pehle humare dulhe ko too khilao...............
Kripa: use to main khilaungi.........ab ek hi saali hoon main.........
Angad: aap hume nahin khilaengi?...hum bhi tho aapke jiju ke ek laute dost hai..........
Kripa: jee nahi hamare yaha khatirdari sirf dulhe ki hoti hai...........
Angad: oh bad luck...lagta hai muje bhi jaldi kissi ko dhundna hoga...........
He slightly winks at her........Kripa ignores him and goes to sujal and puts mithai in his mouth.......
Ayan: yeh sab kya ho raha hai Mama............
Anjali: Beta tumhari Kashish bua ki shaadi tai ho gayi hai Sujal uncle se.............
Ayan: to kya uncle meri GF ko aaj hi lejayenge..............
Sujal: tum bhi hamare saath chale aana delhi phir to tumhari girlfriend tumhare saath rahegi.............
Ayan; woh main Papa se baat karke bataunga..........lekin shaadi ke bad bhi woh meri GF hi rahegi........
Sujal: woh hamesha tumhari hi GF rahengi...Promise..........
Ayan: pakka promise.....
he smiles at Ayan...
Sujal: pakka promise
Anurag: Kavya......main chahta hoon ki kal hi hum Sujal aur Kashish ki sagai kar de............
Kavya: thik hai uncle...aaisa aap chahe....Sagai kal hi hogi.............
Anurag: achcha ab hum chalte hai ...........sagai hai kal bahot si taiyariyaan karni hai.......
Anjali: Uncle aap kyun pareshan ho rahe hai.........taiyariyaan to hume karni hai.........ladkiwale jo thehre............
Angad: khatirdari ka barabar se intejam kariyega.......ladkewale Delhi se aaye hai.........
Kripa: aji aapki khairdari to hum aise karenge ki aap zindagi bhar Shimla walo ko bhul nahi payenge..............
Anurag: achcha ab hum chalte hai............
Anurag Sujal aur Angad ke saath apne ghar jane nikal jata hai............Sujal car me bethne se pehle ek bar upper nazar karke dekhta hai jaha Kashish khidki pe beth ke apni diary likh rahi hoti hai jise Sujal ke ehsaas ka pata bhi nahi hota...........
Angad: Sujal......betho bhi.......use kal dekh lena...........
Sujal; chale............
they drive off............
Kashish (in her diary): Kripa kehti hai ki kabhi na kabhi hum sab ki zindagi me bhi koi ajnabee aisa aata hai jiske saath kisi ladki ki puri zindagi jud jati hai........aaj muje nahi pata tha ki jis ajnabee se main subaah me mili uske saath zindagi bhar ke liye mera rishta jud jayega...........bahot gussa aata hai is ajanbee pe jo aaj kahi na kahi andar se muj pe has raha hoga .........use sab pata tha ki hamari shaadi tai ho gayi phir bhi usne mujse kuch nahi kaha......samaj me nahi aata ki usne yeh shaadi ke liye kyun haa ki jab woh janta hai ki main kaisi hoon........yeh bhi janta hai ki main Shimla se kitna pyaar karti hoon............aaj us ajnabee jise mile abhi barah ghante bhi nahi huye uske liye muje 21 saal purane sare rishtey chod ke uske saath delhi jana hoga........woh hota kaun hai Kashish ko uske Shimla se durr karnewala...........aur main use ajnabee ab kyun keh rahi hoon jab ki woh mera honewala pati hai................kal tak jise main akdu bulati thi muje kya pata ki use muje usne naam se yani Sujal kehke bulana hoga........samaj me nahi aa raha ki kya karoon .......itna gussa aa raha hai ki mann karta hai ki uska to.........khair ab to kya ho sakta hai.........abhi abhi maine suna ki kal meri Sujal se sagai hai.........ek aise insaan ke shaadi kar rahi hoon jise main janti bhi nahi.....jiska maine aaj tak ghar bhi nahi dekha.........aur sabse jyada.......jise main pyaar bhi nahi karti............
Love
Kashish & Summi
Comments (27)
Hey guys just want to say a huge thanx 2 u all from myself and Kashish for the wonderful response we are getting for our FF!!! we are more tahn happy 2 receive such wonderful comments from you guys!!! Keep commenting and feel free 2 mention parts you dnt like or if u think we can improve sumhow...we are open for criticism 2!!! thank u 2 u all once again 4 such a great response!!! love you guys....Kashish and Summi
15 years ago
[QUOTE=togepe30] M luving the whole concept of the story...........Just cant wait for the next part....... Aww..........I luv Sujal....*blush...blush* Continue soon !! Luv, Vandu[/QUOTE] Hey vandu dear thank u soo much 4 ure wonderful comments...we're glad your loving teh concept!!! and you are njoying the story and u dnt have 2 wait long 4 the next part it'll be here soon!!!! yhh we knw u love sujal....keep reading and commenting......luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=aspatel2]the whole concept is awesome.... i reallly liked it.... pls cont. soooon and add me on pm list.... cant wait to read the next part... -Axita...[/QUOTE] Hey Axita...welcome 2 our FF!!! gr88 2 see ure comments here...we are glad you liked the concept and that you are njoying the story so far, hpe u continue 2 njoy it 2 and we will surely pm u...keep reading and commenting dear!!!! luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=Ravinder duggal]liked sk meeting........can't wait for their engagement..........continue soon Ruhee[/QUOTE] hey ruhee dear thank u soo much 4 ure comments!! means a lot 2 us!! we are glad u liked there meeting and dnt worry we wnt make u wait too long 4 the engagement...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=Iqbal Neha1]part 1 and 2 were amazing i really liked the way u introduced kashish in the market and the way u potrayed her charachter was mind blowing.i really enjoyed kashish's relationship with her family,anurag and kripa it seemed as kashish was the jaan of everyone.When kashish ran away with the flower and later payed for it showed her innoecence and her child like behaviour was really cute.I really liked the way u showed how anurag asked kavya for kashish's hand now she will always take care of him. Part 2 was really intresting the way kashish dealt with the guy and made him her brother was mindblowing the way kashish dealt with the situation was really worth reading.Kashish and sujals first meeting was really intresting and im glad sujal agreed to marry kashish even without knowing who she was.cant wait to know what happens at kashish and sujals engagement.The scene between angad and kripa was really good hope they also get together soon. [/QUOTE] Hey dear thank u soooooo much 4 such wonderful comments!!!! it really helps us to know what you guys enjoy and wot u dnt!!!! thank u 4 taking out time and givinh such wonderful comments!!!! and just wait and watch 2 see what will happen in the engagement!!! keep readin and commenting dear...luv kashish and summi
15 years ago
hey deepa sweetheart thank u soo muich 4 ure wonderful comments!!!!....we are more tahn happy that u loved this part and nice to know which parts you like...but yh that rakhi part was very funny...we will 4 sure continue very soon....keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
hey tanu sweetheart thank u soo much 4 ure wonderful comments!!!!...we are glad you are njoying it aur next part is coming up very soon!!!!...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
hey ramshu thank u soo much 4 ure comments dear!!! gr88 2 knw ure liking it...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
hey jyothi sweetheart no thanx 4 ure comments dear!!!....and yhh i knw its sad but a fact that you just have 2 accept...hpe u will njoy the future parts 2..keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
hey samrah thank u soo much 4 ure sweet comments dear!! means a lot 2 us!! we are more than happy 2 receive such gr88 comments from you!!!...and you just have 2 wait n watch 2 see aage kya hoga....luv kashish and summi
15 years ago