Chapter 4
Part-3
ab dekhte hi dekhte agli subaah ho jati hai.........yeh koi nahi janta ki is subaah se kisi ki zindagi me khushi aanewali hai ki kuch aur.......lekin Kashish aur Shimla lono ke liye yeh subaah koi khaas khushi lene ke liye nahi aayi thi kyunki aaj hi ke din Kashish ek aise rishtey me bandhne wali hai jaha use hamesha ke liye apna Shimla chodna padega..........Kashish subaah subaah apni cycle ko leke Market ki aur chalne lagti hai..........aaj uska zara bhi mud nahi hota cycle chalane ka aise hi gum shum apne ghar se bahar nikalti hai jab Angad aur Sujal unhe dekhte hai.......
Angad: arre yeh to Kashish hai...yeh aise kahan jaa rahi hai...chalo sujal dekhte hai..........kuch pata to chale ki ise kya pasand hai kya nahi.............
Sujal: haan chalo....
they both slowly walks behind Kashish but kashish didnt know about it..........Kashish first goes to the flower shop........
Kashish: Sanju.........yeh le paise........muje mere phool milenge.......
Sanju: kashish dii yeh kya? ...........aaj aap phool nahin churayengi............. hume to aadat hogayi thi is sab ki...aur ab to aapki shaadi bhi hone waali hai.......... najaane phir phool churane ka mauka kab mille aapko...aaj mein aapse paise nahin lunga.............
Kashish: aisa kyun keh raha hai......main rahu ya na rahu yeh phool hamesha rahenge meri yaad banke.........
Sanju: Kashish dii aapke binna yahan kaise mann lagge ga...yeh pura Shimla jaise marr hi jaayega....aap mat jaaiye na...
Kashish: tu baatein bahot karta hai........ab muje mere phool de...dair ho rahi hai..........
she almost has tears in her eyes.....
Sanju: lijiye dii..par aaj mein aapse paise nahin lunga....aur aapki shaadi pe bhi mein hi aapke pure ghar ko phoolon se sajaunga.........
Kashish: yeh paise rakh kyunki tuje iski zaroorat hai......apni padhai ke liye.......aur tu apni dii ki baat manega.....mere jane ke bad bhi tu school jayega.........
Sanju: main aapse vaada karta hoon dii......, aapke liye mein zaroor padhunga...aur school bhi jaaunga...aur jab barra hoke mere paas paise honge to main aapse milne Delhi aaunga, aapke yeh phool leke.......
Kashish: tu bhi na.........achcha ab main chalti hoon.......
Sanju: achcha dii...aapse baad me mulaqaat hogi..apna khayal rakhiyega aur apne is bhai ko bhool mat jaana...............
Sujal and Angad were watching this from a distance...
Angad: Yaar yeh kitni achi hai na....kitna pyar karti hai sabse,.............. tu bohat lucky hai...........
Sujal just doesn't say anything..he was still looking at Kashish
Sujal: par Angad muje aisa lag raha hai woh khush nahin hai is rishte se...........
Angad: nahi yaar aisa kuch nahi..........aur tuje aisa lag kyun raha hai........
Sujal: kyunki kal jo ladki muskurate is seher me daud rahi thi uska chehra aaj tune nahi dekha.........woh Shimla se bahot pyaar karti hai.....kal bhi maine jab usse baat ki thi to usne mujse kaha tha woh abhi shaadi nahin karna chahti aur Shimla uski zindagi ka bohat hi eham hissa hai...muje lag raha tha woh haan nahin kahegi shaadi ke liye par phir bhi usne haan kardi...pata nahin par ek baar usse baat karni hogi sagaai se pehle...agar woh khush nahin to phir main usse shaadi nahin karunga .............
Angad: ab woh tu baad me dekhna abhi dekhte hai kaha ja rahi hai...........
Sujal: achcha chalo theek hai............
Kashish walks toward the tea stall where the oldies were sitting..................Kashish jake dekhti hai to sabhi log aise hi udas bethe huye hote hai..........
Kahish: are aap sabko kya hua hai............ aap itne udaas kyun baithe hain.............
Varma uncle: Kavya se pata chala usne teri shaadi tai kar di hai......
Singh Uncle: tune ek bar bhi hamare bare me nahi socha......
Khurana uncle: aur tere jane se hum sabka kya hoga........meri to chai ka maja hi nahi rahega.......woh tere tamashe dekhne ki aadat hai to.....
Kashish: aap log please aise udaas mat hoiye...bhaiyya ko main na kaise karsakti thi........... aap to jaante haina unhone mere liye kitna kiya hai......... aap sab mujse vaada kijiye ke aap mere bagair bhi khush rahenge...aur main aapke paas rahun na rahun,, lekin aapki yaadoin me to hamesha rahungi na..aap muje bhoolenge thori.................
Singh Uncle: waise bata to sahi ladka kaisa hai...........humne suna hai bahot hi achcha hai..........
Kashish: pata nahin...main to unhe theek se jaanti bhi nahin...par bhaiyya ne unhe pasand kiya hai to acha hi hoga...........
Verma Uncle: tu khush to hai na varna Kavya se main baat karke dekhta hoon...
Kashish: nahi uncle iski zaroorat nahin...main bohat khush hoon...aur muje bhaiyya pe pura bharosa hai....ab chaliye aap log mere liye smile kijiye...phir main aapko aapke phool dungi...
everyone smiles and she gave them phool aur phir waha se chali jati hai lekin piche mud ke dekhti hai uske aankhoin se aanshu behne lagte hai............aise hi chalti chalti woh apne ghar wapas jane lagti hai.............
Sujal: muje usse baat karni hogi....mujhe koi haq nahin banta uski khushion me aag lagane ka...shayad main usse kabhi khush nahin rakh paunga...uski zindagi yahan Shimla me basti hai Angad...main aise kaise usse yahan se door le ja sakta hoon...
Angad: thik hai yaar baat karlena...par yaar agar yeh meri bhabhi banni na to mujse zyada khush aur koi nahin hoga...agar yeh ghairon se itna pyar karsakti hai,to socho tujse woh kitna pyaar karegi.......
Sujal; pata nahi tu janta hai hamari duniya alag hai.........mere liye business hi sab kuch hai aur uske liye parivar pyaar.......pata nahi main kabhi dono ko saath me sambhal paunga ki nahi........hum dono bahot hi alag hai............
Angad: woh adjust karlegi...muje yakeen hai aur tu mujse vaada kar,tu usse khush rakhega agar tumhari shaadi usse huyi to...tumhe usse waqt dena hi hoga.......
Sujal: main vaada nahi de sakta sirf koshish kar sakta hoon.........
Angad: thik hai ab ghar chalo...Shaam ko tum dono ki sagaai hai
Sujal: thik hai chalo........
they both went to Anurag's place.........
************************************************************************************
ab dekhte hi dekhte shaam dhal jati hai lekin raat ke andhere me aaj Sinha house jaise diwali ki roshni ki tarah jag raha hai......kyun na ho aaj sirf Kavya ki behen ki nahi balke Shimla ki beti Kashish ki sagai jo hai........aaj yun kahiye pura Shimla aaya hua hai Kashish ki is khushi me shariff hone ke liye.......Kripa aur Anjali Kashish ko taiyaar kar rahe hote hai.......jab Kripa aur Anjali dekhte hai ki Kashish ka chehra kitna buja hua hota hai.......
Anjali: kya baat hai?.............aaj hamara phool murjaya hua kyun lagta hai?........
Kashish: bas aise hi bhabhi..........pata nahi lekin muje bahot darr lag raha hai..........
Kripa: Bhabhi yeh dekhiye shaadi tai hote hi sudhar gayi...ab to koi shararat bhi nahin kar rahi.......................
Anjali: darr lag raha hai?...........kyun Kashish isme darne ki kya baat hai...Sujal ek bohat hi acha ladka hai...........,tumhe woh bohat khush rakhega................
Kashish: Kripa.........main mazak nahi kar rahi........Bhabhi aap to shaadi se pehle hi Kavya bhaiyaa ko janti thi........aap ke liye woh ajnabee nahi the aur phir aap to isi seher me the lekin mera kya.......ek mulaqat me main uske saath hamesha ke liye ja rahi hoon Delhi............
Anjali just smiles at her innocence....
Anjali: main samaj sakti hoon ki is waqt tumhe kaisa lag raha hoga...main maanti hoon ki tere bhaiyaa ko main pehle se jaanti thi par iska yeh matlab to nahin ki tum khush nahin rahogi kyunki tum Sujal ko nahin jaanti....aise bohat se log hote hai jo shaadi ke baad ek doosre ko jaante hai,pehchante hai,aur phir pyar karne lagte hain...tum dekhna,ek din aisa aayega jab tum khud aake kahogi ke Sujal se zyada pyar karne wala pati tumhe mil hi nahi sakta...tumhe apni kismat pe naaz hoga ke tumhe Sujal jaisa pati milla...dekh lena tum kyunki tumhari Bhabhi tumse jooth nahi bolti....aur Kashish yeh na to main thi kar sakti hoon nahi tum kahan rahogi...yeh sab kismat ka khel hai aur tumhari kismat Sujal se jud chuki hai....par agar tum khush nahin ho tho main tumhare bhaiyaa se baat karun..........
Kashish: nahi bhabhi main khush hoon.........bas sirf darr lagta hai ki main Delhi me akeli kaise rahungi..........muje to yeh bhi pata nahi ki main usse baat kaise karungi........aur agar mujse koi galti ho gayi to.........
Anjali: main samaj sakti hoon...tum fikar kyun karti ho,koi aur nahin to wahan Sujal to hoga na tere saath aur dheere dheere tu usse khul ke baat bhi karne lagegi...muje pura yakeen hai ke ek baar tu usse jaan legi to tumhe khud ba khud samaj aajayega ki tumhe kya kehna hai aur kya nahin...tum uski fikar math karo aur sabkuch upperwale pe chod do............
Kripa: waise Kashish aaj tu kuch thik hi lag rahi hai..........kyun Bhabhi.....
Anjali: kyun tang kar rahi ho Kashish ko............Kashish iski baaton pe mat jaana aaj tum kissi chand se kam nahin lag rahi...
Kripa: wakay me Kashish,tum bohat khubsurat lag rahi ho .........muje to darr hai kahin Sujal tumhe dekh ke behosh na ho jaye...............
Kashish: bhabhi......inse kaho ki muje tang na kare.........warna main isse baat nahi karungi..........
Anjali: ab bas bhi karo Kripa...isse tang karna chordo...
Kripa: achcha thik hai bhabhi....ab chaliye isse puri tarah se taiyaar karte hain...Sujal aata hi hoga................
ab dekhte hai neeche Anurag Sujal aur Angad ke saath andar aata hai jaha pe Kavya unhe milta hai...........
Kavya: aa gaye aap log...........aap hi ka intzaar tha....aaiye na...
They all come in and Kavya hugs Sujal....
Sujal: Bhaiyya aapse ek request thi........
Kavya: haa kaho na...........kya baat hai..........
Sujal: kya main ek baar Kashish se mil sakta hoon sagaai hone se pehle..............
Kavya: thik hai..............woh upper apne kamre me hai...Ayan Sujal ko Kashishbua ke kamre me leke jao.......
Ayan: Ji papa...Chaliye na uncle....
He holds on to Sujal's hand and takes him upstairs...He goes infront of Kashish's room...
Ayan: yeh raha GF ka kamra...aap jaiye mein khelne ja raha hoon...
He leaves from there and Sujal knocks on the door.......... Anjali opens the door and surprised to see Sujal........
Anjali: Sujal tum yahaan...........kya baat hai.......
Sujal:Ji woh....muje Kashish se kuch baat karni thi...akele me.............
Kripa hears this and comes to the door...
Kripa: Sujal,itni bhi kya becheni...........thode din intzaar kar lo phir ji bhar ke akele me baat kar lena apni Kashish se...filhaal hamare samne hi baat karni hogi....
Sujal: Ji?.................
Anjali: Kripa kya kuch bhi bolti rehti hai........Sujal tum iski baat ka bura mat mano........tum Kashish se baat kar sakte ho.......chalo Kripa neeche...........
Kripa: chaliye bhabhi....aur haan Sujal,jaldi neeche aaiyega................
ab Anjali Kripa ko leke neeche chali jati hai..........
************************************************************************************
Sujal darwaza kholke andar aata hai aur Kashish ko dekhta hai jo aaine ke samne bethi huyi hoti hai...........Sujal andar aake darwaza apne piche bandh karta hai.........Sujal ko dekh ke woh khadi hoke Sujal ki aur dekhti hai lekin uski aankhein juki huyi hoti hai.......khamoshi ko Sujal todta hai....
Sujal: aap soch rahi hongi ki main yahaan kya kar raha hoon....samaj nahin aata ki pehle kya kahu aapse....aaj subaah maine aapko market jaate dekha tha...aur waha jo kuch bhi maine dekha usse muje aisa lag raha hai ki shayad aap is rishte se khush nahin...dekhiye main bas itna hi jaanna chahta hoon ki kya aap is rishte se khush hai.........agar nahi to aap inkaar kar sakti hai is shaadi ke liye,main aap pe koi dabaav nahin dalna chahta...faisla aapke haath main hai.........aapka jo bhi faisla hoga woh muje manzur hoga...........
Kashish: kitni aasani se aapne keh diya ki aap inkaar kar denge is shaadi se.......aap jante the ki hamari shaadi honewali hai phir bhi kal raat aapne mujse kuch nahi kaha........aap mere bare me jante hai phir bhi aapne shaadi ke liye haa kyun ki......
Sujal:kyunki main Anurag Uncle ko mana nahi kar sakta...meri zindagi me do hi log hai aaj tak aur woh hai Anurag Uncle aur Angad...mere mama papa ke guzar jaane ke baad unhone muje sambhala hai...unka ehsaan me kabhi nahin chuka sakta..............,main unke liye kuch bhi kar sakta hoon...yaha tak ki shaadi bhi........aur rahi baat kal raat ki to main chahta tha ki aapko agar aap ke gharwale batate to behtar hoga........
Kashish: jis tarah aap Anurag uncle ko mana nahi kar sakte usi tarah main bhi apne bhiyaa ko mana nahi kar sakti.....neeche sab mehmaan aa gaye hai ab main kaise piche hat sakti hoon.........kya kisi ne muje waqt diya .........nahi na to ab muje kyun kaha ja raha hai.........ki main is shaadi se piche hat sakti hoon...........main aapse shaadi karne ke liye taiyaar hoon.........
Sujal: thik hai...par ek aur baat............main yeh shaadi sirf Anurag uncle ke liye kar raha hoon...meri zindagi aapse alag hai...jaise aap rishton ko sabse zyada aimiyat deti hai........,waise main apne business ko...mere liye mera business hi sab kuch hai isliye aap kabhi mere kaam pe aitraaz nahi karengi ............aur main kab office ke liye jata hoon aur kab ghar wapas aata hoon uspe kabhi koi rukawat muje nahi chahiye.........
Kashish: aap apni zindagi jaise jite hai waise ji sakte hai main aapke kaam me kabhi koi rukawat nahi banugi...........aur Anurag Uncle ne itna to bata diya hai ki aapke liye business hi zindagi ka dusra naam hai.......main aapke raste me kabhi nahi aaungi..........main koshish karungi ki meri aur se aapko kabhi sikayat ka koi moka na mile........
Sujal:thik hai...aapko kuch aur puchna ho to aap pooch sakti hai warna main neeche jaata hoon............
Kashish: nahi kuch nahi .........aap neeche jaiye sagai ka waqt ho raha hai..........
Sujal: thik hai main chalta hoon...
yeh kehke Sujal darwaze ki taraf chalta hai aur jaane se pehle ek baar Kashish ki taraf dekhta hai...............Kashish wahi wapas aaine ke samne beth jati hai jiski aankh bhar aati hai........
************************************************************************************
Ab Sujal neche aata hai aur Kavya,Anurag aur Angad ki taraf jaata hai jo saath me khade hote hain...
Sujal: maine Kashish se baat karli hai,ab aap jab chahe yeh sagaai hosakti hai...............
Kavya: Anjali zarra Kashish ko neehce leke aana...............
Anjali: jii abhi layi..........chale Kripa.........
Kripa: chaliye Bhabhi.....
Kripa aur Anjali dono upper apne kamre me aate hai..........
Kripa: Kashish bata na kya baat huyi.........kuch to hua hoga na......
Kashish: kuch bhi nahi...........woh sirf yeh janna chahte the ki main khush hoon ki nahi.........
Anjali: tune kya kah.........
Kashish: yahi ki sagaai ke liye dair ho rahi hai..........
Kripa: bahot jaldi hai tuje..........
Kashish: chale Bhabhi............
Anjali aur Kripa Kashish ko leke neeche aate hai jab sab Kashish ko dekhte hi reh jate hai...........Angad Sujal ke kandhe par apna haath rakhta hai...
Angad: bohat kismat waala hai tu jo Kashish jaisi itni khubsoorat biwi milli tuje...
Sujal slightly smiles at Angad and then looks back at Kashish...........Anjali aur Kripa Kashish ko Sujal ke pass lake khadi karti hai........
Anjali: to sagaai ki rasam shuru kare.........
Anurag: haan bhai...achche kaam me deri nahin karni chahiye.............
Anjali: Kashish.............yeh lo anguthi aur pehna do Sujal ko...........
Anjali Kashish ke haath me anguthi deti hai aur Kashish bina nazre milaye Sujal ko pehna deti hai..........ab Sujal ki baari hoti hai........Angad usse anguthi pakrata hai aur Sujal Kashish ke haath aage karne ka intezar karta hai...par Kashish apne khayalon mein khoyi hui hoti hai...
Angad: arre Sujal dekh kya raha hai,haath pakar Kashish ka aur pehnade anguthi...
Sujal: Angadddd!
Anurag: are sach hi to keh aha hai...kya Kashish ka haath pakarne me sharam aati hai.............
Sujal binna kuch kahe Kashish ka haath pakarta hai aur uski taraf dekhta hai...aur phir usse anguthi pehna deta hai.... pura hall taliyon se gunj raha tha...............
Anjali: ab sagai to ho gayi Uncle..........yeh bataiye barat leke kab aa rahe hai...........
Anurag: mera bas chale to hum kal hi aajaye apni beti ko lene par yeh tho Panditjee hi bata sakte hain..kyun Panditjee..............
Panditjee: jii kyun nahin...maine do mahurat nikale hain...aabse pehla agle hafte hai aur dusra che mahine ke baad ka...ab faisla aap kijiye ke aap ko kab shaadi karani hai..............
Kripa: che mahine hi thik rahega...........hum thodi itni jaldi Kashish ko de de aapko..........
Angad: aap hamare dulhe sahab ka kuch tho khayal kijiye...che mahine inse intzaar nahin hoga...
Sujal: Angaddd tum baaz nahin aaoge............
Kripa: intzaar bhi apne aap me ek khushi deta hai..........aur yeh baat uncle ko tai karne dete hai..........
Anurag: muje lagta hai agle hafte ka mahurat hi thik hai agar aap sabko aitraaz na ho...
Kavya: hume koi aitraaz nahin,par itni jaldi sab taiyariyaan kaise hongi.................
Anjali: hum akele kaha hai ..........pura Shimla jo hai Kashish ki shaadi ke liye........kyun Kashish...........
Kashish kuch nahi bolti sirf apna sir hilati hai.........Sujal yeh baat notice karta hai par kuch kehta nahin....
Kavya: to thik hai phir agle hafte hi shaadi hogi...
Anurag: thik hai beta,to hum aarahe hai apni beti ko lene ek hafte baad...Sujal tum ab shaadi ke baad hi lautonge Kashish ke saath........... kyunki is ek hafte me sab rasmein nibhani hongi...
Sujal: lekin uncle................mera kaam...
Anurag: woh sab main nahin jaanta...tum shaadi ke baad hi jaoge bas...
Sujal: Ji uncle...jaisa aap chahe...............
Anjali: Uncle muje aapse yeh umeed nahi thi..........ki aap ek hi hafte me mujse Kashish ko leke jayenge........
Kripa: sikayat to muje bhi hai..........aap aise kaise .....
Anurag: kya kare beta hume bhi jaldi hai Kashish ko apne ghar le jaane ki...ab hum sab chalte hain,raat kaafi hogayi hai,aur ab to milna julna chalta rahega,shaadi ke bahane...............
Anjali: thik hai Uncle.............jaise hi sari rasme ka waqt tai kiya jaye main aapko phone karke bata dungi...........
Anurag: thik hai beta...hume intzaar rahega....ab hum chalte hain tum sab apna khayal rakhna...
Anurag Kavya ke galle milta hai aur phir Kashish,Anjali aur Kripa ko aashirwaad deta hai...Phir Sujal aur Kavya bhi galle milte hain aur woh sab ghar ki aur nikalte hain...Par jaane se pehle Sujal aik baar murr ke Kashish ko dekhta hai............lekin Kashish ek bhi bar Sujal ko dekhe bina piche mud ke apne kamre me jane lagti hai..........
************************************************************************************
ab Kashish upper apne kamre me jake apni diary phir se likhne bethti hai...........
Kashish (in her diary): aaj her ladki ki tarah mera sapna bhi pura ho gaya...........jo ungli ko her ladki khali rakhti hai is umeed ke saath ki uske sapno ka rajkumar aake use apni dil ki anguthi pehnayega.......yeh sapna to maine bhi kahi na kahi in Shimla ki vaadiyon me dekha tha.......lekin kehte hai ki sapne sach nahi hote.,,,,,,,aaj Sujal ko lagta hai ki main khush nahi aur sach hi lagta hai kyunki main khush nahi..........ek pal ke liye mere kadam bhi uth gaye the is shaadi se inkar karne ke liye lekin tabhi neeche se muje bhaiyaa ki hasi ki aawaz sunai di .........ab kaise piche hat sakti thi jab rasam ko shuru hone me ek ghanta bhi nahi tha...............Bhabhi kehti hai ki Sujal muje khush rakhega lekin aaj to unhone shaadi hone se pehle yeh keh diya ki unki zindagi me mujse pehle unke business ki jagah hai........aaj kahi na kahi yeh shaadi nahi balke mere aur Sujal ke beech ek business deal huyi hai jisme sab apni apni tarah se khush hai sivay mere aur Sujal ke kyunki hum dono ki zindagi alag hai......soch alag hai to hum kaise ek rishtey me reh sakte hai..........pata nahi in aanewale saat din me main Sujal ko kitna jan pungi ki nahi kyunki saat din ke bad woh hamesha hamesha ke liye muje apne saath akele Delhi le jayega..........ab yeh Saat din mere liye saat janam ko tai karenge..............
Love
Comments (24)
Hey samrah thank u so much 4 ure comments!!! we are glad you liked this part 2!!!....yhh it was maybe the first time she didn't do any masti in the market...and dear you have 2 wait and watch to see if they fall in love within the next 7 days or not...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
hey sanjana dear thank u soo much 4 ure comments, we really appreciate it...glad your njoying it...luv kashish and summi
15 years ago
Hey dear thank u sooo much!!! we are glad you liked this part...nice to see you guys gueesing about the story and characters...do share ure thoughts with us about wot u are thinking and you will get to know in the future parts if you were right or not...keep reading and commenting and we will surely continue very soon luv kashish and summi
15 years ago
awesome part kashish and summi.......................kashish ne sahyad pehli bar koi sharat nai ki thi market mein......................but yeh kia yar sujal ky liye business sab se pehly aur baqi sab bad mein....................plz kuch aisa karo ky 7 din mein dono ko pyar ho jaye eik dosrey se.....................plz plz plz....................con't soon
15 years ago
Hey dear thank u soo much 4 ure comments!!!....nice to see you guys guessing the future story line and you will soon get to know if its a gradual process or not...keep reading and commenting!!!! luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=Iqbal Neha1]amazing part i really liked the way u showed the reaction of all the people in shimla after knowing about kashishs wedding,it seems everyones gonna miss her.Im glad sujal talked to kashish before the engagement and told her wat she can accpect from him but i hope sujal changes his point of view about relationships and instead of business being his number one priority kashish becomes number one for him.Hope in the seven days kashish and sujal start to find out things about each other.Cant wait 2 read their wedding part. [/QUOTE] Hey dear thank u soooo much 4 ure wonderful comments like always!!!...we are glad to know exactly the things you liked in this part..it helps us to know what you guys like and dislike...yhh evry1 is upset after knowing she will be getting married and moving away...and you just have 2 wait and see if his views do change or not...Keep reading to know whats going to happen....thanx once agen 4 always commenting...luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=tanu.g]wowwwwwwww awesome part plzzzz cont soonnnnnnn!!!! intazar rahe ga mujhe next part ka............... [/QUOTE] hey tanu jaan!!! no thanx 4 liking it!!! we will surely continue soon...keep reading and commenting....luv kashish and summi
15 years ago
Hey swetha thanx a lot 4 ure comments dear!!!! glad ure njoying it....and you will have 2 wait and watch to see if Sujal changes or not...keep reading and commenting..luv kashish and summi
15 years ago
Hey deepa dear. thank u soo much 4 ure wonderful comments...you just have 2 wait and see what happens within these 7 days...we will surely continue asap dnt worry...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
it is really nice plz contd
15 years ago