Chapter 2
Part-1
kehte hai ki Shimla ki sunhari shaam ko dekhne pure hindustan ke log aate hai.......aaj bhi kuch aisi hi suhani shaam hai Simla ki main market me..........aurate sabji kharid ne chik chik kar rahi hai.......ab to bache bhi school bus se utar ke apne ghar jane lage hai...........bujurz log chai ki dukan pe special adrakh wali chai pii rahe hai...........aaj bhi in galiyon me taze phoolon ki khusboo aati hai............aur inme aati hai ek hi aawaz........kisi ke pairo ke paayal ki chan chan ki aawaz...........jo pure Market ki galiyon me gunj rahi hai.........ek 20 ya 21 saal ki ladki haathoin me lal gulab leke daud rahi hai jo bar bar piche mudke dekh rahi hoti hai.........aaj bhi galiyon me uska dupatta Shimla ki dharti ko chuke nikal raha hai..........jab ek 15 ya sola saal ka ladka uske piche chila raha hota hai.........aur hum kaise jante hai kyunki is waqt sirf uska naam pure market me gunj raha hai..........
Boy: Kashishdii...........Kashishdii.......rukiye.........aaj aap meri dukan se phool churake nahi bhag sakte........
Jab Kashish ek ladki se takrati hai.......woh ladki apna sir pakad leti hai jisse Kashish ke chehre pe ek muskaan si aajati hai.........
Kripa: Kashish tu kahan bhaag ke ja rahi hai........aur yeh phool?........aaj bhi........
Kashish: Kripa aaj nahi........woh mere piche bhag raha hai......tuna aaj isko sambhal me chali..........
Kripa: Kashish.........arrr ruk to........mujhe kahan phasa ke bhaag rahi ho........Kashish maine bola rukko........
Kashish waha se bhag jati hai aur uske piche Kripa aur uske puche woh ladka...........jab achanak se woh ruk ke piche mudti hai........
Kashish: tum dono mere piche kyun bhag rahe ho........aur tu kyun piche bhag raha hai..........aaj tak ke maine tere sare paise to de diye hai...........
Kripa: Kashish.......kabhi to soch samaj ke kuch kiya kar.........tu her bar phool churake kyun bhagti hai.........paise deke nahi le sakti..........tumhari harkatein bachon se kam nahi hai...........
Kashish: to main kaun si badi ho gayi hoon...........
Kripa: 21 saal ki ho gayi ho aur abhi tumhe lagta hai ki tum badi nahi huyi..........hey Bhagwan kuch to akal do isse........Kashish tu kab badi hogi.........
Kashish: kabhi nahi......abhi nahi to kabhi nahi..........
Kripa: tumse to baat hi karni bekaar hai.........kal teri shaadi hogi to tera pati kahi yeh na soche ke usne kisi bachi ko god liya hai.......ab tumhare bachpan ke din gaye Kashish
Kashish: ab main to apne aap ko badalne wali hoon nahi.......aur tu to janti hai shimla me koi pagal hi hoga jo Kashish Sinha se shaadi karega.......is liye tu iski fikar karna chod de......kyunki mujse shaadi karnewala aaj tak koi bana hi nahi........
Kripa: Har insaan ke liye koi na koi banna hota hai Kashish....Dekhna bohat jald tumhe tumhara humsafar mil jayega...Aur shimla mein nahin tho kahin aur sahi.....par koi to hai jo tuj jaisi pagal ko sambhalega........
Kashish: tera aur Bhabhi dono ka dimaag kharab ho gaya hai......main na yeh Shimla chod ke kahi nahi janewali .........
Kripa; Dekhlenge...Filhaal tu zarra isse paise de aur aainda se phool math churake bhaagna warna mein.........haa lekin teri cycle ka puncture nikal dungi mein.....ab yeh le teri cycle ka puncture thik ho gaya........
Kashish: meri cycle aur mere phool ke bare me tune kuch kaha na ......to........to main tujse baat nahi karungi.......aur tu khada khada kya dekh raha hai.......yeh le tere paise aur kal phir aaungi phool churane.......
Kripa: Kashish tu pagal hai kya?................agar baad mein paise dene hi hote hain tho pehle churati kyun ho tum?
Kashish: tuje nahi pata churane jo maza aata hai woh aur kaha........tuje kya pata is churaye huye phool me jo khusboo hai woh paise kharide phool me kaha............jo maza churaye huye sev me hai woh yaha ke market me kaha.........aur mera to kaam hi hai churake sabko pareshan karna......
Kripa: teri baatein mere samaj se baahar hai...khud tho pagal hai tu,ek din muje bhi kar degi......Ab ghar chal warna bhabhi ko jaanti hai na tu...........
Kashish: lekin pehle abhi mere dost nahi aaye...........
Kripa: Arre haan...kahan reh gaye aaj Anuraguncle?
Kashish: woh dekho woh aa rahe hai ...chal jaldi se warna kahi phir se ek bar chai ki dukan beth gaye to khade nahi honge
Kripa: Haan chalo...
dono bhagti huyi Anurag ki aur jati hai..........
*****************************************************************************
Anurag: arre sambhal ke tum dono aise bhaag ke kyun aa rahi ho ..........
Kashish: are uncle aapse milne to aa rahi thi........yeh lijiye aapke phool.......achche hai na.........
Anurag: bohat ache hain...chahe kuch bhi hojaye tum mere liye phool laana nahin bhulti..........
Kripa: Uncle laana nahin bhulti ke churana nahin bhulti...
Kashish: ab uncle main bad me to paise deti hoon na...............
Anurag; haan kripa kashish theek hi tho kehrahi hai?..............
Kripa: uncle aap tho kuch math kahe...aap hi ne isse bigada hai...............
Kashish: ab isme uncle ne kya kiya hai...........woh mera hi saath denge kyunki yeh mere uncle hai..........waise aapne aaj ki dawai li..............
Anurag: woh..........nahin...........haa.........bas lene hi waala tha..........
Kashish: main janti thi ........ab nikaliye apni right pocket se........aur yeh lijiye paani ki bottle.................
He smiles and takes out his medicine and eats it...
Anurag: jab thak tum mera khayal rakhne ke liye ho tab thak muje fikr karne ki kya zarurat hai..........Mujse zyada fikr hai tumhe meri.........
Kashish: ab fikar kaise na karoon........aap to apna khayal rakhte nahi.........aur aap hi ek mere uncle hai........agar aap aisa hi karenge to muje roz aapke ghar aake aapko dant ke dawai deni padegi.......
Anurag; mera bas chalta tho mein tumhe hamesha apni beti banake apne paas rakhta...khair ab dekho kaafi der horahi hai,...........tum ghar jao isse pehle ki raat ho jaye.............
Kashish: are aaj to bhabhi ne aapko saath le jane ko kaha hai ........aaj aapki pasand ke rajma chaval bane hai............
Anurag; rajma chawal?.............woh bhi Anjali ke haath ke............ab tho chalna hi parega........
Kripa: jii haan uncle jaldi chaliye warna bhabhi ki daant hum sabko khaani paregi jab ke der kashish hi karati hai..............
Kashish: ab chal warna bhabhi ki dant ke saath meri mar bhi khani na ho to.................
Anurag; ab tum dono larna band karo aur chalo............
They all start going towards Sinha House but Anurag was in deep thoughts about something and after some time...........he just smiles................
*****************************************************************************
ab Kashish Kripa aur Anurag ke saath ghar ki andar aati hai.........jaha pe Anjali dining table pe khana laga rahi hoti hai aur jiske chehre se lagta hai ki woh bahot gusse me hai............
Anjali: aa gaye aap log!...aur Kashish tum phirse late..........kahan thi ab thak........yahaan raat hone ko aayi hai aur tum ab aarahi ho...kitni baar kaha maine ke itne waqt thak baahar math raha kar par meri tho koi sunta nahin..............
Kripa: Bhabhi aap mera sukhriya kariye ki main ise ghar leke aayi warna yeh to aaj bhi market me chila chila ke daud rahi thi..........
Anjali: kyaaaa.........Kashish tera bachpana kab jayega........Shaadi ki umar hogayi hai,aur tu abhi bhi aisi harkatein karti hai...
Anurag looks at Kashish who is blank...
Anurag: arre....Anjali woh darasal...deri meri wajah se hui hai....mein hi der se wahan pohancha aaj tho yeh wahan mera intezaar kar rahi thi thaake mujhe khane pe bula sake..............
Kashish: haa Bhabhi.........main bas aanewali thi lekin aaj Uncle dair se aaye aur phir unhone dawai bhi nahi li is liye hum na unke ghar gaye...........lekin mera BF kaha hai...............
Anjali: aur kahan hoga.........upar kamre mein cartoon dekhne mein busy hai....kabse bula rahi hoon par meri tho sunta nahin na...
Kashish: muje pata hai woh mujse naraz hai...........woh aaj use bina bataye chali gayi .........lekin koi baat nahi main bhi apne BF ko manake neeche lati hoon..........
Anjali: haa jaldi jaa aur usse leke aa...aur sunno,tum bhi cartoon dekhne math baith jaana...jaldi neechay aana,tere bhaiyaa aate hi honge....
Kashish: abhi aayi........ple bhabhi bhaiyaa ko mat batana ki main dair se aayi.........
Anjali: aaj thak bataya hai kabhi....ab ja jaldi kar....
Kashish runs upstairs and Anjali just smiles seeing her...Then she turns to Kripa and Anurag...
Anjali: arre aap log baithiye na,yahan kyun kharre hain...Chaliye khaana tayaar hai aur yeh theenon bhi aate honge abhi...............
Then Kripa and Anurag go sit at the dining table waiting for the rest.................
ab Kashish kamre me jake dekhti hai to Ayan muh banake cartoon dekh raha hota hai......jaise hi Kashish ko dekhta hai TV off karke bed pe beth jata hai.......
Kashish: hey BF kaisa hai........kya baat hai aaj apni GF ko hi bhi nahi bolega.........
Ayan: muje aapse koi baat nahi karni..........aap muje bataye bina kyun chale gayi..........
Kashish: woh tere liye hi kuch lane gayi thi...........
Ayan: kya hai........jaldi do mera mood thik nahi.......
Kashish: koi baat nahi main akele hi chocolate kha jati hoon............
Ayan: CHOCOLATE............kaha hai dona..............
Kashish: abhi nahi.......pehle Khana phir chocolate......agar teri mama ko pata chal gaya to woh tere saath muje bhi meregi ......ab chal...........
Ayan: aainda se muje chod ke gayi to apne liye nayi GF dhundh lunga.........
Kashish: ja ja mere alawa tere ko aur koi milegi bhi nahi........ab chal Bhaiyaa aate hi honge...........
Kashish Ayan ke saath neeche aati hai jab ghar me Kavya aata hai.............
Kavya; kya baat hai aaj puri family ek saath.......namaste Uncle............
Anurag: namaste beta ..........kaise ho tum................Aur kaam kaise ja raha hai tumhara................
Anjali walks up towards kavya and takes his bag and coat from him ............
Kavya: main bilkul thik hoon.........aur kaam ka kya chalta rehta hai............woh ek project ko pura karne me aaj kal dair ho jati hai............
Anurag: Chalo acha hai...Waise kal Sujal araha hai...Business mein bohat hi kaabil hai woh...Agar madat chahiye ho tho usse baat karlena...Apne papa ka poora business khud sambhal raha hai woh........
Kavya: aapse sujal ki itni tarif suni hai ki ab to use milne ka bahot mann kar raha hai..........anjali khana lag gaya.............
Anjali: Ji haan lag gaya...Hum aap hi ka intezar kar rahe thay...Aaiye baithiye...
*****************************************************************************
ab sab log dining table pe hote hai.........
Anurag: tumhe Sujal se is baar zaroor milwaunga...Aur uski jitni tareef karun woh kam hai...Itni si umar mein usne khud ki aik pehchaan banayi hai............
Anjali: woh business hi sambhalta hai ki kuch aur bhi........
Anurag: Ab beta tum tho jaanti ho na ke jab woh 8 saal ka tha tho Lalit aur bhabhi guzar gaye...tabse khud hi sab kuch sambhal raha hai..,.......woh akele hi rehta hai...ek dost ke ilawa uske saath wahan koi aur nahi hai...par woh is kadar business mein doob gaya hai ke uske paas khud ke liye waqt nahi.................
Kashish (to Kripa): kitna akdu hoga........
Kripa (whispers):.Kissi se milne se pehle unhe judge nahin karna chahiye..kya pata woh acha insaan ho.................
Kashish: uncle ki baat se to aisa hi lag raha hai ki kitna irritate type ka hoga....................
we see a man is walking while talking on the cell in his designer black suit..........on both side we see office employee are walking with him and when he stops and turns off the cell ..he looks in his very expensive watch......and turns back to talk to someone..........we can see it is none another than our Sujal..........sujal goes to than person......
Sujal: Angad......meri do din tak ki sari meeting ko parso ke liye postpone kar do.....
Angad: lekin Sujal bahot zaroori meeting hai.........
Sujal: Anuraguncle ne bulaya hai.....Anuraguncle se zaroori kuch nahi......hum log kal subaah ki flight se ja rahe hai.........bye......see you at airport...........thik nauv baj ke bis minute pe........good night...
sujal leaves before angad could say anything...........
Angad: good night Sujal...........
ab chaliye chalke dekhte hai ki Sinha House me kya ho raha hai.................
Kavya; uski shaadi nahi huyi abhi tak.........
Anurag: Shaadi?...nahin abhi nahin hui...par ab soch raha hoon is baare mein............woh bohat akela hai, usse kissi ki zarurat hai jo uski zindagi mein rang bharde...Is baar usse baat karke rahunga
Kashish (to Kripa): us akdu se kaun shaadi karega................
Kripa: kissi aur ne nahin ki tho tu karle na usse shaadi.........
Kashish: shaadi kabhi nahi aur us akdu se to kabhi nahi................
Kripa: acha rahega..........tu bolti rehna aur woh chup chap sunta rahega..........dono ki jodi khoob jamegi..........
Kashish: agar itna achcha lagta hai to tu kar lena shaadi..........
Kavya; kashish tum dono me kya aapas me baatein ho rahi hai................
Kashish: kuch nahin bhaiyaa...yeh to aise hi...kuch bhi bolti rehti hai...........
Kripa: haa bhaiyaa.....bas kuch nahi..........uncle aap thode rajma lenge............
Anurag: nahi beta bas mera hogaya...Anjali beta bohat hi acha khana banaya tumne humesha ki tarah.......
Anjali: Shukriya uncle
Kavya: uncle walk pe chalenge.............
Anurag: haan beta kyun nahin...chalo.............
Kavya and Anurag left now only ladies are talking
Kripa: Bhabhi........aapko nahi lagta ki Kashish aur Sujal ki jodi khub jamegi..........
She looks at kashish and starts laughing.................
Anjali: waise kripa tumhari baat se mein sehmat hoon...Kyun kashish tumhe nahin lagta............
Kashish: aane do use........do din main nahi bhaga diya to mera naam bhi Kashish nahi............
Kripa: dekhna kahin tumhe hi na bhagake le jaye....
saying this she starts running up and kashish runs after her..............
Kashish: tu ruk.........dekh lena........aisa kuch nahi hoga.......aur woh mujse shaadi kyun karega.........tu hi kehti hai na ki main to abhi bachi hoon..............
Kripa: haan tho woh bhi tho akela haina.............tu apni harkaton se usse khush karna...........
Kashish: Kripaaaaaaaaaaa.....................
aur yeh sab to chalta rehta hai........ab zara bahar dekhke chalte hai ki waha kaun si baat ho rahi hai.....
*****************************************************************************Anurag aur Kavya aise hi bagar garden me chal rahe hote hai......
Anurag: Kavya......tumne Kashish ki shaadi ke bare me bhi kuch socha hai ki..........ab to uski padhai bhi puri ho gayi hai to...........
Kavya: nahi bas kal hi main Anjali se keh raha tha ki koi achcha ladka dekh ke shaadi ki Kashish se baat karoon..............
Anurag: Kavya beta tum burra na maano tho tumse aik baat kahun?..............
Kavya: are isme bura mannewali kaun si baat hai........kahiye na kya baat hai..........
Anurag: agar main yeh kahoon ki Kashish meri beti ke saath saath mere ghar ki bahu bane to.........
Kavya: main kuch samja nahi.,........
Anurag: main sujal ke liye kashish ka haath mangna chahta hoon...muje lagta hai ke ek kashish hi hai jo usse woh saari khushiayaan de sakti hai jispe uska haq hai...main chahta hoon ke Kashish ke saath rehkar woh bhi zindagi ke har pal ko jiye...........jo rishtey jo pyaar jo apnapan usne khoya hai woh uski zindagi me phir se Kashish leke aaye.........main Sujal ki is adhure jeevan me Kashish ko uski ardhangini banana chahta hoon...............
Kavya: yeh to bahot hi achchi baat hai..........Sujal aapke bete jaisa hai.........aur agar meri Kashish aapke ghar aayegi to isse badi khusi ki baat kya hogi.........lekin sujal ke dil ki baat janni bhi bahot zaroori hai.....kyunki Shaadi ki baat pe zabardasti bhi achchi nahi..........
Anurag: uaki fikar tum math karo...muje pura yakeen hai ki Sujal na nahin karega...tum ek baar kashish se baat karke dekho...............
Kavya: thik hai main waqt dekh ke kashish se baat kar lunga.......muje yakeen hai ki woh meri pasand ko kabhi naa nahi kahegi..........lekin uncle Kashish ko to aap jante hi hai ko woh kitni shararati hai.......agar kahi Sujal ke saath bhi..............
Anurag:: janta hoon.........par woh dil ki bohat achi hai...sabse kitna pyar karti hai woh...muje yakeen hai woh Sujal ko bohat khush rakhegi.........aur Kashish se achchi ladki Sujal ko milegi bhi nahi..........
Kavya: thik hai agar aapko yakeen hai to muje bhi yakeen hai aapki baatoin pe...........agar yeh rishta ho gaya to phir hamari Kashish hume chod ke chali jayegi............
Anurag: jaanta hoon beta...uski kammi tho bohat mehsoos hogi par betiyaon ko ek na ek din tho bidaai karna hi parta hai...kal Sujal aane waala hai...main chahta hoon ki tum ek bar Sujal ke milke koi faisla ho kyunki Kashish tumhari jimedari hai.............
Kavya: thik hai..........ab main use milne ke bad hi Kashish se baat karunga.........waise kal dinner pe leke aaiyega..........kya kehte hai.........isi bahane Kashish aur Sujal bhi ek dusre ko dekh lenge.........
Anurag: : thik hai beta................kal hum log aajayenge...........bas ek baar yeh rishta hojaye tho mujhe Sujal ki fikar nahin rahegi. ...........aur muje pura yakeen hai ki Sujal Kashish ka bahot khayal rakhega.........
Kavya: aap chahte hai to aisa hi hoga....aur aapki baatein sunke muje bhi yakeen ho gaya ki Sujal Kashish ko khush rakhega......
Anurag: Thank you beta...
They both hug each other...
Love
Comments (31)
wowwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww awesomeeeeeeeeeeeeeeeeloved it................
15 years ago
Hey sweetheart thank u sooo much 4 reading and commenting...we are glad you liked the first part!!! we will hpefully update very soon and you will definetly see more of sujal in the next part...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
i just read 1st part its awesome........good job kashish and summi waiting for next part and more to read about sujal's character keep it up
15 years ago
hey seher sweetheart no thanx!!!!! we are more than happy that u loved part 1....yeah kashish and kripa's friendship is a very unique one..keep reading and commenting luv kashish and summi
15 years ago
Hey dear welcoem 2 our FF!!! gr88 2 see ure comments here!!!....loved ure comments and we will try n update as soon as we can..we knw you all are eagerly waiting for their first meeting!!!!....we will surely add u on the pm list and keep u updated!!!...keep reading and commenting...luv kashish and summi
15 years ago
Hey swetha dear thanx 4 comments!! we are glad you liked part 1!! and yes Kashish's character is lovable 4 sure...yeah they wull be meeting very soon...We will try n continue as soon as we can..keep reading and commenting....luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=Rajeev_ki_deewa]Nice intro...... i didn't read part 1 but i will read tomorrow for sure........hmmmmm... its very interesting[/QUOTE] Hey dear welcome 2 our FF!! gr88 2 see ure comments here, they mean a lot 2 us!!....we are glad you liked the intro and we hpe u will like part 1!! do let us knw ure views on part 1 2!!!...keep reading and commenting....luv kashish and summi
15 years ago
[QUOTE=tanu.g][QUOTE=kashishdabest] well di bas ab to ye janna hai ke ab kashish sujal se mill ker kiya kerti hai to jaldi se likhna ok [/QUOTE] Hey tanu tumhe jaldi pata chal jaayega ke woh usse mil ke kya karti hai!!!... we will try n update as soon as we can!! keep reading and commenting...love kashish and summi
15 years ago
This content is hidden.
15 years ago
hey kashish........................awesome story yar....................buhat acha concept hai..........................i like all the characters.................kashish mein kitna bachpana hai..........................aur sujal mature and handsome hai.........................sujal aur angad ki dost ki tu baat nahni hai..........................i also like kashish and kripa friendship ...........................kis tarah ki shanati kar rahi thi kashish meri tu hansi nai rok rahi thi.............................aur uska boyfriend buhat cute hai........................i m eagergerly waiting 4 next .............................and sujal kashish meeeting.........................plz add me on pm list
15 years ago