Monami- Tumhe apne ego ke aage koi nahi dikhta hai, Karan. Main bhi nahi. Kehte ho pyaar karte ho, aur phir... itni easily chhodkar chale jaate ho. Restaurant mein, lobby mein. Kya pyaar, Karan? Yeh pyaar hai tumhaara?
Karan- Aur tumhaara pyaar? Bina mujhe samjhe, meri baat sune, judgement de deti ho. Yeh hai pyaar tumhaara? Meri judgement par trust nahi karti ho. Kitni baar! Kitni baar kaha hai tumhe maine ki Aneesh theek nahi hai. Ek baar bhi tumne iske baare mein socha ki jo keh raha hoon kyun keh raha hoon? Socha? Nahi, na?
Monami- Tum kyun Aneesh ke peechhe padhe ho?
Karan- Because he likes you, and use humaara relationship pasand nahi hai. And wo hume door karne ki koshish kar raha hai. Par tumhe naa apne Dad ki galti dikhti hai, naa Aneesh ki. Sirf meri galti dikhti hai.
Monami- I know jo Dad ne kaha tumhe, wo tumhe hurt kara hoga. But hum baithkar bhi baat kar sakte the.
Karan- Monami, jo insaan meri deshbhakti, mere duty par question karega, uske saath baithkar baatne karne jitni patience nahi hai mujh mein.
Monami- Matlab? Papa ne tumhaari... ek second, Papa ne kya kaha tumhe?
Karan- Tumhe farak padta hai?
[Likhna toh shuru kar diya, ending nahi samajh aayi, toh yahin tak hai abhi ke liye.]
comment:
p_commentcount