Tujhse milne ki aas liye baithe hai,
Aaoge tum yeh Vishwas liye baithe hain,
Ek baar dhara tha krishna roop,
Bann kar aaoge is baar Kalki roop,
Ek baar Raavan ko maara tha,
Ab Kali ko maarne aana hai,
Tab maryaada purushottam bann aaye the,
Is baar maryadaon ko bachana hai,
Jab gaye the ye sansaar chhod kar tab kaliyug aaya tha,
Is baar kaliyug ka anth bann tumhe aana hai,
Matsya avatar liya tab Manu ko bachaya tha,
Abki baar manav samaj ko taarna hai,
Kurum roop me dharti ka bhaar uthaye the,
Kalki bann fir dharti ka bhoj utaaroge,
Bann Narsimha hiranya Kashyap maare the,
Bhakti mein shakti ka paath padhaye the,
Phir ek baar bhakt bula rahe tumhe,
Kab aaoge inke dukh mitaane,
Jab kshatriya maryaada paar gaye,
Brahman bann unhe sanhaare the,
Maang teen pag bhoomi bali ko paatal lok pathaya,
Vaaman roop mein phir tumne ek baar dharm ka mehtva samjhaaya,
Kansa, duryodhan to bas Pratyaksha the,
Dwapar me bann Krishna tumne to adharma ko maara tha,
Kaliyug mein phir ek baar ye dharti ,
Maaya kaam lobh mein hai ghiri,
Puch raha hai yeh sansaar,
Kab aaoge tum paalanhaar!!
A try on Kalki Avtaar! Do tell me how it is??
comment:
p_commentcount