Raajmata Ahilya Devi aur Devi Anupriya vatika ke ek aasan me viraajmaan hai. Wah donon vatavaran ka anand lete hue prasang kar rahi hai..
Mahoday Sarthak apne vahaan ke nikat hi upasthith the. Unki drishti apne hriday ki Maharani Devi Anupriya par kendrith thi..
Achanak wahan chaar paanch lootere pohonch gaye aur Devi Anupriya se durvyavahaar karne lage evam unke abharanon ko lootne lage..
Raajmata - Putri Anupriya....
Parameshwara.. Koi hamari Putri ki raksha kijiye ..
Sarthak wahan daude chale aate hain..
Sarthak - Raajmata aap chintit na ho. Devi Anupriya ki raksha hum karenge.
Sarthak Mahoday un looteron se Yudh karte hain aur apni hriday ki Devi ki raksha karte hain.
Paranthu unme se ek lootera Sarthak Mahoday ke peet pe khanjar bhogtha hai aur ve bhoomi par gir jaate hain..
Unke shareer se rakt behkar mitti ko laal kar rahi thi..
Ve Moorchit ho jaate hain.
Anupriya - Swami...!!!
Swami, apne netra kholiye..Swami..!!
Raajmata - Putri Anupriya hume Putra Sarthak ko athi sheegra vaidya ke paas le jaana hoga..
Anupriya - Raajmata....mere Swami..
Raajmata - Putri, samay vyarth na karo.. Sheegratha Karo.
Putra Sarthak ko vahan tak pohonchana me hum tumhari sahayatha karte hain..
Sarthak Mahoday ko donon streeyan milkar vahan me leta dete hain Aur Devi Anupriya vahan chalakar apne Gruh pohonchathe hai.
Raajmata - Putri Kalyani... Tanik sheegratha se vaidyaji ko avgat karwavo..
Kalyani - Kakashree...!!! Raajmata, Kakashree ghayal kaise hue..
Anupriya - Putri..yeh samay Prarshn karne ka nahi, Vaidyaji ko bina vilambh kiye soochit kijiye.
Kalyani athi sheegratha se Vaidyaji aur apne Aaryaputra ko sandesh bhejthi hai..
Vaidya - Malhar Mahoday, aapke Kakashree ki zakhm tanik gehri hai, adhik rakt bhi nasht hua hai.. Inki Chetna lautne me vilambh ho sakta hai.. Kripaya inke samaksh rukkar inki sewa karen..
Malhar - Avashya Vaidyaji
Vaidya - Inn aushadiyon ko samayaunsaar Inhe paan karwane hoga..
Vaidya anumati lekar prasthan karte hain.
Malhar - Devi Kalyani. Aap putra Moksh ke sang vishraam kijiye.
Mai Kakashree ke dhyan rakhne hetu isi kaksh me upasthith rahunga.
Anupriya - Putra Malhar, dhanyavaad. Parantu hum hamare swami ka dhyan adhik shreshttha se rakhenge..
Kalyani - Kintu Mata, aap Kakashree se apna sambandh tod chuki hain..
Anupriya athi krodhit hokar kehti hai - Putri Kalyani, Maine aapse koi gyaan ki apeksha nahi ki.
Aap aur aapke aarya apne kaarya ka paalan kijiye.
Mere swami ke samaksh mai hi rahungi.
Malhar, Kalyani Aur Raajmaata uss Kaksh se prasthan karte hain.
Edited by rekha_crm - 3 years ago
comment:
p_commentcount