Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 98

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
MAIN NE TUJH SE BEPANAAH MOHOBBAT KI HAI
Main ne tujhse bepanaah mohobbat ki hai
tere kadam jahaan-jahaan pade
us naqsh-e-paa se mohobbat ki hai
tere har talkh lehje se mohobbat ki hai
tere har nafrat se mohobbat ki hai
teri har bewafaai se mohobbat ki hai
tere diye hue har sitam se mohobbat ki hai
tere diye hue ranj-o-gham se mohobbat ki hai
tere har mohobbat se mohobbat ki hai
ai bewafa tere har jhooth se mohobbat ki hai
aur kya dun main saboot apni wafa ka
tere jaane ke baad intezaar se mohobbat ki hai
guzre waqt ke beete lamhon se mohobbat ki hai
tere saath jo guzre un ehsaason se mohobbat ki hai
tu nahi to teri har yaad se mohobbat ki hai
ai aarzoo-e-jaan har lamha tujh se mohobbat ki hai
dekh meri deewangi ke charche hai chaarsoo
main tere ishq main us deewangi se mohobbat ki hai
ai jaan meri ab to aaja "aarzoo" ko na tarsa is qadr
tere na hone par bhi tere khayalon se mohobbat ki hai


irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
IMAAN KI ROUSHNI
Kaash ye imaan ki roushni saare jag main phail jaai
musalamaan aur hindu ke pyaar se ye diya jagmagaai

na rahe dil main koi khalish na bair ek dooje ke waaste
ye pyaar ki khushboo se saara gulsitaan mehkaain

diwali ramzan christmas kitne tyoharon ke rang shaamil
ye desh hai satrangi har rang ki laali ufaq main phaili hai

chalein shaamil hojaain ik dooje ki khushiyon main
milkar manaai eid tyohaar dil se saare shikwe gille mitaain

aane waali peedhi ko pyaar ka naya sabaq sikhaain
ik misaal banke ubhre aisa hum kuch kaam kar jaain


irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Hai kuch khabar
Mian ney poucha kesay ho?
badlay ho key wesay ho?
roop who he andaz who he
ya phir is mian kami hai koi?
hijar ka kuch ehsas tu ho ga?
koi tumharay pass tu ho ga?
mainn bichra who majboori thee
kab manzoor mujhay yeh doori thee
sath hamra kab choota hay,
ruh ka rishta kab toota hay.
ankh sey jo ansoo behta hai
hai tum ko khabar kia kehta hai?
phool wafa k khil jain gey.
ek din phir hum mil jain gey.........

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain

fanNO1 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
'Klosay Dil He Naheen Rabtay-Bahemi Kay Lyea'
'Wafa Bhee Shart Hai Aye Dost Dosti Kay Lyea'
fanNO1 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
ruuh bechain hai ik dil kii aziiyat kyaa hai
dil hii sholaa hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai
vo mujhe bhuul ga_ii iskii shikaayat kyaa hai
ranj to ye hai ke ro-roke bhulaayaa hogaa

vo kahaa.N aur kahaa.N kaahif-e-Gam sozish-e-jaa.N
us kii rangiin nazar aur nuquush-e-hirmaa.N
us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaa.N
taanaazan ek zamaanaa nazar aayaa hogaa

jhuk ga_ii hogii javaa.N-saal umango.n kii jabii.n
miT ga_ii hogii lalak Duub gayaa hogaa yaqii.n
chhaa gayaa hogaa dhuaa.N ghuum ga_ii hogii zamii.n
apane pahale hii gharonde ko jo Dhaayaa hogaa

dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaaye ho.Nge
ashk aa.Nkho.n ne piye aur na bahaaye ho.Nge
band kamare me.n jo Khat mere jalaaye ho.Nge
ek-ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa

us ne ghabaraake nazar laakh bachaa_ii hogii
miTake ik naqsh ne sau shaql dikhaa_ii hogii
mez se jab merii tasviir haTaa_ii hogii
har taraf mujh ko ta.Daptaa huaa paayaa hogaa

bemahal chhe.D pe jazbaat ubal aaye ho.Nge
Gam pashemaan tabassum me.n Dhal aaye ho.Nge
naam par mere jab aa.Nsuu nikal aaye ho.Nge
sar na kaa.Ndhe se sahalii ke uThaayaa hogaa

zulf zid kar ke kisii ne jo banaa_ii hogii
ruuThw jalvo.N pe Khizaa.N aur bhii chhaa_ii hogii
barq ashvo.N ne ka_ii din na giraa_ii hogii
rang chehare pe ka_ii roz na aayaa hogaa

hoke majabuur mujhe us ne bhulaayaa hogaa
zahar chup kar ke davaa jaan ke Khaayaa hogaa
fanNO1 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa


[tamaam=whole]


ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa

ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa


ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa


[sabr=patience]


bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unako raaz-e-nihaa.N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa


[raaz-e-nihaa.N=hidden secret; aashakaar=reveal]


tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa

ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh
u.nho.ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa

na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa


kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa


daavar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement, i.e. God]

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
nice shairi everyone........

"mera lafz lafz hay dua dua,
meray ansuon say dhula hua 😭
tujhe zindagi ki saher mile
tujhe khusiyo ka safar mile
tujhe gard-e-gham na kabhi choo sky
tou meray dil may yunhi basa rahay
meray dost meray humnasheen
yeh dua hay koi gila nahi
tujhe zindagi wo sub milay jo mujhe kbhi mila nahi"

4 some 1 special....

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
"dosti k phool kabhi murjhaya nahi kertay
hastay chehro ko rulaya nahi kertay
jinki sansey chalti hoon aap k anay se
unhay itna tarpya nahi kerty......"
Top