Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 94

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: fariha17

@ Fakhra: LOVE the one you jsut posted! 👏

thnx fariha....

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Originally posted by: ZUKASZ

Mehndi Rang dehti hai sook jane ke baad
kaun kisi ko jaad karta hai door jaane ke baad
😭


😃

awww...sho shad 😭

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Tu mujhy hath per saja lay KANGAN ki tarha
may lipatna chahta hun tujhse ANCHAL ki tarha
dekho kabhi na tum in ankho may ANSOO lana
may sja hun teri ankho may KAJAL ki tarha
or tou hay meray dil may es tarha
jayse bethi hoo naye sej pe DULHAN ki tarha
😛

Edited by fakhra - 16 years ago
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Tujhko paane ki tamanna to mita di humne
dil se lekin tere deedar ki hasrat na gayi
Edited by fariha17 - 16 years ago
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Tum Routh Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Kerna

Mujhse Hi Mil K Hansna
Mujhse Hi Mil K Rona

Mujhse Bicher K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhta Rahoon Ga

Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chalay Jao Jab Bhi
Tu Dekhoon Tumhara Rasta

Tum Loat K Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote...
Saath chalne wale bhi Hamsafar nahi hote...
Kuch kahe bina aksar bolti hai Khamoshi...
Ghuftagu ke sab Lamhe HarfGar nahi hote...
Kitna khof hota hai shaam ke andhero mein...
Pooch un parindo se jin ke ghar nahi hote...

irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain
Sab Jantay To Hain
Kah
Nahi Roak Saktay
Sooraj Ki Kirnon Ko Chamknay Say
Sumandar Ki Lahron Ko Chalaknay Say
Phoolon Ki Khusboo Ko Mahaknay Say
Chand Ki Chandni Ko Phailnay Say
Saawan K Baadal Ko Barasnay Say
Phir Bhi
Naakam Si Koshish Kartay Hain
Sayed Wo Apnay Dil Ko Jhoti Tasali Dete Hain
Kah
Muhabat Ko Roak Lain Gay

Sab Jantay To Hain
Kah
Muhabat Nahi Ruk Sakti
Zinda Jalanay Say
Pahray Laganay Say
Khanjer Chalanay Say
Deewaron Main Chunwanay Say
Dunia Say Mitanay Say
Haan Mager
Ruk Bhi Sakti Thi
Ager
Muhabat Kisi Say Ki Jati
Mager Ye To Bus….
Ho Jati Hai

Sab Jantay To Hain
Kah
Aaj Tak Un K Roaknay Say
Na Koi Ruka Tha
Na Koi Ruka Hai
Na Koi Rukay Ga
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain

Loog To Dartay Hain
Muhabat Karnay Waloon Say
Ager Nahi Dartay To
Chalo Aik Charat Lagatay Hain
Kah
Sab Mil K Muhabat Ko Roak Lo Gay
Tumhain Apni Taqat Pe Gharoor Hai
To Mujhay Bhi Apni Muhabat Pe Yakeen Hai
Main Janta Hon
Kah
Sab Mil Kar Bhi Nahi Roak Sako Gay
Sab Jantay To Hain
Lakin
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

*Fiza* thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Ik shair sunaa ti hoon
zaraa ghor se sunana
mujhe nahi ataa kisi aur se sunana 😆
okey lets get serious...*cough* Arz kiya hai

dard ko na dekiye dard se ki
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi talash hai humsafar ki
aakir pyar me dard hi to humsafar hota hai

Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai

hum roz us chaand ko dekhte hai,
aur ek chaand meri zindagi mein bhi aya tha,
aur ab jab woh meri zindagi se chala gaya hai,
to dil kyon uski roshni paane ko betaab hai?

Yeh teen ashaar meri halat se miltey jhultey hain 😕
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Ye Nafrat Buri Hai, Na Paalo Isay
Dilo Main Khalish Hai ,Nikalo Isay
Na Tera ,Na Mera ,Na Iska , Na Uska
Ye Sab Ka Watan Hai,Bacha Lo Isay
Top