Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 78

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Teri ulfat ko kabhi nakaam hone nahi dengey
teri chahat ko kabhi badnaam hone nahi dengey
meri zindagi mein kabhi suraj nikley ya nahi
teri zindagi mein kabhi shaam hone nahi dengey
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Kal na phir yeh sama hoga
hum mein se kaun na janey kahan hoga
murjhaye phool to mil jayenge kitabon mein
par bichrey doston ka shayad hi koi pata hoga
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Labon pe aaj unka naam agaya
Pyase ke haath jaise jaam agaya
Doley kadam tow gira unki bahon mein jaa ker
aaj hamara peena hi hamarey kaam agaya
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
fariha madam lagta hai app Pak mein aur kuch nahi balkay shairi hi karti rahein hain.... 😆
atay hi start ho gai 😆


ok here is a gazal sung by jagjit that i really wanna share with all of ya ......bcoz i luvvvv it
dedicated to ppl like me.....(u'll know it wat i m talking about when u'll read it 😉 )

Tum itna jo muskura rahey ho
kiya gum hai jis ko chupa rahey ho

ankhoon mein nami, hasi laboon par
kiya haal hai, kiya dikha rahey ho
kiya gham hai jis ko chupa rahey ho
tum itna jo muskura rahey ho

ban jayein gay zahar peetay peetay
yeh ashk jo peetay ja rahey ho
(wah wah wah 😛 )

Tum itna jo muskura rahey ho
kiya gham hai jis ko chupa rahey ho
Edited by wini - 17 years ago
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

Wini madam, Pakistan mein tow shayari pause ho gayi thi 😆 islye aatey hi fauran shuru 😉

Anyway, amazing ghazal! 👏

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Ankh bhar kar jisey na dekh saka
uskey janey ka kyun mujhe gham ho
aliyaannum thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Originally posted by: fariha17

Ankh bhar kar jisey na dekh saka
uskey janey ka kyun mujhe gham ho

wah wahh wah, nice one

terename thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
manzil bhi us ki thi rasta bhi us ka tha
aik mein akela tha fasla bhi us ka tha
sath sath chalny ki soch bhi us ki thi
fir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
ajj kiyun akela hoon dil sawal kerta hai
loog to us k they kia khuda bhi us ka tha.
terename thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
dhondti firti hai dasht o bayaban mein humein
zindagai hum sy bicher ker khud bhi pachtai bauhat.


woh bhi kia ajeeb shaks tha k jis ki zaat per
jab aitbar ber gaya to ikhtiyar ghat gaya.


Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Aaj didar kal yaar,
Parson pyaar phir akrar,
Phir intezar phir takrar,
Phir darar sari mehant bekar,
Aur akhir main aik aur devdas at beer bar......
Top