Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 66

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
AAM LOGON KI TAMANNA KHAAS HO TOH KYA KAREIN
DARD KA PATTHAR KO BHI EHSAAS HO TOH KYA KAREIN
KAUN SAMJHAYE HAMEIN YE ISHQ KI MAJBOORIYAN
SOCH MEIN "tanha" KOI JAB PAAS HO TOH KYA KAREIN
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ik yaad si mere aaspaas rehti hai
bahot dino se tabiyat udaas rehti hai
bichard gaya hai, magar dil ye maanta hi nahi,
na jaane kyon tere milne ki aas rehti hai.

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
wo kia hain hai un k farishty b ay gay

waday ki shab nai ye din hai hisab ka

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Anmoul Yadain "Mujhay Tum Yaad Aati Ho"
----------------------------------------------------


Koee Naram Lahjay Main Jab Bhi Bulata Hai

Koee Methay Suroon Main Jab Bhi Gungunata Hai

Koee Haseen Dil Kash Chera Jab Bhi Nazer Aata Hai

Koee Chera Mujhay Dekh Kar Sharmata Hai

Koee Dabay Hontoon Jab Bhi Muskurata Hai

Koee Jab Bhi Mujhay Koee Haseen Sher Sunata Hai

Koee Nagma Wafa Ka Jab Bhi Kahi Gata Hai

Koee Jab Apni Qurbat Main Pyaar Say Bethata Hai

Koee Jab Apna Seemeen Hath, Hathoon Main Thamata Hai

Koee Jab Apni Khushboo Say Saansoo Ko Mahkata Hai

Koee Romanwe Manzar Jaha Bhi Nazer Aata Ho

" Mujhay Tum Yaad Aati Ho"



dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Yeh teri saadgi dil ka qaraar leti hai
Tujhe duwayein nazar baar baar deti hai
Kabhi kahin to mulaqat ho Khuda "tanha"
Yeh aarzoo hi sahi humko pyaar deti hai


dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kabhi kisi se jikar-e-judai -mat karna..
Is DIL se kabhi ruswai mat karna..
Jab dil uth jaye humse to bata dena..
Na bata kar bewafai mat karna.

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake

Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana he,
Aap chahe humse baat karo ya na karo,
Aap ki yadon mein humara ana jana hai.

Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Tham ke khanjar apne hi hathon mein,
Bedardi se apne dil par vaar na karna

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Koee ummeed bar naheeN aatee
Koee soorat nazar naheeN aatee
Maut ka ek din mu'ayyan hai
Neend kyoN raat bhar naheeN aatee ?
Aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
Ab kisee baat par naheeN aatee
Jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
Par tabeeyat idhar naheeN aatee
Hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
Warna kya baat kar naheeN aatee ?
KyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
Meree aawaaz gar naheeN aatee
DaaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
Boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee
Ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
Kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee
Marte haiN aarzoo meiN marne ki
Maut aatee hai par naheeN aatee
Kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
Sharm tumko magar naheeN


--------------------
dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin lagta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
mohabat ki tabiat main yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai
ke jitne bhi purane jitne bhi mazboot ho jae
use taide taza ki zarorat phir bhi rahet hai
yaqeen ki akhiri haan tak dilaon main lahlahte hoe!
nigahon se tapakte ho,laho main jagmagti ho!
hazaron tarah ke dilkash hale banate ho!
use izhar ke lafzon ki hajat phir bhi hote hai
mohabat mangte hai pane hone ki gawahi ke kae jaise
tafal-e-sada sham ko aik beej boe aur
shab main barha uthe
zameen ko khod kar daikhe ke poda ab kahan tak hai
mohabat ki tabiat main ajab takrar ki koo hai
ke yeh iqrar ke lafzon ko sune se nahi thakte
bicherne ki gahri ho ya milen ki saat ho
use bas aik hi dhun hai
kaho " mujh se mohabat hai"
kaho"mujhe se mohabat hai"
kuch aise besakoni hai wafa ki sarzamenon main
ke jo ahal-e-mohabat ko humesha bechain rakhte hai
ke jasie phol main kushbo ke jaise hath main tara ke jasie sham ka sitara
mohabat karne walon ki sahr raton main rahet hai
guman ke shakhon main ashian banta hai ulfat ka
yeh ain wisal main bhi hijar ke khadshon main rahet hai
mohabat ke musafir jab zindagi kat chukte hain
thakan ki kirchain chunte,wafa ki ajrakain pahne
same ki rah guzar ke akiri sarhad pee rukte hain
too koi dobte sanson ki dori tham kar
dheere se kahta hai
yeh sach hai na........!
humare zindagi aik dosre ke name likhe the!
dhundlaka sa jo ankhon ke door-o-kareeb phela hai
usii ka naam chahat hai!
tumhain mujh se mohabat thi
tumhain mujh se mohabat hai!
mohabat ki tabiat main yeh kaise bachpana qudrat ne rakha hai !

dhaniiiii thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Afsana nahi hale-dil sunayenge
Muhabbat mai Dil nahi hum chein churayenge
Karne ko roshan aashiyana tumhara
Phir khud hi ke Dil ko jalayenge


Top