Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 54

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ye intzaar galat hai ke shaam ho jaye.
Jo ho sake to abhi daur-e-jaam ho jaye.

Mujh aise rindh ko bhi tune, hashar mein, ya rub,
bula liya hai to kuch intzam ho jaye
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Peena haraam hai na pilana haraam hai
peenay ke baad hosh mein aana haraam hai
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

maikaday band karien laakh zammanay walay,
shahar mein kam nahin aankhon se pilanay walay
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Mein Intiha-E-Shouq Mein Ghabra K Pee Gaya

Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K Pee Gaya
Lehroon Say Khailta Hua Lehra K Pee Gaya

Ey Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq Mein Ghabra K Pee Gaya

Peeta Baghair Izn Yeh Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-E-Yaar Ki Sheh Pa K Pee Gaya

Samjhanay Walay sub Mujhe Samjha K Reh gaye
Lakin May Aik Aik Ko Samjha Ke Pee Gaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

utha jo naqaab unka deewane ko hosh aaya
jab shamma howi roshan parwane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

phir dard utha dil mein phir yaad teri aayi
phir teri mohabbat ke afsanay ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

in mast nigahon ne girtay ko sambhala hai
sagar ke saharay se mastanay ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

wo daikho fana daikho jaam aa ga'ay gardish mein
wo mast nazar uthi maikhane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Bharosa Kisi aor ka kiya karein hum
Keh khud Apne dil ka bharosa nahin hai
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kuch aisa mehsoos ho raha hai bujha hua hai charagh khana

Jahan faqeeron ko ghair leti hai naghaan gardish-e zamana
Wahan se rasta zaroor jata hai koi sooye sharab khana

ye kiya hua sakinaan-e gulshan ko koi ja ke khabar to laaye
Na koi urta hua tabassum na koi behta hua tarana

Milay hain dil par nishaan dhundlay se barha teri ungliyon ke
Mera taa'rruf hua hai shayad teri murawwat se ghayebana

Khazan ke dildoz haadsay par Khaloos se ghaur kar raha hai
Kahin kahin sehn-e gulistan mein luta luta koi aashiyana

Idhar se aa hi gaye ho sahib to hum faqeeron se bukhal kaisa
Yahan bhi imshab qayam kar lo duaayen de ga ghareeb khana

Ye shaam ke saaye dass na jayien Adam kahin se sharab lao
Kuch aisa mehsoos ho raha hai bujha hua hai charagh khana
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Zid Na Keejiye Janaab Pee Leejiye

Fasl-E-Gul Hai Sharaab Pee Leejiye
Zid Na Keejiye Janaab Pee Leejiye

Aagay Chal Kar Hisaab Hoona Hai
Is Liye Be Hisaab Pee Leejiye

Do to Qatray Hein Jaam K Ander
Kar K Zer-E-Niqaab Pee Leejiye

Jo Piyay Ch'hup K Wo Munafiq Hai
Sharam kaisi janab Pee Leejiye

Dil Ka Sheesha Hai Aur Khuloos Ki May
Ab To Aali Janaab Pee Leejiye

Jaavidani Suroor Aa'ay Ga
Aasmani Gulaab Pee Leejiye

Aap Aur Itni Zid Adam Sahib
Harj Kya Hai Sharaab Pee Leejiye

Zid Na Keejiye Janaab Pee Leejiye
Fasl-E-Gul Hai Sharaab Pee Leejiye
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Shouq Peenay Ka Mujko Ziyada Na Tha
Tark-E-Tauba Ka Koi Irada Na Tha
Mujh Pay Tohmat Na Rakh May Sharabhi Nahi
Woh Nazar Say Pila'ay Toh Mein Kya Karoon
Top