Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 53

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tujay ishk ho khuda karay ...

Tujay phir us say koi juda karay...

Taray hont hansna bhool jaye...

Teri ankh purnum raha karay ...

Tu us ki baatain kiya karay...

Tujay phir na hoo sukoon khain ...

Tu muztarib phira karay...

Tu gali gali phira karay...

Tu nagar nagar sada karay...

Tujay phir ho ishq par yaqeen...

Usay tasbehon per phara karay...
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Faasle mita kar pyar rakhna,
Dosti ka rishta yu hi barkarar rakhna,
Malum hai dost bahut hai aapke,
Unke beech apne is dost ka khayal rakhna...
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
teri bewaafai ka pata hota tere pyaar se pahle,
to apne marne ki dua karte,tere deedar se pahle.
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ek din Unhe na dekha to Dil udaas ho gaya,
Kuch hi pal me Wo itna khaas ho gaya,
Ab tak to pata nahi tha mujhe,
Lekin Unki judaai se Pyar ka ehsaas ho gaya.
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai...
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Us ajnabi ka youn intezaar na karo
Is aashiq dil ka aitbaar na karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi kisi se pyaar na karo
Edited by sweet_m - 17 years ago
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
Na jane woh kab milenge
jin ke liye hum roz tadapte hain.
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Dosto peene ke khayaal se bhi door aaj ye shaks aapke saamne ek Ghazal Sharaab our shabaab se bharpoor Ek Gamgeen bhaav liye Pesh
ker rahi hai...umeed hai aapke diloN main ye apni ek zagah jaroor banayegi...
Edited by Sundas - 17 years ago
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya

Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya
Dil mein unki yaad thi usko bhula diya.

Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseb mein,
Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya.

Chhalak ke jaam pee gaya, asar tou poochhiye,
Ki aaj bhooli yaad ne, muzko rula diya.

Chhod unki yaad hum, bethe the bazm mein,
Magar jo manga jaam tou, sheesha hila diya.

Kab tak challenge jaam saaki, kab bhujhegi pyaas,
Khali dikha ke jaam toone kya sila diya.
Sundas thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Aaraam se baithien ** zara baat karien **


Ya zohra jabeenon ki munajaat karien **
Ya bandagi-e peer-e kharabaat karien **

Ye aqal ke sehmay hue beemar iraday
Kiya chara-e nasazi-e Halaat karien **

Aa ae gham-e dauraan mekhana hai nazdeek
Aaraam se baithien ** zara baat karien **

Jannat mein na may hai na muhabbat na jawani
Kis cheez pe insaan basar auqaat karien **

Keh do ye adam se keh kharabaat mein kal raat
Kuch log faqeeron ki madaraat karien **
Top