Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 52

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

namal thumbnail
Posted: 17 years ago

hey u shairy's fannnnsss.....!!!

but here's in rom urdu & for indians...!! cause they can't read urdu so..

Mujhe dard-e-ishaq ki sazaa maloom hay

Dard-e-dil ki intehaa maloom hay

Zindagi bhar muskuraney ki duaa naa denaa

Mujhey pal bhar muskuraney ki sazaa maloom hay...!!

Edited by namal - 17 years ago
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
na koi kissi ke pass hota hai
na koi kissei sey door hota hia
pyar khud chal kar aata hai
jab koi kissie key naseeb mein hota hia

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
hum unki nazroon sey door hain
ankhoon sey nahi
khaboon sey door hain
khayalo sey nahi
dil sey door hain
dhakhan sey nahi
ap sey door hain
appki yadoon sey nahi
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
unke chehre par iss kadar noor hai
unki yaad me roona bhi majbori hai
be-wafa bhi nahi keh sakte unhe
pyar to humney kiya tha who to bey-kasoor hai
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
kabhi rotha na mujh sey,mujhey manana nahi ata
es dil sey dor na jana,mujhey bhulana nahi ata
phir bhi aggar rotho to yeh soch leyna
mujhey sansoon ko tum bin chalana nahi aata...
anavar thumbnail
Posted: 17 years ago
kismat hi kuch aisi payee thi ki chain se jeene ki soorat nahui.....
jise chaha use apna na sake aur jo mila usse mahobbat na hui....
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Ek khwab hai us khwab ko khona bhi nahi hai
tabeer ke dhagey mein pirona bhi nahi hai
lipta hua hai dil se kisi raaz ki soorat
woh shakhs jisey mera hona bhi nahi hai
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
~*~AB LAUT AAO~*~



Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Mera Dil

Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail

Dekhna Chahta Hai

Ab Laut Aao

Kay Aik Bar Phir Meri Palkien

Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker

Jhukna Chahti Hain

Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meray Qadam

Tumharey Qadmon Kay Saath

Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain

Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Wajood

Tumharey Ishq Ki Aag Main

Jalna Chahta Hai

Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meri Zindagi

Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker

Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!



aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,

Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...

Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,

Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...

Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,

Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...

Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,

Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...

Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,

Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

Top