Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 48

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
ayey hayey kiya dard hai fariha........i m wondering itna dard hai kyun......abhi say 😉
arz kiya hai

kis ko qaatil meinn kahoon kis ko masiihaa samajhun
sab yahaan dost hii baiThe hain kise kyaa samajhun

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhun

dil jo TuuTaa to kein haath duaa ko uThe
aise maahaul mein ab kis ko paraayaa samajhun

zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apanaa samajhun
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
is se pahale ke bevafaa ho jaayein
kyunn na ai dost ham judaa ho jaayein

tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaayein

ham bhii majabuuriyon kaa uzr karein
aur kahiin aur mubtalaa ho jaayein

ishq bhii khel hai nasiibon kaa
Khaak ho jaayein kimiyaa ho jaayein

ab ke gar tuu mile to ham tujh se
aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n

bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
phir usii raah_guzar par shaayad
ham kabhii mil sake.n magar shaayad

jaan pahachaan se kyaa hogaa
phir bhi ai dost Gaur kar shaayad

muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur ham_safar shaayad

jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz'
phir bhii tuu intazaar kar shaayad
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
my fav one........i totally love this poem

Khvaab marate nahin
Khvaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
rezaa-rezaa hue to bikhar jaayengay
jism kii maut se ye bhii mar jaayengay

Khvaab marate nahin
Khvaab to raushanii hain, navaa hain, havaa hain
jo kaale pahaadon se rukate nahin
zulm ke dozakhoon se bhii phukate nahin
raushanii aur navaa aur havaa ke aalam
maqtaloon mein pahunch kar bhii jhukate nahin

Khvaab to harf hain
Khvaab to nuur hain
Khvaab to suqraat hain
Khvaab mansuur hain
Edited by wini - 17 years ago
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 17 years ago
one of my fav onez
kuchh na kisii se boleinge
tanhai mein ro leinge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho le.nge

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholeinge

jiivan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholeinge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aai to so leinge
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tere Shehar K Log)*)

Mujhe Dewaana samjhte hain tere shehar k log
kiun mery daman se ulajhte hain tere shehar k log


main aagaya waqt hon wapis nahi aane wala
kiun mera rasta takte hain tere shehar k log


jab bhi aata hay tera naam mery naam k sath
najane kiun kiun jalte hain tere shehar k log

aur kiun don main tujhe apni wafaon ka saboot
ab mery hall par haste hain tere shehar k log

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
CHAND KE SAATH MERI BAAT NA THI PEHLI SE

RAAT AANTI THI MAGAR RAAT NA THI PEHLI SE

HUM TERI YAAD SE KAL SHAB BHI MILAY THAY LAKIN

YE MULAQAAT MULAQAAT NA THI PEHLI SE

ANKH KYN LOOT GAYE KHOOF SE SEHRAON KO

KYNKE IS BAAR TU BARSAAT NA THI PEHLI SE

AB KE KUCH AUR TARAH KI THI UDASI IN MEIN

CHAND TAROON KI YE BARAAT NA THI PEHLI SE

ISHQ NE PAL MEIN BADAL DI MERI SAARI DUNIYA

MEIN NE DEKHA KE MERI ZAAT NA THI PEHLI SE
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tamanna hai k..
Teri zindagi ko sajaoo
Dhank k Rangoo se...
Pholoo ki Kalyon SE
amber k Taroo se
Jharno k Geeto SE...
Sooraj Ki kIrnoo se
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Bus Aik Baar Samajh Lo Yehi Ghaneemat Hai.
Main Wo Naheen Jise Roz Azmaoo Ge.
Bus Aik Do Hi Taluq Bohat Hain Jeene Ke....
Bohat Se Rishte Banao Ge To Toot Jao Ge
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Roney Se Ghum-E-Dil Ka ghuzara Nahi Hota
Har Shakas Dil Ka Sahara Nahi hotta
Us Roz Lagta Hey k Bekaar Jiye Hum
Jiss Roz Ziker tumhara Nahi Hotta
Top