Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 41

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armaanoun Ka

Koya Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insaanoun Ka

Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastey Laug

Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsaanoun Ka

Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!

Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey Ihsaanoun ka

Mein Ne Jab Bhi Haath Lagaya Rang Barangi Shamaoun Ko

Ek Hujoom Lapak Kar Aya Meri Taraf Parwaanoun Ka

Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil

Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armaanoun Ka

Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega

Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta-Jaanoun Ka

Tor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko

Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armaanoun ka

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Shama jis aag mein jalti hai numayish ke liye
hum us aag mein chup chap se jal jatey hain
jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath
jane kyun log mere naam se jal jatey hain
fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Originally posted by: aishiya

Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

datz really kool....

fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Originally posted by: fariha17

Shama jis aag mein jalti hai numayish ke liye
hum us aag mein chup chap se jal jatey hain
jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath
jane kyun log mere naam se jal jatey hain

hmmmm datz sweet,,,,,,,

Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
aishiya and fakhra very nice 😊
Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
kab maine kaha ki chandi aur sona chahiye....
bas aapke dil mein ek chota sa kona chahiye.....
keh sake jise hum dil se apna,
aisa bhi to koi dost hona chahiye....
Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete
Magar ye log nayi dastan bana lete
Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum
Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte

Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte

Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Tamanna e ishq to hum bhi rakhte hai
kisi ke dil me hum bhi dhadakte hai
na jaane hume woh kab milenge
jinke liye hum aksar tadapte hai
Top