Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 33

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
har yaadon mein usi ki yaad raheti hai
meri ankhon ko usi ki talash raheti hai
kuch tum bhi dua karo yaro
suna hai doston ki dua mein
farishton ki fariyad hoti hai...
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Pani main pathar mat pheko
Koi pani pita hai
Pani main pathar mat pheko
Koi pani pita hai
Apne chehre par muskuhart sajaye rakha karo
Koi isi muskaan ke liye jita hai..
sweet_m thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Chahkar bhi juda na reh sakogey,
Roothkar bhi khafaa na reh sakogey,
Hum dosti hi kuch aise nibhaayenge,
Ki hamaare bina ek pal bhi na reh sakogey.....
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

Toot jaye na bharam hont hilaun kaise
Haal jaisa bhi hai logon ko sunaun kaise
Phool hota to tere dar pe saja bhi rehta
Zakhm le kar teri dehleez pe aaun kaise

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai
Tu door ho ke bhi mere kareeb hai
Hum ek hokar bhi anjaan hai ek dooje se
Yeh kaise hamare naseeb hai

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Teri qurbat mili ..Magar tera sahara na milaa..
Kareeb pahunch kar bhi sahil ka kinara na mila..
Dekhta raha gaur se main hatheli apniii
Magar mujhay apni kismat ka sitara na mila...
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Yaado main kabhi aap bhi khoye honge
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge
Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
Par haste haste kabhi aap bhi roye honge
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Rooth gaya hai mujhko manane wala
Ab koii nahi hai nakhre uthane wala
Par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza
Shayad rasta bhool gaya hai aane wala
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo...
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo...
Duniya kisi ke zakhm nahi samjhti hai...
Apne zakhm kisi ko dikhaaya na karo


aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Saath Nibhanay Ke liye


Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye
Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye



Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye



Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye



Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye


Roz ik Jehd-e-Musalsal mein lagi rehti hoon



Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye
Top