Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 27

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93.1k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Zuban khamosh ankhon mein nami hogi
yeh bas ek dastan e zindagi hogi
bharne ko to har zakhm bhar jayega
kaise bhare gi wo jaga jahan teri kami hogi
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

Ho sakta hai usne anjane mein humein rula diya
Usne duniya ke kehne pe humein bhula diya
hum to waise bhi akele thay
kya hua agar kisi ne ye ehsas dila diya

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi

Jab Chaand Sitare chamak rahey hon
Jab Yaadon k Phool Mehak rahey hon
Jab Deed ko Nain taras rahey hon
Jab Aankhon se Aansoo baras rahey hon

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab koi Khuwab hi nahi ayega
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad ayegi


aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tum jis khwaab mein aankhain kholo
us ka roop amar ho jaye

tum jis rang ka kapra pehno
woh mousam ka rang

tum jis phool ko hans ke dekho
kabhi na woh murjhaye

tum jis lafz per ungli rakho
woh roshan ho jaye

hum tum kuch aise mil jaye
ki do jism aur ek jaan ho jaye
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tumhara Naam Likh Likh Ker

Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon
Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon
Boht si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain
Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon
Tumhare baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai
Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon
Mai her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga
Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon


aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

tum ne poocha k,

dukh kia hota hai,

too sunoo,

aisa kerna,

kabhee kisi ko chahna,

orr chahtey hee rehna,

din bher iss ko sochtey hee rehna,

jagtee ankhoon se iss k sapne

deekhte hee rehna,

apne hathoon ki lakeroon mein iss ka

naam tarashte hee rehna,

orr jaab kabhee wo,

inn riazatoon ka hisab mangne ko,

samne aay too,

tum ana ka hath tham lena,

agar wo kuch kahay too,

muskura ker anjan ban jana,

orr jaab wo mayoos ho ker loot jay too

apne ander jhankna,

orr khud se poochna,

tub tumhara dil

tumhain bata day ga k,

dukh kise kehte hain,

dukh kia hota hai...



aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Fanaa ho jaane mein vishwaas chaahiye
pyar ke liye dil mein bas ehsaas chaahiye

hothon se kehne ki to zaroorat hi nahi
bas aankhon mein khamoshi ki aawaaz chahiye

anjaam ki kab fikra karte hai deewaane
bas ek khoobsurat sa aaghaaz chaahiye

zindagi ki hadh ke bhi paar pyar hai
kisi pe marke jeene ka andaaz chaahiye

is duniyaa ko apne kadamo me jhukaa denge
dil mein tera pyar, haathon mein haath chaahiye
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Izhaar-e-Wafa

Aankhon se hi Lafzon ko Ada kar dia Usne
Chup reh ker b Izhaar-e-Wafa kardia Usne

Haseen Bayan ka matlab jana hai Mai ne Aaj
Bin Janbish-Lab khood Bayan kar dia Usne

Chanchal si Muskurahatein, Aankhon mai Shokh-Pan
Apna mujhe Aseer-e-Ada kar dia Usne

Mera Dil jo kabi Misl-Dhoop se Mashoor tha
Lamhon mai Saawan ki Hawa kar dia Usne

Laakhon the uski Surat-o-Seerat k paristaar
Ek Mere siwa sab ko Fana kar dia Usne
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Mila Wo Bhi Nahi Karte

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte


Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte


Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte


Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte


Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Top