Shair-o-Shairi-- Part 3 - Page 15

Created

Last reply

Replies

1k

Views

93k

Users

39

Likes

2

Frequent Posters

Miss_Norway thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Saza mili hai hume muskurane ki !
Miss_Norway thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Gham ki aandhiyon mein utar jayenge
sagar kya samandar bhi tair jayenge
hamein marne ke liye phansi ki zarurat nahi
Dil se nikal do yun hi mar jayenge
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Ya-Rab, gham-e-hijraaN meiN itna to kiya hota.
Jo haath jigher peH hai woh dast-e-duaa hota.

Ik ishq ka gham aafat aur us peH ye dil aafat.
Ya GHAM nah diya hota ya DIl nah diya hota
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
ITNA MATH HASON LUT JATI HAI CHEHRE KI YEH RAONAK
THODA SA MUSKURADO IS HI MAIN HAI ALLAH KI REHMAT
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Yoon teri raH-ghuzer se deewana-vaar ghuzrey.
KaanDhay peH apnay rakh ke apna mazaar ghuzrey.

Bethay raheiN hai rastay meiN DIL ka khandher sajaa ker.
Shayad isi taraf se ik din bahaar ghuzrey
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Nehin Lag Sakta Mehkhane Pe Kabhi Taala
Yaha Eik Nahi 2 Nahi Poora Sheher Hai Peene Wala
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Pehle ankhon ko hasin khowab deta hai
Phir wiirani rahon mein gira deta hai
Kabhi manzil peh la ke hath chura leta hai
Woh apna he apna samjhke hi to saza deta hai
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Tum ko hum dil main bassa laingay Tum aao to sahi
Naaz hum saaray utha laingay Tum aao to sahi
Aik wadda karo ab hum se na bichro ge kabhi
Saari duniya se chhupa laingay Tum aao to sahi
Raah tareek hay or door hay manzil lekin
Dard ki shamayaeN jala laingay Tum aao to sahi
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Waqt ki Raftar par hairran hon mein
Zindagi kay Hallat se Pareshan hon main

Khgaya sab kuch Khwahishon kay Safar mein
Yaadon ka aik toota phoota Makkan hon mein

Haar chukka hai jo Imtihan Zindagi ka
Shikaast Khurdda sa wohi Insan hon mein

Dekh kar jissy aap laggaty hain Haath kano ko
Wohi haan Wohi Ibraton ka Nishan hon mein

Millien na Rahatain "Aishi" jiss ko Zindagi mein kabhi
Haan wohi Hasratton ka Unwan hon mein
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
PAAS WOH AAYE TU YEH US KI AQEEDAT HO GI
SHAYAD US SHAHS KO BHI MUJH SE MOHABBAT HO GI
YUN NA CHUP CHAAP MERE PAAS AAYA KAR
BARH GAYA PYAR TU EK ROOZ MUSEEBAT HO GI
Top