MishBir OS : In Your Safe Haven

ImpetuousSoul thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 4 years ago
#1

Hola Fam 🙋‍♀️ This OS has been written based on the current track. It continues from where the last episode before hiatus (25th March, 20) ended. The OS provides an insight on the point of views of both Abir and Mishti and focusses on their emotional breakdown. The OS will take you on a journey down the memory lane as Abir opens up about his fears and insecurities for the first time in front of Mishti. The OS showcases unfiltered conversation of MishBir about the darkest phase of their life (post breakup) and highlights Abir's emotional meltdown. 


The OS has been uploaded in two parts on Wattpad. However, here I have clubbed both parts together. The first part is written by me and second part by my dearest friend Sayli. 


Happy reading ♥️

____________________________________________


"Mishti, tumse baat karte huye mujhe aisa feel ho raha hain jaise main maa se baat kar raha hu"

His words kept ringing in her ears. Does he really think that she has been behaving like his mother now? No, no! That's not true. Abir will never think of her like that. She tried to calm herself and look for him. Unable to find him anywhere in the resort she went upto the watchman asking about his whereabouts. He told her that a car had just zoomed past away having three people in it. Her whole world had come crashing down. Did Abir really leave her alone and went away? Assuming the unexpected she turned back and started walking towards the room.


"Kya Abir sachmein mujhse itna tang aa gaya hain? Kya use ab meri zaroorat nahin? Kya woh..... kya woh yeh shaadi.... mujhse shaadi... reg...regret kar raha hain?" ; her mind echoed the pain in her heart. Even if a thousand knives would have stabbed her altogether at once still that pain would have been less than what she was going through right now. Strolling aimlessly on the pool side she tripped upon a stone. Gaining composure at the right moment she was brought out of her reverie. The gravity of the situation dawned upon her as tears streamed down her face. She ran towards her room and banged open the door.


And there she found him. Standing by the window...leaning on the frame...eyes shut in deep thought. Running towards him she pulled him by the collar and pinned him to the wall.


"Sab mujhe chhodke chale jaate hain. Tum bhi jaana chahte ho. Koi mujhse pyaar nahin karta. Tum bhi nahin karte. Kya tumhein pata nahin ki mujhe tumhaari kitni zaroorat hain? Tum chale jaoge toh mera kya hoga? Yeh kaisi khudgarzi hain tumhaari Abir? Yeh kaisi khudgarzi hain tumhaari jo tumhein mujhse dur jaane pe majboor kar raha hain?"; she kept hitting his chest pouring her heart out.


"Mishti....Mish...Mishti... meri baat suno...."; Abir tried to calm her down but to no avail. She kept on hitting him feverently expressing her hurt and pain.


"Mishteeeèee stop"; he held her by the shoulder and screamed. His loud shreik made her shudder as she looked at him blankly.


Breathing heavily he let out a deep sigh.


"Tumhein kya lagta hain? Sirf tumhein sab chhodke chale jaate hain? Mere baare mein socha hain? Bachpan mein baba mujhe chodke chale gaye. Poori zindagi unke wapas aane ki ummeed mein bita diya maine. Aur jab woh wapas aaye toh mere hi peeth pe chhura bhok diya unhone. Apne matlab ke liye woh mujhe use karte rahe. Yahan tak ki mujhe jail bhejne ki bhi poori planning karke rakha tha unhone.

Mishti.... jinn par maine sabse zyaada bharosa kiya unhone iss kadar mujhe chot pahuchaai hain ki ab dil tootne pe dard bhi nahin hota. Tumhein pata hain? Bachpan se lekar aaj tak main maa ke pyaar ke liye tarasta raha. Lekin unhone kabhi mere bare mein nahin socha. Kai baar aisa laga ki shayad main hi kahi na kahi galat hu. Maa toh kehti hain ki woh mujhse bahut pyaar karti hain. Lekin phir mujhe woh pyaar nazar kyun nahin aata? Kyun Mishti? Kyun har baar maa meri khushi ke aage apna matlab laake rakh deti hain? Yeh kaisa pyaar hain unka? Yeh kaisa pyaar hain jo unhein apne bete ki khushi kabhi dikhaai hi nahin di?

Mishti...Mishti mera bhai...mera Nanko kuch din pehle tak mere sath nahi tha. Jab jab main uski aankhon mein tumhaare liye nafrat dekhta tha tab tab main andar se bikhar jaata tha. Mujhe samajh nahin aata tha ki main kya karun? Aisa kya karu jisse ki tumhaare aur Nanko ke beech ki saari differences dur ho jaye? Aisa kya karu jisse ki mujhe kabhi tum dono ke beech mein se kisi ek ko chunna na pade? Aur aajkal aisi same feeling mujhe firse hoti hain jab main tumhein aur Kuhu ko ladta hua dekhta hu. Main sachmein chahta hu ki tum dono ke beech ki saari problems, saari differences dur ho jaaye par mujhe samajh nahin aata ki main kya karu? Kaise sab kuch theek karu? Tumse zyada mujhe tumhaari zaroorat hain Mishti. Aur agar tum hi mujhse roothi rahogi toh main kaha sahara dhundhuga? Main khudgarz nahin hu Mishti. Main bas zindagi se haarne ke kadaar pe khada hu. Aur ab mujhe koi raasta nazar nahin aa raha"


As soon as the last few words escaped his mouth he collapsed into the floor kneeling down with his head bowed down and sobbed uncontrollably covering his face. Mishti's heart pricked at the sight. She didn't expect him to break down suddenly. Her heart broke into a thousand pieces thinking how much he still has supressed in his heart! No. Not anymore. She can't let him suffer alone any longer. He needs to spill it all out today. Kneeling down she caressed his head. Cupping his face she wiped off the teardrops and urged him to share everything that has been subdued in his heart since time immemorial.


"Abir....Abir I am sorry. Main tumhaare puraane ghav ko phirse zinda nahin karna chahti thi. Main toh khud apne past ke zakhmo ko nahin bhula paai. Main nahin chahti ki meri tarah tum bhi apne bachpan ke buri yaadon ko dil mein daba ke rakho"; her silent sobs now turned audible.


"Nahin Mishti. Yeh sirf mere baare mein nahin hain. Yeh humaare baare mein hain. Hum ek dusre ko itne mahino se jaante hain. Lekin aaj tak kabhi bhi ek dusre se apne bachpan ke baare mein khulke baat nahin ki.

(wiping his nose) Mishiti.. main chahta hu ki aaj tum mujhe khulke sab batao. Tumhaare bachpan ke baare mein, tumhaare papa ke baare mein, tumhaare aur Kuhu ke beech itne differences kyun hain? Main sab janna chahta hu Mishti. Aaj tum mujhe sab batao..." ; cupping her cheeks with his slender palms he encouraged her to speak up.


Mishti sighed and sat down beside him. Intertwining her fingers with him she rested her head on his chest and started narrating her story...


"Abir... mujhe zyaada kuch toh yaad nahin bas itna yaad hain ki mere mummy - papa ne kabhi mujhe nahin apnaya. Jab main chhoti thi toh papa ko Naitik uncle ke attempt to murder charges mein jail ho gayi. Maa mujhe chhod ke chali gayi aur dusri shaadi kar li. Ek baar bhi mere baare mein nahin socha. School mein saare dost mujhe 'chor ki beti' aur 'khooni ki beti' bolkar chidhaate the. Main roti thi, bhaag jaati thi but kabhi kisi ko kuch bata nahin paayi. Main humesha apni kismat ko kosti thi ki meri kya galti thi jo mujhe aise parents mile? Maine kya kiya tha? Kyun mere saath yeh sab kuch hua? Phir jab main 13 years ki hui toh Bade Papa mujhe Maheshwari sadan le aaye. Wahan mujhe ek nayi family mili. Badi maa, bade papa, Shaurya uncle, Varsha aunty, Ananya di ne mujhe bahut pyaar diya. Unhone mujhe kabhi apne parivaar se alag nahin samjha. Badi maa ne toh mujhe Akshara aunty se bhi zyaada pyaar diya.

Lekin Jasmeet chachi aur Kuhu... unhone kabhi mujhe apni family ka hissa nahin maana. Mere uss ghar mein jaane se Kuhu ko lagne laga ki main uske hisse ka pyaar cheen rahi hu. Lekin tumhi batao Abir...pyaar ki zaroorat toh mujhe bhi hain naa... maine toh kabhi bhi uski jagah lene ka khayal bhi apne mann mein nahin laaya lekin woh...usne mujhe haraana apne zindagi ka maksat bana liya. Mere liye uske dil mein itna zeher hain naa Abir.. ki usne uss din cold coffee mein sleeping pills milai thi mujhe chot pahuchane ke liye. Usne mujhse mera mandap cheen liya taaki woh humaari shaadi rok sake Abir. Yahan tak ki usne mere shagun ka haar bhi tod kiya kyunki use woh haar chahiye tha. Woh humesha mujhe har jagah neecha dikhaati rahi. Poori zindagi usne mere saath competition kiya. Yahan tak ki woh Parul maasi ko ek naukraani ki nazar se dekhti hain. Woh aisi kyun hain Abir? Kyun woh mujhe itni takleef deti hain? Kya bigaada tha maine uska? Bas itna hi naa ki badi maa aur bade papa mujhse bahut pyaar karte hain? Lekin woh toh usse bhi pyaar karte hain naa Abir. Lekin usko yeh kabhi nahin dikhta. Humaare shaadi ke din usne mujhe thappad maara sabke samne. Shaadi ke din usne mujhse kaha ki mujh jaisi ugly duckling kabhi swan nahin ban sakti. Har baar Abir...har baar usne meri insult ki, mujhe neecha dikhaaya. Lekin maine kabhi use kuch nahin kaha. Ulta uski khushi ke liye aur uski shaadi mein meri wajah se koi rukawat na aaye isliye main apna pyaar sacrifice karke, tumhein chhodke humesha ke liye Mumbai jaane ko taiyyar ho gayi thi"; and breaks down in his arms crying frantically.


"Sssshhhhh....Shaant ho jao Mishti. Calm down. Main hu tumhaare paas. Mere rehte ab aur kuch galat nahin hoga tumhaare saath"; he patted the back of her head and wrapped her in his arms in an attempt to soothe her pain.


"Abir...Abir pata hain?"; breaking the hug she looked into his eyes and spoke up again. "Pata hain main bahut darr jaati hu jab tumhaare aur maa ke beech koi ladayi hoti hain. Abir, poori zindagi mujhe Jasmeet chachi iss baat ke liye kosti rahi ki main toote huye parivaar se aayi hu. Ki mujhe family ki importance nahin pata. Maa bhi toh humesha isi kaaran mujhse nafrat karti rahi naa? Kyunki unhein lagta hain ki main unka parivaar tod dungi. Aur ab toh Kuhu bhi aisa hi sochti hain. Uss din jab tumne mujhse kaha ki mujhe jhagda karne ki aadat hain toh mujhe aisa laga ki kahin tum bhi baaki sab ki tarah yeh na socho ki main broken family se aayi hu toh mujhe parivaar jodke rakhna nahin aata. Abir main Kuhu se itna naraz isliye hu kyunki iss baar usne tumhein chot pahuchai hain. Tumhaari jaan khatre mein daali hain. Uss din jab mujhe pata chala tha ki Nannu ne tumhein uss halat mein marta hua chhod diya tha toh mujhe bahut gussa aaya tha. Mera khoon khaul utha tha yeh sochke ki agar tumhein kuch ho jaata toh main kya karti? Lekin Jasmeet chachi ki taraf dekhkar main chup ho gayi. Abir isi wajah se maine Nannu se shaadi karne ke liye haa......"; the words died in her mouth as she found him flinch at the mention of Nannu.


His jaw tightened and he looked away from her trying to hide the pain reflecting in his eyes. But she was quick enough to gauge it. Cupping his face softly she turned him towards her and gently spoke, "Abir... Abir main jaanti hu tumne apne dil mein bahut kuch dabake rakha hain. Aisi bahut si baatein hain jo tumne mujhe nahin bataya. Lekin main chahti hu ki aaj tum mujhe sab kuch khulke batao. Aaj humaare beech koi raaz nahin rahega. Batao Abir... tumhaare dil mein kya hain? Main sunna chahti hu"


His eyes welled up as the words escaped her lips. Gliding his fingers over her palms resting on his face, he took her hands in his and started drawing random patterns on her knuckles. Taking a deep breath he finally decided to let it all out.


"Mishti...main kabhi bhi apne emotions ko leke expressive nahin tha. Haa khushi, pyaar, apnapan yeh sab khulke express karta tha lekin apna dard aur takleef kabhi kisi ke saamne zaahir nahin kar paaya. Jis din Kutch mein bus ki chhat par maine tumhein pehli baar dekha tha toh pata nahin kyun ek ajeeb sa connection feel karne laga tha tumhaare saath. Phir jaise jaise mujhe tumhaare baare mein chhoti chhoti cheezein pata chali main tumse aur zyaada connect karne laga. Mujhe pata bhi nahin chala kab tum meri zindagi ka ek ahem hissa ban gayi. Jab maa ne rishta badla aur Nanko ke saath tumhaara naam jod diya toh pata nahin kyun mere andar kuch toot sa gaya. Mujhe samajh nahin aa raha tha ki mujhe itnk takleef kyun ho rahi hain? Hum toh dost bhi nahin the uss waqt. Mere dimaag mein kai saare sawaal uthte rahe lekin mujhe unka jawab nahin pata tha. Phir uss din market mein jab tumhaara accident hua main pagalon ki tarah daudkar tumhein hospital le gaya. Maine naa aar dekha naa paar. Mujhe bas itna dhyan tha ki kisi bhi halat mein tumhaari jaan bachaani hain"


Mishti looked at him shocked. So it was him who had saved her life and not Kunal! How could she forget? Coming back to her senses in the hospital she vaguely remembered a tall lanky guy with long hairs and soft voice had gently held her hands while she was murmuring unconsiously. Blinking her eyes she urged him to continue further.


"Lekin sabko laga ki Nanko ne tumhaari jaan bachai. Lekin mujhe kabhi iss baat se koi jealousy nahin hui. Phir chahe woh mera tumhaare liye khichdi le jaana ho ya aag mein kudke tumhaari jaan bachana ho...sabko laga ki yeh sab Nanko ne kiya tumhaare liye aur main.. main apne aap ko kosta raha ki mere dil mein tumhaare liye jo feelings grow kar rahi hain woh galat hain. Tumhein woh painting yaad hain? Maine woh painting jalaane ki kosish ki thi. Kyunki mujhe aisa lagta tha ki mere feelings forbidden hain. Mera tumhaare baare mein aisa sochna galat hain. Lekin main use jala nahin paaya. Jab jab tum mere paas nahin hoti thi main uss painting se baatein karta tha. Usko seene se lagakar aisa mehsoos hota tha ki main tumhein gala laga raha hu. Akele mein uss painting ke saath mujhe ek ajeeb sa sukoon milta tha"

His every word send butterflies running in the pit of her stomach. She could have never imagined that he could love her so deeply. That anyone could love her so deeply.

"Mishti jab humaara rishta toot gaya tha aur tum mujhe chhodke London chali gayi thi...woh do mahine meri zindagi ke sabse dardnaak din the. Har pal main tumhaari yaadon ko seene se lagake ghumta tha aur duniya se apni takleef chhupaane ke liye unn stupid shades ka sahaara leta tha. Mishti main tumhein din raat apne aas paas imagine karta tha aur sochta tha ki kaash...kaash maine tumhein jaane nahin diya hota. Tumhein apne paas mehsoos karne ke liye main do mahine sirf khichdi pe jeeta raha. Jab jab main bade papa ke aankhon mein apne liye nafrat dekhta tha toh aisa mehsoos hota tha ki maine apne baba ko phirse kho diya. Main chahkar bhi kisi se apni takleef share nahin kar paata tha. Woh do mahine mere paas koi nahin tha Mishti... koi nahin..."

"Aur phir jab maine tumhein Nishant ke saath dekha aur tumne kaha ki tum uske saath move on kar gayi ho toh meri rooh kaap uthi. Jab jab woh tumhaare kareeb jaata tha mujhe aisa feel hota tha ki ek chaaku lu aur zor se apne dil mein ghop du. Main tumhein kisi aur ke saath nahin dekh sakta Mishti... kabhi nahin. Tumhaare mehendi wale din jab tumne sabke samne Nishant ko chuna aur mujhe wahan se chale jaane ko kaha toh main chup chaap wahan kuch der khada rehkar sirf tumhaari taraf dekhta raha. Mere kadam dagmaga rahe the. Physical chot se zyaada tumhaari khamoshi mujhe chubh rahi thi. Main tumhein nahin khona chahta Mishti. Main tumhein kabhi khona nahin chahta. Main already ek baar apni galti ki wajah se tumhein kho chuka hu. Main tumhein dubaara nahin khona chahta. Main phirse apna ghar nahin khona chahta. Main bura husband nahin banna chahta lekin main maa ko jeetne nahin dena chahta Mishti. Main maa ko jeetne nahin dena chahta....." ; he embraced her tightly and broke down crying profusely. She wrapped her arms around him pulling him closer and kept on patting his back to calm him down.


On composing himself after a while he broke out of her embrace and cupping her face with both hands whisphered softly, "Mishteeee....I need you". His hoarse voice sent chills down her spine and before she realized the words had already left her mouth, "Abirrrr.....I need you too". The air around them suddenly turned heavier and gazing intently they tilted slightly towards each other. With being inches apart and breathing heavily their lips met softly as they closed their eyes and let their fingers tangle into each other's curls. Slowly and gradually the moment turned passionate. Pulling apart they looked into each other's eyes as Abir picked her up in his arms and proceeded towards their heavenly unionisation.


In the still of the night after their heavy passionate session of loving and claiming each other, as Mishti cuddled into him breathlessly, he wrapped his arms around her waist and kissing her forehead gently whisphered into her ears...


"I love you....my home"


Her lips curved into a broad smile as she returned his endearment back....

"I love you....my life"


After a while....


“Abir, main tumse ek baat puchu?” Mishti asked softly while still cuddled in Abir’s arms.


“Nahi Mishti, aajke din ka, I mean raatka puchna ho gaya, ab tumhe sirf patni dharm nibhana hain.” Abir said playfully running his finger through her face.


“Abir seriously suno na, mujhe kuch puchna hain, par mujhe darr lagta hain ki tumhe bura lagega.” Mishti said intently.


“Mishti, jab tak tum mujhse baat karogi aur mujhe apne dil ki baat bataogi, mujhe bura nahi lagega.” Abir replied with utmost honesty.


“Abir, jaha tak main tumhe janti hu, tum who ho jisne mere bina bole yeh samaj liya tha ki main kuhu ka insult nahi kar sakti, jo mere bina puche mere piche airport tak mujhe rokne aaya tha, jisko kabhi bhi meri sacchai janne ke liye mere explanation ki jarurat nahi padi hain, toh fir tumne kunal ki sacchai ki baat bahar aane par mere kehne par bhi mujhpe bharosa kyu nahi kiya?” the memories of that day welled up Mishti’s eyes.


“Hmmm..” Abir did not want to answer that, he din’t think he was ready to open up on his weakness of being jealous about Nishant in front of Mishti. It would only hurt her he thought. But today was the time, when not only physically, but mentally, they had to become one, go back to where they were before marriage, infact go back to where they were before breaking up.


“Mishti, woh meri life ka bahut alag aur bahut kharab time tha. Tum mujhe janti ho, main hamesha unn cheezo pe bharosa kart ahu jinhe main meri aankhon se dekhta hu. Uss din maine tumhe Nishant se baat karte hue suna tha. Shayad meri galti ki maine aadha hi suna, par main bahut pareshan tha, jiss nanko ke liye maine meri zindagi jeena chod diya tha, wohi nanko ko uske zindagi ke sachse ladte hue main nahi dekh pa raha tha. Sab kuch itna jaldi jaldi ho raha tha. Aur tumko pata hain sabse badi baat kya thi?” He took a pause before speaking ahead.


Mishti realized he needed a support to go ahead so she shifted her position and got up. Made him sleep on her lap and spoke “Ha Abir main sunn rahi hu.”


As if deriving strength from her, he held her hand and continued. “Mishti, Abir Rajvansh pehli baar kisi cheez se jal raha tha. Woh insaan jo ek banjara tha, jo kisi cheez pe apna haqq nahi manta tha, jo use jitni khushiyan mile utne mein khush hota tha, jo kabhi kisise kuch expect nahi kar raha tha, woh insaan aaj bahut jal raha tha. Mishti, mujhe pata tha ki maine tumhe apni zindagi se dur kiya hain, aur aisi koi wajah nahi thi jo tum mere liye ruko yam era intezaar karo.” He shut his eyes at those memories, but he had to continue today.


“Par, Mishti, tum ilkauti thi jo meri thi. Meri zindagi mein aur kuch bhi aisa nahi tha jo mera tha, par tum thi. Aur jab mujhe yeh pata chala ki tum bhi meri nahi rahi tab ek alag se jalan hui, ek feeling jo maine kabhi mehsoos nahi ki.”


“Fir tumne jab mujhe Nishant ke sath dekha tab kyu khudko mujhse dur kiya?” Mishti dint even realise when these words came out from her but these were the questions that were always there in her mind.


“Mishti, tum janti jo mujhe. Maine hamesha dusro ki khushi apne se upar rakhi hain, aur ma ko promise karne ke baad mere paas aisi koi wajah nahi thi ki main yeh sochu ki tum mere sath khush rahogi. Maine socha, Nishant ke sath rehna ki tumhari khushi hain aur tumne yeh chuna hain toh acha hi hoga. Par main nahi kar pa raha tha, jitna main iss cheez ko nazarandaz karta utna mujhe aur takleef hoti aur utna main ulti sidhi cheezein karta. Main jugnu pe bhi chilla diya tha jo maine 20 saalon mein kabhi nahi kiya.” Abir literally squeezed her hand that with both his hands.


Something hit Mishti. It was the first time that she had heard or realized what Abir felt when she was with Nishant, first time that she realized what she had done. Till now, she had thought that it was Abir’s sternness which restricted him from getting back to her when she came back. But no, the NishMish attack had caused him more pain than she had ever thought. “Abbirrr..” ; it was just a murmur though.


Without hearing it, and since he was in his own zone Abir continued. “Maine socha ki iss baar main tumhare dukh ka reason nahi banunga. Uske liye khudko strong kar liya tha maine. Par woh tumhare birthday ke din tumhe aur Nishant ko dekhkar main control nahi kar paya. Maine kabhi alchohol ka sahara nahi liya Mishti inn two months mein, kyuki main hamesha samajta tha ki woh kanjor log karte hain, aur mujhe strong banna tha, par uss din main strong nahi bann paya. Uss din mujhse aur bardasht nahi ho raha tha. Abir Rajvansh itna mahan nahi bann sakta tha ki woh iklauti khushi jo uski thi, who khushi ko use dur hota hua dekhe.” Abir couldn’t take it anymore, he just moved and hugged her wrapping his arms at her waist.


“Nahi hu main itna strong” ; he kept on crying.


“Abir, maine Nishant se kabhi pyaar nahi kiya”;  Saying this Mishti explained tha whole NishMish attack plan. “Par Abir, yeh sab toh maine who chitti mein likha tha, tumhe fir bhi mujhpe bharosa nahi hua?” Mishti asked.


Abir was bewildered hearing all of this. Miscommunication leads to so much misunderstanding he thought to himself. He sighed. “Letter, woh mujhe mila hi nahi.” Seeing the questioning look on Mishtis face he told her how Bigben had changed the letter. Mishti dint know what to say. Life had put so many hurdles between them.


Abir got up from Mishtis lap. He held her hand and with extreme earnestness he said, “Mishti, shayad abhi main samaj raha hu ki humare beech itne jhagde kyu ho rahe hain. Tumhe pata hain, jab hume shayad pata bhi nahi tha ki hum ek dusre se pyaar karte hain, uss time ki sabse achi cheez kya thi?”


Mishti nodded in a no.


“Sabse achi cheez yeh thi ki chahe jo ho, hum ek dusre se bahut baat karte the, hum ek dusre kok sab batate the, aur isi ki wajah se hum ek dusre pe sabse jyada bharosa karte the. Mishti, jab hum alag the, woh 2 mahine hum donoki life ke bahut ki difficult 2 mahine the. Shayad itna bura time humne kabhi dekha nahi, but use bhi bura uss waqt yeh hua ki hume ek dusre se baat kiye bina rehneki aadat ho gayi. Aur shayad ek dusre ke hone ki aadat chut gayi. Fir yeh shadi sab rasme yeh sab itna jaldi hua, ki hum Mishbir toh bane, par shayad apne unn 2 mahine ko bhulakar aage nahi badh paye.” Abir continued.


“Aur yeh tabhi hoga jab hum unn do mahino ke baare mein baat kare aur ek dusre ke hamesha hone ki aadat dale aur khusko yeh bharosa dilaye ki who 2 mahine kabhi vapis nahi aayenge.” Mishti continued as if stealing words from Abir.


“Waaaaah ekdam perfect, Angry Chorni ab sentences bhi churane lagi.. Niiiicccce” Abir winked.


Mishti hit him playfully. “Tum sahi keh rahe ho Abir, humne iss cheez par kabhi dhyaan diya nahi ki sirf ek sath hona jaruri nahi, balki zindagi share karna jaruri hain. Mujhe pata bhi nahi tha par kitni galat fehmiya hum donomein thi jinko humne nazarandaz kiya tha. Ab pata chal raha, aur sachmein, bahut acha aur halka lag raha.”


“Bilkul purane Abir Mishti jaisa.” Abir quickly added.


Both honestly smiled but they seriously felt much lighter, and better after this conversation. Even without them realizing, they had a lot built up in them. “Mishti main samajta hu ki tumhe alag nahi rehna, aur main uss cheez ki respect karta hu. But hum eek dusre ko abhise sab cheezein batani hogi. Maine hamesha yeh mana hain, ki koi bhi rishte ki zimmedari who do logo ke hath mein hi hoti. Aur hum yeh responsibility nibhayenge.” Abir cupped her face.


Mishti nodded in a yes.


“Aur, tumhari pehle responsibility yeh hain ki, tum apna patni dharm pura karo, pati ko khush karo,” Abir said dramatically.


Mishti blushed and Abir kissed her forehead.


“Baki ka khane ke baad, I am hungry Ajeeb Rajvansh.” Saying she dialed the reception for food.

____________________________________________


~ Sayli & Toree

Edited by ImpetuousSoul - 4 years ago

Created

Last reply

Replies

3

Views

1255

Users

4

Likes

16

Frequent Posters

ruhi19 thumbnail
Group Promotion 5 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 4 years ago
#2

it is great... i loved how they spoke about what they felt in those 2 months...


actually this is needed between them, u explained the reason of their miss communication and problems perfectly...

Jayu_Bangalore thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago
#3

Lovely....


First of all thank you so much for sharing this. It was beautifully written.đź‘ŹThe heartfelt convo between Abir n Mishti was.This is the kind of conversation we want to see between MishBir.


Happy writings gals.🤗

SheThought thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 4 years ago
#4

Loved it!!

Wish we get a meaningful convo between Abir and Mishti in the show too 🤗

Loved how they shared with each other what they felt in those dreaded 2 months without the other and where they went wrong...

Thanks for sharing đź¤—